Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
Maghroor Sheeshe....
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Maghroor Sheeshe.... - 10th October 2011, 11:04 AM

Khamoshii ke AndheroN me jab Aashiq Doob Jaate haiN,
Sanam-khaane ke Kuchh Maghroor Sheeshe Toot Jaate haiN.

Sunaa thaa Ishqe-Awwal ka Madaawa Doosraa Hogaa,
KaheeN DekheN to Wo KhwaaboN me aake Rooth jaate haiN.

Tumhaari Yaad jo aaye kabhii Poonam ki RaatoN meiN,
Merii AankhoN ke Saagar Rote Rote Sookh Jaate haiN.

Kabhi JhoNke Hawaa ke Jab Tumhe Chookar Guzarte haiN,
Lage HaathoN hamaara haal bhi Wo Pooch Jaate haiN.

Lagaa MehNdee kabhi Khidkee ke Parde ko pakad JhaankeN,
Likhaa jo Naam Haathon meiN Chupaanaa Bhool Jaate haiN.

KahaaN tak Yaad RakkheN Wo Bhalaa Hum jaise Aashiq Ko,
Ajab se Shakhs haiN Ehsaan Karke Bhool jaate haiN.

Qaraar aaye agar ik ShaaM Uskii Jheel AankhoN meiN,
Kisii Suraaj ke Jaise "Shaad" tanhaa DooB Jaate haiN.

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
AnjAAn!!!
Registered User
AnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud of
 
AnjAAn!!!'s Avatar
 
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 28
11th October 2011, 05:56 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Khamoshii ke AndheroN me jab Aashiq Doob Jaate haiN,
Sanam-khaane ke Kuchh Maghroor Sheeshe Toot Jaate haiN.

Sunaa thaa Ishqe-Awwal ka Madaawa Doosraa Hogaa,
KaheeN DekheN to Wo KhwaaboN me aake Rooth jaate haiN.

Tumhaari Yaad jo aaye kabhii Poonam ki RaatoN meiN,
Merii AankhoN ke Saagar Rote Rote Sookh Jaate haiN.

Kabhi JhoNke Hawaa ke Jab Tumhe Chookar Guzarte haiN,
Lage HaathoN hamaara haal bhi Wo Pooch Jaate haiN.

Lagaa MehNdee kabhi Khidkee ke Parde ko pakad JhaankeN,
Likhaa jo Naam Haathon meiN Chupaanaa Bhool Jaate haiN.

KahaaN tak Yaad RakkheN Wo Bhalaa Hum jaise Aashiq Ko,
Ajab se Shakhs haiN Ehsaan Karke Bhool jaate haiN.

Qaraar aaye agar ik ShaaM Uskii Jheel AankhoN meiN,
Kisii Suraaj ke Jaise "Shaad" tanhaa DooB Jaate haiN.

Shaad...
Shaad bhai, kamaal ki ghazal.... Bahut hi umda sheyr lage. Bhai ek ek karke sheyr nahi likhunga, sabhi sher laajawab hain... Maar daaloge kya bhai.
Hum to aise hi marne ko taiyar baithe hain.

_____________________________________
  Send a message via Yahoo to AnjAAn!!!  
Reply With Quote
Old
  (#3)
mittal_pali
Webeater
mittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to behold
 
mittal_pali's Avatar
 
Offline
Posts: 716
Join Date: Jun 2010
Location: Bathinda-Punjab-India
Rep Power: 20
13th October 2011, 09:47 AM

Nicely written. Thanks for sharing this wonderful post.

Pali Mittal
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
13th October 2011, 03:16 PM

Quote:
Originally Posted by AnjAAn!!! View Post
Shaad bhai, kamaal ki ghazal.... Bahut hi umda sheyr lage. Bhai ek ek karke sheyr nahi likhunga, sabhi sher laajawab hain... Maar daaloge kya bhai.
Hum to aise hi marne ko taiyar baithe hain.

Dil-Azeez Anjaan.. Behad khushi hui jaankar ke aap ko nacheez ki likhi adnaa si koshsih bhaa gayee... Ye aapki zarranawaazi hai saahab jo aapne poore kalaam ki hi tareef kar di... fardan fardan shukriyaa... Aur sitam to hum dhaate rahenge huzoor, basharte aap Kamaan ke saamne aate raheN...

Shukriyaa ek baar fir...

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Ankita
Registered User
Ankita is a name known to allAnkita is a name known to allAnkita is a name known to allAnkita is a name known to allAnkita is a name known to allAnkita is a name known to all
 
Offline
Posts: 218
Join Date: May 2008
Location: Canada
Rep Power: 22
Cool 14th October 2011, 12:08 PM

teray likhnay nay kya sitam dhaaya hai
har alfaaz ka teer sinay mein chupaya hai...
A
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
14th October 2011, 12:30 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Khamoshii ke AndheroN me jab Aashiq Doob Jaate haiN,

Sanam-khaane ke Kuchh Maghroor Sheeshe Toot Jaate haiN.

Sunaa thaa Ishqe-Awwal ka Madaawa Doosraa Hogaa,
KaheeN DekheN to Wo KhwaaboN me aake Rooth jaate haiN.

Tumhaari Yaad jo aaye kabhii Poonam ki RaatoN meiN,
Merii AankhoN ke Saagar Rote Rote Sookh Jaate haiN.

Kabhi JhoNke Hawaa ke Jab Tumhe Chookar Guzarte haiN,
Lage HaathoN hamaara haal bhi Wo Pooch Jaate haiN.

Lagaa MehNdee kabhi Khidkee ke Parde ko pakad JhaankeN,
Likhaa jo Naam Haathon meiN Chupaanaa Bhool Jaate haiN.

KahaaN tak Yaad RakkheN Wo Bhalaa Hum jaise Aashiq Ko,
Ajab se Shakhs haiN Ehsaan Karke Bhool jaate haiN.

Qaraar aaye agar ik ShaaM Uskii Jheel AankhoN meiN,
Kisii Suraaj ke Jaise "Shaad" tanhaa DooB Jaate haiN.

Shaad...

Shaad Saheb....! Mashallah Boht Rawan Lehja Hai Aap Ka Or Khyalaat BHi Khoob Rahay... Khayalaat Ko Boht Achay Alfaaaz Me Piroya Hai......... IN Sab Baton Ke Liye Daad Hazir Hai.. Qabool Farmayen...

In Sab Ke Sath Sath Aik Baat Jo Mujhy Be-Chain Kr Rahi Hai.... Wo Ye Hai Ke "Aap Ne Is GHAZAL Me QAFIA Kaun Sa Lia Hai....? Kiun Ke Meri Naqis Aql Ke Mutabiq "Toot.... Rooth... Sookh ... Bhool.... Puch Waqaira... Hum Qafia Alfaz Nahi Hain....

Agar Aap Ye Zara Wazeh Kr Den To Inayat Ho Gi... Kiunke Agar Hr Sher Ko Infiradi Tor Pr Dekha Jaye To Boht Acha Hai... Magr Is Tarha Ghazal Me "Hum Qafia Alfaz" Ki Uljhan Ho Rahi Hai...."

Sada Khush Rahen

Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
14th October 2011, 03:45 PM

janaab Ahmed Shakeel Shaahab ko Khaaksaar ka aadaab-o-tasleemaat... Janaaab baraae karam mehrbaani jo aapne Tashreef laana Gawaara samjhaa, aur aapne kalaam kee Pazeerai farmana Munaasib samjhaa...

Mujhe behad khushi hoti hai jab koi jaankaar aadmi Meri Ghazal pe Tashreef laata hai aur Tabsiraat ki niyaat se aake Ilm ka izaafa kartaa hai... Main ise meri hi khush naseebi samjhuNga ke mujhe kuch seekhne me mauqe aap sabhi se milte raheN, Kisi shaayar ke liye isse acchi bbaat kya hogi ke log aapse aur aapki tahreer se muhabbat karte haiN ...

Aap ka poochna ekdam sahi hai mere bhai... is kalaam me qaaafiyaa ke alfaaz ek doosre se mel nahi khaaa rahe haiN.. magar aap wazan ke lihaaz se dekhenge to paaenge qaafiya same wazn rakhte haiN aur unka pronunciation bhi nearly same hai... Kai ghazloN me shaayar aisaa experiment karte haiN...

Main bejhijhak kahta hooN ke agar maine ab tak kisi ko ideal maana hai to wo haiN janaaB Ahmed Faraz saahab.... So unki ek ghazal se aapko Milwaana Chahunga, bahot mash'hoor hai ummeed karta hooN ye Ghazal bhi aapko pasand aayegii...... aur aapki Mushkilaat aur jhijhak bhi Inshallah ise padh ke door ho jaaegi... gar koi baat dil me rah jaae to bejhijhak Pooch lijiyegaa bhai....Bhandaa hazir rahegaa...

Ye Aalam Shauq ka dekhaa na Jaaye,
Wo But hai Yaa Khudaa Dekhaa na jaaye.

Ye Kin NazroN se Tuune aaj Dekhaa,
Ke Teraa Dekhnaa Dekhaa Na Jaaye..

Hameshaa ke liye Mujhse Bichhadd Jaa,
Ye Manzar Baarhaa Dekhaa Na jaaye.

Ghalat hai Jo sunaa par Aazmaa kar,
Tujhe aye Ba-wafaa Dekhaa Na Jaaye.

Ye mahroomi nahi Paase-wafaa hai,
Koyee tere sivaa dekhaa na Jaaye.

Ye mere saath kaisi Raushni hai,
ki mujhse raastaa Dekhaa na Jaaye..

faraaz apne sivaa hai kaun teraa,
tujhe tujh se Judaa dekhaa na jaaye...

Ab isme radeef hai "dekhaa na jaaye" aur qaafiya dekhenege to shauq ka, khudaa, baarha, sivaa, raastaa, judaa.... hum-lafz beshaq nahi haiN... magar unka flow aur wazn bilkul sahi hai...
bas isi tarah se ek chotee si koshsih maine bhi ki thee.. qaafiyaaa me "Toot.... Rooth... Sookh ... Bhool...." use karke....

Agar isme kuch galat ho to beshaq mujhe bataaeN bhai, zaroori nahi ke main sahi hooN...
Muntzir

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
14th October 2011, 04:45 PM

Janab Sameer Shaad Saheb....!

Boht Boht Shukria Ke Aap Ne Waqt De Kr Meri Raaye Parhi Or Apnay Qeemti Khayalaat Se Nawaza......

Sir Me Kisi Bhi Qism Ki Fazul Behas Me Nahi Parna Chahta.... Agar Main Aap Ki Baat Se Mutmain Ho Jata To Hargiz Dobara Kuch Na Kehta ...... Magar Mujhy Aap Ki Baat Se Ikhtilaaf Hai....

Aap Ne AHMAD FARAZ Saheb.... Ki Jis Ghazal Ka Hawala Dia Hai..... Wo BilKul Hum-Qafiza Alfaz Me Hai..... Shauq Ka, Khuda, Dekhna, Wagaira Ye Sab Hum-Qafia Hai.....

Jabke Aap Ki Ghazal Me Doob, Bhoool, Sookh..... Ye Sab Aik Dusray Se Mukhtalif Hain.... Ye Hum-Qafia Ho Hee Nahi Saktay.... Me Pehlay Bhi Aap Se Arz Kr Chuka Hun Ke Qafia Ka Wazan Akhiri Harf Pr Hota Hai.... Jaisay " Ka, Khuda, Dekhna Wagaira.... In Me Aap Dekhen Ke In Ke Aakhiri Huroof Aik Jaisay Hain.... Jabke Bhoool.... Sookh.. Doob.... Ye Kisi Bhi Lehaz Se Hum-Qafia Nahi Ho Saktay.... Or Aap Agar Is Tarha Ki Koi Or Ghazal Jis Me Ghazal Ke Qafia Ke Akhiri Huroof Is Tarha Mukhtalif Hon, Wo Mujhy Dikha Den To Me 100% Aap Se Muttafiq Ho Jaun Ga....
Jis Ghazal Ka Hawala Aap Ne Dia Hai, Ye Aap Ki Ghazal Ke Mutabiq Nahi Hai....
Aap Se Iltimaas Hai Ke Meri Kisi Baat Ka Bura Na Manaiye Ga... Bas Aap boht Acha Likhtay Hain Or Mujhy Aap Ke Kuch Kalaam Boht Pasand Bhi Hain... Magr Jo Mujhy Theak Nai Lagay Ga, Wo Aik Dost Honay Ke Natay Me Zarur Kahun Ga..........

Sada Khush Rahen

Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
14th October 2011, 07:14 PM

Nawaazish shakil saahab.. behad shukriyaa aapne hamaari teergi ko door karte hue ilm ke charaagoN ki shammaoN ko zor diyaa... Ho saktaa hai main hi samajh na paaya aur ye galtee kar baithaa.. aur aapki baat se main Poori tarah se sahmat bhi hooN... shaayad meri hi naa-samjhi se maine is kalaam ko anjaam diyaa jo beshaq khaariz hai..... Aur main koshish karooNga ke aglee dafaa is tarah ki galtiyoN se bachuuN.. shukriyaa jo aap aaye.. aur meri kam-aqli ko door kiyaa... aage bhi ummeed rahegi aapka saath yuNhi banaa rahegaa...

Aur aap hargiz ye na socheN ki main kisi tarah ki bahes ko tool deta hooN.. wo ye samajh leiN mera bura waqt thaa jo aake guzar gayaa.. shaad jaisaa pahle thaa wesa aaj bhi hai, aur shaayd hamesha hi rahe.... aapki duaaoN ka Muntazir...

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
15th October 2011, 11:05 AM

Janab Sameer Shaad Saheb…!Aap Ki Zarra Nawazi Hai Ke Aap Ne Is Khaksaar Ki Raaye Ko Tawajjo Bakhshi…Or Isay Itni Ahmiyyat Di….. Is Pr Aap Ka Boht Mashkooy Hun….

Shaad Saheb….. Yahan Hum Log Agar Aik Dusray ke Kalaam Pr koi Bhi Tanqeedi Raaye Detay Hain,To Is Ka Maqsad Ye Nahi Hota Ke, Apni Bartari Jitayi Jaye Or Dusray Ko Necha Dikhaya Jaye….Yahan Hum Sab Talib-e-Ilm Hee Hai…… Hum Abhi Apnay Fun Ka Safar Tay Kr Rahay Hain….Yahan Kuch Mujhy Nahi Pata TO Kuch Aap Ko Nahi Pata…. Bs Jo Thora Boht Mere Ilm Me Ho, Wo Me Bata Deta Hun, Or Jo Aap Jantay Hain Wo Aap Mere Ilm Me Le Aatay Hain….

Sab Se Barri Baat Ye Hai Ke Me Samjhta Hun Ke " Agr Mujhy Kuch Bhi Pata Hai ToIs Me Mera Koi Kamaal Nahi Hai" Ye Sab Mere ALLAH Paak Ka Ahsaan Hai…. Mere Khyal Me Jab Kisi Hunar-Mand Me Apnay Hunar Ka Takbbur Aa Jata Hai…. To UsKe Fun Ka Zawal Shuru Ho Jata Hai……….

Shaad Saheb……..! Aap Kai Jaga Pr Meri Rahnumayi Farma Chukay Hain, Or Aap Ne Mujhy Boht Kuch Seekhnay Ka Moqa Dia Hai…Bas Main Chahta Hun Ke Ye Sath Hamesha Yunhi Bandha Rahay… Or Hum Taraqqi Ke Zeenay Tay Krtay Rahen……

ALLAK PAAK Aap Ko Sada Khush Rakhay………… Yunhi Likhtay Rahen……. Shaad Rahen…

Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
15th October 2011, 11:57 AM

Janaab shakil saahab ko shaad ka aadaab.. Badee khushnaseebi saahab jo aapne is kalaam ko is laayaq sanjhaa.. Aapki naseeheteN bahot maayne rakhtti haiN mere liye.. Aur Inshaallah agar hayaat baaki rahi to ye seekhne sikhaane ka silsilaa yuNhi qaayam rahegaa... Aate raheN aur apna khyaal rakkheN... Shukriyaa..

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Krishnasharma
Registered User
Krishnasharma is a jewel in the roughKrishnasharma is a jewel in the roughKrishnasharma is a jewel in the roughKrishnasharma is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 146
Join Date: Sep 2011
Rep Power: 16
15th October 2011, 09:03 PM

Quote:
KahaaN tak Yaad RakkheN Wo Bhalaa Hum jaise Aashiq Ko,
Ajab se Shakhs haiN Ehsaan Karke Bhool jaate haiN.

dil ko bhaa gaye yaar . . . aisa laga kisi ne dil khol ke rakh diya
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
15th October 2011, 09:39 PM

Quote:
Originally Posted by Krishnasharma View Post
dil ko bhaa gaye yaar . . . aisa laga kisi ne dil khol ke rakh diya
Bhaot bahot shukriyaa Krishna Sharma jee.. Bahot khushi hui ke aap hamaare jazbaatoN ko mahsoos kar sake... Shukriyaa bhai.. aate raheiyega...

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
*AnAmikA*
Registered User
*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light
 
*AnAmikA*'s Avatar
 
Offline
Posts: 98
Join Date: Nov 2011
Rep Power: 18
7th November 2011, 04:14 PM

mastam mast gazal shaad ji...... har sher me mast ehsas o khyaal bayaan kiye hain aapne..... aur yahan jo bhi jankari di gai wo sab padhkar bht sikhne ko mila mujhe.....
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,724
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
7th November 2011, 10:38 PM

Ufff ...bala ki nazakat hai is kalaam mein Shaad ....kya kehne ! Khayaal aur bayaan ek doosre mein ghul milkar ek aisa naazuk manzar bana gaye ki laga issey zyaada der mat dekhte raho....kahiin ghul hi n jaaye ! Bas ek saans mein padh gaya aur padhkar suroor hi a gaya. intehaayee khoobsurat !!

UOTE=sameer'shaad';431370]
Khamoshii ke AndheroN me jab Aashiq Doob Jaate haiN,
Sanam-khaane ke Kuchh Maghroor Sheeshe Toot Jaate haiN.

Sunaa thaa Ishqe-Awwal ka Madaawa Doosraa Hogaa,
KaheeN DekheN to Wo KhwaaboN me aake Rooth jaate haiN.

Tumhaari Yaad jo aaye kabhii Poonam ki RaatoN meiN,
Merii AankhoN ke Saagar Rote Rote Sookh Jaate haiN.

Kabhi JhoNke Hawaa ke Jab Tumhe Chookar Guzarte haiN,
Lage HaathoN hamaara haal bhi Wo Pooch Jaate haiN.

Lagaa MehNdee kabhi Khidkee ke Parde ko pakad JhaankeN,
Likhaa jo Naam Haathon meiN Chupaanaa Bhool Jaate haiN.

KahaaN tak Yaad RakkheN Wo Bhalaa Hum jaise Aashiq Ko,
Ajab se Shakhs haiN Ehsaan Karke Bhool jaate haiN.

Qaraar aaye agar ik ShaaM Uskii Jheel AankhoN meiN,
Kisii Suraaj ke Jaise "Shaad" tanhaa DooB Jaate haiN.

Shaad...
[/QUOTE]
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
7th November 2011, 11:23 PM

Quote:
Originally Posted by *AnAmikA* View Post
mastam mast gazal shaad ji...... har sher me mast ehsas o khyaal bayaan kiye hain aapne..... aur yahan jo bhi jankari di gai wo sab padhkar bht sikhne ko mila mujhe.....
Behad shukriyaa Anamika jee jo aapne yahaan aane ka waqt nikala aur kalaam ko pasand kiyaa... Yahaan hum sab ko kisi ke through kuch na kuch seekhne ke mauqe milte rahte haiN.. Ummeed karunga aap zyada se zyada waqt SDC ke liye nikaalengi aur apni acchi acchi koshishon se humko milwati rahengi... Take care

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
7th November 2011, 11:29 PM

ZaRraa mere Dost mere bhai... Yaar sach kahun to jab tak aapki Nazar nahi padtee hamaari koshish me to adhurapan banaa hi rahtaa hai... Aaj jaake aapki Beenaai aur tavajjoh mil sakee hai to iske Muqammal hone ka ehsaas ho rahaa hai... Aapne jis andaad se tareef kar di hai... Bandaa hawaoN me udne laggaa hai... Shukriyaa jigar... Allah tumhe khoob khush rakhe... Shaad raho aabad raho...

Shukriyaa..

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
shweta
Hmm
shweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the rough
 
shweta's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Oct 2011
Location: Delhi
Rep Power: 0
8th November 2011, 02:08 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Khamoshii ke AndheroN me jab Aashiq Doob Jaate haiN,
Sanam-khaane ke Kuchh Maghroor Sheeshe Toot Jaate haiN.

Sunaa thaa Ishqe-Awwal ka Madaawa Doosraa Hogaa,
KaheeN DekheN to Wo KhwaaboN me aake Rooth jaate haiN.

Tumhaari Yaad jo aaye kabhii Poonam ki RaatoN meiN,
Merii AankhoN ke Saagar Rote Rote Sookh Jaate haiN.

Kabhi JhoNke Hawaa ke Jab Tumhe Chookar Guzarte haiN,
Lage HaathoN hamaara haal bhi Wo Pooch Jaate haiN.

Lagaa MehNdee kabhi Khidkee ke Parde ko pakad JhaankeN,
Likhaa jo Naam Haathon meiN Chupaanaa Bhool Jaate haiN.

KahaaN tak Yaad RakkheN Wo Bhalaa Hum jaise Aashiq Ko,
Ajab se Shakhs haiN Ehsaan Karke Bhool jaate haiN.

Qaraar aaye agar ik ShaaM Uskii Jheel AankhoN meiN,
Kisii Suraaj ke Jaise "Shaad" tanhaa DooB Jaate haiN.

Shaad...

waah.. nice ...

.....
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
10th November 2011, 10:39 PM

Quote:
Originally Posted by shweta View Post
waah.. nice ...

Likhaa jo Naam Haathon meiN Chupaanaa Bhool Jaate haiN.

.....
bahot Shukriyaa Shweta jee... jo aapko ye ghazal pasand aaai aur ye Misra Khaas pasand aaya.... Thanks again.. aati rahiyega... Tc

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
silent-tears
Registered User
silent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud of
 
silent-tears's Avatar
 
Offline
Posts: 1,252
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 30
12th November 2011, 09:26 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Khamoshii ke AndheroN me jab Aashiq Doob Jaate haiN,
Sanam-khaane ke Kuchh Maghroor Sheeshe Toot Jaate haiN.

Sunaa thaa Ishqe-Awwal ka Madaawa Doosraa Hogaa,
KaheeN DekheN to Wo KhwaaboN me aake Rooth jaate haiN.

Tumhaari Yaad jo aaye kabhii Poonam ki RaatoN meiN,
Merii AankhoN ke Saagar Rote Rote Sookh Jaate haiN.

Kabhi JhoNke Hawaa ke Jab Tumhe Chookar Guzarte haiN,
Lage HaathoN hamaara haal bhi Wo Pooch Jaate haiN.

Lagaa MehNdee kabhi Khidkee ke Parde ko pakad JhaankeN,
Likhaa jo Naam Haathon meiN Chupaanaa Bhool Jaate haiN.

KahaaN tak Yaad RakkheN Wo Bhalaa Hum jaise Aashiq Ko,
Ajab se Shakhs haiN Ehsaan Karke Bhool jaate haiN.

Qaraar aaye agar ik ShaaM Uskii Jheel AankhoN meiN,
Kisii Suraaj ke Jaise "Shaad" tanhaa DooB Jaate haiN.

Shaad...
bahut umda aur khubsurat tehreer apki shaad ji.

Anil Arora

Naulekahe par tere khoon ki boond hai,
Motiyo ki jagah par jada kaun hai,
Jiski khatir daga chandini se kare,
Puch suraj ki woh dilruba kaun hai?
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
13th November 2011, 09:01 AM

Quote:
Originally Posted by silent-tears View Post
bahut umda aur khubsurat tehreer apki shaad ji.
bahot bahot shukriya anil saahab... aapki muhabbat se dil bahot khush hai.. saath banaae rakhiyegaa.....
Apna khayal rakhiyega..

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com