Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
wo kaagaz ki kasthi
Old
  (#1)
kaatil
Registered User
kaatil will become famous soon enoughkaatil will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 16
Join Date: Dec 2002
Location: Mumbai INDIA
Rep Power: 0
wo kaagaz ki kasthi - 15th April 2003, 03:20 PM

ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo
bhale cheen lo muJhse meri jawaani
magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

mohalle ki sabse nishaani purani
wo buDhiya jise bachche kehte the naani
wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera
bhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
wo choti see raateN wo lambi kahaaNi

kaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna
wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna
wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna
wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa
wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe
wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani

kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana
gharOnde banana, banaake miTaana
wo maasoom chaahat ki tasveer apni
wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni
na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
baDi khoobsoorat thi wo zindgaani
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Rani
Registered User
Rani is on a distinguished road
 
Rani's Avatar
 
Offline
Posts: 124
Join Date: Apr 2003
Location: Canada
Rep Power: 22
20th April 2003, 02:38 AM

Salaam.


Kaatil

magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani


ye tho meri fav poem hai.Very nice.
w/s

Rani


Log Kehtein hain mujhe aadat hai muskurane ki,
Par woh yeh nahi jaante ki yeh bhi ek adaa hai gam chupaane ki.
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kashtii-e-kaagaz sahar-e-noor Aapki Shayri 2 17th March 2007 08:48 PM
~~kaagaz Pe Chehre~~ deep_in_ur_hear Shayri-e-Ishq 4 10th December 2005 12:52 PM
wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani nisar Ghazal Section 1 24th December 2003 05:46 PM
Kora Kaagaz newshayar Shayri-e-Dard 2 27th July 2003 04:01 PM
Dil ke kaagaz pe..... shumaila Shayri-e-Dard 0 30th September 2001 04:09 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com