its my deep own creation & feelings -
28th September 2009, 03:28 PM
Ek din ki subah ne kaha -aap kaha ho,
dusari taraf se aawaz aayi -is waqt main dub rahi hoon apne yakin me,
itne me upar se aawaz aayi - main wo aasmaan hoon jaha tum dono ki dosti hue thi.
Meri pahchaan unse hai,
lekin usne mujhko dekha hi nahi,
roz milte hai ham unse dhoop chava bankar,
phir bhi wo kahte hai yeh to maine socha hi nahi,
aaj dekhana aayene me mera aks hoga,
jis aapne dekha yeh wahi shaks hoga.
Ek baat-apne matlab ki,
ek ada -sabi ko lubhane ki,
ek yaad - aache aahsas ki,
aur
ek dosti- sirf wafadari ki,
bas yahi dua hai hamari imaandari ki.
Roz ye din aata jata hai insan wahi raha jata hai,
kitni sadiya beet gayi meri aakho me ,
phir bhi har bar main uhi chhoot gaya,
jab likha waqt ne apna itihaas to,
usne mujhe raat aur din me baat diya.
Aaaj bhi zindagi me saadagi bhari shaam hai,
waqt ke saath aata tera naam hai,
main to jaan dekar nibhaya hai rista,
phir kyon jahan me log karte badnaam hai.
Ajay Nidaan (09630819356)
http://www.anidaan.@gmail.com
All right reserved with Poet@Ajay nidaan
Kisi ek chehare ki talash me bhatakti rahee zindagi
par mila nahi zindagi ko apni pahchaan ka chehara.
Last edited by ajay nidaan; 28th September 2009 at 03:31 PM..
|