Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Rahnuma hi rahzan nazar ..............
Old
  (#1)
Adil
Registered User
Adil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Oct 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 22
Post Rahnuma hi rahzan nazar .............. - 6th April 2003, 09:58 PM

Aadaab doston,
apni taleemi masroofiyaat ke baais bazm main hazir nahin ho pa
raha ....
aaj aapki khidmat main apni ek taaza tehreer hazir karne ki
jasaarat kar raha hoon...ummed karta hoon pasand
farmayeinge......
mashwaraat se zuroor nawaziyega,
mulahiza farmayein....

"Rahnuma hi rahzan nazar aate hain aaj,
Muhafiz hi qatil nazar aate hain aaj.

Shikayat teergi se hargiz nahin mujhe,
Dost kyon aghyaar nazar aate hain aaj.

Wafaa ka pairaahan kisi ke paas nahin,
Libaas-e-jafa main log nazar aate hain aaj.

Husn bebaak bohat hua hai ab to,
Hassen saare qatil nazar aate hain aaj.

Unke aane par baras pade hain phool,
Aansoo jo aankh se nazar aate hain aaj.

Farq-e-dushman-o-dost shayad raha nahin mujhe,
Chehre saare raqeeb nazar aate hain aaj.

matla arz kar raha hoon tawajjoh choonga.....

Aman ki ummeed ab bhi tujhe hai 'Adil'
Har haath main khanjar nazar aate hain aaj."

mashwaraat ka muntazir,mukhlis
Adil


"'Adil' ne zabaan kholi thi such bolne ke waste,
Bardasht na kar sake log shayar bana diya"



MOHD.ADIL QURESHI
Snowy Mountains Engg. Corporation(SMEC)
A-1, Ist Floor,Chiragh Enclave
New Delhi-48
Tring Tring-09350815681
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
8th April 2003, 10:58 AM

Janaab Adil saahab,

aapke lafzoN ki gehraaii ne dil ko hilaa kar rakh diya.
apni raa'ey sunaane se pehle aapko bataata huuN ki maiN na hi koii ustaad huuN, aur na hi aapke jazbaatoN ko thes paauNchaana mera maqsat.

iska wazan kaii kaii ajeeb lagaa, magar galti sirf ek dikhii.

1. Aapne raadeef ka sahii isthimaal kiya hai, magar dost - is ghazal meiN koii kaafiyaa nazar nahiiN aaya.

"Rahnuma hi rahzan nazar aate hain aaj,
Qaatil ke makhzan nazar aate hain aaj.
(makhzan = warehouse/dukaan)"
«-- aapko behtar samjhaane ke liye maine aap hi ka 'maqta' isthemaal kiya hai.
ab zara ghaur ki jiye in do lafzoN pe -- "Rahzan" ohr "Makhzan" (words which have similar sounding pattern, or simply said - rhyming words).

samjhaana thoDa mushkil lag raha hai dost, ohr upar se thoDi si sharaab pii hui hai. aapke liye achcha hoga agar aap "Shayri-e-dard" ke section meiN "maikasH" saahab ki post paDeN to..
http://www.shayri.com/forums/showthr...&threadid=2125

saath meiN maiN parveen saahab se guzaarish karta huuN ki jab bhi waqt mileN to idhar thoDe lafz baaNTe..

agar kuch galat kaha to gustaakhii maaf ki jiye.

likhte rahiye,
aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mile Kabhi Gar Nazar To Meri Nazar Padhlena nihar Shayri-e-Ishq 9 20th January 2009 01:48 AM
Rahnuma Hi Baney Hai Wo Zulmo Sitam Ke Dam Se Asif jamil Ghazal Section 6 12th March 2008 04:12 PM
Nazar Sa Nazar Milaoo K Raat Kutt Jaye DreamHealer Pyaar Bhari SMS Shayri 0 3rd March 2007 09:50 PM
Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain - by Tasneem Farooqi Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 5th December 2002 12:38 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com