main jab tuta.... -
2nd January 2006, 08:42 PM
..dursi ghazal ..yahan pesh-e-khidmat hai.....
wada-e-vasl tutaaur wada rah gaya
na tum aaye aur main bhi zinda rah gaya
main uska aaeena tha magar hairat
main jab tuta wo kaise sada rah gaya
chala to aaya hoon magar dekhta hoon
mere bina woh kitna tanha rah gaya
hote-hote kuch bhi pura nahin rahta
hote hote gham bhi aadha rah gaya
woh jisne kareeb se dekha hai chehra-e-zist
kitna sahma-sahma uska chehra rah gaya
ye mera aur ye tumhara naam sanam
ye bicth phir kaise fasla reh gaya
jo bah gaya,gham-e-ishq tha,ankhon se
tera naam to palkon mein nihan rah gaya
ab zindagi-o-maksad-e-zindagi 'amaan'
kisi ko yaad kar ke bhulana rah gaya.......
usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
|