Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Nigaahon se teri kahan baat hogi
Old
  (#1)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
Love Nigaahon se teri kahan baat hogi - 3rd August 2010, 12:25 PM

Haazreen-e-Mehfil ! Adab !

Main pahli baar aaplogoN ki mehfil meiN shareek hone ka sharaf haasil kar raha hooN apni mundarja-zail tukbandiyon k saath jo k Mohtarma Zaini Saheba ki zameen par mabni hai. Mohtarma Zaini Sahiba ki sehr-angez ghazal paRhkar main apne aapko nahiN rok paaya aur majboor ho gaya inki zameen par kuchh kahne k liye. Main apni koshish meiN kahaN tak kaamiyaab hua ye to maiN nahiN kah sakta baharhaat is haqeer see koshish ko aap sabhi ke pesh-e-nazar rakh raha hooN:

Khuda jaane phir kab mulaaqaat hogi
NigaahoN se teri kahaN baat hogi

Mere saamne hai muhabbat ki raani
YahaN ishq ki ab to barsaat hogi

LaboN se hamaari KhataayeN na hoNgi
Faqat aaNkhoN aaNkhoN se har baat hogi

Sajaaya hai phooloN ko jooRe meiN us ne
Sitam Dhaane ki sab karaamaat hogi

Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogi

Chamak meri yaadoN ko tu saath le ja
BaRi door tak raat hi raat hogi

Saja kar chale haiN hatheli pe suraj
AndheroN se aage mulaaqaat hogi

Ye mat poochhiye hum faqeeroN se WAQUIF
KahaN din guzaara kahaN raat hogi

(Waquif Ansari)

ख़ुदा जाने फिर कब मुलाक़ात होगी
निगाहों से तेरी कहां बात होगी

मिरे सामने है मुहब्ब्त कि रानी
यहां इश्क़ की अब तो बर्सात होगी

लबों से हमारी ख़तायें न होंगी
फ़क़त आंखों आंखों में हर बात होगी

सजाया है फूलों को जूड़्रे में उस ने
सितम ढाने की सब करामात होगी

जब उस से मिलुंगा गुले-तर को ले कर
हसीं वो मुहब्बत की सौग़ात होगी

तुम अपनी सुनाओ हम अपनी सुनायें
ग़ज़ल से ही अब तो हर इक बात होगी

चमक मेरी यादों की तू साथ ले जा
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

सजा कर चले हैं हथेली पे सूरज
अंधेरों से आगे मुलाक़ात होगी

ये मत पूछीये हम फ़क़ीरों से "वाक़िफ़"
कहां दिन गुज़ारा कहां रात होगी

(वाक़िफ़ अन्सारी)

Last edited by WAQUIF ANSARI; 3rd August 2010 at 12:33 PM..
   
Reply With Quote
Warm welcome
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Smile Warm welcome - 3rd August 2010, 12:46 PM

WAQUIF ANSARI jii namaskaar,
sabse pahle to aapka SDC par suwagat hai, aapne to badi jabardast entry maari hai, aapki poetry hume behad acchi lagi, umeed hai aage bhi aapko padne ka mokka milta rahega.

god bless u

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#3)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
3rd August 2010, 12:54 PM

Ms Sunita Saheba! Adab !
Itni jaldi aapne apni khoobsurat tehreeroN se response diya, ye dekhkar dili khushi haasil hui. Aapne is ghazal ko saraha, ye meri khushnasibi hai. Main ummeed karta hooN k isi tarah aap apni nawaazisoN se nawaazti raheNgi.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
WAQUIF ANSARI jii namaskaar,
sabse pahle to aapka SDC par suwagat hai, aapne to badi jabardast entry maari hai, aapki poetry hume behad acchi lagi, umeed hai aage bhi aapko padne ka mokka milta rahega.

god bless u
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 3rd August 2010, 01:21 PM

Quote:
Originally Posted by WAQUIF ANSARI View Post
Haazreen-e-Mehfil ! Adab !

Main pahli baar aaplogoN ki mehfil meiN shareek hone ka sharaf haasil kar raha hooN apni mundarja-zail tukbandiyon k saath jo k Mohtarma Zaini Saheba ki zameen par mabni hai. Mohtarma Zaini Sahiba ki sehr-angez ghazal paRhkar main apne aapko nahiN rok paaya aur majboor ho gaya inki zameen par kuchh kahne k liye. Main apni koshish meiN kahaN tak kaamiyaab hua ye to maiN nahiN kah sakta baharhaat is haqeer see koshish ko aap sabhi ke pesh-e-nazar rakh raha hooN:

Khuda jaane phir kab mulaaqaat hogi
NigaahoN se teri kahaN baat hogi

Mere saamne hai muhabbat ki raani
YahaN ishq ki ab to barsaat hogi

LaboN se hamaari KhataayeN na hoNgi
Faqat aaNkhoN aaNkhoN se har baat hogi

Sajaaya hai phooloN ko jooRe meiN us ne
Sitam Dhaane ki sab karaamaat hogi

Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogi

Chamak meri yaadoN ko tu saath le ja
BaRi door tak raat hi raat hogi

Saja kar chale haiN hatheli pe suraj
AndheroN se aage mulaaqaat hogi

Ye mat poochhiye hum faqeeroN se WAQUIF
KahaN din guzaara kahaN raat hogi

(Waquif Ansari)

ख़ुदा जाने फिर कब मुलाक़ात होगी
निगाहों से तेरी कहां बात होगी

मिरे सामने है मुहब्ब्त कि रानी
यहां इश्क़ की अब तो बर्सात होगी

लबों से हमारी ख़तायें न होंगी
फ़क़त आंखों आंखों में हर बात होगी

सजाया है फूलों को जूड़्रे में उस ने
सितम ढाने की सब करामात होगी

जब उस से मिलुंगा गुले-तर को ले कर
हसीं वो मुहब्बत की सौग़ात होगी

तुम अपनी सुनाओ हम अपनी सुनायें
ग़ज़ल से ही अब तो हर इक बात होगी

चमक मेरी यादों की तू साथ ले जा
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

सजा कर चले हैं हथेली पे सूरज
अंधेरों से आगे मुलाक़ात होगी

ये मत पूछीये हम फ़क़ीरों से "वाक़िफ़"
कहां दिन गुज़ारा कहां रात होगी

(वाक़िफ़ अन्सारी)

ansaari bhai
radhe radhe

bahut khoob bhai bahut sundar kalaam ke saath apne entry ki hai sdc me aapka tahe dil se swagat hai
likhte rahen aur hame aise khoobsurat kalaam padne ko milte rahen
duaon ke saath

Aapka Apna
Ishk

'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है

email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
3rd August 2010, 01:35 PM

Janab Ishq Ek Ibadat! Adab !
Aapki muhabbatoN ka bahut bahut shukriya janab. Aap ne jis tarah se swagat kiya aur apni dili ehsaasaat se nawaza, iske liye aapka aik baar phir shukriya ada karta hoon.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
ansaari bhai
radhe radhe

bahut khoob bhai bahut sundar kalaam ke saath apne entry ki hai sdc me aapka tahe dil se swagat hai
likhte rahen aur hame aise khoobsurat kalaam padne ko milte rahen
duaon ke saath
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
3rd August 2010, 01:50 PM

Quote:
Originally Posted by WAQUIF ANSARI View Post
Haazreen-e-Mehfil ! Adab !

Main pahli baar aaplogoN ki mehfil meiN shareek hone ka sharaf haasil kar raha hooN apni mundarja-zail tukbandiyon k saath jo k Mohtarma Zaini Saheba ki zameen par mabni hai. Mohtarma Zaini Sahiba ki sehr-angez ghazal paRhkar main apne aapko nahiN rok paaya aur majboor ho gaya inki zameen par kuchh kahne k liye. Main apni koshish meiN kahaN tak kaamiyaab hua ye to maiN nahiN kah sakta baharhaat is haqeer see koshish ko aap sabhi ke pesh-e-nazar rakh raha hooN:

Khuda jaane phir kab mulaaqaat hogi
NigaahoN se teri kahaN baat hogi

Mere saamne hai muhabbat ki raani
YahaN ishq ki ab to barsaat hogi

LaboN se hamaari KhataayeN na hoNgi
Faqat aaNkhoN aaNkhoN se har baat hogi

Sajaaya hai phooloN ko jooRe meiN us ne
Sitam Dhaane ki sab karaamaat hogi

Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogi

Chamak meri yaadoN ko tu saath le ja
BaRi door tak raat hi raat hogi

Saja kar chale haiN hatheli pe suraj
AndheroN se aage mulaaqaat hogi

Ye mat poochhiye hum faqeeroN se WAQUIF
KahaN din guzaara kahaN raat hogi

(Waquif Ansari)

ख़ुदा जाने फिर कब मुलाक़ात होगी
निगाहों से तेरी कहां बात होगी

मिरे सामने है मुहब्ब्त कि रानी
यहां इश्क़ की अब तो बर्सात होगी

लबों से हमारी ख़तायें न होंगी
फ़क़त आंखों आंखों में हर बात होगी

सजाया है फूलों को जूड़्रे में उस ने
सितम ढाने की सब करामात होगी

जब उस से मिलुंगा गुले-तर को ले कर
हसीं वो मुहब्बत की सौग़ात होगी

तुम अपनी सुनाओ हम अपनी सुनायें
ग़ज़ल से ही अब तो हर इक बात होगी

चमक मेरी यादों की तू साथ ले जा
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

सजा कर चले हैं हथेली पे सूरज
अंधेरों से आगे मुलाक़ात होगी

ये मत पूछीये हम फ़क़ीरों से "वाक़िफ़"
कहां दिन गुज़ारा कहां रात होगी

(वाक़िफ़ अन्सारी)
acha likha hai bhayee wakif
welcome here

bas thodi zameen bahut se kalaamo se mel kha rahi hai
to thoda maza nahi aayaa

halanki aapki isme koe galti nahi
magar ye nuksaan aapko hi uthana padega
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#7)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
3rd August 2010, 02:30 PM

Janab janumanu ji! Adab!
Aapki nawaazisoN ka shukriya janab. Bhai mujhe pata to chale k mera misra kin kin kalaamoN se ja takraaya, diction bhi takraaya to kaise takraaya. Aik misra takra jaaye ya aik sher takra jaaye, ye to ho sakta hai lekin agar poori ghazal takra jaaye ye nahiN ho sakta. Agar aap nishaandahi kar deN to mehrbaani hogi.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by janumanu View Post
acha likha hai bhayee wakif
welcome here

bas thodi zameen bahut se kalaamo se mel kha rahi hai
to thoda maza nahi aayaa

halanki aapki isme koe galti nahi
magar ye nuksaan aapko hi uthana padega
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
3rd August 2010, 03:07 PM

Quote:
Originally Posted by WAQUIF ANSARI View Post
Janab janumanu ji! Adab!
Aapki nawaazisoN ka shukriya janab. Bhai mujhe pata to chale k mera misra kin kin kalaamoN se ja takraaya, diction bhi takraaya to kaise takraaya. Aik misra takra jaaye ya aik sher takra jaaye, ye to ho sakta hai lekin agar poori ghazal takra jaaye ye nahiN ho sakta. Agar aap nishaandahi kar deN to mehrbaani hogi.

(Waquif Ansari)
maine ye nahi kha hai ki same to same hai, ya fir copy hai, haan zameen milti julti hia jisse padhne mai kam maza aaya,
jab bhi do cheezen padhte hia to chahe anchahe comparison kar lete hia hum, aur isi ka nuksaan aapko uthana pada meri nazar maiN
--

ek misraa janaab bashir badr ki gahzal se mel khata hai
lekin isme koe harz nahi hai ...

haan mera kahna ye hai ki , badr sahab ki gahzal yaad aa gayee padhte padhte, aur dhyaan unki gahzal pe chala gaya
ye meri galti hai
lekin iska nuksaan aksar writer ko uthana padta hai

mera aur koe matlab nahi tha kahne ka

baaki ke liye mazarrat

bashir badr shahab ki gahzal post kar raha hun

इन आंखों से दिन रात बरसात होगी
अगर जिंदगी सर्फ़-ए-जज़्बात होगी

मुसाफिर हो तुम भी, मुसाफिर हैं हम भी
किसी मोड़ पर फिर मुलाक़ात होगी

सदाओं को अल्फाज़ मिलने न पायें
न बादल घिरेंगे न बरसात होगी

चिरागों को आंखों में महफूज़ रखना
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

अज़ल-ता-अब्द तक सफर ही सफर है
कहीं सुबह होगी कहीं रात होगी
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#9)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
3rd August 2010, 03:38 PM

Mohtaram Janab Janumanu Saheb!

Aap ka bahut bahut shukriya jo aapne Janab Bashir Badr Saheb ki ghazal ko yahan post karne ki zahmat gawaar ki. Aur is se ye pata chala k aik misra takra gaya hai aur ise aapne koi harz nahiN jaana hai. Jaisa k main pahle arz kar chuka hooN k ye ghazal main ne Mohtarma Zainy Saheba ki ghazal paRhne ke baad kahi hai. Ye mera tareeqa hua karta hai k jab mujhe koi ghazal bahut achchhi lagti hai to main Saaheb-e-Ghazal ki zameen meiN hi unhen mubaarakbaad diya karta hooN. Aap Zainy Saheba ki ghazal meiN jaakar dekheN k wahaN is khaaksaar ne filbadeeh chaar sher kahe aur Mohtarma Zainy Saheba ki ghazal ki shaan meiN post kar diye aur phir aisa hua k unke ashaaroN ne sone na diya, aur ye tooti phooti ghazal ho gayee. Main aapka aik baar phir shukriya ada karna chaahta hooN k aapne nishaandahi ki jis se aik shaayir ko apni kaawish ki haisiyat ka andaazah hua. Main to ye chaahunga k aap isi tarah aage bhi nishaandehi farmaate raheNge jis ke liye ye naacheez aapka mamnoon-o-mashkoor rahega.

  (#10)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
3rd August 2010, 04:02 PM

Quote:
Originally Posted by WAQUIF ANSARI View Post
Mohtaram Janab Janumanu Saheb!

Aap ka bahut bahut shukriya jo aapne Janab Bashir Badr Saheb ki ghazal ko yahan post karne ki zahmat gawaar ki. Aur is se ye pata chala k aik misra takra gaya hai aur ise aapne koi harz nahiN jaana hai. Jaisa k main pahle arz kar chuka hooN k ye ghazal main ne Mohtarma Zainy Saheba ki ghazal paRhne ke baad kahi hai. Ye mera tareeqa hua karta hai k jab mujhe koi ghazal bahut achchhi lagti hai to main Saaheb-e-Ghazal ki zameen meiN hi unhen mubaarakbaad diya karta hooN. Aap Zainy Saheba ki ghazal meiN jaakar dekheN k wahaN is khaaksaar ne filbadeeh chaar sher kahe aur Mohtarma Zainy Saheba ki ghazal ki shaan meiN post kar diye aur phir aisa hua k unke ashaaroN ne sone na diya, aur ye tooti phooti ghazal ho gayee. Main aapka aik baar phir shukriya ada karna chaahta hooN k aapne nishaandahi ki jis se aik shaayir ko apni kaawish ki haisiyat ka andaazah hua. Main to ye chaahunga k aap isi tarah aage bhi nishaandehi farmaate raheNge jis ke liye ye naacheez aapka mamnoon-o-mashkoor rahega.

(Waquif Ansari)

aapne bahut achi gahzal kahi hai isme koe shq nahi hai
fir ye wazn mai hai rawanagi hai
jo mere bas ki baat nahi

lekin ye mai ek writer hone ki hasiyat se kah raha hun

haan wo comment ek reader hone ki hasiyat se diye they
padhne wala bas padhta hai sunta hai
aur rai de deta hai
bas wais ahi maine kiyaa
umeed hai aap naraaj nahi honge

aur aap nacheez nahi hia, ye to koe bhi is gahzal ko padh ke kah dega

plzz keep writing and posting here

Last edited by janumanu; 3rd August 2010 at 04:03 PM.. Reason: spell mistake
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#11)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
3rd August 2010, 05:01 PM

Mohtaram Janab Janumanu Saheb!

Is meiN naaraaz hone ki koi baat nahiN hai. Aik fitri shaayir naqqaadi aur naqqaadoN ko welcome karta hai aur is se ye faaidah hota hai k shaayir ke ashaaroN meiN agar koi kami-beshi ya arooz-o-balaaqhat meiN koi kotaahi hoti hai to ye door ho jaaya karti hai. Critisim bhi baa-e-ce rahmat hua karti hai. Agar koi kotaahi point out kar raha hai to uska swagat kiya jaana chaahiye chaahe wo wazn ki baat ho ya zabaan-o-bayaan ki baat ho. Shayari ke ramooz-o-nukaat meiN sab se pahla muqaam sher ka bahr meiN hona hai. Agar sher bahr meiN nahiN hai to phir use sher nahiN kahenge. Shayari sirf kaafia paimaayee ka naam bhi nahiN hai. Aakhir ke lafzoN meiN kaafiya mila dena bhi shayari nahiN hai, jaisa k umooman dekha jata hai aur shayari sirf purkashish lafzoN ko piro dena ka naam bhi nahiN hai, agar aisa hai to use sher na kah kar nasr kahenge. Main aapse bilkul bhi naaraaz nahiN hooN balki main aapka ehsaanmand hooN k kam se kam koi to hai jis ne nishaandehi ki aur ye buri baat bhi nahiN hai. Aapka aikbaar phir shukriya ada karta hooN.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by janumanu View Post
aapne bahut achi gahzal kahi hai isme koe shq nahi hai
fir ye wazn mai hai rawanagi hai
jo mere bas ki baat nahi

lekin ye mai ek writer hone ki hasiyat se kah raha hun

haan wo comment ek reader hone ki hasiyat se diye they
padhne wala bas padhta hai sunta hai
aur rai de deta hai
bas wais ahi maine kiyaa
umeed hai aap naraaj nahi honge

aur aap nacheez nahi hia, ye to koe bhi is gahzal ko padh ke kah dega

plzz keep writing and posting here

Last edited by WAQUIF ANSARI; 3rd August 2010 at 05:05 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
3rd August 2010, 05:47 PM

Ansaari Sahab ... Aadaab ! sabse pehle aapka SDC parivaar me bahut bahut swaagat hai....aapki pehli peshkash bahut dilkash lagi mujhe....aapki ghazal ki bayaani...adaayegi ....aur ehsaasoN ne waaqai Bashir Badr sahab ki ghazal ki yaad taaza kar di....jiska jikR vikas bhaai ne bhi kiya....aur unki baaton ko samjhte hue ...jis sehajtaa se aapne liya.....woh ek badhe shayar hone ka sanket deti hai....mujhe aapke jawaaboN ne bahut prabhaavit kiya....

aapki umdaa peshkash par
dil se daad hazir hai....khush rahen...

apna theek se khayal rakhen...
duaaon ke saath....

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#13)
parveen komal
devil ! forgive me
parveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to behold
 
parveen komal's Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Jul 2010
Location: MUMBAI PATIALA
Rep Power: 23
3rd August 2010, 06:08 PM

LaboN se hamaari KhataayeN na hoNgi
Faqat aaNkhoN aaNkhoN se har baat hogi

Sajaaya hai phooloN ko jooRe meiN us ne
Sitam Dhaane ki sab karaamaat hogi

Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogiLaboN se hamaari KhataayeN na hoNgi
Faqat aaNkhoN aaNkhoN se har baat hogi

Sajaaya hai phooloN ko jooRe meiN us ne
Sitam Dhaane ki sab karaamaat hogi

Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogi

vaah ansari saheb vaah ....kamaal ke ashaar hain......isi tarah likhte rahie..khush rahie

07666027379,09041116001,09876442643,
09417142513,09914097007,09625494246
Mail: parveenkomal@parveenkomal.com
www.parveenkomal.com/blog
{ BURA NA SUNENGE BURA NA DEKHENGE BURA NA BOLENGE
ACHHA LIKHENGE,KOI BURA KAHEGA TO KHUD KO TATOLENGE }

Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de
}QadeerToopchi{
  Send a message via Yahoo to parveen komal Send a message via MSN to parveen komal Send a message via Skype™ to parveen komal 
Reply With Quote
Old
  (#14)
shayari
Registered User
shayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the roughshayari is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 272
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 17
3rd August 2010, 07:33 PM

ansari sahab bhot bhot swagaat hai aapka sdc parivaar main or aapki gazal bhi behad khubsurat hai

pawan(shayari)
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
4th August 2010, 04:10 PM

Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogi

Welcome to SDC Ansari sahab

Bohat khoobsurat ghazal likhi hai aapne....yeh do ashar bohat achhe lage mujhe.......

Is nacheez ki ghazal ko itni ahmiyat dene aur izzaat bakhshne ke liye tah-e-dil se shukriyah..

Ummiid hai aapki aur se aur bhi khoobsurat ghazaleiN padhne ko milengi..

Yuhi likhte rahiye aur mehfil ko raushan karte rahiye..

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#16)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
5th August 2010, 01:39 AM

Mahutram Waqif Ansari sahab aadab o tasleemat..

Subse pahele to bazm me apko khushamadid kahonga fir ye kahonga ke apke liye ye koi naa'i baath nahi ke jis zameen ko cho len usse nayab kar dete ho .. Na jaane hum jaise kitne hi nau amoz apki mayari taqleeqo.N se mustafeed hote rahe hain aur inshallah mustaqbil me bhi hote rahenge ..Ab tareef karna suraj ko diye dikhane wali baath hogi .. Bazm ko apni maujodgi ka ahesas dilate rahe.N aur iski tajjaliyat me mazeed izafa karte rahen ..

Hazara'h dad hazir hain apki is pur lutf o murassa ghazal pe .. Allah apko aur bhi taraqiyun se nawaze...

dua go

qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
9th August 2010, 02:00 PM

Janab Naresh Mehra Saheb! Adab!

Aapke swagat aur khushaamdeed ka shukriya aur saath hi saath ghazal ki paziraayee ka bhi shukriya. Jaisa k aapne likhe hai ke is ghazal ko paRhne ke baad aapko Bashir Badr Saheb ki ghazal ki yaad taaza ho gayee jiska jikr vikas bhaai ne bhi kiya hai. Dr. Bashir Badr Saheb ki ghazal ki yaad taaza to Mohtarma Zainy Saheba ki ghazal parhne ke baad honi chaahiye, ye mundarja-bala alqaabaat sab se pahle Mohtarma Zainy Saheba ko pesh karen, ain-nawaazish hogi, bande ne to sirf Mohtarma Zainy Saheba ko paRhkar hi unki pairwee meiN ye tooti phooti ghazal kah daali hai. Is liye is ghazal ki asal rooh-e-rawaN to Mohtarma Zainy Saheba hi haiN.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Ansaari Sahab ... Aadaab ! sabse pehle aapka SDC parivaar me bahut bahut swaagat hai....aapki pehli peshkash bahut dilkash lagi mujhe....aapki ghazal ki bayaani...adaayegi ....aur ehsaasoN ne waaqai Bashir Badr sahab ki ghazal ki yaad taaza kar di....jiska jikR vikas bhaai ne bhi kiya....aur unki baaton ko samjhte hue ...jis sehajtaa se aapne liya.....woh ek badhe shayar hone ka sanket deti hai....mujhe aapke jawaaboN ne bahut prabhaavit kiya....

aapki umdaa peshkash par
dil se daad hazir hai....khush rahen...

apna theek se khayal rakhen...
duaaon ke saath....
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
9th August 2010, 02:04 PM

Dear Parveen Komal Ji! Adab !

Aap ne jis khoobsurti ke saath ghazal ki taareef ki hai, in ehsaas-o-jazbaat ki maiN qadr karta hooN aur aapki taareef ka shukriya ada karna apna farz samajhta hooN. Thank you once again.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by parveen komal View Post
LaboN se hamaari KhataayeN na hoNgi
Faqat aaNkhoN aaNkhoN se har baat hogi

Sajaaya hai phooloN ko jooRe meiN us ne
Sitam Dhaane ki sab karaamaat hogi

Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogiLaboN se hamaari KhataayeN na hoNgi
Faqat aaNkhoN aaNkhoN se har baat hogi

Sajaaya hai phooloN ko jooRe meiN us ne
Sitam Dhaane ki sab karaamaat hogi

Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogi

vaah ansari saheb vaah ....kamaal ke ashaar hain......isi tarah likhte rahie..khush rahie
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
9th August 2010, 02:07 PM

Janab Shayari (Pawan) Ji! Adab!
Aapki swagat ka aur ghazal ki paziraayee donon ka dil ki gahraaiyon se shukrguzaar hooN.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by shayari View Post
ansari sahab bhot bhot swagaat hai aapka sdc parivaar main or aapki gazal bhi behad khubsurat hai

pawan(shayari)
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
Love 18th August 2010, 09:48 PM

aadaaB ansari saheb...!

khushaamdeed...aaj nazar padi aapke qalaam par, dekhte hi rooh khush ho gayee...aapko yahaN dekh kar bahut khushi hui...sach kahuN to bahut kuchh kehna chaahta hooN, lekin maare khushi ke alfaaz saath chhod gaye...aur aapki ghazal pe ye khaaksaar kya daad dega, jaise suraj se is jag meiN noor hai...vo kisi ki daad ka mohtaj nahi waise hi aapki ghazal kisi tareef ki mohtaj nahi...

bahut khushi hui aapko yahaN dekh...

ijaazat chahuNga..

duago,
vikram "masttt..."

'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....

vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#21)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
24th August 2010, 05:03 PM

Mohtarma Zainy Saheba! Adab!

Taakheer k liye maazrat chaahta hooN. Aap ki ghazal hi kuchh aisi sahrangez hai k ise paRhne ke baad main khud ko nahiN rok paaya aur ye tooti phooti ghazal ho gayee jis ka aik misra laashawoori taur par takra gaya jis ki nishaandehi Mr Janumanu ne apne andaaz se ki. Aapki khushaamdeed ka aur jaisi bhi ye ghazal hai us pe aapne jo tabsera kiya hai uske liye main aapka mashkoor hooN. Main aik baar phir ye kahna chaahta hooN k aap hi is ghazal ki rooh-e-rawaaN haiN, agar aapne is zameen par ghazal na kahi hoti to shaayed khaaksaar bhi na kah paata. Aapki sukhanwari ka tahe-dil se shukriya ada karta hooN.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Jab us se miluNga gule-tar ko lekar
HaseeN wo muhabbat ki saughaat hogi

Tum apni sunaao, hum apni sunaayeN
Ghazal se hi ab to har ik baat hogi

Welcome to SDC Ansari sahab

Bohat khoobsurat ghazal likhi hai aapne....yeh do ashar bohat achhe lage mujhe.......

Is nacheez ki ghazal ko itni ahmiyat dene aur izzaat bakhshne ke liye tah-e-dil se shukriyah..

Ummiid hai aapki aur se aur bhi khoobsurat ghazaleiN padhne ko milengi..

Yuhi likhte rahiye aur mehfil ko raushan karte rahiye..
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Radhika_2
RooH Se RooH Tak
Radhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Radhika_2's Avatar
 
Offline
Posts: 1,247
Join Date: Feb 2010
Location: Delhi
Rep Power: 53
25th August 2010, 11:24 AM

तुम अपनी सुनाओ हम अपनी सुनायें
ग़ज़ल से ही अब तो हर इक बात होगी

चमक मेरी यादों की तू साथ ले जा
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

सजा कर चले हैं हथेली पे सूरज
अंधेरों से आगे मुलाक़ात होगी

ये मत पूछीये हम फ़क़ीरों से "वाक़िफ़"
कहां दिन गुज़ारा कहां रात होगी

ji bhaut sunder ehsaas pesh kiye hai aapne..................

Radhika

Seene Me Zakham Utarey Chale Gaye
Jo Humpe Guzari Guzarey Chale Gaye

Woh Aayega Ek Din Milne Humse
Naam Uska Hi Pukarey Chale Gaye

E-mail : radhika.nm2@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
3rd September 2010, 08:49 PM

Mohtaram Janab Qadeertoopchi Sahib! Salaam-o-Rahmat!

Taakheer k liye maazrat chaahta hooN. Aajkal Ramzaan ki wajh se kaafi masroofiyat hai. Aapne jis andaaz-o-bayaan se khushaamdeed kaha aur khaaksaar ki qadrdaani ki uske liye bandah aapka mamnoon hai. Shayri mein meri kya bisaat, ye sab Allah ka karam hai aur aap jaise qadrdaanon aur paarkhiyon ki hausla-afzaayee hai k kisi tarah kuchh kah lete hain. Mujh se agar kisi ko kuchh faaedah ho jaaye to is se baRh kar mere liye khushnaseebi ki baat aur kya hogi. Jab bhi waqt milega mujhe aap is anjuman mein apne beech paayenge. Main aapki daad-o-tehseen ke liye shukrguzaar hooN aur mujhe yaqeen hai k aap mustaqbil mein bhi apni nawaazishon se nawaazte rahenge.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
Mahutram Waqif Ansari sahab aadab o tasleemat..

Subse pahele to bazm me apko khushamadid kahonga fir ye kahonga ke apke liye ye koi naa'i baath nahi ke jis zameen ko cho len usse nayab kar dete ho .. Na jaane hum jaise kitne hi nau amoz apki mayari taqleeqo.N se mustafeed hote rahe hain aur inshallah mustaqbil me bhi hote rahenge ..Ab tareef karna suraj ko diye dikhane wali baath hogi .. Bazm ko apni maujodgi ka ahesas dilate rahe.N aur iski tajjaliyat me mazeed izafa karte rahen ..

Hazara'h dad hazir hain apki is pur lutf o murassa ghazal pe .. Allah apko aur bhi taraqiyun se nawaze...
dua go

qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
4th September 2010, 01:30 AM

Waqif Sahaab Aadaab O tasleemat

Aapko yahaaN is bazm meiN dekhkar be intehaaN masarrat ho rahi hai....
Aapke yahaaN aane se SDC meiN aur bhi ronak aa jayengi........

Takeer ke liye mazharrat janab...... Aapki gazal per nigaaH hi nahi gayi aur yahaaN aana bhi kam sa ho gaya hai..... bahut umdaa gazal pesh ki hai aapne aur woh bhi instanatly kamaal hai..... Bahut khoob sabhi sher achche rahe..... Daad janab.....

Likhate rahiye, bazm meiN aate rahiye........
khush rahiye.......
Khuda Hafez........

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#25)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
4th September 2010, 02:28 AM

Kya kahe Waquif saheb jis khoobsurti se aapne lafzo ko motiyo ki tarah piroya hai woh apne aap me ek kamaal hai.............yu to har sher mohabbat ki chashni me dooba hua laga par is sher ne to ek gehri soch me daal diya wah janab wah kya kehne is sher ke....

Chamak meri yaadoN ko tu saath le ja
BaRi door tak raat hi raat hogi

Subhan_allah Waquif saheb Subhan_allah Allah aapko lambi hayat de taki hum aur zyda aapko padh sake aur aapke in khoobsurat shero ko apne seeno se laga sake.

rep+++++++++++++++++

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#26)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
15th September 2010, 12:36 PM

My Dear vikram "masttt Ji!

Taakheer ke liye maazrat chaahta hooN. Sab se pahle to aapki khushaamdeed ka shukriya ada karta hooN. Mujhe bhi aapko yahan dekhkar dili khushi haasil hui k aap jaise senior sahibaan yahan maujood hain aur apni kaawishon se is bazm ki raunaq baRha rahe haiN. Jahan tak is ghazal ka ma-aamla hai iske baare main itna arz karoonga k ye sab Zainy Sahiba ki den hai kyunke unhein ki ghazal paRhkar ye bandah apne aapko nahiN rok saka aur ye maamuli li ghazal ho gayee. Aapne apni dili jazbaat ko jis tareeque se alfaazon ka jaama pahnaaya hai wo apne aap mein nasri kaawish ki haseeN ibaarat hai. Aap se mujhe bahut saari ummeeden hain jo k aik aik kar ke zaroor puri hongi. Aap ne jis andaaz se apne ehsaas-o-jazbaat ko supurd-e-qalam kiya hai, bandah is ke liye aapka shukrguzaar hai. Ab ijazat chaahta hooN.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by vikramjethi View Post
aadaaB ansari saheb...!

khushaamdeed...aaj nazar padi aapke qalaam par, dekhte hi rooh khush ho gayee...aapko yahaN dekh kar bahut khushi hui...sach kahuN to bahut kuchh kehna chaahta hooN, lekin maare khushi ke alfaaz saath chhod gaye...aur aapki ghazal pe ye khaaksaar kya daad dega, jaise suraj se is jag meiN noor hai...vo kisi ki daad ka mohtaj nahi waise hi aapki ghazal kisi tareef ki mohtaj nahi...

bahut khushi hui aapko yahaN dekh...

ijaazat chahuNga..

duago,
vikram "masttt..."
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
15th September 2010, 12:54 PM

Janab Kwahish Saheb! Aadaab-o-Niyaaz!

Bhai Saheb taakheer k liye maaf kijiyega. Aapke taareefi kalmaat ki nudrat-aamezi se dil ne khushi ka zaaiqa mehsoos kiya. Main aapka mamnoon hooN k aapne haqeer-o-faqeer ki kaawish par apni lataafat-khez aara se nawaaza. Aapka aikbaar shukriya ada karta hoon.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by kwahish View Post
Waqif Sahaab Aadaab O tasleemat

Aapko yahaaN is bazm meiN dekhkar be intehaaN masarrat ho rahi hai....
Aapke yahaaN aane se SDC meiN aur bhi ronak aa jayengi........

Takeer ke liye mazharrat janab...... Aapki gazal per nigaaH hi nahi gayi aur yahaaN aana bhi kam sa ho gaya hai..... bahut umdaa gazal pesh ki hai aapne aur woh bhi instanatly kamaal hai..... Bahut khoob sabhi sher achche rahe..... Daad janab.....

Likhate rahiye, bazm meiN aate rahiye........
khush rahiye.......
Khuda Hafez........
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
20th September 2010, 11:41 AM

waqif jee ...bahut hee umda shayri hai....ek ek line jaise dil ko choo gayeein...aise hee likhte rahiye.........daad kubool karein.

एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com