Quote:
Originally Posted by muskaan arora
kuch khaas hain,
haan mujhe bas mere pyar ka intezaar hain,
mitha mitha ye dard hain,pata nahin kab kaha kaise
un ghurti nazro ka mujhpe hua karam hain.
"chahat ki doli kab ehsaaso ka ghunghat ode nikal gayee,humne laakh samjhya phir bhi us anjaane ki woh ho gayee"
dhak si aawaj se bhi aaj lagta darr hain,chandani se bane un lamho se aaj meheka mera mann hain.
kaun si dor hain jisko thaamne ko ye dil kehta hain
kis se hua hamein pyar hain jiske pichhe khwabo ka bhaagne ka dil karta hain,
tadap ye kaisi hain jo harpal gudgudati hain,
pata nahin kab kaise shabdo ki khamoshi ki baat us ajnabee tak pahuchati hain,
kuch khaas hain hamein bas apne pyar ka intezaar hain
un labo ke sirf haan kehne ki deri hain,
mere iss dil ki baat unke dhadkano tak pahuchaane ki bas deri hain
|
Bahut khub muskan ji .,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,