Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ek PrashN
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Question Ek PrashN - 27th November 2002, 04:02 PM

Wo Kon Hai ?

Roj Jhukta hai sar uske aage
Jiska koi namo nishaaN nahi,
Kuchh to hai, kaheeN to hai
Apne paas uski koi pehchaan nahi,

Wo vishaal hai to kitna
Kya parvat sa nazar aata hai,
Ya itna sukchhM (Chota)hai jaise
Kali me paraag chup jaata hai,

Wo itna jatil to nahi ke
Ke pustak se shabdoN tak seemit ho,
Ya itna saral bhi nahi ke
Paani sa behta nazar aata ho,

Shaayad wo ham sab me ho
JhaaNkeiN apne man ke darpan me,
Hamaare har karm me shaayad
Uska yogdaan nazar aata ho,

Gar har achaai me shaamil hai wo
To buraai me bhi uska kuchh haath hoga,
Kabhi mujhe dukh se ubaarega to kabhi
Mere dushman ke saath hoga.


Chaand

Mujhe taalaash hai us maalik ki
Kehte haiN jo kan-kan me rehta hai,
Phir kyoN hai itni naasamjhi sansaar mai
Gar wo hamaare itna kareeb rehta hai

Jaanta hooN uska koi waada nahi hamse
Par us.se kuchh to ummeed rehti hi hai,
Shaayad khabar hai hamko wo sabki khabar rakhta hai,
Yahi soch kar lagta hai usko
Kya hamaari bhi khabar rehti hai ?


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
ab sambandhon ke prashn phir nahee ayenge masoomshayer Hindi Kavitayen 6 8th May 2006 07:33 PM
mrinal ka matlab= dost amen rahi ka prashn mrinal Anjuman-e-Shayri 6 24th March 2006 04:12 PM
khud se ek prashn garima Shayri-e-Dard 16 17th April 2005 05:49 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com