tamaam maikash pukaar uT,Thay... -
23rd February 2015, 06:35 AM
Dosto, aaj mire marGhuub Shaa'ir Janaab Shakil Badayuni ki ik Ghazal pesh-e-Khidmat hai, ummid hai aap ko pasand aayegi.
-------------------------------------------------
Ghazal
Lateef pardoN se thay numaayaaN makeeN ke jalve makaaN se pehle
muHabbat aa’inah ho chukee thii, vajuud -e-bazm-e-jahaaN se pehle
nah woh mire dil se baa-Khabar thay, nah un ko eHsaas-e-aarzuu thaa
magar nizaam-e-wafaa thaa qaa’im, kushuud raaz-e-nihaaN se pehle
har eik ‘unvaan-e-dard-e-furqat hai ibtidaa sharH-e-mudd’a ki
ko’ii bataaye kih yeh fasaanah sunaaye un ko kahaaN se pehle
masarrateN raazdaar-e-Gham thiiN, masarrotoN meN alam tha pinhaaN
jabhi to SeHn-e-chaman meN shaayad bahaar aayii KhizaaN se pehle
samajh rahaa thaa kih naa-ummeedii nah pardah-daar-e-umeed hogii
nazar uThaa kar jo maiN ne dekhaa, Ghubaar thaa kaarvaaN se pehle
uThaa jo meenaa ba-dast saaqii, rahii nah kuChh taab-e-zabt baaqii
tamaam maikash pukaar uT,Thay, “yahaaN se pehle, yahaaN se pehle"
qasam fareb-e-nigaah-o-dil ki, hameN to us justajuu ne khoyaa
wahiiN thi dar-asl apni manzil, qadam uThay thay jahaaN se pehle
ajal se shaayad likhay hu`e thay :Shakeel: qismat meN jo’r paiham
khuli jo aankheN us anjuman meN nazar milee aasmaaN se pehle
~Shakeel Badayuni
================================================== =======
|