damini ki daastan -
26th September 2013, 01:26 AM
Aye damini, main likh na sakunga, teri daaman ki daastan,
mujhe dar hain, ki meri kalam,
kahin khoon ke aanso na ro de.
Is kadar khela hai haivaniyat ka khel,
mujhe dar hai, ki woh zinda hokar bhi,
phirse apni saanse na kho de,
un dehshat bhari galiyon se, agar ab hui ravaangi,
mujhe dar hain, ki Ek aur masoom,
apni abroo na kho de,
vo haadsa nahi tha damini,
khuda ki berahmi thi,
mujhe dar hain ki ek jogan,
khuda ki bandgi na chod de,
tum zinda ho ,zinda rahogi,
mere dil ki kitabo mein,
par mujhe dar hain, ki dusht hawayein,
sehma sa koi naya panna na jod de.
Aye damini, main likh na sakunga, teri daaman ki daastan,
mujhe dar hain, ki meri kalam,
kahin khoon ke aanso na ro de.
|