Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
zazbaato ki barsaat
Old
  (#1)
pursho
Registered User
pursho is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 58
Join Date: Sep 2013
Rep Power: 11
Love zazbaato ki barsaat - 25th September 2013, 05:26 PM



muqamal ye hasratein hain,
ya masoom dil ki nadani hain,
aankho mein nami hain,
ya sharaarat bhara paani hain,
jo samjajh saka na koi,
vo teri-meri kahani hain,

Agar roshan ye kaynaat, suraj se hain,
Toh chaand se bhi hona hain,
Agar jawa tu kudrat se hain,
toh mohabbat se bhi hona hain,


baaghon ke chilman mein,
bhanwaron ko basar hona hain,
chirag-e-nigahon se,roshan yeh dil ho,
Aisa lamha toh hona haain,

ek hasin lamhe ke khaatir,
ek hasin lamhe ko to khona hain,
Bechain hain dharti is kadar,
ke baadal ko toh hona haain,

Jo duayein maangi jaati hain mandir mein,
unhe masjid mein sajda bhi hona hain,
tere zazbaato se toh bheega main,
apne khayalon se tere zehan ko peerona hain,

ke nafrato ki roohon par mohabbat ka mod aaye,
Aisa nazaara ek din toh hona hain,
Ke mohabbat ki patang ko, ishq ki udaan aaye,
Aisi hawaon ko bhi guzar hona hain,

mehkte phool ka rishta,
titli se to hona hain,
Agar RAANJHE par sitam aye,
Toh Heer ko toh rona hain..

naye dardo ke khatir,
phir dil ko ghayal hona hain
Un bewafa yaadon ko ,
Ashko se dhona hain,

apni zameen ke zameendaar,
waqt ka ghulam toh hona hain,
aasman mein udaan bharne waale,
Ek din mitti mein bhi hona hain,

mujhe tanha karne waale,
Tujhe bhi akele ruksar hona hain,
mere Dil ke aine mein,
teri tasveer ka toh hona hain,

Aashik ke shaabdkosh mein,
Alfaas mohabbat ka to hona hain,
Jo baato se na kaha jaye tarana,
Ek din aankho se zikar hona hain,



Kamjor rahoo par, toofano ka toh hona hain,
Agar faulad hain kadam,
Toh sailab ko bhi sona hain,

Sach ke samaksh, Jhoot ko Benaqaab hona haain,
roothne -manane ka silsile ke darmiyan,
berukhi ke andhero ko toh aaftab hona hain,

Bereham ho dhadkan,
Toh dil ko faqir hona hi hain,
Imaan ke khayalat se,
Izzat ko aamir hona hi hain,

agar samandar hain,
saahil ka toh hona hain,
Mohabbat ki talaash mein,
banzaare-dil ko toh Khona hain,


lehraati hui imaarrto ke liye ,
mazboot buniyad ka to hona hain,
Ghalib ki ghazal ho toh,
Irshaad toh hona hin...


Ghazal PURSHO(my name) ki ho toh,
dil ka khat us paar honi hi hain,
tere zehan mein utri ho agar,
toh PURSHO se pyar honi hi hain.

Agar khiwayiaa ho pursho,
TOh kashti ka us paar hona hi hain,
tumhari duyaye agar saath hain,
to banzar ko bhi gulzaar hona hi hain.




Irshaad Irshaad







































Last edited by pursho; 25th September 2013 at 05:29 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
25th September 2013, 10:30 PM

Ahchhee nazm kahi Pursho ji .... kayee dilchasp morh the is mein
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com