Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
ek kahani
Old
  (#1)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
Love ek kahani - 14th March 2008, 01:43 PM

ek kahani
ek kahani aapko batani hain,
chahat mein gum do ajnabiyo se aapki mulaqaat karwaani hain,
woh kehte hain na ,
bekhabar dil dhadkano ki khabar rakhta hain
nazre palko ke ghoonghat mein rehke jaise apne khwabo ki khbar rakhti hain,

hum to bhul gaye,
baat shuru hoti hain ladki se,
jo bilkul ajeeb thi,dil to kya woh to pyar ke naam se bhi anjaan thi,
usmein ek saadgi thi jo masumiyat se bani thi,
woh khud mein khoyee rehti thi,
apni kaali gehri nazro mein armaano ka kaajal lagaya karti thi,
har pal masti mein dubi,
chup chup si woh bilkul nahin thi,
aadat hi uski sab se juda thi,chanchal thi woh patang ki tarah,
nazuk thi woh phoolo ki tarah,
woh puri zindagi se bhari hui thi,

ek baar hum sab uske saath baithe hue the,
baaton baaton mein baat chali pyar ki,
kisi ke ehsaas ki,

woh sab se alag baithi thi ,
har baat pe hans padti thi,
hamaare puchhne pe woh boli,
pyaar ye paagalpan hain,
jo do pal mein ho jaata hain,
par zindagi bhar wahi chehra hamaare saath nahin de paata hain,
iski raahein hi anokhi hain kabhi koi hain to kabhi koi aur hain,
aajkal iski bhumikaaye badal gayee hain aajlkal iske matlab badal gaye hain,

jitna main jaanti hoon pyar ek puja hain,
jo hum rab ki karte hain,
pyaar ek yakeen hain ,
jo hum apne bado pe karte hain,
pyar ek saath hain
jise hum dosti kehte hain
pyar ek shradha hain
jo hum apne guru ki karte hain,
usne kaha baat agar meri hain to
main inhi rupo ko jaanti hoon,

hum sab chup the,
uski baatein sahi thi,
par thodi galat bhi
humne sirf yahi kaha ,
pyar ek jaadu hain jispe jab chhata hain
woh khud hi behek jaata hain.
ye ek nasha hain jiska nasha
jab chadta hain hum khud ko bhul jaate hain,
tabhi usi waqt ,
achnak kisi ki entry hui,
pehle takkar phir baat nazro se shuru hui,
woh dono kuch samjh hi paatein waha achnak zor se baarish hui,
filmi lag rahi hain par sachi hain,
par yaha baarish paani ke bundo ki nahin chahat ke bundo ki thi,

haan wahi janaab.
andekhe anjaane se ajnabee chehre se unki mulaqaat hui,
baatein unki shuru hui ,
par shabdo mein nahin khamoshi mein,
koi kuch keh hi nahin pa raha tha,
muskaan bhi ruk ruk ke unke labo pe chha rahi thi
jaise undono ko chhedne ka koi kaam kiye ja rahi thi,
tabhi undono nazro ne ek dusre ko alvida kaha,
dono apni apni raahon pe nikal pade,

humne socha shayad yahi baat khatm ho gayee,
par ye ant nahin shuruvaat thi,
pyar se bhige ehsaaso ki khushboo vaadiyo ke saath un dono dilo mein mehek rahi thi,

jo pyaar se tauba tauba karti thi aaj woh usi anjaane chehre ko dekhne ke liye paagal ho gayee thi,raahon mein ruk ruk ke use hi talasha karti thi,uski taarif mein sher bhi likha karti thi,

waise woh janaab bhi unke aaspaas hi ghuma karte the ,
apne pyar ki baat dosto se kaha karte the,
us chehre ko nazro mein le ke ghuma karte the,
use sabko dikha khud pe hi guma kiya karte the,
aakhir unki woh thi hi itni khoobsurat ,par ye janaab bhi kuch kam nahin the,
isliye to hamari dost
ka dil inpe aaya tha,
hawa ke lehro se jab unke baal udte aur jinhein woh thaam ke muskaate to,
har kisi ka dil fisal jaata,unki ada sabse juda thi,
hamesha woh kuch kehte kehte ruk jaate the,
muska ke apni nazrein jhuka lete the,
baat jo dhire dhire shuru hui thi aaj usne ek manzil pa li hain,
jo pyaar ko nahin samajhti thi woh aaj pyaar ko samjh paayee hain,
ye har ek pyaar se alag hain ,
ye har ek rup se alag hain'
iski kismein nahin hoti ismein mithas hoti hain,
ek mithi si chubhan hoti hain
agar hum uska haanth thaam le to apni disha tay kar paayenge
tab hamein kisi ki zaroorat nahin hoti
sirf uske alawa dil kisi ko yaad nahin karta,
ye ek zindagi bhar ka saath hota hain

kuch zyada hi bada ho gaya ,
par sach hain, jitna hamein aa saka utna hum uski zindagi ko panno pe la sake,uski dil ki baat apni nazro se keh sake,har ek shabd se humne sach kehne ko kaha ,uski pyar se bhari zindagi se sabki mulaqaat karwaane ki koshish ki humne,
bas ab chup ho jaate hain
shabdo ke kaarwa ko yahi rokte hain,
aur is pyar ko aapke saamne tanha chhod dete hain

Last edited by muskaan arora; 14th March 2008 at 01:49 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sharabee
koi hamdam na raha
sharabee is on a distinguished road
 
sharabee's Avatar
 
Offline
Posts: 37
Join Date: Jan 2008
Location: sharabkhana
Rep Power: 0
15th March 2008, 10:19 PM

Rude comment.........

Post deleted...

member warned..

Mayank

Last edited by Mayank; 18th March 2008 at 02:54 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sharabee
koi hamdam na raha
sharabee is on a distinguished road
 
sharabee's Avatar
 
Offline
Posts: 37
Join Date: Jan 2008
Location: sharabkhana
Rep Power: 0
16th March 2008, 09:00 AM

Quote:
Originally Posted by lock View Post
br, aap yaha aise post mat karo kya aapke saath kuch ghlat huaa mujhe bata sakte ho

lock.......


sharaabe isliye dost ho hamaare hum bhi sharaabe ......vaada hai help karuga.......
OHHHHH Irealy sorry to post such bad reply............
MUSKAN,
the story touches me / hurt me...

HI,
lock
shukriya dost

ajnabi na rahe koi, hamare sharabkhane me
jane kya baat hai saaki tere paimane me
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
dineshdharvi
ek dost
dineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud of
 
dineshdharvi's Avatar
 
Offline
Posts: 5,566
Join Date: Nov 2007
Location: gujarat (india)
Rep Power: 34
16th March 2008, 11:56 AM

Quote:
Originally Posted by muskaan arora View Post
ek kahani
ek kahani aapko batani hain,
chahat mein gum do ajnabiyo se aapki mulaqaat karwaani hain,
woh kehte hain na ,
bekhabar dil dhadkano ki khabar rakhta hain
nazre palko ke ghoonghat mein rehke jaise apne khwabo ki khbar rakhti hain,

hum to bhul gaye,
baat shuru hoti hain ladki se,
jo bilkul ajeeb thi,dil to kya woh to pyar ke naam se bhi anjaan thi,
usmein ek saadgi thi jo masumiyat se bani thi,
woh khud mein khoyee rehti thi,
apni kaali gehri nazro mein armaano ka kaajal lagaya karti thi,
har pal masti mein dubi,
chup chup si woh bilkul nahin thi,
aadat hi uski sab se juda thi,chanchal thi woh patang ki tarah,
nazuk thi woh phoolo ki tarah,
woh puri zindagi se bhari hui thi,

ek baar hum sab uske saath baithe hue the,
baaton baaton mein baat chali pyar ki,
kisi ke ehsaas ki,

woh sab se alag baithi thi ,
har baat pe hans padti thi,
hamaare puchhne pe woh boli,
pyaar ye paagalpan hain,
jo do pal mein ho jaata hain,
par zindagi bhar wahi chehra hamaare saath nahin de paata hain,
iski raahein hi anokhi hain kabhi koi hain to kabhi koi aur hain,
aajkal iski bhumikaaye badal gayee hain aajlkal iske matlab badal gaye hain,

jitna main jaanti hoon pyar ek puja hain,
jo hum rab ki karte hain,
pyaar ek yakeen hain ,
jo hum apne bado pe karte hain,
pyar ek saath hain
jise hum dosti kehte hain
pyar ek shradha hain
jo hum apne guru ki karte hain,
usne kaha baat agar meri hain to
main inhi rupo ko jaanti hoon,

hum sab chup the,
uski baatein sahi thi,
par thodi galat bhi
humne sirf yahi kaha ,
pyar ek jaadu hain jispe jab chhata hain
woh khud hi behek jaata hain.
ye ek nasha hain jiska nasha
jab chadta hain hum khud ko bhul jaate hain,
tabhi usi waqt ,
achnak kisi ki entry hui,
pehle takkar phir baat nazro se shuru hui,
woh dono kuch samjh hi paatein waha achnak zor se baarish hui,
filmi lag rahi hain par sachi hain,
par yaha baarish paani ke bundo ki nahin chahat ke bundo ki thi,

haan wahi janaab.
andekhe anjaane se ajnabee chehre se unki mulaqaat hui,
baatein unki shuru hui ,
par shabdo mein nahin khamoshi mein,
koi kuch keh hi nahin pa raha tha,
muskaan bhi ruk ruk ke unke labo pe chha rahi thi
jaise undono ko chhedne ka koi kaam kiye ja rahi thi,
tabhi undono nazro ne ek dusre ko alvida kaha,
dono apni apni raahon pe nikal pade,

humne socha shayad yahi baat khatm ho gayee,
par ye ant nahin shuruvaat thi,
pyar se bhige ehsaaso ki khushboo vaadiyo ke saath un dono dilo mein mehek rahi thi,

jo pyaar se tauba tauba karti thi aaj woh usi anjaane chehre ko dekhne ke liye paagal ho gayee thi,raahon mein ruk ruk ke use hi talasha karti thi,uski taarif mein sher bhi likha karti thi,

waise woh janaab bhi unke aaspaas hi ghuma karte the ,
apne pyar ki baat dosto se kaha karte the,
us chehre ko nazro mein le ke ghuma karte the,
use sabko dikha khud pe hi guma kiya karte the,
aakhir unki woh thi hi itni khoobsurat ,par ye janaab bhi kuch kam nahin the,
isliye to hamari dost
ka dil inpe aaya tha,
hawa ke lehro se jab unke baal udte aur jinhein woh thaam ke muskaate to,
har kisi ka dil fisal jaata,unki ada sabse juda thi,
hamesha woh kuch kehte kehte ruk jaate the,
muska ke apni nazrein jhuka lete the,
baat jo dhire dhire shuru hui thi aaj usne ek manzil pa li hain,
jo pyaar ko nahin samajhti thi woh aaj pyaar ko samjh paayee hain,
ye har ek pyaar se alag hain ,
ye har ek rup se alag hain'
iski kismein nahin hoti ismein mithas hoti hain,
ek mithi si chubhan hoti hain
agar hum uska haanth thaam le to apni disha tay kar paayenge
tab hamein kisi ki zaroorat nahin hoti
sirf uske alawa dil kisi ko yaad nahin karta,
ye ek zindagi bhar ka saath hota hain

kuch zyada hi bada ho gaya ,
par sach hain, jitna hamein aa saka utna hum uski zindagi ko panno pe la sake,uski dil ki baat apni nazro se keh sake,har ek shabd se humne sach kehne ko kaha ,uski pyar se bhari zindagi se sabki mulaqaat karwaane ki koshish ki humne,
bas ab chup ho jaate hain
shabdo ke kaarwa ko yahi rokte hain,
aur is pyar ko aapke saamne tanha chhod dete hain
wake hi apne bahut badi kahani likh di hai aur bahut achi tarah se pesh kiya hai apne.
apne sahi kaha ki pyar ek pooja hai jo hum rab ki karte hai pyar ek sardha hai jo hum yakin ke sath kehte hai pyar ek wishwash hai jo dil me basaya jata hai.wishwash se banta hai pyar aur jab wishwash nahi rehta na to apne app door ho jata hai pyar.
aur best of luck apko ki app aur bhi bahut achi kahani likha paaye har pal humari dua apke sath hai
aur kisi ke pyar ki kahani hume yaha er bayan kare vo itna assan nahi hota hai fir bhi apne bayan ki bahut hi achi baat hai
aur haan ek baat apko kahu ki pls app kisi aur ki baat per dhayan nahi dijiyega kyu ki jab aag lagti hai to dhua to nikal hi padta hai aur us sharabi ke liye me app se sorry keh raha hu me use janta bhi nahi hu fir bhi kyu ki yaha per sab hum ek jese hi hai isi liye hum humesha sabko khush dekhna chahte hai bas yahi


AankheN khuleeN to jaag uTheeN hasrateN tamaam
Uss ko bhi kho diyaa jissay paya thaa khwaab mein
   
Reply With Quote
Teri is saadgi ke hum toh kayal ho gaye
Old
  (#5)
nalinmehra
The Lost Poet
nalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nice
 
nalinmehra's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: Nov 2008
Rep Power: 20
Teri is saadgi ke hum toh kayal ho gaye - 11th December 2008, 02:22 AM

yaar tum toh too good ho, har waqt meri gazhal ki tareef karti ho, aur tumne jo likha hai, aisa toh main 100 janam main bhi nahi likha sakta....... IM A FAN OF UR'S AUTOGRAPH PLEASE, MUSKAAN JI....

YEH SIRf APKE LIYE:

Teri is saadgi ke hum toh kayal ho gaye,
Padke yeh Kahani ham toh khud shayar ho gaye,
ab kya karein tareef tumhari ke shabd nahi paas hamare,
Bas teri kalam se nikle har shabd main ham kho gaye

Quote:
Originally Posted by muskaan arora View Post
ek kahani
ek kahani aapko batani hain,
chahat mein gum do ajnabiyo se aapki mulaqaat karwaani hain,
woh kehte hain na ,
bekhabar dil dhadkano ki khabar rakhta hain
nazre palko ke ghoonghat mein rehke jaise apne khwabo ki khbar rakhti hain,

hum to bhul gaye,
baat shuru hoti hain ladki se,
jo bilkul ajeeb thi,dil to kya woh to pyar ke naam se bhi anjaan thi,
usmein ek saadgi thi jo masumiyat se bani thi,
woh khud mein khoyee rehti thi,
apni kaali gehri nazro mein armaano ka kaajal lagaya karti thi,
har pal masti mein dubi,
chup chup si woh bilkul nahin thi,
aadat hi uski sab se juda thi,chanchal thi woh patang ki tarah,
nazuk thi woh phoolo ki tarah,
woh puri zindagi se bhari hui thi,

ek baar hum sab uske saath baithe hue the,
baaton baaton mein baat chali pyar ki,
kisi ke ehsaas ki,

woh sab se alag baithi thi ,
har baat pe hans padti thi,
hamaare puchhne pe woh boli,
pyaar ye paagalpan hain,
jo do pal mein ho jaata hain,
par zindagi bhar wahi chehra hamaare saath nahin de paata hain,
iski raahein hi anokhi hain kabhi koi hain to kabhi koi aur hain,
aajkal iski bhumikaaye badal gayee hain aajlkal iske matlab badal gaye hain,

jitna main jaanti hoon pyar ek puja hain,
jo hum rab ki karte hain,
pyaar ek yakeen hain ,
jo hum apne bado pe karte hain,
pyar ek saath hain
jise hum dosti kehte hain
pyar ek shradha hain
jo hum apne guru ki karte hain,
usne kaha baat agar meri hain to
main inhi rupo ko jaanti hoon,

hum sab chup the,
uski baatein sahi thi,
par thodi galat bhi
humne sirf yahi kaha ,
pyar ek jaadu hain jispe jab chhata hain
woh khud hi behek jaata hain.
ye ek nasha hain jiska nasha
jab chadta hain hum khud ko bhul jaate hain,
tabhi usi waqt ,
achnak kisi ki entry hui,
pehle takkar phir baat nazro se shuru hui,
woh dono kuch samjh hi paatein waha achnak zor se baarish hui,
filmi lag rahi hain par sachi hain,
par yaha baarish paani ke bundo ki nahin chahat ke bundo ki thi,

haan wahi janaab.
andekhe anjaane se ajnabee chehre se unki mulaqaat hui,
baatein unki shuru hui ,
par shabdo mein nahin khamoshi mein,
koi kuch keh hi nahin pa raha tha,
muskaan bhi ruk ruk ke unke labo pe chha rahi thi
jaise undono ko chhedne ka koi kaam kiye ja rahi thi,
tabhi undono nazro ne ek dusre ko alvida kaha,
dono apni apni raahon pe nikal pade,

humne socha shayad yahi baat khatm ho gayee,
par ye ant nahin shuruvaat thi,
pyar se bhige ehsaaso ki khushboo vaadiyo ke saath un dono dilo mein mehek rahi thi,

jo pyaar se tauba tauba karti thi aaj woh usi anjaane chehre ko dekhne ke liye paagal ho gayee thi,raahon mein ruk ruk ke use hi talasha karti thi,uski taarif mein sher bhi likha karti thi,

waise woh janaab bhi unke aaspaas hi ghuma karte the ,
apne pyar ki baat dosto se kaha karte the,
us chehre ko nazro mein le ke ghuma karte the,
use sabko dikha khud pe hi guma kiya karte the,
aakhir unki woh thi hi itni khoobsurat ,par ye janaab bhi kuch kam nahin the,
isliye to hamari dost
ka dil inpe aaya tha,
hawa ke lehro se jab unke baal udte aur jinhein woh thaam ke muskaate to,
har kisi ka dil fisal jaata,unki ada sabse juda thi,
hamesha woh kuch kehte kehte ruk jaate the,
muska ke apni nazrein jhuka lete the,
baat jo dhire dhire shuru hui thi aaj usne ek manzil pa li hain,
jo pyaar ko nahin samajhti thi woh aaj pyaar ko samjh paayee hain,
ye har ek pyaar se alag hain ,
ye har ek rup se alag hain'
iski kismein nahin hoti ismein mithas hoti hain,
ek mithi si chubhan hoti hain
agar hum uska haanth thaam le to apni disha tay kar paayenge
tab hamein kisi ki zaroorat nahin hoti
sirf uske alawa dil kisi ko yaad nahin karta,
ye ek zindagi bhar ka saath hota hain

kuch zyada hi bada ho gaya ,
par sach hain, jitna hamein aa saka utna hum uski zindagi ko panno pe la sake,uski dil ki baat apni nazro se keh sake,har ek shabd se humne sach kehne ko kaha ,uski pyar se bhari zindagi se sabki mulaqaat karwaane ki koshish ki humne,
bas ab chup ho jaate hain
shabdo ke kaarwa ko yahi rokte hain,
aur is pyar ko aapke saamne tanha chhod dete hain



Nalin

Uski Har "Uff" pe hum apni jaan lutate rahe,
Uski Shaqsiyat ko karke buland hum khudko mitate rahe,
Raahe-e-mohobbat me hamne kuch yun paya sila wafa ka,
woh dete rahe zakhm pe zakhm aur ham muskurate rahe




Please Honor me and my creative writing by visitng my website @ www.nalin-mehra.blogspot.com
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
31st December 2008, 12:52 AM

thnxs
but abhi bhi u r d best
keep smiling
tc
waise tumne ise dhundha kaise
he he he
kaafi badi hain
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
1st February 2009, 08:24 PM

jab tumhein dekha.
us waqt humne kuch na kaha,
nazro ko jhukaye waha se guzar gaye,
dil ne to kaha ek baar in palko ka ghoonghat nazro se hatau,
tumse kuch yunhi keh jaau,
phir ehsaaso ne dil ko thama,
chup se labo ne bhi khamoshi ka saath diya,
humne bhi shabdo ki kashish ko nazro se bayaan kiya.
na chahte hue bhi hum muskurane lage,
jo cheej chhupana chahte the woh hi ikrara aapke saamne laane lage.
humne kaha ab to fasse,
dil ne kaha ruk,
abhi to do dil mile,
yahi to chahat hain jo mithas se bhari hain,
pehli mulaqqat ke lamho ki chandani se saji hain
isi main tum ho isi mein woh hain,
isi mein pyar hain ,isi mein tumne kiya us se ikraar hain
muskaan arora
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
30th May 2009, 05:15 PM

zindagi har lamha ek nayee kahani likhti hain,
hamari khamoshi kabhi kabhi usse jaan paati hain
par kabhi kabhi apne aas paas ke bheed mein is tarah kho jaati hain ki,
woh jaan ke bhi, pehchaan ke bhi un do lamho ki khushiyo ko dhundh nahin paati,
sirf usse jikar un pyare lamho ko hamesha ke liye bhul jaati hain

par agar hum un lamho ko kaid kar le tabhi uski khushboo ke sahaare zindagi bhar muskuraate rahenge,uske kareeb aakar un lamho ko dobara se jee payenge
zindagi jine ka nahin muskurane ka naam hain,
har pal ko mehsus karne ka naam hain,


muskaan arora
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
rakesh
sagar without water
rakesh is on a distinguished road
 
rakesh's Avatar
 
Offline
Posts: 20
Join Date: Apr 2009
Location: tirupati
Rep Power: 0
19th June 2009, 09:26 PM

kya bat hai dost,............................................. ....wah


wo mohbbat thi gum,gum-e-mohobbat mai mohobbat mai tha,
ki ab to sukr mana mujh jese maikhano ka........
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
21st June 2009, 01:37 PM


Muskaan ji.....kahani nahi....ye aapke dil ki kitaab ke panne hai....jise aapne palat-palat ke pesh kiya hai....aapke andar ke jazbaat alfaz banke kaghaz par aapki soch ka jo tasavoor ban gaye.....

ek khubsurat ehsaas.......good one......




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#11)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
19th August 2009, 12:52 PM

nareshji and rakeshji thnx 4 ur appreciation
keep smiling
tc
bye
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
kahani harmeetsahni Shayri-e-Dard 0 16th May 2009 01:05 AM
Kahani I_LOVE_DARD Shayri-e-Ishq 1 23rd December 2005 12:13 PM
ek kahani garima General Stories 14 23rd November 2005 11:10 AM
Kahani bun ke... ketan_b Shayri-e-Ishq 0 17th June 2004 04:46 PM
kahani tanha akeli Shayri-e-Dard 0 11th March 2003 11:39 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com