Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
janab "shaad" bilgavi
Old
  (#1)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
janab "shaad" bilgavi - 24th September 2005, 03:05 PM

salam ..ahal-e-bazm...in dinon ek bujurg se mulakat hui bala ke hunarmand ...sin rasida tohai magar naseh nahin...naam unka "shaad" hai ..... unhin ki kuch nihayat khudsurat ghazalon ke saath ..main aapka bhita-aruf unse kara deta hoon...

hazar baar manane se kuch nahin hota
to jao rud jane se kuch nahin hota

jo milna chaho to milne ke sau bahane hai
yunhin bahane banane se kuch nahin hota

tumhare baad mere ghar mein roshani na hui
hazar shamme jalane se kuch nahin hota

zamana kahata hai hum kuch bhi nahin kar sakte
jo hum na ho to zamane mein kuch nahin hota .....


-------------------------------#---------------#----------------#----------------

ek aur ghala arz hai unki hi ....meri pasandida hai ..umeed hai aapko bhi raas aayegi...






karz go muhabbat ka chukaya bhi nahin
uske khate mein magar koi bakaya bhi nahin


yaar ruda to sau baar manay hoga
jo mukaddaar kabhi rutha to manaya bhi nahin

phir umeed-e-wafa rakhte hum halanki
aaj tak wada koi usne nibhaya bhi nahin

kahke bhi kuch na gaya ,laut ke aaya bhi nahin
maine pucha bhi nahin ,usne bataya bhi nahin

unki aur bhi kuch ghalein-o-ashar hai ....ve agali mulakat mein ..pesh karunga...
















kahke bhi kuch na gaya ,laut ke aaya bhi nahin maine pucha bhi nahin ,usne bataya bhi nahin


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Old
  (#2)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
8th October 2005, 01:44 AM

unki ghazlein hamare saath share karne ke liye shukriya.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
27th October 2005, 09:12 PM

Amaan...

karz go muhabbat ka chukaya bhi nahin
uske khate mein magar koi bakaya bhi nahin

yaar ruda to sau baar manay hoga
jo mukaddaar kabhi rutha to manaya bhi nahin

phir umeed-e-wafa rakhte hum halanki
aaj tak wada koi usne nibhaya bhi nahin

kahke bhi kuch na gaya ,laut ke aaya bhi nahin
maine pucha bhi nahin ,usne bataya bhi nahin

shaad sahib ke yeh ashaar dil ke qareeb lage...shukriya unse
taa-rruff karwaane ka


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
3rd November 2005, 04:50 PM

farhana.........
tum janti ho na!!!....ke tum waqee badiacchi ho...gar tum no hoti to ye mahfil kuch sooni sooni hoti ..tumhare hausale ki daad deta hoon jo ....har shyar ke kaam ko pasand kar use apni rai deti ho..janta hoon aage bhi tum itni acchi rahogi...."shaad" acche lage tumhe ...kyuki wo waqee bade acche hai...unhe jair-e-nazar karne ki liye ..shukria

----------------------------------------------------------------------------------

parastaar..
aake bare min kya kahein ke aap tab se yahan hai jab se ye bazm wajood mein aayi ..aur mujhe behad kushi hai ke aapko "shaad" sahab ke kalam pasand aaye ....aap jaise parakhi logon ki jinhe adab-o-sukhan ki gahri samajh hai ..kafi zarrorat hai..aap se aage bhi umeedein rahengi..shukria..


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"राजनीति"../.."Raajneeti"...! Dhaval Shayri-e-Dard 40 12th March 2011 11:16 AM
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
" YE " dhaval" KAHI TOOT NA JAYE....." a shayri for her... ek dard bhari dastaa Dhaval Shayri-e-Dard 22 27th November 2009 11:45 PM
हम "ग़ज़ल" की "धुन" और "हवाओं" की "खुशबू" कí nalinmehra Aapki Shayri 11 23rd May 2009 09:24 AM
" "CHAHTA HU USE MAIN KUCH ISTARHA SE........". ........"mera wajud" Dhaval Shayri-e-Ishq 0 26th August 2006 11:20 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com