Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Hum bhi yaaro kamal ke nikley
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Hum bhi yaaro kamal ke nikley - 14th March 2003, 12:34 PM

Ahl -e -mehfil ko aadab arz kartaa huuN

Is taveel ghair haazirii ke liye muazrat chahta huuN. Aur maiN bayaN nahiN kar sakta ke kis qadar betaab tha kuch likhne aur usey yahaN pesh karne ke liye. Lekin advertising se juda huuN aur cricket WC ki wajah sey in dinoN kaam kii masruufiyaat bohat ziada rahii haiN.
Phir bhi iss bazm meiN kya-kaya naya hua hai uski khabar mainey zaruur rakhi hai. Aur har naye kalaam se lutf-andoz hota raha hooN. Masruuf zindagi se jo kuchh mauqa mila to aik ghazal ke ye chand ashaar tehriir kiye haiN jinheN maiN aap sab kii rae ke liye pesh kar raha huuN.
Tau arz karta huuN…
----------------------------------------------------------

GHAZAL

Dil ko dhokey meiN daal ke nikley
Hum bhi yaaro kamaal ke nikley

Kya khabar thii wohi bhula degaa
Jiski yaadeN sambhaal ke nikley

Wo dasengey ye jaan kar bhi unheN
AastiinoN meiN paal ke nikley

Hijr sey bhi kathin na jaaney kyuuN
Merey lamhey visaal ke nikley

Har jagah raahzan haiN raahoN meiN
Koii kya-kya sambhaal ke nikley

Dost ban ke sada diye dhokey
Merey dushman kamal ke nikley

Koii batlaaye kis tarah dil sey
Koii maazii nikaal ke nikley

Uskey armaan sab ke sab aakhir
Mujhko dil se nikaal ke nikley

Fikr daulat ki kar raha tha jahaN
Hum mohabbat sambhaal ke nikley

Muntazir
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
adaab
Old
  (#2)
mumtaz_09
Registered User
mumtaz_09 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Mar 2003
Location: mumbai, india
Rep Power: 0
adaab - 14th March 2003, 03:36 PM

adaab
praveen ji,gazal to aapne kaafi achchi likhi he,lekin aapki ye lines bohot achchi lageen-
raah me hi manzilon ka zikr mat chedo praveen,
manzilon ne sun liya to aur woh badh jaayengi,
bohot khoob!!!


mumtaz
  Send a message via Yahoo to mumtaz_09  
Reply With Quote
Bahut achhe sahab
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Bahut achhe sahab - 14th March 2003, 03:48 PM

Pravin Saxena Sahab, YooN to aapki posts jyada nahi parhi par ab suchta hooN sab Parhni padeiNgi, wakai bahut achha likha hai aapne.a


Aapki ye Ghazal bahut pasand aai, khas taur par ye antra.

Fikr daulat ki kar raha tha jahaN
Hum mohabbat sambhaal ke nikley


Regards

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand

Last edited by Chaand; 14th March 2003 at 03:50 PM..
   
Reply With Quote
Hi
Old
  (#4)
Swapneel
Registered User
Swapneel will become famous soon enoughSwapneel will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 99
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
Hi - 15th March 2003, 10:21 AM

prasaxena sahaab waah behatreen,,, bade dinoo bad kuch achha padhne ko milaa...khudahafiz...Swapnn
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
22nd March 2003, 11:50 PM

saxena saahab,
aadaab arz hai! janaab, aapki ghazaloN ki kamii mehsoos hone laggii thi, magar aaj aapne umda ghazal dikhaa kar dil ki haalat khush kar di.
meri aukaat nahiiN hai bhai, magar paDte paDte ek nUks dikhaa..
  • Wo dasengey ye jaan kar bhi unheN
    AastiinoN meiN paal ke nikley
> aapke lafzoN kya kehna?! kuch khaas kamii nahiiN, magar yeh sher *unheN* ke bi'ghair paDne meiN mujhe thoDa achcha lagaa..


gustaakhi maaf ki jiye. sach meiN saxena saahab, aaj bahot dinoN ke baad gehr'ii ghazal paDne ka mauka mila hai!

taareef, ohr mubaarakbaad qabuul ki jiye..

aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Re: adaab
Old
  (#6)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Re: adaab - 7th April 2003, 03:51 PM

Mumtaaz saheb

aapko ghazal pasand aayi bohat shukria.
ummeed hai aage bhi aap apni rae se nawazte raheNge.

Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Re: Bahut achhe sahab
Old
  (#7)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Re: Bahut achhe sahab - 7th April 2003, 03:53 PM

Chaand Sahab

Aapko ghazal pasand aayi hamari mehnat wasool ho gayee.
Aapki daad ka bohat shukria. Jawab dene maiN deri hui isske liye muafii chahte huuN.

Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Re: Shukria
Old
  (#8)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Re: Shukria - 7th April 2003, 03:56 PM

Swapneel ji

Derii se jawaab dene ke liye muafii chahta huuN.
Aapne ghazal pasand kii. Badi hasla afzaii huii. Aapka behad shukria. Ummeeed hai aage bhii aapka saath milega.

Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukria Sharabi Saheb
Old
  (#9)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Shukria Sharabi Saheb - 7th April 2003, 04:02 PM

Janab Aman Shab

Sabse pehle to muafii chahtaa huuN ke jawab dene meiN der kii. Kaam meiN burii tarah phansa tha.
Aur waise bhi aajkal aap kam hi nazar aate haiN kya baat hai? Ummeed hai sab kuch Khariyat se hi hoga.
Aapko ghazal pasand aayii jaan kar bada hausla mila.


meri aukaat nahiiN hai bhai, magar paDte paDte ek nUks dikhaa..
  • Wo dasengey ye jaan kar bhi unheN
    AastiinoN meiN paal ke nikley
> aapke lafzoN kya kehna?! kuch khaas kamii nahiiN, magar yeh sher *unheN* ke bi'ghair paDne meiN mujhe thoDa achcha lagaa..

jao baat aap keh rahe haiN uss se misra behar se Khrij ho jaata hai. Aap bila jhijhak apni rae likheN ismeiN gustaKhii jaisi koii baat nahiN. Khul kar likheN achcha lagega.


Bohat shukria ke saath

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#10)
seemakshi
Registered User
seemakshi has a spectacular aura aboutseemakshi has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 85
Join Date: Feb 2003
Location: Canada
Rep Power: 23
10th April 2003, 05:47 AM

Adaab Praveen Saheb,

Khoob, bahut hi khoob.
Sabse aachi lines hamein yeh lagee:

"Fikr daulat ki kar raha tha jahaN
Hum mohabbat sambhaal ke nikley"

Lekin saheb aapne abhi tak se hamari request poori nahi kee.

Intezaar mei

Seemakshi


"Seemakshi"

"Jitni shiddat se tarastee, hoon mai uske liye
Uutni shiddat se tho, unse mujhe chaha bhi na tha"
  Send a message via Yahoo to seemakshi  
Reply With Quote
waah huzoor waah
Old
  (#11)
RAHUL TRIVEDI
Registered User
RAHUL TRIVEDI is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 68
Join Date: Dec 2001
Location: ahmedabad
Rep Power: 23
waah huzoor waah - 16th April 2003, 03:16 PM

bahot khoob saxena saahab bahot khoob

aapki ghazal ki kya taareef karu...
sab ke sab sher kamaal ke nikle.....

bahot khoob... dil khush kar diya aapne..

likhte rahiye.. aapki ghazlein kam dikhaayi padti hain aajkal..

rabrakhaa


ek sher aur likh lun... azal hote hote
ek umr ho gayi hai... ghazal hote hote
  Send a message via Yahoo to RAHUL TRIVEDI  
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#12)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Shukria - 24th April 2003, 05:29 PM

Seema ji

Aapki daad ka shukria.
Hausla badha hai.
Aage bhi nigah-e-karam rakhiyega.

Shukria
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Re: waah huzoor waah
Old
  (#13)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Re: waah huzoor waah - 24th April 2003, 05:33 PM

Janab Trivedi Sahab

Jawaab meiN deri ke liye muafii chahta huuN.

Pehle rozgaar phir ashaar... bus yahi haal hai zindagi ka. Bus issi wajah se ziada yahaN nahiN aa pa raha huuN.

Aapne bade anokhey andaaz meiN daad di hai. Tah-e-dil se shukria. Aise hi nazr-e-inayat rakhiyega.

shukria
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
bahut khoob guruji!
Old
  (#14)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
bahut khoob guruji! - 24th April 2003, 08:34 PM

adaab-o-tasleem guruji........bade dino baad aapke naam-o-nishaan is mehfil ko sajaaye huwe mila.......vaise to humari nazar aapki is ghazl par bahut pehle hi padhi thi..........aaj vapis padhi aur pehle se bhi jyada luft huwa......khair abhi to hum is tareef ke saath aapko aasaani se jaane dete hain.....kabhi fursat mein aapki khabar lenge! ............tab tak ke liye aapko humara salaam....anamika...
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Re: bahut khoob guruji!
Old
  (#15)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Re: bahut khoob guruji! - 27th April 2003, 12:38 AM

Adaab Anamikaji

Bade shauq se hamari Khabar liijiye huzoor. Lekin pehle kuch apni to Khabar diijiye. Aap to haiN ke aajkal kahiN nazar hi nahiN aatiN. Na hi shaayad kuch likh rahi haiN. Bechare guruji shishya ki rachna ke intezaar meiN haiN aur intezaar hai ke puura hone ka naam hi nahiN le raha.

Ghazal pasand farmane ka shukria. Aapko lutf aaya hamarii koshish kaamyaab hui. Ab aap bhi to kuch naya yahaN post kiijiye. Intezaar rahega.

Aap se guzarish hai ke kabhi to online mil jaya kiijiye. Agar aapko disturbance hoga to keh diijiyega. Kam-az-kam dua salaam to ho jayega. Khair hameiN intezaar hai us waqt ka jab aapko fursat hogi aur aapse mulaqat hogi. Ummeed hai aapki sehat theek hogi. Parmatma aapko tandurust rakhe. InhiN duaoN ke saath.

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi

Last edited by prasaxena; 27th April 2003 at 12:40 AM..
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Re: Hum bhi yaaro kamal ke nikley
Old
  (#16)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Hum bhi yaaro kamal ke nikley - 1st March 2005, 02:32 PM

Quote:
Originally posted by prasaxena
Ahl -e -mehfil ko aadab arz kartaa huuN

Is taveel ghair haazirii ke liye muazrat chahta huuN. Aur maiN bayaN nahiN kar sakta ke kis qadar betaab tha kuch likhne aur usey yahaN pesh karne ke liye. Lekin advertising se juda huuN aur cricket WC ki wajah sey in dinoN kaam kii masruufiyaat bohat ziada rahii haiN.
Phir bhi iss bazm meiN kya-kaya naya hua hai uski khabar mainey zaruur rakhi hai. Aur har naye kalaam se lutf-andoz hota raha hooN. Masruuf zindagi se jo kuchh mauqa mila to aik ghazal ke ye chand ashaar tehriir kiye haiN jinheN maiN aap sab kii rae ke liye pesh kar raha huuN.
Tau arz karta huuN…
----------------------------------------------------------

GHAZAL

Dil ko dhokey meiN daal ke nikley
Hum bhi yaaro kamaal ke nikley

Kya khabar thii wohi bhula degaa
Jiski yaadeN sambhaal ke nikley

Wo dasengey ye jaan kar bhi unheN
AastiinoN meiN paal ke nikley

Hijr sey bhi kathin na jaaney kyuuN
Merey lamhey visaal ke nikley

Har jagah raahzan haiN raahoN meiN
Koii kya-kya sambhaal ke nikley

Dost ban ke sada diye dhokey
Merey dushman kamal ke nikley

Koii batlaaye kis tarah dil sey
Koii maazii nikaal ke nikley

Uskey armaan sab ke sab aakhir
Mujhko dil se nikaal ke nikley

Fikr daulat ki kar raha tha jahaN
Hum mohabbat sambhaal ke nikley

Muntazir
Praveen Saxena


mere big busy dost,

is gajal ki pahchaan kis tarh hui yah baatu......
do din pahlay ki baat hai... bedil ne phone par yah gajal soonayi... aur muje kaha ki maa, aap jaroor padhna praveen ji ki yah gajal........
aur aaj padhi..........
tumhari gajal ki kya taarif karu? jo bhi kahungi kam padega....

tumhari dost meena
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
ali_rehman
Registered User
ali_rehman will become famous soon enoughali_rehman will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 41
Join Date: Feb 2005
Location: karachi
Rep Power: 0
2nd March 2005, 12:14 PM

saxena saahab,
NICE KEEP WRITTING
Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat se
sharmana
Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat se
sharmana...
Ye line samajh me aaye to mujhe zaroor batana
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
21st July 2005, 12:08 PM

Praveen Bhai....

kya khoob gazal pesh ki hai aapne......dard aur wafa ki shiddat.....

is nacheez ki daad kabool kijiye....

aapka apna....



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hi kamal kamal_maru Aapki Shayri 0 7th October 2006 12:28 PM
Election da kamal bematlab Shayri-e-Dard 7 17th May 2004 04:04 PM
Sab qudrat ka hai kamal. shakeel shaiki Shayri-e-Ishq 2 22nd October 2003 07:11 PM
kamal hai dil_ka_mara Shayri-e-Dard 0 22nd December 2002 09:36 AM
sanam badey paresha nikley Vishal_heart Shayri-e-Ishq 0 4th August 2002 08:40 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com