Aadab baja laata hoon dosto^n.
Aaj phir aapki mehfil haazir hua hoon, dil hi nahi manta ,
kya karoo^n .
Dil lage deewar se to pari kya kare.
Aaj phir mai aapke samne ek ghazal pesh karne jaa raha hoon.
Ummid hai aap pasand karenge .
Aap ke mashwaron ka talabgaar hoon.
Aur mujhe yaqen hai aap apni keemti tanqeeda se mujhe zaroor nawazenge.
Abb bhi uss bewafa pe mar raha hoo^n dosto^n
Aaj bhi uss bewafa pe mar raha hoo^n dosto^n.
Yeh khata to hai par khata kar raha hoo^n dosto^n.
Hai! kya mujh ko hua,kya kar raha hoo^n dosto^n.
Apne iss rang-junoo^n se dar raha hoo^n dosto^n.
Kya yehi hai zindagi, jeena isi kaa naam hai.
Qatra-qatra, jasta-jasta mar raha hoo^n dosto^n.
Jarayat izhaar se naa-aashnaa lab ho gaye.
Aane wali sa-ato^n se dar raha hoo^n dosto^n.
Yeh karam bhi ba-raha sahna pada hai aapka.
Apne ghar me hi be-ghar raha hoo^n dosto^n.
Hum-pyala jo the saare, bazm se uthne lage.
Aakhiri aab-e-jaam apna bhar raha hoo^n dosto^n.
Jaane kya-kya dekhna din aur baqi hai "rumi".
Har qiss-wa-naqiss ka dam ,abb bhar raha hoo^n dosto^n.
==============================================
==============================================
Abb ijazat dijia.