Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
plz is letter ko avoid mat ki jeeyega . plz respond to this letter by mailing me.thnz
Old
  (#1)
jaanlevaajnabee
Registered User
jaanlevaajnabee is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 16
Join Date: Mar 2004
Location: u.a.e
Rep Power: 0
plz is letter ko avoid mat ki jeeyega . plz respond to this letter by mailing me.thnz - 7th July 2004, 09:02 PM

dear readers ( anyone who reads this ),
hi everybody . mera naam raj hai . main 19 saal ka hoon aur dubai mein rehne wala ek hindustani hoon . usually to main sirf aaj tak aap logon ki is pyaari si site mein sirf shers padne aata tha . kyunki mujhe bhi sher aur shayari ki bahot shaokh hai . aap logon ke sher bahot achche lagte hain mujhe aaj bhi . magar aaj main is site mein aap logon ka sher padne to nahin magar aap logon se kuch kehne , kuch likhne aaya hoon . kuch aisi baatein kehne aaya hoon jo mere dil mein hai aur jise main aap logon tak pahunchane aaya hoon .aur plz is letter koi koi bhi avoid mat keejeeyega .yeh meri aap sabhi se request hai . ho sakta hai ki aap mein se kuch logon ko meri baatein buri lage jiske liye main aap logon se maafi maangta hoon magar jo main kehne jaa raha hoon woh ek fact hai jise na main aur na aap log jhutla sakte hain . yeh baatein kuch aise sawal hai jinka mere paas koi jawab nahin hai , aur jin baaton ka main jawab chahta hoon aur unhi jawabon ko dhunte huye main yahan pahuncha hoon aap logon ke paas is umeed mein ki jo main kehna chahta hoon ushe aap log samjhe aur agar sahi lage to ushe karne ki koshish karen . yeh baatein kuch aisi baatein hain jo na sirf mujhse balki sabse judi huyi hain . bas fharak itna hai ki kuch log is baare mein sochte hain aur apne apni kismat samjhkar apne aap ko koste hain aur kuch log un baaton ko samjhna hi nahin chahte hain . magar main isi baat ko uthana chahta hoon kyunki main jaanna chahta hoon ki aakhir yeh hota hi kyun hai . aur hota hai to hota hai humari hi wajah se aur agar hum chahe to aisa hone se rok sakte hain . to phir aakhir hum aisa hone hi kyun dete hain ? aisa nahin ki main famous hona chahta hoon yeh sab likh kar par in sawal se ladne wala ek main hi nahin hoon . bahot log hain is ladaai mein jo is ladaai ko chupkar lad rahe hain magar main ab is ladaai ko apni tarah se open kar raha hoon . kahin aisa na ho ki ladte ladte agar main harne lagoon to aisa lage ki ek main hi hoon jo is ladaai se haar gaya . aur is ladaai mein mujhe aap logon ka saath chahiye . bas ab main aap logon ko suspense mein nahin rakhoonga .
baat yeh hai ki hum sab aur especially hum indians har cheez mein aage nikal rahe hain . har kadam par indian ladkon aur ladkiyon mein stiff competition hai . aaj kal agar sach dekha jaaye to ladkiyan kisi bhi mod par ladkon se peeche nahin hai . haan nagar ek cheez mein peeche hain zaroor . aur woh hai pyaar ka wada nibhane mein . main jaanta hoon ki yahan jitne bhi log aate hain un mein se bahot saare log pyaar mein wishwas karte hain aur is liye mujhe yeh baat kehne mein aashaani hogi kyunki maine pehle kabhi kisi site mein kuch na likha . yeh kuch pehli baar likh raha hoon aur yeh sochkar ki aisa koi to hoga jo ise padega aur mujhe kahega ki raj may be u r not wrong . anyways main ladkiyon ke baare mein kuch keh raha tha . actually meri ladkiyon se koi dushmani nahin hai . kyunki meri life mein meri do best friends aur koi nahin balki do ladkiyan hi hain . but mujhe yeh nahin samjh mein aata ki aakhiri aisa hai jo ladkiyon ko humse alag karta hai . dekho doston , main maanta hoon ki agar aap kahege ki maa baap ke kehne se aankhein band karke shaadi kare , pyaar kare , to aap log bilcul bhi galat nahin hain . magar agar humare maa baap humari khushi chahte hain to kabhi aisa kyun hota hai ki maa baap humari khushi nahin dekhte ? ab yeh hi bataiye mujhe ki agar hum kisi se pyaar karte hain aur woh humare laayak ho har cheez mein to phir maa baap ko kya aietraaz hota hai aur kyun hota hai ? agar woh dekhte hain ki ladka ya ladki perfect hai to caste , religion ka reason nikaal kar humari khushiyon ko taala laga dete hain . aur aksar dekha gaya hai ki agar ladka aur ladki agar apni baat manwaane par aa jaayen to unki baat zyada din tal bhi nahin sakti hai . magar yeh bhi ek sach hai ki agar aaj ke zamane mein bhi agar ladka ek ladki ke liye sab kuch karne ko tyaar ho jaaye yahan tak ki bas us ladki ko apna lakshya bana kar chalne lage to problem ladki ki taraf se aati hai . ladkiyan pehle to pure himmat ke saath apne pyaar ko nibhane ka wada karti hai magar baad mein wohi peeche hat jaati hain , ladke ko bilcul akela aur besahara chod kar . main punchta hoon aap sab se ki kya yeh sahi hai ? aap ki apni zindagi aap logon ko jeeni hai , ya aapke maa baap ya kisi aur ko ? apne kadam peeche lene ke samay aap sirf apne maa baap ke baare mein hi kyun sochte ho ? kyun nahin yeh sochte ki jisse aap pyaar karte ho woh apne aage peeche ke sab logon se naata todte huye aapke paas aane ki koshish mein hai jiska safal hona ya naa hona aapke haath mein hai ? aakhir sacha pyaar karna hi kya itna bada gunnah hai ki uski nakamayaabi hi uska anjaam hai ? agar aap maa baap ki haisiyat se is baat ko pad rahe hain to main aap logon se punchta hoon ki aakhir aap logon ke maan mein kya hai ? ek taraf aap kehte hain ki hum apne bachon se bahot pyaar karte hain aur dusri taraf aap apni hi bachon ki khushiyon ko aag lagate hain jab woh yeh keh de ki woh kisi se pyaar karte hain ? kyun unhi bachon ki marzi punche bina unka rishta teh kar diya jaata hai ? aur iske baad agar woh marna chahte hain , marne ki koshish karte hain ya phir ghar chodkar bhaag jaate hain to iska zimedaar kaun hai ? agar aap kahe ki hum nahin bache galat hain to phir main is baat ko nahin maanta . are jab hume khud ki zindagi khud hi ko jeeni hai to phir hum ise ghut ghut kar kyun jeeyen ? aakhir jab pyaar karte ho tab hi kyun nahin dil mein than lete ho aap log ki ab hum hamesha apne pyaar ko nibhayenge aur kabhi bhi us pyaar ka saath naa chodenge ? kyun apne hi maa baap se darr kar aisa galat faisala karte ho jisse aap honestly speaking 3 zindagiyan barbaad karte ho ? ek apni , dusri apne pyaar ki , aur teesre us insaan ki jo tumhari zindagi mein sirf is liye aaya hai mein tumhare maa baap ki wajah se? kyun ladka hi sab kuch karta hai hamesha aur ladkiyan peeche reh jaati hain is maamle mein ? main inhi baaton ka jawab dhund raha hoon jiska jawab aur koi nahin sirf aap log hi mujhe de sakte hain . mujhe sach much aap logon ke jawab aur responses ka intezaar rahega . kyunki aakhir main bhi jaana chahta hoon ki sab kaisa sochte hain . apne responses plz mujhe mere email par bhejiyega . mera email address hai : jaanleva_ajnabee@hotmail.com . plz apne responses mujhe zaroor bhejiyega . main aapke responses ke milne ke baad hi aage kuch aur likhunga . till then bye everybody . and take care.
waiting for ur responses....
raj
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
nilofer17
pyaar paane ko tarsu
nilofer17 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2004
Location: khayaalo me rehti hu,fizaao me jeeti hu
Rep Power: 20
hi - 12th July 2004, 02:29 PM

hi i am nilofer
ek kaam karo uncle raj yahoo mess pe aao mera id hai khushi_sameer2003@yahoo.com
yaha aapko saare sawaalo ke jawaab mil jaayenge
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
plz is letter ko avoid mat ki jeeyega . plz respond to this letter by mailing me.thnz jaanlevaajnabee Shayri-e-Sharaab 7 27th April 2010 12:21 PM
plz is letter ko avoid mat ki jeeyega . plz respond to this letter by mailing me.thnz jaanlevaajnabee Shayri-e-Ishq 6 17th October 2005 04:08 PM
plz is letter ko avoid mat ki jeeyega . plz respond to this letter by mailing me.thnz jaanlevaajnabee Shayri-e-Dard 0 7th July 2004 08:58 PM
plz is letter ko avoid mat ki jeeyega . plz respond to this letter by mailing me.thnz jaanlevaajnabee Quotable Quotes 0 7th July 2004 12:07 AM
plz is letter ko avoid mat ki jeeyega . plz respond to this letter by mailing me.thnz jaanlevaajnabee Humourous Shayri 0 6th July 2004 11:41 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com