Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
girtay pathoN ko khizaN maiN ghor se dekha karo
Old
  (#1)
iHsAn ElAHi
Registered User
iHsAn ElAHi will become famous soon enoughiHsAn ElAHi will become famous soon enough
 
iHsAn ElAHi's Avatar
 
Offline
Posts: 16
Join Date: Sep 2008
Location: Swabi, Pakistan
Rep Power: 0
Arrow girtay pathoN ko khizaN maiN ghor se dekha karo - 14th December 2008, 07:26 PM

girtay pathoN ko khizaaN maiN ghor se dekha karo
inki halat dekh ker muj ko zara socha karo


maiN ke barsoN se tumharay pyar ka maqrooz hooN
aa mujay nilaam kerdo ya koi soda karo


har kisi ki aaNkh namm hoti hai muj ko dekh ker
sab ye kehtay haiN mujay itni muhabbat na karo


din bhi guzray, maah guzray, saal guzray kya karooN
jaan hi dedooN sanam esay nahi rootha karo


ajnabi rastoN pe chalna tho nahi asaaN magar
meray ghar ka raasta gar yaad hai aya karo


dharkanaiN meri sono tum door apnay shehr maiN
maiN tumhaiN dil maiN pukarooN aur tum samja karo


theergi pheli nahi auR aachalay ho dard-e-shab
tum tho mehmaaN khaas ho kuch der se aya karo


dhoop ki shiddat se maiN tho jal gya abr-e-karam
aa ke meri dasht per bhi tum kabhi barsa karo


dar ba dar jab tokaraiN ihsan kha li haiN tho ab
uskay sajday maiN giro auR ro parho, itna karo!





i)-($@)\(
  Send a message via Yahoo to iHsAn ElAHi Send a message via MSN to iHsAn ElAHi  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
16th December 2008, 11:52 AM

Quote:
har kisi ki aaNkh namm hoti hai muj ko dekh ker
sab ye kehtay haiN mujay itni muhabbat na karo


din bhi guzray, maah guzray, saal guzray kya karooN
jaan hi dedooN sanam esay nahi rootha karo


dharkanaiN meri sono tum door apnay shehr maiN
maiN tumhaiN dil maiN pukarooN aur tum samja karo

dhoop ki shiddat se maiN tho jal gya abr-e-karam
aa ke meri dasht per bhi tum kabhi barsa karo

dar ba dar jab tokaraiN ihsan kha li haiN tho ab
uskay sajday maiN giro auR ro parho, itna karo!
mohtaram ihsan Saahab!

aaj aapki yeh khoobsurat Ghazal nazae nawaaz huii, waah! kyaa khuub Ghazal hai..yuu.n to puuri Ghazal hame pasand aaii par khaas taur par ye quoted sher behad pasand aaye.. yuu.n hi likhte rahe.n.. oooparwala aap ko aur hunarmand kare, yeh duaa hai.......

ek khuubsuurat Ghazal ke liye meri aur se daad aur mubaaraqbaad!

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#3)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
16th December 2008, 09:47 PM

ihasan bhai !

kaise haiN aap ?

bhai kamaal ka likhte haiN aap , maiN teesRii martaba paRh raha hunga aapko aur yaQeen maaniye maiN kaafee waQt se aapke kisi kalaam ka intezaar kar raha tha !

jis masoomiyat ke saath aap apne ashaaroN se pesh aate haiN vo mujhe kya har dil azeez honii chaahiye !

janaab maiN bahut der takk issi kashmaksh meiN phaNsa raha ki kin ashaar ko aam o khaas kiya jaaye par ye kaam mere liye bahut mushkil saabit hua aur har sher mujhe pehle paRhe sher se khas laga !

aap bahut achha likhte haiN ... ummeed karta huN ki iss zurf meiN kamii naa aane paayegii !

daad tah e dil se hai , Qabool farmaaeiN ...

apnaa khyaal rakheiN !



andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
20th January 2009, 01:41 AM

wah, bahut hi aalaa darze ki ghazal hai, bas dil khush ho gaya padh ke, aapke darkhwast rahegi ki aap aage bhi yuNhi likhte raheN, taaki hum aisi ahchi ghazal se aaage bhi roo-ba-roo hote raheN, bas duaa rahegi aapge aap aur behtar likhte raheN...!!

Aapka Ghayal...!!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
AankhoN main raha dil main utar ke nahi dekha dilip200 Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 25th August 2008 09:50 AM
Khwaab Dekha Na Karo,Khwaab Dikhaya Na Karo ashiq awara, Shayri-e-Dard 2 17th April 2008 02:15 PM
khizan ka phool hoon.... damal Shayri-e-Dard 1 21st February 2003 10:28 AM
Dekha Karo aks.... rajeshmongia Shayri-e-Ishq 0 1st August 2002 04:11 PM
Ghor farmaiye arthi_20 Shayri-e-Ishq 0 9th May 2001 05:59 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com