Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
gam-e-rojgaar
Old
  (#1)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
gam-e-rojgaar - 5th February 2005, 12:52 PM

Mohabbat mubaraq tumhe ham gam-e-rojgaar ke mare hai
gar tum ho ghayal nazron se to ham talwaar ke mare hai

murjha kar girte rahe phool armanon ki daali se
darr kaisa unhe khiza se jo bahaar ke mare hai

dam todte khawabon ka janaja kandhe par uthaye
ham khud se lagi ummeedon ke bhaar ke mare hai

raah ke patharon ke naseeb mein nahin manzilein "kureel"
ham bhatke hue musafir waqt ki maar ke mare hai.

-Manoj Kureel


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Re: gam-e-rojgaar
Old
  (#2)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: gam-e-rojgaar - 5th February 2005, 01:05 PM

Manoj...

dekh rahi hoon...apki kalam parwaan chadh rahi hai...josh aa gaya hai, ek jazzba hai jo dekhte hee banta hai...daad kabool karein...

Quote:
Originally posted by manoj kureel
Mohabbat mubaraq tumhe ham gam-e-rojgaar ke mare hai
gar tum ho ghayal nazron se to ham talwaar ke mare hai

murjha kar girte rahe phool armanon ki daali se
darr kaisa unhe khiza se jo bahaar ke mare hai

dam todte khawabon ka janaja kandhe par uthaye
ham khud se lagi ummeedon ke bhaar ke mare hai

raah ke patharon ke naseeb mein nahin manzilein "kureel"
ham bhatke hue musafir waqt ki maar ke mare hai.

-Manoj Kureel
ek ek sher, josh sa paida kar gaya...ek gana hua karta thaa...

tumhi ho mata pita tumhi ho ...yaad hai..?

usmein ek line thee...

jo khil sake na wo phool hum hain

main jab yeh bachon ko sikhaya karti thee...mujhe bahut chubta thaa...isliey maine hamesha isse yoon sikhaaya

jo kal khileinge wo phool hum hain...bus aise hee yaad aa gaya...tau likh diya...

apna khayaal rakhna


paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
5th February 2005, 01:08 PM

Hi Manoj Bhai,

Aur ek naya din, aur ek nayaab kalaam aap ki oor se. Bohot khoob mere bhai. Behud pasand aaya aap ka likha.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
5th February 2005, 06:06 PM

Raahi tu mat ruk jaana
TufaaN se bhi na ghabraana
Kabhi to milegi, teri manzil
KaheeN door gagan ki chhaaNv me..

Manoj mere dost....tumhaari rachna parhi...or samjhi bhi....jab mai bahut niraash hota hooN to is song ko sun leta hooN...kuchh halka mehsoos hota hai...

Weise suna hi hoga tumne bhi...

Him.mat-e-mardaaN.....Madad-e-Khuda..

So...Keep smiling...

Kalaam ki taareef ab kya karooN...wo tumne likh diya to khud hi ek taareef ban jaata hai.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
pappu
Registered User
pappu is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 638
Join Date: Sep 2003
Location: texas
Rep Power: 21
5th February 2005, 09:35 PM

classic..lajavab...thanks for posting dost.

pappu.
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
5th February 2005, 10:55 PM

Manoj Bhai

kya baat hai...janaab

murjha kar girte rahe phool armanon ki daali se
darr kaisa unhe khiza se jo bahaar ke mare hai


bohot acche... yeh chand sher apne aap taameer ho gaye aapke iss kalaam ke tasavvur mein khoye hue... ummed hai pasand aayenge..


hum to bahaar ke hi sitam ke mare hue,
rehte hain dil ko thaam ke har dum dare hue.

tareek andheroN mein guzaara gaya bachpan,
thaame hue tanhaayee ki unglee baDe hue.


likhte rahiyega.... dua go.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Namaskar kureel ji
Old
  (#7)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Namaskar kureel ji - 6th February 2005, 01:23 AM

Namaskar kureel ji

kya baat kahi hay aapney apni rachna se..........aapki rachnao ki ek khasiyat rehtey hay ki woh kayi bar bahut kuch keh jaatey hain......itne aserdar jo hoti hay

Mohabbat mubaraq tumhe ham gam-e-rojgaar ke mare hai
gar tum ho ghayal nazron se to ham talwaar ke mare hai

murjha kar girte rahe phool armanon ki daali se
darr kaisa unhe khiza se jo bahaar ke mare hai

dam todte khawabon ka janaja kandhe par uthaye
ham khud se lagi ummeedon ke bhaar ke mare hai

raah ke patharon ke naseeb mein nahin manzilein "kureel"
ham bhatke hue musafir waqt ki maar ke mare hai.

Bahut aserdar rachna hay..........Nice composition indeed.
   
Reply With Quote
Re: gam-e-rojgaar
Old
  (#8)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: gam-e-rojgaar - 6th February 2005, 10:54 AM

Quote:
Originally posted by manoj kureel
Mohabbat mubaraq tumhe ham gam-e-rojgaar ke mare hai
gar tum ho ghayal nazron se to ham talwaar ke mare hai

murjha kar girte rahe phool armanon ki daali se
darr kaisa unhe khiza se jo bahaar ke mare hai

dam todte khawabon ka janaja kandhe par uthaye
ham khud se lagi ummeedon ke bhaar ke mare hai

raah ke patharon ke naseeb mein nahin manzilein "kureel"
ham bhatke hue musafir waqt ki maar ke mare hai.

-Manoj Kureel


manoj,
chaand ne sahi kaha hai ....

tum jab likhte ho to woh rachna khud hi taarif hoti hai. ooski aur taarif kaise ho?

khush raho.
didi
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
7th February 2005, 11:40 AM

murjha kar girte rahe phool armanon ki daali se
darr kaisa unhe khiza se jo bahaar ke mare hai


Manoj Bhai.....

kitna gehr khayal hai aapka.....

sach mein behad nayab kalam hai....

kush raho mere bhai........



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#10)
shadow
In Search of the unknown!
shadow will become famous soon enough
 
shadow's Avatar
 
Offline
Posts: 248
Join Date: Jan 2005
Location: Shade in the shadow world
Rep Power: 20
8th February 2005, 08:02 AM

Manoj ji

raah ke patharon ke naseeb mein nahin manzilein "kureel"
ham bhatke hue musafir waqt ki maar ke mare hai.

I liked your writing especially the last sentences, very good composition.


The higher you go, steeper will be the valley and greater will be the fall.

Shade in the shadow world
   
Reply With Quote
Re: Re: gam-e-rojgaar
Old
  (#11)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Re: gam-e-rojgaar - 12th February 2005, 01:33 PM

shukriya paars
bahooot ache tareeke se tumne mujhe apni baat samjhai...shukriya.take care
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Re: gam-e-rojgaar
Old
  (#12)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: gam-e-rojgaar - 12th February 2005, 08:49 PM

Quote:
Originally posted by manoj kureel
Mohabbat mubaraq tumhe ham gam-e-rojgaar ke mare hai
gar tum ho ghayal nazron se to ham talwaar ke mare hai

murjha kar girte rahe phool armanon ki daali se
darr kaisa unhe khiza se jo bahaar ke mare hai

dam todte khawabon ka janaja kandhe par uthaye
ham khud se lagi ummeedon ke bhaar ke mare hai

raah ke patharon ke naseeb mein nahin manzilein "kureel"
ham bhatke hue musafir waqt ki maar ke mare hai.

-Manoj Kureel
bhai ,,...

kuch asharoN se ek kalaam sajate ho...
haal-e-jindgi jisse hume batate ho...
janta huN yahi hai dard-e-"saccha_pyar"
phir bhi alfazoN se deewana banate ho...

bhai ...

shayad isi liye maiN apne aapko aapka fan kehta huN ... kalaam nahi haalat e jindgi bayaN ki hai humne ... har sher maiN sacchai ki woh hawa bhari hai ... ki kalaam ka vajan itna badh gaya hai ... ki nazroN se hattna hi nahi chahta ... bhai humeN bhi claas de do ... hum bhi kuch seekh leNge ... waise yahaN to itna kuch shikha hi jate ho... yuN hi haal e dil sunate rahiyega ...

aapka bhai

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#13)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
20th February 2005, 03:01 PM

hi salim
shukrya janab aapki hauslaafzai ke liye,,,deir se reply dene ke liye muaafi chahata hoon.....take care
-MANOJ]


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#14)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
20th February 2005, 03:06 PM

Raahi tu mat ruk jaana
TufaaN se bhi na ghabraana
Kabhi to milegi, teri manzil
KaheeN door gagan ki chhaaNv me..

HI CHAND
dost mein ek gaane ko aksar gungunata hoon bekashi ke lamho mein.."wo subha kabhi to aaayegi"....bas usi subah ke intezaar mein yeh gam ki raat guzaare ja raha hon....

Him.mat-e-mardaaN.....Madad-e-Khuda..

yeh bahot sahi baat kahi tumne....khuda meri madad kare na kare...mein chalta hi jaunga..chahe phir manzil mile ya na mile....
shukriya dost tumhari anmol baaton ke liye...bahot acha laga tumhara post padh kar...take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#15)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
20th February 2005, 03:07 PM

shukriya pappu bhai....bahot acha laga aapko yahan dekh kar.....take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#16)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
20th February 2005, 03:09 PM

hum to bahaar ke hi sitam ke mare hue,
rehte hain dil ko thaam ke har dum dare hue.

tareek andheroN mein guzaara gaya bachpan,
thaame hue tanhaayee ki unglee baDe hue.


TALIB BHAI
sach..bahoot acha laga aapka reply apne kalaam par paa kar....aapke likhe aashar bahooot sundar hai..meri daad kubool kijiye..aajkal masroofiyat ki wajeh se yahan aana bahoot kam ho gaya hai..magar jab bhi aata hoon aapko jaroor padhta hoon..kyunki aap bejode likhte ho....aapki hauslaafzai ke liye dil se shukriya
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Re: Namaskar kureel ji
Old
  (#17)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Namaskar kureel ji - 20th February 2005, 03:11 PM

NAMASHKAR SUKANYA JI
bahot khushi hui aap ka reply padh kar,.,,aur likhne ka ek naya jazba bhi mila....dil ki gehraiyon se aabhari hon aapka....take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#18)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
20th February 2005, 09:49 PM

Manoj Bhai

Adaab baja lata huN ...

kisi ghazal ke andaaz pe mil ke kisi sher ke anjaam pe bichad jana bhi kitna ajeeb saa lagta hai .. kya kareiN naseeb hai jo bhi deta hai sir aakhoN pe rakhte haiN ..

tareefmeiN kya likheiN .. aapke naam pe jo bhi padh lete haiN achha lagne lagta hai .. yaa to naam kaa asar hai yaa Qalaam kaa jiska asar aapki kalam meiN hai ..

DaaD ke sath


andaaz
   
Reply With Quote
Re: Re: gam-e-rojgaar
Old
  (#19)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Re: gam-e-rojgaar - 31st March 2005, 07:23 PM

MEENA DI
taareeef ke liye shukriya...behad acha laga meri koshish ko aap ne saraaha...dil se shukrguzaaar hoon...take care
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#20)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
31st March 2005, 07:25 PM

hi aman
kaise ho dost...aajkal masrooofiyat ke kaaran bahooot dinon se kuch naya nahin likh saka hoon...tumse kiya wada jald hi nibhaunga....mujhe bahooot acha laga ki tumne mujhe yaad kiya....tareeef ke liye bahoot bahoot shukriya
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#21)
soni_sonal
kuch baatein kuch yaadein
soni_sonal is on a distinguished road
 
soni_sonal's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: May 2003
Rep Power: 22
9th May 2005, 11:51 AM

hi

behad khoob
bahut acha laga padh ke

sonal


~~ u never know where ur destiny takes u ~~


There would come a time when
we have to stop loving a person
not because that person started hating us .....
but because we found out that they'd be happier if we let me go.....
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
san04
ansoon aur muskan....
san04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nice
 
san04's Avatar
 
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
9th May 2005, 12:20 PM

manoj
tumne apni nazm me ek baar phir se ye sabit ker diya hai ki "aur bhi gum hain jamane me mohabbat ke siwa"...baki bahut acchi rachna ke liye dil se daad.....


swati...............some words about tears in!
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
1st August 2005, 07:11 PM

shadow Saahab
hauslaafzai ke liye bahoot bahoot shukriya....deir se reply dene ke liye muaafi ka talabgaar hoon...likhte rahiye
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Re: Re: gam-e-rojgaar
Old
  (#24)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Re: gam-e-rojgaar - 1st August 2005, 07:14 PM

kuch asharoN se ek kalaam sajate ho...
haal-e-jindgi jisse hume batate ho...
janta huN yahi hai dard-e-"saccha_pyar"
phir bhi alfazoN se deewana banate ho...

HI KUNAL
bahooot bahoot khubsurat sher likha hai tumne.....meri daad kubool karo...aur dost tumne sach bahoot jayda hi tareef kar di na-cheez ki....meiun bas dil ke jazbaaton ko sachai ke saath bayan karne ki koshish bhar karta hoon,,,,aapako acha lagta hai,,,to mein apni koshish safal hui samjhta hoon.,,,,aap sab ke saath bazm ki is mehfil mein apne gamon ko share kar ke apna dil halka kar leta hoon....waise tumhari tareef hamesha dil sdee nikalti hai,,shayad isisliye tumhare reply ka aankhein intezaar karti hai.,...likhte rahiye khush rahiye
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#25)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
1st August 2005, 07:16 PM

kSHITIZ SAAHEB
AADAB JANAB
kaise hai huzooor?>??

saahab aap ki daad dene ka andaaz bhi aapki gazlon ki tarah sabse mukhtlif hai.,.....bahoot acha laga aap ka reply dekh kar....dil ki gehraiyon se shukriya.,..take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#26)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
1st August 2005, 07:17 PM

SONI SONAL JI
tareeef lke liye dil se shukriya....take care


SWATI
bahooot acha laga tumhara reply padh kar.,..dil ki gehraiyon se aapka shukriya..take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com