Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > English/Hindi/Other Languages Poetry > Hindi Kavitayen

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
thodi-thodi MUSKURAAHAT...!!
Old
  (#1)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
thodi-thodi MUSKURAAHAT...!! - 18th June 2010, 02:16 AM

Dairy ke bahut hi puraane panno se nikaali ek aur kavita saamne rakh raha hooN, aksar ye hota hai ki hum apni zindagi me, uski uljhanon me, apne daayitvon me, kaam me, zindagi ki un choti choti khushiyon ko nahin jee pate jo indagi hum par nyochavar karti hai,bas usi baat ko yaad dilaane ki kosish ki hai is kavita ke dwara....!!



Zindagi me bahut gamn hain,phir bhi magar,
Thoda-thoda sa tum muskurate raho.
Saamne aaye laharen parlay ki magar,
Kasti jeevan ki tum chalate raho.

Aaj kal zindagi me bahut dwand hai,
Mana chalne ke rashte bhi bandh hain.
Kaali-kaali ghatayen hat jayengi,
Tum kosish ke diye jalate raho.

Baadalon ki tarah tum garajte rahe,
Bijliyon ki tarah tum chamakte rahe.
Kayal hoga jamana tumhara bhi,
Aansuon ko moti tum banate raho.

Manjilen to tumhari door hain,
Haath paaun chalne ko majboor hain.
Ikcha agni tumhari bahut hai prabal,
Haule-haule ise sulgate raho.

Aaine me tumhari jo tasveer hai,
Wakai kya tumhari yahi takdeer hai.
Rukh hawa ka agar mod na sako,
Usme thodi-thodi khusboo milate raho.

Zindagi ek paheli hai sansaar me,
Yahan sab kuch bikta hai baazaar me.
Rakhte-rakhte bahut din ab ho chuke,
Thodi-thodi si khushiyan lutate raho.

Zindagi saans lene ka nahi naam hai,
Tujhko apne siwa bhi kayi kaam hain.
Patharon ki tarah bahut jiya zindagi.
Mom bankar bhi khud ko pighlate raho.

Rashton par abhi tak bhatakte rahe,
Kuch na kuch dusaron se jhatakte rahe.
Chalna phirna sugam ho sabhi ke liye,
Path ke kaanton ko kuch hatate raho.

Dooriyan kam huin,faasle badh gaye,
Oonchi umeedon ke manjil gadh gaye.
Bheed ke beech me kyun tanha ho tum?
Apne saathi ko rahbar banate raho.

Kabhi tumhe dekh kar bhi dard hota hai kisi ko,
Tumse bhi shayad mohabbat hogi kabhi usko.
Yahi soch kar tum khud ko rone se rok lo,
Aur zindagi pe thoda-thoda muskurate raho.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Niceeee
Old
  (#2)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile Niceeee - 26th June 2010, 12:07 AM

Hello Lucky Ji, ek baar fir aapki kavita nazar mai aayi ... waise to is par reply pahele hi kar chuki hoon Dard ke forum mai .. par yahaan fir reply de rahi hoon ...Just want to say the same thing whatever i have said it before ... Ji bahot pyaari hai ... fir padhi tab bhi utani hi achchhi lagi jitani achchhi paheli baar lagi thi ... heart touching ...

Bhagwaan Ji aapko hammesha khush rakhe,

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe.


------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.



  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com