Quote:
Originally Posted by maikasH
Madhu ji, namaskaar
pehli baar aapko padhne ka fakhr haasil hua hai (jee, Ye meri nalaayiqui hai) aur yaqeen jaaniye aapki is kaavish se bohat mutaasir hua hooN
daad aur mubarakbaad par aapka haq sau fee sadi ban'ta hai to qabool kijiye
mashq jaari rakhiye, aap bohat khoob likhti haiN
Rab raakha
Maikash
|
Adaab maikash ji...
Sabse pahle to mafi chahti hoon ki..itni der se jawaab de rahi hoon...aaj achanak nazar padi to behad sharmindgi huyi ki aap jaise aala hazrat mere kalaam par aaye aur main shukriya ada karna bhi bhool gayi.....
aapko mera ye mamooli sa kalaam pasand aaya te meri khushkusmti hai janaab...yakeen maniye aapki daad ne hausla dugna kar diya hai.....bahut shukriya aapka...
Apna keemti vaqt nikal kar aate rahiyega yahi guzarish hai aapse..
Mashq beshak jaari rahega......
salamat rahein..