Zamaanaa- a nazm by Sir Muhammad Iqbal -
20th March 2015, 07:51 AM
Zamaanaa
A nazm by Allamah Iqbal
jo thaa nahiiN hai, jo hai nah hogaa, yehi hai ik Harf-e-meHrmanaa
qareebtar hai namuud jis ki, usii ka mushtaaq hai zamaanaa
miri suraahi se qatraa qatraa naye Hawaadis Tapak rahe haiN
maiN apni tasbeeH-e-roz-o-shab kaa shumaar kartaa huuN daana daanaa
har eik se aashnaa huuN lekin, judaa judaa rasm-o-raah meri
kisii kaa raakab, kisii kaa markab, kisi ko ‘Ibrat kaa taaziyaanaa
nah thaa agar tuu shareek-e-meHfil, qasuur mera hai yaa kih tera
mera tareekaa nahiiN kih rakh luuN kisii ki Khaatir mai-e-shabaanaa
mire Kham-o-paich ko najuumi ki aankh pehchaanti nahiiN hai
Hadaf se begaanah teer us kaa, nazar nahiiN us ki aarifaanaa
shafaq nahiiN maGhribi ufaq par, yeh juu-e-KhuuN hai, yeh juu-e-KhuuN hai!
tuluu`-e-fardaa kaa muntazir reh, kih dosh-o-imroz hai fasaanaa
woh fikr-e-GhustaaKh jis ne uriyaaN kiyaa hai fitrat ki taaqatoN ko
usii ki be-taab bijliyoN se Khatar meN hai us kaa aashiyaanaa
hawaa’eN un ki, fazaa’eN un ki, samundar un ke, jahaaz un ke
girah bhaNwar ki khule to kyuuN kar, bhaNwar hai taqdeer kaa bahaanaa
jahaan-e-nau ho rahaa hai paidaa, woh aalam-e-peer mar rahaa hai
jise Farangi muqaamiroN ne banaa diyaa hai qimaar Khaanaa
hawaa hai go tund-o-tez lekin, charaaGh apnaa jalaa rahaa hai
woh mard-e-darvesh jis ko Haq ne diye haiN andaaz-e-Khusrwaanaa
================================================== ==
|