Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Shayar of The Month September 2010 "Jigar Muradabadi"
Old
  (#1)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
Thumbs up Shayar of The Month September 2010 "Jigar Muradabadi" - 15th September 2010, 10:43 AM



> Ali Sikandar ‘Jigar Muradabadi’ has a special place in the history of Urdu poetry. A flamboyant and cavalier poet,He was born in Moradabad in 1890, (1890-1960) Jigar had traditional education in Arabic and Farsi. He didn’t really have a teacher or ustad and showed one ghazal to Dagh Dehlvi. But Dagh died on February 10, 1905. At this time Jigar was only 15 years old and had just begun to write poetry. Mazhar Jaleel ‘Shauq Bachrayuni’ a schoolmate of Jigar says in his book ‘Yadgar-e-Jigar’: “together we would consult Munshi Hayat Baksh ‘Rasa Rampuri’ for correcting our poetry who later became his ustad”.

> As a young man, Jigar moved to Agra and was a traveling salesman for an optical company who sold his merchandise in towns and cities,He had an intense personality. In his youth he picked up drinking. Alcohol captivated Jigar from 1920 through 1938. In mushairas he recited his poetry melodiously. Amazingly, he was also a deeply religious man and went for Hajj in 1953.

> Jigar belonged to that middle class group which was deeply conscious of its historical past. It respected its culture and was aware of its religious and moral values. Jigar grew up in this environment. Emotionally he was inclined towards poetry and mentally he cherished his eastern values. For Jigar reality of life is beauty. However, there is no philosophical depth and no serious thinking in his poetry, which one finds in poems of Iqbal or Ghalib. So Jigar should not be compared with the standard of these two poets. He is closer to the poetry of Meer, Momin, Dagh and Hasrat, which is laced with intense emotionalism. Jigar by temperament worshiped beauty. His various love affairs taught him ups and downs of life.

> Urdu ghazal has completed many strides from Vali to Meer, Firaq and Jigar. It has glittered in Mushairas and laced Urdu culture with its reputation. The 20th century produced four prominent poets: Hasrat, Asghar, Faani and Jigar who are considered pillars of modern Urdu ghazal. Urdu ghazal due to them reached new heights, respectability, and popularity. As a result of this gushing interest in poetry, mushairas suddenly erupted throughout the vast land, offering a delightful escape from the prosaic humdrum of daily life. It was a new realm, where fantasy embraced fact, and dreams merged with the realities of life. Poetry provided an additional world, or at least an extra dimension to life.

> Jigar has introduced new signs, new colors of love and beauty by weaving and absorbing them in his ghazals. Ghazal is a fusion of feelings, emotions and imagination and to imbibe these into ghazal format is not an easy task.> Jigar remained a keen drinker most of his life and was famous for his forgetfulness and absent-mindedness. His ghazals remain very popular with lovers of Urdu poetry. Many remark that the era of classical Urdu poetry ended with Jigar.

> Jigar is a poet of unfulfilled love, but he can find joy in the very experience of love. There is, as such, an element of buoyancy and mystic ecstasy even in situations, which are generally believed unhappy. He presents concepts of reality, romance, sunshine and shade like a dream. His love is romantic and beauty is not a shade but living reality. He presents life as it is. Jigar is not ashamed to leave his past behind. He had been in love many times and his ghazals often glisten with this feeling. He was gifted with the subtle art of combining lyrical verse with sublime melody that went straight to the listener’s heart. The rhyming beauty of the soul-stirring couplets is simply overwhelming because Jigar was a great exponent of romantic passion.

> Jigar’s ghazals adhere to the traditional spirit and highlight contemporary values simultaneously. His ghazals reflect ideas, related to transformations in literature and the changing values of life, giving them new meaning, color and direction. His lyrical style, and words combination take the audience into a new magical world. When he comes to his peak he becomes a pied piper who takes his audience into a different world of magic. He is not inclined towards politics or social moments, and he concentrated on the subject of love. When Jigar became most respected and sought-after poet, he never thought of presenting himself as a guide or mentor to budding versifiers.

> Nevertheless, there soon emerged young men who admired his poetic diction, his romantic imagery and his incomparably mellifluous style, and had also developed a great fondness for the affable and kind-hearted person that Jigar was. They emulated him and each one of them became famous. The list includes such names as Behzad Lucknavi, Shakil Badayuni, Majrooh Sultanpuri, Ravish Siddiqui, Khumar Barabankvi and Nushur Wahedi.

> His poetry collection Daag-e-Jigar, Sholey Toor and Atish-e-Gul has been published. There is a separate area at the Jamia University Library in Delhi called “Goshe Jigar”. He was given an honorary doctorate of literature from Aligarh University. In 1955, he earned Sahitya Academy award on his book Atish- e-Gul. There was also a rare film on him in which he recites a couple of his poems.

> Jigar Muradabadi occupies a lofty niche in Urdu literature’s hall of fame. He belongs to that special breed of achievers who ‘come, see and conquer’ the world around them, and serve as a source of profound inspiration for a generation or two, leaving behind a beckoning imprint upon the field of their choice.

> When Jigar Muradabadi died in 1960, it appeared as though a pillar of modern Urdu ghazal had crumbled. He was a link that connected past with the present. Jigar was not only a great poet but also a great human being. The ghazal poetry that he created was really a wine, which could not stay in his glass. Ghazal was not his profession but his passion, which seeped from his nature and personality. It was in his temperament and amalgamation of his thoughts. If the veil covering his poetic signs is removed, it will reveal that his views on caring, feelings and emotions flowed from his heart.


ik lafze-muhabbat ka adanaa ye fasaanaa hai
simte to dil-e-aashiq faile to zamaanaa hai

kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham khaaq-nashinon kee thokar mein zamaanaa hai

yaa vo the khafaa ham se yaa ham the khafaa unse
kal unkaa zamaanaa thaa aaj apnaa zamaanaa hai

ye ishq nahin aasaan itnaa hee samajh lije
ik aag kaa dariyaa hai aour doob ke jaanaa hai

aansoo to bahut se hein aankhon mein'jigar' lekin
bindh jaaye jo motee hai rah jaaye to daanaa hai


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
tabiiyat in dinoN be-gaana-e-Gham hotii jaatii hai mere hisse ki goyaa har Khushii ka
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
tabiiyat in dinoN be-gaana-e-Gham hotii jaatii hai mere hisse ki goyaa har Khushii ka - 15th September 2010, 05:30 PM

tabiiyat in dinoN be-gaana-e-Gham hotii jaatii hai
mere hisse ki goyaa har Khushii kam hotii jaatii hai

(be-gaanaa : heedless, carefree)

qayaamat kyaa! ye ai husn-e-do-aalam hotii jaatii hai
ke mehfil to vohii hai, dilkashi kam hotii jaati hai

(husn-e-do-aalam : beauty of the two worlds; dilkashii : charm)

vohii mai-Khaana-o-sahbaa, vohi saaghar, vohii shiishaa
magar aavaaz-e-nushaanosh maddham hotii jaatii hai

(mai-Khaana-o-sahbaa : tavern and the wine; saaghar : goblet; shiishaa : glass; nushaanosh : ?)

vohii hai shaahid-o-saaqii magar dil bujhtaa jaataa hai
vohii hai shammaa lekin raushnii kam hotii jaatii hai

(shaahid : witness; saaqii : cup-bearer)

vohii hai zindagii lekin “Jigar” yeh haal hai apnaa
ke jaise zindagii se zindagii kam hotii jaatii hai

Jigar Moradabadi




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----

Last edited by naresh_mehra110; 15th September 2010 at 05:37 PM..
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
15th September 2010, 05:45 PM

ye sabzah’mand-e-chaman hai jo lah’lahaa na sake
wo gul hai zakhm-e-baharaaN jo muskuraa na sake

ye aadmii hai vo parvaanah, samm-e-daanistaa
jo raushnii meiN rahe, raushnii ko paa na sake

ye hai khuloos-e-muhabbat ke haadisaat-e-jahaaN
mujhe to kyaa, mere naqsh-e-qadam mitaa na sake

na jaane aaKhir in aaNsuoN pe kyaa guzrii
jo dil se aaNkh tak aaye, magar bahaa na sake

kareiNge mar ke baqaa-e-dawaam kyaa haasil
jo zindaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake

merii nazar ne shab-e-Gham unheiN bhi dekh liyaa
wo beshumaar sitaare ke jagmagaa na sake

ye mehr-o-maaH mere, hamsafar rahe barsoN
phir iske baad merii gardishoN ko paa (?) na sake

Ghate agar tau bas ek musht-e-Khaq hai insaan
badhe to vus’at-e-kaunain meiN samaa na sake



Jigar Muradabadi




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Nahi Jati Kahan Tak Fikar-e-Insani Nahi Jati
Old
  (#4)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
Nahi Jati Kahan Tak Fikar-e-Insani Nahi Jati - 15th September 2010, 05:52 PM

Nahi Jati Kahan Tak Fikar-e-Insani Nahi Jati
Magar Apni Haqeeqat Aap pehchani Nahi Jati

Sadaqat Ho To Dil Seenon Se Khinchne Lagte Hen
Haqeeqat Khud Ko Manwa Leti He, Mani Nahi Jati

Woh Yun Dil Se Guzarte Hen K Aahat Tak Nahi Hoti
Woh Yun Aawaz Dete Hen K Pehchani Nahi Jati

Mujhe To Kar Diya Serab Saqi Ne Mere Lekin
Meri Serabiyon Ki Tashna Samani Nahi Jati

Nahi Maloom Kis Aalam Main Husan-e-Yaar Dekha Tha
Koi Aalam Ho Lekin Dil Ki Hairani Nahi Jati

Jale Jate Hen Barh barh Kar Mite Jate Hen gir gir Kar
Hazoor-e-Shama Parwnon Ki Nadani Nahi Jati

Muhabat Main Ek Aisa Waqat B Dil Pe Guzarta He
K Aansoo Khushak Ho Jate Hen Tughyyani Nahi Jati

JIGAR Woh B Az Sar Ta Paa Muhabat Hee Muhabat Hen
Magar Un Ki Muhabat Saaf Pehchani Nahi Jati


Jigar Muradabadi




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe
Old
  (#5)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe - 15th September 2010, 06:01 PM

kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe
jab tak hamaare paas rahe ham nahii.n rahe

iimaan-e-kufr aur na duniyaaa va dii.n rahe
ai ishq shaadabaash ki tanahaa hamii.n rahe

yaa rab kisii ke raaz-e-mohabbat kii Khair ho
dast-e-junuu.N rahe na rahe aastii.n rahe

jaa aur ko_ii zabt kii duniyaa talaash kar
ai ishq ham to ab tere qaabil nahii.n rahe

mujh ko nahii.n qubuul do aalam kii vus'ate.n
qismat me.n kuu-e-yaar kii do Gaz zamii.n rahe

dard-e-Gam-e-firaaq ke ye saKht marahale
hairaa.N huu.N mai.n ki phir bhii tum itane hasii.n rahe

is ishq kii talaafii-e-maafaat dekhanaa
rone kii hasarate.n hai.n jab aa.Nsuu nahii.n rahe


Jigar Muradabadi




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
aa.Nkho.n me.n bas ke dil me.n samaa kar chale gaye
Old
  (#6)
Radhika_2
RooH Se RooH Tak
Radhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Radhika_2's Avatar
 
Offline
Posts: 1,247
Join Date: Feb 2010
Location: Delhi
Rep Power: 53
aa.Nkho.n me.n bas ke dil me.n samaa kar chale gaye - 15th September 2010, 06:39 PM


aa.Nkho.n me.n bas ke dil me.n samaa kar chale gaye
Khvaabidaa zi.ndagii thii jagaa kar chale gaye

chehare tak aastiin vo laakar chale gaye
kyaa raaz thaa ki jis ko chhipaakar chale gaye

rag rag me.n is tarah vo samaa kar chale gaye
jaise mujh hii ko mujhase churaakar chale gaye

aaye the dil kii pyaas bujhaane ke vaaste
ik aag sii vo aur lagaa kar chale gaye

lab thar-tharaa ke rah gaye lekin vo ai "Jigar"
jaate huye nigaah milaakar chale gaye


Jigar Muradabadi



Radhika

Seene Me Zakham Utarey Chale Gaye
Jo Humpe Guzari Guzarey Chale Gaye

Woh Aayega Ek Din Milne Humse
Naam Uska Hi Pukarey Chale Gaye


E-mail : radhika.nm2@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:15 PM

dard ba.Dakar fugaa.N na ho jaaye


dard ba.Dakar fugaa.N na ho jaaye
ye zamii.n aasamaa.N na ho jaaye


dil me.n Duubaa huaa jo nashtar hai
mere dil kii zubaa.N na ho jaaye


dil ko le liijiye jo lenaa hai
phir ye saudaa giraa.N na ho jaaye


aah kiije magar latiif-tariin
lab tak aa kar dhuaa.N na ho jaaye


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:17 PM

dil ko jab dil se raah hotii hai


dil ko jab dil se raah hotii hai
aah hotii hai vaah hotii hai

ik nazar dil kii simt dekh to lo
kaise duniyaa tabaah hotii hai

husn-e-jaanaa.N kii manzilo.n ko na puuchh
har nafas ek raah hotii hai

kyaa Khabar thii ki ishq ke haatho.n
aisii haalat tabaah hotii hai

saa.Ns letaa huu.N dam ulajhataa hai
baat karataa huu.N aah hotii hai

jo ulaT detii hai safo.n ke safe
ik shikastaa-sii aah hotii hai


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:18 PM

dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.N mai.n



dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.N mai.n
kitanaa hasii.n gunaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

duniyaa-e-dil tabaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n
sarf-e-nigaah-o-aah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

fard-e-amal siyaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n
rahamat ko bepanaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

[fard-e-amal=life's paper; siyaah=blacken; bepanaah=limitless]

aisii bhii ik nigaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n
zarro.n ko mahar-o-maah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

mujh se lage hai.n ishq kii azamat ko chaar chaa.Nd
Khud husn ko gavaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

maasuumi-e-jamaal ko bhii jis pe rashk ho
aise bhii kuchh gunaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

aage qadam ba.Dhaaye.n ji.nhe.n suujhataa nahii.n
raushan chiraaG-e-raah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

tanaqiid-e-husn maslahat-e-Khaas-e-ishq hai
ye jurm gaah-gaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

gulashan_parast huu.N mujhe gul hii nahii.n aziiz
kaa.NTo.n se hii nibhaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

yuu.N zi.ndagii guzaar rahaa huu.N tere baGair
jaise koii gunaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n

mujh se adaa huaa hai 'Jigar' justajuu kaa haq
har zarre ko gavaah kiye jaa rahaa huu.N mai.n


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#10)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:19 PM

duniyaaa ke sitam yaad na apanii hi vafaa yaad



duniyaaa ke sitam yaad na apanii hi vafaa yaad
ab mujh ko nahii.n kuchh bhii muhabbat ke sivaa yaad

mai.n shikvaa_ba_lab thaa mujhe ye bhii na rahaa yaad
shaayad ke mere bhuulanevaale ne kiyaa yaad

jab ko_ii hasii.n hotaa hai sargarm-e-navaazish
us vaqt vo kuchh aur bhii aate hai.n sivaa yaad

muddat hu_ii ik haadasaa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tere dil ke dha.Dakane kii sadaa yaad

haa.N haa.N tujhe kyaa kaam mere shiddat-e-Gam se
haa.N haa.N nahii.n mujh ko tere daaman kii havaa yaad

mai.n tark-e-rah-o-rasm-e-junuu.N kar hii chukaa thaa
kyuu.N aa ga_ii aise me.n terii lagazish-e-paa yaad

[lagazish-e-paa=trembling of the feet]

kyaa lutf ki mai.n apanaa pataa aap bataauu.N
kiije ko_ii bhuulii hu_ii Khaas apanii adaa yaad


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
hamako miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
Old
  (#11)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up hamako miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n - 15th September 2010, 09:22 PM

hamako miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n



hamako miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
hamase zamaanaa Khud hai zamaane se ham nahii.n


befaayadaa alam nahii.n, bekaar Gam nahii.n
taufiiq de Khudaa to ye ne'amat bhii kam nahii.n


[alam=sorrow; taufiiq=divine strength; ne'amat=divine blessing]


merii zubaa.N pe shikavaa-e-ahl-e-sitam nahii.n
mujhako jagaa diyaa yahii ehasaan kam nahii.n


yaa rab! hujuum-e-dard ko de aur vus'ate.n
daaman to kyaa abhii merii aa.Nkhe.n bhii nam nahii.n


[vus'ate.n=spread out]


zaahid kuchh aur ho na ho maiKhaane me.n magar
kyaa kam ye hai ki shikavaa-e-dair-o-haram nahii.n


shikavaa to ek chhe.D hai lekin haqiiqatan
teraa sitam bhii terii inaayat se kam nahii.n

marg-e-Jigar pe kyo.n terii aa.Nkhe.n hai.n ashk-rez
ik saanihaa sahii magar itanii aham nahii.n


[saanihaa=incident; aham=important]


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:24 PM

har suu dikhaa_ii dete hai.n vo jalvaagar mujhe



har suu dikhaa_ii dete hai.n vo jalvaagar mujhe
kyaa-kyaa fareb detii hai merii nazar mujhe

aayaa na raas naalaa-e-dil kaa asar mujhe
ab tum mile to kuchh nahii.n apanii Khabar mujhe

Daalaa hai beKhudii ne ajab raah par mujhe
aa.Nkhe.n hai.n aur kuchh nahii.n aataa nazar mujhe

karanaa hai aaj hazrat-e-naaseh se saamanaa
mil jaaye do gha.Dii ko tumhaarii nazar mujhe

yak_saa.N hai husn-o-ishq kii sarmastiyo.n kaa rang
un kii Khabar unhe.n hai na apanii Khabar mujhe

mai.n duur huu.N to ruuh-e-suKhan mujh se kis liye
tum paas ho to kyo.n nahii.n aate nazar mujhe

dil leke meraa dete ho daaG-e-jigar mujhe
ye baat bhuulane kii nahii.n umr bhar mujhe


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#13)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:26 PM

is ishq ke haatho.n se har-giz naamaafar dekhaa



is ishq ke haatho.n se har-giz naamaafar dekhaa
utanii hii ba.Dii hasarat jitanaa hi udhar dekhaa


thaa baa_is-e-rusavaa_ii har cha.nd junuu.N meraa
ki unako bhii na chain aayaa jab tak na idhar dekhaa


yuu.N hii dil ke ta.Dapane kaa kuchh to hai sabab aaKhir
yaa.N dard ne karavaT lii hai yaa.N tumane idhar dekhaa


maathe pe pasiinaa kyo.n aa.Nkho.n me.n namii sii kyo.n
kuchh Khair to hai tumane kyaa haal-e-jigar dekhaa


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#14)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:29 PM

kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe



kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe
jab tak hamaare paas rahe ham nahii.n rahe

iimaan-e-kufr aur na duniyaaa va dii.n rahe
ai ishq shaadabaash ki tanahaa hamii.n rahe

yaa rab kisii ke raaz-e-mohabbat kii Khair ho
dast-e-junuu.N rahe na rahe aastii.n rahe

jaa aur ko_ii zabt kii duniyaa talaash kar
ai ishq ham to ab tere qaabil nahii.n rahe

mujh ko nahii.n qubuul do aalam kii vus'ate.n
qismat me.n kuu-e-yaar kii do Gaz zamii.n rahe

dard-e-Gam-e-firaaq ke ye saKht marahale
hairaa.N huu.N mai.n ki phir bhii tum itane hasii.n rahe

is ishq kii talaafii-e-maafaat dekhanaa
rone kii hasarate.n hai.n jab aa.Nsuu nahii.n rahe

--------------------------------------------------------------------------------


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:33 PM

saaqii kii har nigaah pe balakhaa ke pii gayaa




saaqii kii har nigaah pe bal khaa ke pii gayaa
laharo.n se khelataa huaa laharaa ke pii gayaa

bekaifiyo.n ke kaif se ghabaraa ke pii gayaa
taubaa ko to.D taa.D ke tharraa ke pii gayaa

zaahid ye merii shoKhii-e-ri.ndaanaa dekhanaa
rahamat ko baato.n baato.n me.n bahalaa ke pii gayaa

sarmastii-e-azal mujhe jab yaad aa ga_ii
duniyaa-e-aitabaar ko Thukaraa ke pii gayaa

aazuurdagii-e-Khaatir-e-saaqii ko dekh kar ai rahamat-e-tamaam merii har Khataa mua'af
mai.n i.ntahaa-e-shauq me.n ghabaraa ke pii gayaa

piitaa beGair izan ye kab thii merii majaal
dar-pardaa chashm-e-yaar kii shah paa ke pii gayaa


us jaan-e-mayakadaa kii qasam baarahaa "Jigar"
kul aalam-e-bisaat pe mai.n chhaa ke pii gayaa


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#16)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
15th September 2010, 09:36 PM

vo kaafir aashanaa naa aashnaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii hai



vo kaafir aashanaa naa aashnaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii
hamaari ibtadaa taa i.ntahaa yuu.N bhii hai aur yuui.N bhii

ta'ajjub kyaa agar rasm-e-vafaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii
ki husn-o-ishq kaa har masal'aa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

kahii.n zarraa kahii.n seharaa kahii.n qataraa kahii.n dariyaa
muhabbat aur us kaa silasilaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

vo mujhase puuchhate hai.n ek maqasad merii hastii kaa
bataauu.N kyaa ki meraa mudd'aa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

ham un se kyaa kahe.n vo jaane un kii maslahat jaane
hamaaraa haal-e-dil to baramalaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii

na paa lenaa teraa aasaa.N na kho denaa teraa mumakin
musiibat me.n ye jaan-e-mubtalaa yuu.N bhii hai aur yuu.N bhii


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#17)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 16th September 2010, 11:02 AM

Jigar Muradabadi's ghazal

तेरी खुशी से अगर गम में भी खुशी न हुई
वोह ज़िंदगी तो मुहब्बत की ज़िंदगी न हुई!

कोईबढ़ेबढ़ेहमतोजानदेतेहैं
फिर
ऐसीचश्म--तवज्जोहकभीहुईहुई!

तमाम हर्फ़-ओ-हिकायत तमाम दीदा-ओ-दिल
इस एह्तेमाम पे भी शरह-ए-आशिकी न हुई

सबायहउनसेहमारापयामकहदेना
गए
होजबसेयहांसुबह--शामहीहुई

इधरसेभीहैसिवाकुछउधरकीमजबूरी
की
हमनेआहतोकीउनसेआहभीहुई

ख़्याल-ए-यार सलामत तुझे खुदा रखे
तेरे बगैर कभी घर में रोशनी न हुई

गए थे हम भी जिगर जलवा-गाह-ए-जानां में
वोह पूछते ही रहे हमसे बात ही न हुई

--

terii khushii se agar Gam meN bhii khushii na huii
voh zindagii to muhabbat kii zindagii na huii

koii baDhe na baDhe ham to jaan dete haiN
phair asii chashm-e-tavajjoh kabhii huii na huii

tamaam harf-o-hikaayat tamaam diida-o-dil
is ehtemaam pe bhii sharaH-e-aashiqii na huii

sabaa yah un se hamaaraa payaam kah denaa
gaye ho jab se yahaaN subah-o-shaam hii na huii

idhar se bhii hai sivaa kuchh udhar kii majbuurii
ki hamne aah to kii unse aah bhii na huii

khayaal-e-yaar salaamat tujhe khudaa rakhe
tere baGair kabhii ghar meN roshnii na huii

gaye the ham bhii Jigar jalva-gaah-e-jaanaN meN
voh puuchhte hii rahe hamse baat hii na huii

Jigar Moradabadi


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
16th September 2010, 08:23 PM

Ishq ko be-naqaab honaa thaa
aap apnaa javaab honaa thaa


terii aa.Nkho.n kaa kuchh qusuur nahii.n
haa.N mujhii ko Kharaab honaa thaa


dil ki jis par hai.n naqsh-e-rangaa-rang
us ko saadaa kitaab honaa thaa


hamane naakaamiyo.n ko Dhuu.ND liyaa
aaKhirash kaamayaab honaa thaa




--JIGAR MURADABADI...




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#19)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
16th September 2010, 08:34 PM

Very nice information about Jigar muradabadi ji,...

Naresh ji, Rajinder ji,Sunita di, thank you all for your continous support ..

aur bhi members se request hai ke is thread, aur is koshish ko kamiyaab banane me hamari madad kare...

Naresh ji, Rajinder ji aapke reps due hai...


KEEP POSTING..




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#20)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
17th September 2010, 03:39 PM

Mujhe nahi lagta ke koi din aisa guzarta hoga jab kahi koi yeh sher na kehta hoga......................

ye ishq nahin aasaan itnaa hee samajh lije
ik aag kaa dariyaa hai aour doob ke jaanaa hai

Allah Jigar saheb ko Jannat me oocha maqam ata kare.......AAMEEN.


Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#21)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
18th September 2010, 03:11 PM

jigar sahab ki jo mai ghazal post kar raha hu meri fav ghazal hai...

is ghazal ko ghulam ali ne bi gaya hai....
magar kuch tabdile kar di unhone....
meter halka modify kiya hai unhone

matla magar ek lafz badalne se badal gaya hai...
ek link deta hu..aap match karke dekhiye

http://www.radioreloaded.com/tracks/?10492

aur rahi ghazal jaise jigar sahab ne likhi thi..


saaqi par ilzaam na aaye
chaahe tujh tak jaam na aaye

yaha ghulam ali sahab ne gaya hai

saki pe ilzaam na aaye
chaahe mujh tak jaam na aaye

yaha 'tujh' ko 'mujh' kar diya hai....shayad ghulam ali ke hisaab se behtar ya ek general matlab nikalta ho....public consumption ke liye
adab me mana jata hai ki jab tak wazn ki bandish na ho...'pe' istemaal na kiya jaaye...agar wazn me dono 'pe' aur 'par' dono bandh ho to 'pe' se gurez karna chaiye...par use karna chaiye

tere sivaa jo kii ho muhabbat
merii javaanii kaam na aaye


ye sher hu ba hu adaa huaa hai

jin ke liye mar bhii gaye ham
vo chal kar do gaam na aaye

yaha ulaa me ghulam sahab ne gaya hai
jike liye to mar bhi gaye ham
'to' add kar diya hai...jisse meter poora hota hai....original shakl me shayad ghulam sahab se adaa nahi hua hoga.
jin 2 / ke 2 / li 1 / ye 1 / to 2 / mar 2 / bhi 2 / ga 1 / ye 1 / hum 2
arkaan 22 / 112 / 22 / 112
ab 'to' hai to akhir bharti ...shayad jigar sahab ne isse bachne ke liye wo takht khaali choda ho...magar gaate guye ghulam sahab se gaya nahi gaya shayad
agar koi ustaad shohra is par roshni daale to bada faida ho.
mai dheer sahab se guzarish karunga ki agar waqt mile to ye issue ko hame samjhaaye. kyuki mujhe lag raha hai ki is ghazal ka beher hi mai galat samjh raha hu ya is beher me koi exception ho jo mujhe pata nahi.....magar phir bhi ,agar aisa hota to ghulam sahab itna bada change kyu karte?...




ulaa me ghulam ali sahab ne 'kar' ko 'ke' kar diya hai....
wahi explanation alid lagta hai ki unka laga hoga public isse jyada accept kare


ishq kaa saudaa itanaa garaa.N hai
i.nhe.n ham se kaam na aaye

ye sher ghulam ali sahab ne nahi gaya ....

maiKhaane me.n sab hii to aaye
lekin "Jigar" kaa naam na aaye

ye sher bhi hubahu adaa hua hai....
   
Reply With Quote
' Aadmi Aadmi Se...! ( With English Translation )
Old
  (#22)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
' Aadmi Aadmi Se...! ( With English Translation ) - 18th September 2010, 08:24 PM

Aadmi aadmi se milta hai
Dil magar kam kisi se milta hai

Bhool jaata hoon main sitam uskey
Woh kuch is saadgi se milta hai

Aaj kya baat hai ke phoolon ka
Rang teri hansi se milta hai

Milke bhi jo kabhi nahin milta
Toot kar dil usi se milta hai

Kaar-o-baar-e-jahaan sanwartein hain
Hosh jab be khudi se milta hai

English Translation

Man meets with man
[However] the heart doesn't find everyone congenial


I forget her oppressions
[For] she meets with such humility


What's the matter today that the flowers'
colour matches with your laughter


The one who doesn't meet despite meeting
The heart ardently craves for her alone


The affairs of the world get improved
When consciousness meets with unconsciousness




Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
aaj kya Haal hai, ya rab sar-e-mehfil mera .. !
Old
  (#23)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
aaj kya Haal hai, ya rab sar-e-mehfil mera .. ! - 19th September 2010, 12:11 PM

aaj kya Haal hai, ya rab sar-e-mehfil mera
ke nikaale liye jaata hai koi dil mera

soz-e-Gham dekh, na barbaad ho Haasil mera
dil ki tasweer hai, har aaina-e-dil mera

sub^h tak hijr meiN kya jaaniye kya hota hai
shaam hi se mere qaboo meiN nahiN dil mera

paaya jaata hai tiri shoKhi-e-raftaar ka rang
kaash pehlu meiN dhhaDakta hi rahe dil mera

haye us dard ki qismat jo hua dil ka shareek
haye us dil ka muqaddar jo bana dil mera

kuchh khaTakta tau hai pehlu meiN mere reh reh kar
ab Khuda jaane tiri yaad hai, ya dil mera


--JIGAR MURADABADI




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
har dam duaaye.N denaa har lamhaa aahe.n bharanaa ... !
Old
  (#24)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
har dam duaaye.N denaa har lamhaa aahe.n bharanaa ... ! - 19th September 2010, 12:18 PM

har dam duaaye.N denaa har lamhaa aahe.n bharanaa
in kaa bhii kaam karanaa apanaa bhii kaam karanaa

yaa.N kis ko hai mayyasar ye kaam kar guzaranaa
ek baa.Nkpan pe jiinaa ek baa.Nkpan pe maranaa

jo ziist ko na samajhe jo maut ko na jaane
jiinaa u.nhii.n kaa jiinaa maranaa u.nhii.n kaa maranaa

hariyaalii zindagii pe sadaqe hazaar jaane
mujhako nahii.n gavaaraa saahil kii maut maranaa

rangiiniyaa.N nahii.n to raanaa_iyaa.N bhii kaisii
shabanam sii naazanii.n ko aataa nahii.n sa.Nvarnaa

terii inaayato.n se mujhako bhii aa chalaa hai
terii himaayato.n me.n har-har qadam guzaranaa

kuchh aa chali hai aahaT is paayanaaz kii sii
tujh par Khudaa kii rahamat ai dil zaraa Thaharanaa

Khuun-e-jigar kaa haasil ik sher tak kii suurat
apanaa hii aks jis me.n apanaa hii rang bharanaa


--JIGAR MURADABADI




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
niyaaz-o-naaz ke jhaga.De miTaaye jaate hai.n .. !
Old
  (#25)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
niyaaz-o-naaz ke jhaga.De miTaaye jaate hai.n .. ! - 19th September 2010, 12:27 PM

niyaaz-o-naaz ke jhaga.De miTaaye jaate hai.n
ham un me.n aur vo ham me.n samaaye jaate hai.n

ye naaz-e-husn to dekho ki dil ko ta.Dapaakar
nazar milaate nahii.n muskuraaye jaate hai.n

mere junuun-e-tamannaa kaa kuchh Khayaal nahii.n
lajaaye jaate hai.n daaman chhu.Daaye jaate hai.n

jo dil se uThate hai.n shole vo a.ng ban ban kar
tamaam ma.nzar-e-fitarat pe chhaye jaate hai.n

mai.n apanii aah ke sadaqe ki merii aah me.n bhii
terii nigaah ke a.ndaaz paaye jaate hai.n

ye apanii tark-e-muhabbat bhii kyaa muhabbat hai
ji.nhe.n bhulaate hai.n vo yaad aaye jaate hai.n


--JIGAR MURADABADI




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#26)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
19th September 2010, 05:31 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
jigar sahab ki jo mai ghazal post kar raha hu meri fav ghazal hai...

is ghazal ko ghulam ali ne bi gaya hai....
magar kuch tabdile kar di unhone....
meter halka modify kiya hai unhone

matla magar ek lafz badalne se badal gaya hai...
ek link deta hu..aap match karke dekhiye

http://www.radioreloaded.com/tracks/?10492

aur rahi ghazal jaise jigar sahab ne likhi thi..


saaqi par ilzaam na aaye
chaahe tujh tak jaam na aaye

yaha ghulam ali sahab ne gaya hai

saki pe ilzaam na aaye
chaahe mujh tak jaam na aaye

yaha 'tujh' ko 'mujh' kar diya hai....shayad ghulam ali ke hisaab se behtar ya ek general matlab nikalta ho....public consumption ke liye
adab me mana jata hai ki jab tak wazn ki bandish na ho...'pe' istemaal na kiya jaaye...agar wazn me dono 'pe' aur 'par' dono bandh ho to 'pe' se gurez karna chaiye...par use karna chaiye

tere sivaa jo kii ho muhabbat
merii javaanii kaam na aaye


ye sher hu ba hu adaa huaa hai

jin ke liye mar bhii gaye ham
vo chal kar do gaam na aaye

yaha ulaa me ghulam sahab ne gaya hai
jike liye to mar bhi gaye ham
'to' add kar diya hai...jisse meter poora hota hai....original shakl me shayad ghulam sahab se adaa nahi hua hoga.
jin 2 / ke 2 / li 1 / ye 1 / to 2 / mar 2 / bhi 2 / ga 1 / ye 1 / hum 2
arkaan 22 / 112 / 22 / 112
ab 'to' hai to akhir bharti ...shayad jigar sahab ne isse bachne ke liye wo takht khaali choda ho...magar gaate guye ghulam sahab se gaya nahi gaya shayad
agar koi ustaad shohra is par roshni daale to bada faida ho.
mai dheer sahab se guzarish karunga ki agar waqt mile to ye issue ko hame samjhaaye. kyuki mujhe lag raha hai ki is ghazal ka beher hi mai galat samjh raha hu ya is beher me koi exception ho jo mujhe pata nahi.....magar phir bhi ,agar aisa hota to ghulam sahab itna bada change kyu karte?...




ulaa me ghulam ali sahab ne 'kar' ko 'ke' kar diya hai....
wahi explanation alid lagta hai ki unka laga hoga public isse jyada accept kare


ishq kaa saudaa itanaa garaa.N hai
i.nhe.n ham se kaam na aaye

ye sher ghulam ali sahab ne nahi gaya ....

maiKhaane me.n sab hii to aaye
lekin "Jigar" kaa naam na aaye

ye sher bhi hubahu adaa hua hai....

Namaste Zidd SaHeb,
behad mamnoon huN ke aapne is naachiz ko is laayak samjha. magar aap bhee waqif haiN ke maiN koee ahl e ilm naheeN bal'k adnaa saa taalib e ilm huN. bahar_haal maiN is par tafseel se baad meN likhunga. filhaal ye hee kah sakta huN keh donoN he tarteebeN aam haiN aur Meer , Firaq, Jigar ke yahaaN dekhne ko mil jaatee hai.
abhee maiN ek behad zarooree kaam se apne hometown Udaipur aayaa huaa huN. waapas lauT kar aapke khat kaa misaaloN ke saath jawaab dunga. tab tak ijaazat chaahta huN.
khairandesh
Dheer
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#27)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
20th September 2010, 03:05 PM

Quote:
Originally Posted by dheer View Post
Namaste Zidd SaHeb,
behad mamnoon huN ke aapne is naachiz ko is laayak samjha. magar aap bhee waqif haiN ke maiN koee ahl e ilm naheeN bal'k adnaa saa taalib e ilm huN. bahar_haal maiN is par tafseel se baad meN likhunga. filhaal ye hee kah sakta huN keh donoN he tarteebeN aam haiN aur Meer , Firaq, Jigar ke yahaaN dekhne ko mil jaatee hai.
abhee maiN ek behad zarooree kaam se apne hometown Udaipur aayaa huaa huN. waapas lauT kar aapke khat kaa misaaloN ke saath jawaab dunga. tab tak ijaazat chaahta huN.
khairandesh
Dheer
jee dheer sahab....aapka shukriya ki aapne nazar daali...
ye sawaal karne ke baad maine kuch aur research kiya....
ab thoda sa ilm me aur izafa huaa hai is lihaaz se mera sawaal kuch badal gaya hai....aap jab bhi free honge aur jawaab denge jab ise bhi madde nazar rakhiyega...jisse ki hame (mujhe) jyada sejyada faida ho.

------------------------
actually do meter hai is type ke ab mujhe pata chala..dono alag alag...kyuki bahut milte julte hai so mai ek hi samjh baitha tha...isliye jigar shahab ke sher ne chauka diya.....magar confusion abhi bhi hai aap ho sake to clear kijiye use.

ek hai urdu meter mutadaarik musamman muzaaf maqtu, makhbuun
...jo hindi derived hai hi nahi
22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22
jisko mai hindi derived meter samajh raha tha abtak
and god gracious !!! atrociously dusra hai meer sahab ka meter ( hindi derived

22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 !!!!!!!!!!

mutadarik ( and variations) me odd takhtaa toDa gaya hai (2=1+1)

aur

meer sahab ke meter me even takhta ( except last syllable) toDa gaya hai !!!!(2=1+1)


ab sawaal ye hai ki ek hi ghazal me dono possible hai kya? dheer sahab.
interchangeably istemaal karna?...aur jo mai ab samjha hu vo bhi sahi hai kya?.............

to jo ham discuss kar rahe the

jin 2 / ke 2 / li 1 / ye 1 / to 2 / mar 2 / bhi 2 / ga 1 / ye 1 / hum 2

vo ab aise dikh raha hai meter conform karne ke liye..stress change ho gaya

jin 2 / ke 1 / li 1/ to 2 / mar 2 / bhi 1 / ga 1 / ye 2 / hum 2

aap roshni daaliye in sab baato par sahab...
ab poori ghazal sahi dhache me dikh rahi hai hindi meter ke

regards

ek baat aur sahab ...kya ye sher jayaz hai phir is meter me?

patthar kaa[ye hai] au[r ki]si[ne vo]zakh[m the] me[re hi] chehre par=20
anjaane me mara patthar maine apne aaiine par=16

kya is tarah do misro me takta itna agee peeche jaaye to kya jayaz hai( sher ki quality par mat jaiye ..sirf tecnical side bayaa karne ke liye zabardasti baandha hai)

regards

Last edited by zidd; 20th September 2010 at 03:35 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
22nd September 2010, 02:06 AM

Quote:
to jo ham discuss kar rahe the

jin 2 / ke 2 / li 1 / ye 1 / to 2 / mar 2 / bhi 2 / ga 1 / ye 1 / hum 2

vo ab aise dikh raha hai meter conform karne ke liye..stress change ho gaya

jin 2 / ke 1 / li 1/ to 2 / mar 2 / bhi 1 / ga 1 / ye 2 / hum 2
jin 2 / ke 1 / li 1/ ye 2 / to 2 / mar 2 / bhi 1 / ga 1 / ye 2 / hum 2



Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Old
  (#29)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
22nd September 2010, 09:41 AM

tujhii se ibtadaa hai tuu hii ik din i.ntahaa hogaa
sadaa-e-saaz hogii aur na saaz-e-besadaa hogaa

hame.n maaluum hai ham se suno mahashar me.n kyaa hogaa
sab us ko dekhate ho.nge vo hamako dekhataa hogaa

sar-e-mahashar ham aise aasiyo.n kaa aur kyaa hogaa
dar-e-jannat na vaa hogaa dar-e-rahamat to vaa hogaa

jahannum ho ki jannat jo bhii hogaa faisalaa hogaa
ye kyaa kam hai hamaaraa aur us kaa saamanaa hogaa

nigaah-e-qahar par hii jaan-o-dil sab khoye baiThaa hai
nigaah-e-mehar aashiq par agar hogii to kyaa hogaa

ye maanaa bhej degaa ham ko mahashar se jahannum me.n
magar jo dil pe guzaregii vo dil hii jaanataa hogaa

samajhataa kyaa hai tuu diivaanaagaanaa-e-ishq ko zaahid
ye ho jaaye.nge jis jaanib usii jaanib Khudaa hogaa

"Jigar" kaa haath hogaa hashr me.n aur daaman-e-hazarat
shikaayat ho ki shikavaa jo bhii hogaa baramalaa hogaa


-- Jigar Muradabadi




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#30)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
22nd September 2010, 08:37 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
jee dheer sahab....aapka shukriya ki aapne nazar daali...
ye sawaal karne ke baad maine kuch aur research kiya....
ab thoda sa ilm me aur izafa huaa hai is lihaaz se mera sawaal kuch badal gaya hai....aap jab bhi free honge aur jawaab denge jab ise bhi madde nazar rakhiyega...jisse ki hame (mujhe) jyada sejyada faida ho.

------------------------
actually do meter hai is type ke ab mujhe pata chala..dono alag alag...kyuki bahut milte julte hai so mai ek hi samjh baitha tha...isliye jigar shahab ke sher ne chauka diya.....magar confusion abhi bhi hai aap ho sake to clear kijiye use.

ek hai urdu meter mutadaarik musamman muzaaf maqtu, makhbuun
...jo hindi derived hai hi nahi
22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22
jisko mai hindi derived meter samajh raha tha abtak
and god gracious !!! atrociously dusra hai meer sahab ka meter ( hindi derived

22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 / 22 !!!!!!!!!!

mutadarik ( and variations) me odd takhtaa toDa gaya hai (2=1+1)

aur

meer sahab ke meter me even takhta ( except last syllable) toDa gaya hai !!!!(2=1+1)


ab sawaal ye hai ki ek hi ghazal me dono possible hai kya? dheer sahab.
interchangeably istemaal karna?...aur jo mai ab samjha hu vo bhi sahi hai kya?.............

to jo ham discuss kar rahe the

jin 2 / ke 2 / li 1 / ye 1 / to 2 / mar 2 / bhi 2 / ga 1 / ye 1 / hum 2

vo ab aise dikh raha hai meter conform karne ke liye..stress change ho gaya

jin 2 / ke 1 / li 1/ to 2 / mar 2 / bhi 1 / ga 1 / ye 2 / hum 2

aap roshni daaliye in sab baato par sahab...
ab poori ghazal sahi dhache me dikh rahi hai hindi meter ke

regards

ek baat aur sahab ...kya ye sher jayaz hai phir is meter me?

patthar kaa[ye hai] au[r ki]si[ne vo]zakh[m the] me[re hi] chehre par=20
anjaane me mara patthar maine apne aaiine par=16

kya is tarah do misro me takta itna agee peeche jaaye to kya jayaz hai( sher ki quality par mat jaiye ..sirf tecnical side bayaa karne ke liye zabardasti baandha hai)

regards

Zidd Saheb, Namaste!
taakheer ke liye mazaarat_khwaah huN. din ba din aapkee tarakkee dekh kar behad khushee hotee hai. bhagwan kare aap ilm kee bulandiyoN kee chhueN.


aapke sawaaloN ke jawaab dene kee koshish kar rahaa huN. jahaaN tak kisee bhee beh'r (meter) kaa sawaal hai, kahaanee ibtidaa taa intehaa ek lafz par Tikii hai. woh hai "rawaanagee". agar sher rawaaN hai to use koee nah koee meter khapaa hee legaa , chaahe wo 'Mir' kaa meter ho yah phir woh behr e mutdaarik hoN.


mujhe lagtaa hai ek hee sher, ghazal yah misre meN donoN tarah kee flexibility kaa istemaal (even and odd mixing of breaking the long sylable) naheeN kiyaa jaa saktaa. yeh to yuN huaa kee do behroN ko ek hee saath istemaal kiyaa jaaye. behreN dhun aur rawaangee se hee classify hotee hai.
do long sylables ke beech kaa long sylable break kiyaa jaa sakta hai. yaane ke '11' ke aage yah peechhe koee aur '11' naheeN aasaktaa. 2 continous '11' breaking ke beech ek long sylable honaa hee chaahiye. iska ye matlab huaa ke agar aisee mixing possible hogee bhee to woh 2X (16 araakaan) meN hee ho saktee hai. misaal ke taur par Jigar saHeb ke hee sher lete haiN,

allaah agar taufeeq nah de insaan ke bas kaa kaam naheeN,
faizaan e muhabbat aam sahee, irfaan e muhabbat aam naheeN!

ye toone kahaa kyaa ai naadaaN, faiyaazee e qudrat aam naheeN,
too fikr e nazar to paidaa kar, kyaa cheez hai jo iinaam naheeN!

2 2 11 2 / 2 2 11 2/ 2 2 11 2/ 2 2 11 2 (odd breaking)


jehl e khirad ne din ye dikhaaye,
ghat gaye insaaN, baDh gaye saaye!

2 11 2 2 / 2 11 2 2 (even breaking)


ab agar maiN pehle waale sher ke saath ek sher aisaa joDtaa huN jahaaN aisee mixing hai,


allaah agar taufeeq nah de insaan ke bas kaa kaam naheeN,
faizaan e muhabbat aam sahee, irfaan e muhabbat aam naheeN!

ye toone kahaa kyaa ai naadaaN, faiyaazee e qudrat aam naheeN,
jehl e khirad ne din ye dikhaaye, kyaa cheez hai jo iinaam naheeN!


yahaaN doosre sher ke misra e saanee kee breaking hai,

jehl e khirad ne din ye dikhaaye, kyaa cheez hai jo iinaam naheeN!
2 11 2 2 / 2 11 2 2 / 2 2 11 2 / 2 2 11 2


ab aap khud hee donoN sheroN ko padhenge to paayenge ke doosre sher kaa masra e caanee khaarij e wazn hai. kyoN'k woh rawaaN hee naheeN hai.

so aapke doosre sawaal kaa bhee broadly ye hee jawaab hai ke , jahaaN tak rawaangee aapko ijaazat de lafzoN ke saath toR-maroR ya heraa pheree kee jaa saktee hai, us se ziyadah kuchh naheeN.



aapne Jigar saHeb ka ek sher likhaa hai,
jin ke liye mar bhii gaye ham
vo chal kar do gaam na aaye


yeh khaarij e wazn lag rahaa hai. agar pehle misre ko wazn me lene ke liye, 'liye' ko 'leeye' paDhnaa hogaa, jo ke ghalat hai. badqismatee se mere paas rakhee kitaab meN ye ghazal naheeN hai. maaloomaat kar ke asl sher darj karuNga jismeN deree ho saktee hai.

aapne likhaa hai,
patthar kaa[ye hai] au[r ki]si[ne vo]zakh[m the] me[re hi] chehre par=20
anjaane me mara patthar maine apne aaiine par=16

yahaaN pehlaa misra aap saaf likh de to maiN kuchh kah saktaa huN. 16 aur 20 se kyaa aap total weight (kul araakaan) kee or ishaaraa kar rahe haiN?


khair! mere khayaal se pehle jawaab se hee baat saaf ho gayee hogee. waise 'Mir' ke meter meN kaafee toD-maroD hai.

jaisaa ke maine pehlee bhee likhaa ki arooz meN meraa haath tang hai. maine mehz apne mehdood ilm ke mutaabiq ye baateiN kahee hai aur yeh ghalat bhee ho saktee haiN. apnaa khayaal rakhiyegaa.

khairandesh
Dheer
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
kalaam e Jigar
Old
  (#31)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
kalaam e Jigar - 22nd September 2010, 08:46 PM

jab is post par aa hee gayaa to sochaa ke Jigar saHeb ke do behtareen kalaam pesh kartaa chaluN,

1.


na taab e mastee, nah hosh e hastee keh shukr e nemat adaa kareNge,
khizaa meN jab hai yeh apnaa aalam, bahaar aayee to kyaa kareNge!

har ek gham ko farogh dekar yahaaN tak aaraasataaN kareNge,
wahee jo rahte haiN door ham se, khud apnee aagosh waa kareNge!

jidhar se guzrenge sarfaroshaanaa kaarnaame sunaa kareNge,
woh apne dil ko hazaar roke, miree muhab'bat ko kyaa kareNge!

nah shukr e gham zer e lab kareNge,nah shikwa e barmalaa kareNge,
jo ham pe guzregee dil hee dil meN, kahaa kareNge, sunaa kareNge,

yeh zaahree jalwa haaye rangeeN fareeb kab tak diyaa kareNge!
nazar kee jo kar sake nah taskeeN we dil kee taskeen kyaa kareNge,

wahaaN bhee aaheN bharaa kareNge,wahaaN bhee naale kiyaa kareNge!
jinheN hai tujhse hi sirf nisbat, woh teree jan'nat ko kyaa kareNge,

naheeN hai jinko majaal e hastee,siwaaye iske woh kyaa kareNge,
keh jis zameeN ke haiN basane waale, use bhi ruswaa kiyaa kareNge!

ham apnee kyoN tarz e fik'r choRe, ham apnee kyoN waz'a khaas badaleN,
keh inqilaabaat e nau ba nau to huaa kiye haiN huaa kareNge!


2.
allaah agar taufeeq nah de insaan ke bas kaa kaam naheeN,
faizaan e muhabbat aam sahee, irfaan e muhabbat aam naheeN!

ye toone kahaa kyaa ai naadaaN, faiyaazee e qudrat aam naheeN,
too fikr e nazar to paidaa kar, kyaa cheez hai jo iinaam naheeN!

yaarab ye maqaam e ishq hai kyaa, go daadah e dil naakaam naheeN,
taskiin hai aur taskiin naheeN, aaraam hai aur aaraam naheeN!

aanaa hai jo bazm e jaanaaN ke, pindaar e khudee ko toR ke aa!
ai hosh o khirad ke deewaane, yaaN hosh o khirad kaa kaam naheeN!

ishq aur gavaaraa khud kar le, be-shart shikast e faash apnee,
dilkee bhii kuchh unke saajish hai, tanhaa ye nazar kaa kaam naheeN!

shukriyaa
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#32)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
23rd September 2010, 04:54 PM

dheer sahab namaste....

aapka behad shukraguzaar hu ke aap waqt de paaye ..aur apne nazariyaat pesh kiye....

dar asl aat ye ki maine aapka ek tabsirah dekha 'jaadunagri wala' post par....
aur dekha ki aapne unke khayaalaat aur adaigi par apni rai di hai....magar meter ke baare kuch nahi kaha....jabki mujhe pata hai ki agar koi beherand ghazal likhta hai aur agar aap tabsirah karte hai to wazn ko bhi durut kar dete hain...

ab mas'alaa ye paida hua ki ek misra usme saalim...poora mutharik ...
so maine use hindi meter samjh liya....mmagar mazaaf shakl me alag aur saalim shakal me hu ba hu ek hon...aise do meter hai mujhe pata nahi tha us samay....

ab ek m\misra e ulaa to saalim tha magar baki sab me (1 chod kar) sab misra me ek taktaa kam chal raha hai.....writer ko benefit of doubt dete huye(kyuki aslam sahab generally mistake nahi karte) maine hi khench diya usse..ab huaa ye ke odd aur even break ka mixture ho gaya...socha aapse waha poochunga magar phir bhool gaya....

itne me aa gaya shayar of the month....jab jigar post ki to ek misra atpata laga...phir ghulam ali sahab ka rendition suna , to dekha ki kaafi farq hai...ab masla ye paida hua ki even break kaise hai? odd break hona chaiye tha...jab jakar pata chala ki ek hi saalim beher alag alag shkal liye huye hai.....!!
phir wapas pahucha aslam sahab ke post, par to dekha ki break sahi hai magar ab syllable kam ho gaya..

i wajah e aapse sawaal kiya ki dono ka usage jayaz hai ek saath kyuki saalim beher ek hi hai aur pure form me poori tarah se mutharik hai

aapke islaah ka bahut bahut shukriya...
agee bhi aate rahenge aapke darbaar me

regards
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
ek pal
Registered User
ek pal is a jewel in the roughek pal is a jewel in the roughek pal is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Jun 2010
Location: rohini delhi
Rep Power: 16
23rd September 2010, 11:38 PM

अगर न ज़ोहरा जबीनों के दरमियाँ गुज़रे
तो फिर ये कैसे कटे ज़िन्दगी कहाँ गुज़रे

जो तेरे आरिज़-ओ-गेसू के दरमियाँ गुज़रे

कभी-कभी तो वो लम्हे बला-ए-जाँ गुज़रे

मुझे ये वहम रहा मुद्दतों के जुर्रत-ए-शौक़

कहीं ना ख़ातिर-ए-मासूम पर गिराँ गुज़रे

हर इक मुक़ाम-ए-मोहब्बत बहुत ही दिल-कश था

मगर हम अहल-ए-मोहब्बत कशाँ-कशाँ गुज़रे

जुनूँ के सख़्त मराहिल भी तेरी याद के साथ

हसीं-हसीं नज़र आये जवाँ-जवाँ गुज़रे

मेरी नज़र से तेरी जुस्तजू के सदक़े में

ये इक जहाँ ही नहीं सैकड़ों जहाँ गुज़रे

हजूम-ए-जल्वा में परवाज़-ए-शौक़ क्या कहना

के जैसे रूह सितारों के दरमियाँ गुज़रे

ख़ता मु'आफ़ ज़माने से बदगुमाँ होकर

तेरी वफ़ा पे भी क्या क्या हमें गुमाँ गुज़रे

ख़ुलूस जिस में हो शामिल वो दौर-ए-इश्क़-ओ-हवस

नारैगाँ कभी गुज़रा न रैगाँ गुज़रे

इसी को कहते हैं जन्नत इसी को दोज़ख़ भी

वो ज़िन्दगी जो हसीनों के दरमियाँ गुज़रे

बहुत हसीन सही सुहबतें गुलों की मगर

वो ज़िन्दगी है जो काँटों के दरमियाँ गुज़रे

मुझे था शिक्वा-ए-हिज्राँ कि ये हुआ महसूस

मेरे क़रीब से होकर वो नागहाँ गुज़रे

बहुत हसीन मनाज़िर भी हुस्न-ए-फ़ितरत के

न जाने आज तबीयत पे क्यों गिराँ गुज़रे

मेरा तो फ़र्ज़ चमन बंदी-ए-जहाँ है फ़क़त

मेरी बला से बहार आये या ख़िज़ाँ गुज़रे

कहाँ का हुस्न कि ख़ुद इश्क़ को ख़बर न हुई

राह-ए-तलब में कुछ ऐसे भी इम्तहाँ गुज़रे

भरी बहार में ताराजी-ए-चमन मत पूछ

ख़ुदा करे न फिर आँखों से वो समाँ गुज़रे

कोई न देख सका जिनको दो दिलों के सिवा

मु'आमलात कुछ ऐसे भी दरमियाँ गुज़रे

कभी-कभी तो इसी एक मुश्त-ए-ख़ाक के गिर्द

तवाफ़ करते हुये हफ़्त आस्माँ गुज़रे

बहुत अज़ीज़ है मुझको उन्हीं की याद "जिगर"

वो हादसात-ए-मोहब्बत जो नागहाँ गुज़रे

जिगर मुरादाबादी


SANDEEP KUMAR



email: sandeep0305@yahoo.in
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
ek pal
Registered User
ek pal is a jewel in the roughek pal is a jewel in the roughek pal is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Jun 2010
Location: rohini delhi
Rep Power: 16
23rd September 2010, 11:41 PM

हाँ किस को है मयस्सर ये काम कर गुज़रना
इक बाँकपन से जीना इक बाँकपन से मरना

दरिया की ज़िन्दगी पर सदक़े हज़ार जानें

मुझ को नहीं गवारा साहिल की मौत मरना

साहिल के लब से पूछो दरिया के दिल से पूछो

इक मौज-ए-तह-नशीं का मुद्दत के बाद उभरना

जो ज़ीस्त को न समझे जो मौत को न जाने

जीना उन्हीं का जीना मरना उन्हीं का मरना

जिगर मुरादाबादी


SANDEEP KUMAR



email: sandeep0305@yahoo.in
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
ek pal
Registered User
ek pal is a jewel in the roughek pal is a jewel in the roughek pal is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Jun 2010
Location: rohini delhi
Rep Power: 16
23rd September 2010, 11:43 PM

शायर-ए-फ़ितरत हूँ मैं जब फ़िक्र फ़र्माता हूँ मैं
रूह बन कर ज़र्रे-ज़र्रे में समा जाता हूँ मैं

आ कि तुझ बिन इस तरह ऐ दोस्त घबराता हूँ मैं

जैसे हर शै में किसी शै की कमी पाता हूँ मैं

जिस क़दर अफ़साना-ए-हस्ती को दोहराता हूँ मैं

और भी बेग़ाना-ए-हस्ती हुआ जाता हूँ मैं

जब मकान-ओ-लामकाँ सब से गुज़र जाता हूँ मैं

अल्लाह-अल्लाह तुझ को ख़ुद अपनी जगह पाता हूँ मैं

हाय री मजबूरियाँ तर्क-ए-मोहब्बत के लिये

मुझ को समझाते हैं वो और उन को समझाता हूँ मैं

मेरी हिम्मत देखना मेरी तबीयत देखना

जो सुलझ जाती है गुत्थी फिर से उलझाता हूँ मैं

हुस्न को क्या दुश्मनी है इश्क़ को क्या बैर है

अपने ही क़दमों की ख़ुद ही ठोकरें खाता हूँ मैं

तेरी महफ़िल तेरे जल्वे फिर तक़ाज़ा क्या ज़रूर

ले उठा जाता हूँ ज़ालिम ले चला जाता हूँ मैं

वाह रे शौक़-ए-शहादत कू-ए-क़ातिल की तरफ़

गुनगुनाता रक़्स करता झूमता जाता हूँ मैं

देखना उस इश्क़ की ये तुर्फ़ाकारी देखना

वो जफ़ा करते हैं मुझ पर और शर्माता हूँ मैं

एक दिल है और तूफ़ान-ए-हवादिस ऐ "ज़िगर"

एक शीशा है कि हर पत्थर से टकराता हूँ मैं

जिगर मुरादाबादी


SANDEEP KUMAR



email: sandeep0305@yahoo.in
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com