Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
musharraf husain jee ka interview:
Old
  (#1)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
musharraf husain jee ka interview: - 15th January 2007, 06:59 PM



DostoN:

bohat KhuShi kii baat hai kii 'Musharraf jee' ne interview ke liye apni razamandi dii hai.. "mushraff husain' yeh woh khaas saKhsiyat ka naam haiN jis se kii shaayad hii koii shayri.com ka dost na-waaqiif ho.. maiN musharraf jee kaa yahaaN 'interview ke kaTGhare' meiN swaagat karta huuN... un se guzaarish hai kii woh yahaaN aa kar apne baare meiN /apni zindagii ke kuchh pahelu ke baare meiN bataayeN.. jis se ehbaab-e-sukhan un ke baare meiN jaan sake..

Shukriyah!

-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#2)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
16th January 2007, 03:24 PM

mein sab se pehle to shukr-guzaar hoon apne bhai mayank ka ke jinhon ne mujhe itni izzat bakhshi aur yaqeenan aap sab ka bhi
jo is forum per mujhe itni mahabbat se nawazte rahe hain.
haan to baat hai tuaaruf ki, haalaat e zindagi ki to koshish kerta hoon ke mukhtasaran aap loagon ko kuch apne bare mein bata
sakoon.
Meri taareekh e paidayesh 24-11-1959 , karachi hai.
mere waaldein (parents) ka tualluq, india , UP ke shaher bareili se thaa.
Education, karachi university se M.A. Pol. Sc. mein kiyaa, is ke elawaa Textile Engg. mein D.A.E. kiyaa.
Ab hamare shaher ki ek mash-hoor export oriented garment factory mein marketing/export manager ki haisiyet se mulaazmat
ker raha hoon.
shaadi shuda hoon.
zindagi hamesha madd o jazer ka shikaar rahi hai.
shayri ko izhaar e raaye aur under ki ghutan ke izhaar ka zariyaa samajhta hoon isi liye kabhi kabhi ghutan se baher aane ke
liye koshish kerta hoon.
urdu adab, cricket , aur travelling mere pasandeeda mashaaghil hain, jab bhi waqt mile mein mutaalea kerta hoon.
shayer bilkul naheen samajhta apne aap ko, bas jab under ka dard had se barh jaaye to us ka izhaar shayed ashaar ki suurat
mein nikal jaata hai.
sukoon mujhe asaatidaa ko parhne se milta hai,

baaqi aap ki adaalat mein haazir hoon, jo chahe poochein, aap ko mutmayeen kerne ki koshish karoon gaa.

musharraf husain
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
17th January 2007, 06:38 AM

muhtarim Musharraf Hussain saahab


tasleemaat


maiN aapke sukhan ka bada qaayil huuN, ye hamare liye khushkismatii ki baat hai aap jaise aa'laa shaayir hamare darmiyaaN maujood haiN


abhi waqt ki zara kami hai to do-ek sawaal haazir haiN :


1. aapke hisaab se jo mehsuus na kiya ho use'y likhna aasaan hai, mushkil hai ya na-mumkin ?

2. kab se likh rahe haiN ?


3. maiN maanta huuN ke mohabbat ziNdagi meiN ek hi baar ki jaa sakti hai, aap kya kehte haiN ?


aap jawaab dijiye maiN phir haazir hota huuN



maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Jawab ke Intezaar me
Old
  (#4)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Post Jawab ke Intezaar me - 17th January 2007, 09:55 AM

janab musharraf husain ji ko mera salam,

Hum aap interview parha waisee hum shayri.com per bahut kam hi aa pate hain per jab bhi mujhe waqt milta hai mai zaroor aap sub ke bach aa jata hun humne aap ke ashaar jada to nahi pare per itna zaroor mujhe malom hai ki aap bahut achee achee ashaar likhte hain mai bhi aap se ek sawaal kerna chahta tha par abhi parha ki maikash ji ne wo sawaal aap se pahle hi poch liya hai mera bhi yahi sawal hai aap se aap zaroor iska jawab dejiyega mujhe aap ke jawaab ka intezaar kijiye..
isee ke saath mai chalne ki izaazat chahta hoon.
Allah Hafiz,
Aap ka Tariq (SHAAN)
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
17th January 2007, 06:43 PM

Maikash saheb

Behad shukr-guzaar aap ke un alfaaz ka jo aap ne mere liye kahe go ke mein is taareef ka hergiz hergiz haqdaar naheen hoon.
Aap ke sawaaloan ke hazb-e-istetaa-aut jawab dene ki koshish kerta hoon.

Mere khayal mein mehsoos ker ke likhna hi ehl-e-qalam ka kamal aur khaasa raha hai aur wahi cheez qaabil e mutaleaa aur pur asr hoti hai jo ek hassaas dil ki tarjumaani ker sake. Mere khayal mein baghair hassasiyet ke likha huaa shayr aise hi hai jaise baghair dil ke insaan.

Mujhe zamana-e-taalibilmi se hi shayr-o-adab se shaghaf raha hai jo aaj tak hai aur shayed marte dam tak rahe gaa. Mein koee shayer to apne aap ko samajhta naheen hoon baqol ustaad e taghazzul meer, kyaa khoob kaha hai
Hem ko shayer na kaho meer ke saheb hem ne
Dardo ghem kitne kiye jamaa to deewaan kiyaa.

Mohabbat mere khayal mein ek aisa ehsaas/jazba hai jo bohat wasee muaane rakhta hai.
Aam fahem istelah mein jo mohabbat muraad li jaati hai mere khayal mein voh ek baar hi hoti hai.

Ejazat chahta hoon is apne pan ke saath ke aap hamesha khush rahein, aabaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
17th January 2007, 06:46 PM

Tariq azmi saheb

is post per aane ke liye aap ka azhad shukr guzaar hoon.
umeed kerta hoon maikash saheb ko diye gaey mere jawaabaat aap ko mutmayeen ker sake honge.
dua go hoon khush rahein aabaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
18th January 2007, 12:47 PM

musharraf ji adaab

aapke bare meiN itna sab jaanke bahot hi achha laga

aapse pehla sawaal hai mera:

"shayri aur ehsaas dono ek dusre se juRe hue haiN aapka kya manna hai iske bare meiN?"

dusra sawaal:

"Is parivaar ke liye aapko kaha jaye k ek line me kuch kaheN to aapka kya jawab hoNga?"


allah aapko khus rakheN

apna khayal rakheN

allah hafiz

aapka dost
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
18th January 2007, 01:23 PM

dhaval dost

is post per aane ka shukriyaa.

aap ke dono sawaalon ka jawab haazir hai.

1- Bilkul sahi hai. mein bhi yaqeenan aisa hi samjhta hoon. kyunke ke ehsaas ke baghair shayri ho hi naheen sakti.
sirf hassaas insaan hi shayri ker sakta hai, yeh behis loagon ka kaam naheen hai.
2- Hem jaise loagon ke liye "gosha-e-aafiyet".

dua go hoon ke aap hamesha khush rahein aur muskuraate rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Aadab Mushy Bhai
Old
  (#9)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Aadab Mushy Bhai - 20th January 2007, 07:48 PM

Mushy Bhai

Aap se mulaqaat waise hi kaafi dilchasp rahi hai, ab ye mulaqaat aur bhi dilchasp hai.
Aapke ashaa’r to paRhta hi rehta huuN ab chand muKhtalif baateN bhi ho jaayeN. Aur issi silsiley mein ye chhoti si himaqat kar raha huuN.

Aap ki nazar meiN shayree ke liye kisi zaati waqae ya haadise ki zaroorat padti hai. Kya inhi wajoohat se koi sher kehta hai?

Aap ke ideal shayar kaun haiN?

Aapki nazroN mei kya urdu adab par angrezi aur angrezidaaN haavi ho rahe haiN?

Chand aur baateN lekar phir ek baar haazir hoUn ga.

Ijazat chaahuuN ga.

Khaaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#10)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
20th January 2007, 08:55 PM

janab musharraf sahab
aadab arz hai

janab is namakool ko shayri ka wasie to koi ilm nahi hai jo bhi seekha yahan hi seekha hoo.n per aap jaise bade ustaz se jab kuch poochane ka mouka mil raha hai to ek baat jo main kai baar sochata hoon sochta hoon wahi pooch loo.n

to janab main ye janana chahta hoon ki kya apni shayri main wazan lane ke liye use behad sadhi huyii urdu main likhna hi jaroori hai kya ....... kya shayri agar hindi main likhi jaye to kya utni asardar nahi hoti?

shayad aage fir kuch poochne ka mouka milega.

shukriya

dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#11)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
21st January 2007, 06:08 PM

lijiye main bhi haajir hoon kuch sawalo.N ke saath

kya best friend hona chahiye ? agar hona chahiye to kis had tak uske saamne hamara khulna lazzmi hai ?



shayri agar dil ka aaina hai to kya sabhi shayar jo dard mai likhte hai kahi na kahi apni zindgi se bezaar hai ? yaa wo itne sensitive hai ki unhe har dard kisi ka bhi ho khyaal kisi ka bhi ho us par unki word alfaaz nikal aate hai,

pyaar agar sirf ek baar hota hai zindgi mai to baad mai ta-umar kisi aur se hamara attach hone rishte banana aur uske saath zindgi basar karna kya hai ?

sawal aur bhi hai main fir se haajir hoti hoon


dua go mai yaad rakhieyga

aapki dost

shrddha


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Old
  (#12)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
22nd January 2007, 11:47 AM

janab saxena saheb

shukr guzaar hoon is post per aap ki aamad ke liye.
koshish kerta hoon ke aap ko mutmayeen kar sakoon apne jawab se.

1- Mera khayal hai ke yeh zaroori naheen ke shayri ke liye kisi zaati waqae yah haadisa ka hona laazim hai.
balke mere khayal mein zaroori yeh hai ke aap ek dard-mand aur hassaas dil rakhte hoan, aap ke under muashre aur apne
ird-gird hone wale her saanehe aur her waqae ke moharr-rikaat aur asraat ko mehsoos kerne ki agan aur lagan ho to aap shayri
aur achchi shayri ker sakte hain. aisi shayri jo her insaan ke dil ko chu sake aur her koee yeh mehsoos kare goya yeh us ke dil
ki awaaz hai.
baaqi technici taur per shayri mein uboor haasil kerne ke liye sab se ziyaada yeh hai ke hem mutalea ki aadat daalein, asaatida
ko parhein aur apne alfaaz ke zakheere mein wus-aut paida karein is tarah mera khayal hai hem behter likh bhi sakein ge.

2- Waise to urdu adab mein ek se ek numayaan naam shayri mein maujood hai mager ager sirf ek naam lena ho to mein meer
saheb ko fun-e-shayri ka aur khaas tuar per ghazal ka sab se behter, sab se bara shayer samajhta hoon.

3- Naheen mera khayal hai ke urdu adab per angrezi yah angrexidaan haavi bilkul naheen ho rahe hain, haan hem loagon per
angrezi aur angreziyet zaroor taari hai.
urdu adab mein aaj bhi itna umda aur aalaa likha jaa raha hai jo bilku hamare adab aur hamare aslaaf ke taaleem ke ain
mutaabiq hai. misaal ke taur per mein maujooda daur ke yeh naam fakhriyaa pesh ker sakta hoon jo aaj bhi urdu adab ki
taraqqi aur tarveej ke liye din raat koshaan hain aur bohat miyaari likh rahe hain.
ahmad nadeem qaasmi, mushtaq ahmad yusfi, ahmad faraz, zohra nigah, fahmida riaz, waseem barelvi, rahat endhohvi, bashir
badar, iftikhaar arif, zara pehle marhoom qatil shifaayee, kanwer mahander singh bedi, parveen shakir, kaifi azmi, waghaira
waghaira.
saxena saheb aap ke sawalon ke jawab de ker mujhe bohat khushi hui hai, mein koee bohat bara naaqid yah shayer to naheen
hoon bas jitni thori bohat shudh budh hai urdu adab se us ke mutabiq kuch arz kerne ki jasarat ki hai.

ejazat chahta hoon is apne pan ke saath ke aap hamesha khush rahein, aur mohabbaton aur muskurahatoan ke dirmiyaan
zindagi ka yeh safer kerte rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
22nd January 2007, 12:00 PM

dilip mere bhai

bilkul zaroori naheen hai ke aap urdu mein hi hem wazan aur hem qaafiyaa likhein.
guzarish hamari sirf itni hai ke aap chahein hindi mein likhein, chahein urdu, mein chahein gujraati mein, chahein agrezi mein bas
voh wazen mein, qaafiye mein, aur sab se barh ker yeh ke sachchayee aur mohabbat se likhi gaee ho to hamara yaqeen hai ke
bohat "asardaar" bhi ho gi, "zoardaar" bhi.
aur haan bhai : khud ko namaqool na kahein, aapne to bohat maqool sawaal poocha hai. itna achcha sawaal poochne wala
namaqool kaise ho sakta hai.
dua go hoon ke aap khush rahein

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
22nd January 2007, 12:09 PM

shrdha dost

1- Meri nazar mein dost zaroor hona chahiye, aur mere khayal mein dost hota hi best hai, warna dost hi naheen hotaa. aur dost
ager sahi muaane mein dost hai ke aap khud ba khud us ke saamne khulte chale jaate hain, aur is ki koee had naheen hoti ager
voh sahi muaane mein aap ka dost hai to.?

ek achche dost ki taareef hai
jo kahe voh
mein yeh samjhoon
goya mere di mein bhi
yehi to hai.

2- mere khayal mein to aisa hi hona chahiye.
baaqi yahan dard mein kyaa likha jaa raha hai aur shayer kis tarah shayr bana rahe hain is per mein kuch na boloon to behter
hai. bas yehi kahoon gaa shayri shauq se naheen hoti. is ke liye mutalea aur mashahida donoan ki zaroorat hai. sachayee aur
khaloos ki zaroorat hai, imeendaari ki zaroorat hai.

3- mein shayed pehle arz ker chuka hoon .
meri had tak jawab wahi hai ke yeh sirf ek baar hota hai, baaqi baad mein jo rishte hote hain voh samjhota keh lein, maslehat
keh lein, majboori keh lein. mager yeh mohabbat naheen hai.

shrdha aap ne haqiqi doston wale saare sawaal mujh se pooch liye hain,
pata naheen mein aap ko mutmayeen ker saka yah naheen. bas apni isteta-aut ke mutabiq aap ko jawaab dene ki koshish ki hai
mein ne.

meri dua hai ke God aap ko hamesha khush rakhe, zindagi ki her khushi aur chahet aap ka naseeb ho.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
25th January 2007, 09:42 AM

musharraf jee:

aadaab:

Aap ke baare meiN jaan kar behad khuSHi ho rahii hai.. kuchh masruufiyat kii wazah se kaii roz se aa nahiiN paaya bazm meiN, ab aaya to sab se pahle yeh mukaalma hi paRha.. aap jis khuluus ke saath jawaab diye haiN paRh kar sar phir ek baar jhuuk gaya aap ke saamne.. allah aapko salaamat rakkhe aur lambi umr de... maiN Kuchh baateN aur jaan,na chaahata huuN ummeed hai aap jald hii aap apne tajurboN se mere sawaaloN ka jawaab deNge..

1) ek achchhe dost ko kaise pehchaanaa jaaye?

2) Har ek kii zindagii meiN aik aisa haadsaa/waaqiya zaruur hota hai jis se us kii zindagii ka rukh hi badal jaata hai... aisa koii waqiya kyaa aap ke zindagii meiN bhii hai?

3)aapki nazar meiN zindagee ki kya haisiyyat hai? kya aap apni zindahgi jee paaye haiN?kya falsafa hai zindagi ka aap ke nazar meiN?

4)aap ek mash-hoor export oriented garment factory mein marketing/export manager haiN, apkay khaYaal maiN Yeh wohii sab kuChh hai jo aap ne kabhii socha thaa, Ya aap kuChh aur ban,na chaahate the magar qismat iDhar le aayii?

Filhaal itne sawaaloN ke saath ijaazat chaahata huuN.. waqt milte hii dubaara haazir hota huuN..

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#16)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
26th January 2007, 08:25 PM

Mayank dost

Muaazrat khuaan hoon ke kuch taakheer se jawaab de raha hoon. Is ki wajah shayed mere diye gaye jawaabaat se aap ko mil jaaye gi.

1- Mere khayaal mein achche dost ko hemein pehchaan-ne ki zaruurat naheen hoti hai voh apni pehchaan khud hi kara deta hai.
Khaas tuar per us waqt jab hem kisi mushkil hoan, tension mein hoan, her her qadam per voh hamare shana bashaana reh ker apni pehchaan karataa hai. Khushi aur khsh-haali mein to aap ko sainkron dost (apne taeen) bohat mil jaate hain mager haqiqi, sachcha aur achcha dost wahi hai jo aap ki tangdasti, badhaali, tanhaayee, mein aap ka saath de.

2- Mein apni umr ke 16th /17th year mein thaa jab mere father ki death ho gaee, bas yehi meri zindagi ka turning point thaa. Meri zindagi ke sab taur tarique, armaan , khuaahishaat sab badal gaya. (Tafseel bohat taweel hai bas aap ke sawaal ka itna jawaab mera khayal hai kaafi hai),

3- Bohat mushkil sawaal hai, mager is ka saada sa jawaab yeh hai ke meri nazer mein zindagi bohat napaayedaar aur aarzi cheez hai jo hamein bohat thori muddat ke liye milti hai, jis mein hamare ikhtiyaar mein kuch bhi naheen hotaa, hota vahi hai jo God chahtaa hai. Hem apni istetua-aut ke mutaabiq bohat jaddo-jahat to karte hain mager natija kabhi hamari khuahish ke mutabiq nikalta hai kabhi naheen. Bas mein yeh samajhta hoon ke hamein is thori muddat mein jo hamein mili hai, jitni nekiyaan hem ker sakein, karein, pyaar baatein, mohabbat aur ikhlaas se rahein yuunhi zindagi basar karein to waqt achcha guzar jaaye gaa, warna. Aur meer ka yeh shayr zindagi ke falsafe ki bohat sahi akkaasi kerta hai.
“JO POOCHA KE GUL KA HAI KITNA SABAAT “
“KALI NE YEH SUN KER TABASSUM KIYA”

4- Mein apni maujooda job se muaashi had tak to mutmayeen hoon, mager mere qalb mein jo bechaini hai voh apni jagah hai. Aisa kyuun hai is ka jawaab mein khud talaashtaa hoon mager naheen milta . mujeh traveling ka jo shauq hai voh is job se kaafi had tak pooraa horaha hai. Bas kharaabi mere career mein yeh hai ke is mein mujhe apni zaat ke liye waqt naheen mil paataa. Yehi meri mehroomi hai.

Mayank dost ; mein maqrooz hoon aap ki mohabbat ka, pyaar ka jo aap hamein dete hain hamari dua hai ke aap hamesha khush rahein aabaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Koi Unse Bhi To poche K Majra Kiya Hay<<<
Old
  (#17)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
Koi Unse Bhi To poche K Majra Kiya Hay<<< - 1st February 2007, 11:42 PM

Mere dost ...
kaise ho?
apka interview parha....acha laga...dosto ko ache andaz or muasir alfaz se jwab diya apne...magar rasm jo chali hay to nibhani hogi...
Lge hatho ham bhi aik swal poch lete hain apse.....
1)aik shayar ka kiya taasur hota hay logon par? kiya uski batain asar karne k liye kisi khas zawiye ki paband honi chahyain?
2)Aam tor par samja jata hay k shayar k liye ziada taleem yafta hona zarori hota hay...agar usko ehsas ka byan karna hay mgar us k pas ilfaz nahi hain byan ko sjane k liye to wo nakam ho jaye ga...is liye uska parha likha hona zarori hy ..mgar hmare ilake main Punjab pakistan Near Multan aik aisa shayar rehta hay jo bilkul parha likha nahi hay...mgar use Sarayki ka Iqbal kahte hain..uski ghazlain Sarayki Nisab ka hisa hain...Uski Books Ahmed fraz se ziada costly hain...Akhir ku? or kaise?


....Khan....
Banjara''''


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
3rd February 2007, 12:32 AM

khan dost aap ki aamad ka behad shukriyaa.

aap ke dono sawalon ke jawaab dene ki koshish karta hoon.

1- mere khayal mein shayer apni shayri ke zariye parhne wale per bohat gehra tuassur chorta hai. shart yeh hai ke shayri sahi muaane mein shayri ho. balke voh shayri (jaisa mein aksar kaha karta hoon) dil se ki jaaye, zabardasti na ki jaaye, khud bakhud qaari ke qalb o nazer ko bhaati hai aur apna bharpoor asar chorti hai. is ke liye kisi khaas zaaviye yah nazar ki zaroorat naheen. achchi shayri apni pehchaan khud kara deti hai.

2- Mera khayal hai ke shayri kerne ke liye yah isey samajhne ke liye sha-uur aur aa-gahi ka hona ziayada zaroori hai naa ke duniyaawi taaleem / degree ke.
Haalanke ke mera manna hai ke taaleem bhi bohat zaroori hai hamare liye kyunke yeh ilm- hikmat ki raahein mutaiyen kerti hai hamare liye.
Misaal ke taur per mein Meer taqi meer , josh malih aabaadi jo meri nazar mein urdu adab ke bohat bare naam hain koee degree nahen rakhte they mager shayro adab mein in ka naam aur muqaam aap ke saamne hai.

ejazat chahta hoon is apne pan ke saath ke aap jahan rahein khush rahein, aabaad rahein aur sha-uur aagahi ke samandar se besh baha moti chunte rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
8th February 2007, 07:08 PM

Musharraf jee:

Namaste aur aadaab:

maiN puure shayri.com kii aur se aap ka Shukriya ada karta huuN jo aap ne waqt nikal kar yahaaN sab ke sawaaloN ka jawaab diya.. aur aap jaise Shkashiyat ke baare meiN jaan kar iNtiha masarrat huii.. aap ess mehfil meiN sirkat kar rahe haiN, yeh hamaare liye fakr kii baat hai.. uupar waale se duaa hai kii aap kii chaahatoN ko puuri kare aur aap ko lambi umre de..

ab ijaazat chaahata huuN...

ess mukaalme ke liye phir se tah-e-dil se Shurkiyah!

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
JanamDin Mubaarak Ho .. Musharraf Sahab ! naresh_mehra110 Celebrations 8 28th November 2010 04:04 AM
Suno Musharraf..!! GOPALKDAS Ghazal Section 0 28th June 2008 09:28 PM
Musharraf jee ko janam din ki mubaarakbaad Mayank Celebrations 11 29th November 2006 03:16 AM
Happy Birthday Musharraf Ji !!!!! farhana Shayri-e-Dard 19 25th November 2005 03:45 PM
Interview With God… GoodHuman General Stories 2 6th November 2003 11:52 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com