Banno ji
mujhe is baat ki khushi hui ki mere dard ne kisi ko khush kar diya
waqt, ohr taareef ke bahot bahot shukriya!
Paplu saahab
sach kaha hai aapne yaar! na uski badnaamii seh sakte haiN, ohr na uski bewafaaii..
behad khush hua ki aapko mera lehk pasand aaya; dhanyavaad!
Zeba ji
taareef ki zaroorat nahiiN zeba ji, bas aapne isse paDa, aur waqt lagaa kar kuch lafz baaNTe, yehi bahot hai =)
maiN aapka shukr-guzaar huuN..
Meri sanam
maut ke bina meri pareshaani, mera dard, ohr mere jeevan ka ant nahiiN ho sakta, is liye maut hi sabse pyaari hai.
waise yaar, aapne mere dil ki baat kehe di.. maiN bhi logoN ko yehi kehna chahta huuN, ki jab tak shareer meiN yehi 'aatma' hai, tab tak maiN nahiiN badal sakta.
ghazal pasand farmaane ka behad shukriyaH!
aap sabne waqt lagaa kar hausla baDhaaya, is baat ka ehsaan yaad rakhuuN ga.
thanks once more,
aman