Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 6 votes, 5.00 average. Display Modes
Benaam Rishte
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Benaam Rishte - 26th January 2011, 03:28 AM

"Mukhtaar!!" ....usne palaT ke dekhha to amma haanth me Chaay ka cup liye khaDee, jaise kah rahee hon ki betaa ab gussa thuuk de. Par jaise ke uske kaan me joo tak na rengi ho aur wo palat ke fir kitaab me sar ghusaa ke kuch padhne ka naatak karne laga... is baar amma ne fir use pukara to wo jhunjhlaakar uth gaya aur badh gaya doosre kamre ki taraf.

yahi koi 24 saal ka hi to hoga wo..Bachpan se tunakMizaaj to thaa hi lekin Mukhtaar naam to jaise apna rang dikhaane ke liye shuru se hi aamaada thaa, khud ko ghar ka maalik samajhnaa to uski jaise fitrat ho chali thee, aur isi ke chalte na bhai bahno se uski zyaada nibhi aur na hi Aadil, jo ki umr me usse kareeeb 3 saal hi chota thaa, kabhi usse dosti badhane ki koshsih hi kari.

"Tu chupchaap padh Zarina, dekh zyada mere muaamle me tu naa hi uljhe to behtar hogaa".. usne saamne padee mez pe apni kitaab fekeee aur khud jaake sofe pe dhas gayaa. Zarina ne bhi muh bichkaae aur khud me hi badbadane lagi... " bhaaijan to bas baat baat ka issue banaa lete hain... hame kya??" aur wo fir padhne me lag gai.

Amma ko andar aate dekh wo unhe aise dekhne laga jaise sara zaher unhi pe ugalne wala ho... " Pareshan na ho beta, main tere abba se fir se baat karne ki koshish karungi ".. is baar wo unhe aise dekha mano kah raha ho ki plzz amma mujhe bachaa lein, mujhe rok len, main nahi jaana chaahta lucknow aap sab ko chhod ke.

Obaidullah khan jo ke Sultanpur ke jaane maane Zameendaar the, mahalle aur rishtedaaroN me acchee khaasi izzat aur rutbaaa thaa, ghar me naukar chaakar ki kami nahi, purkhon ki haveli thi, sab milaa ke behad mutmaeen hoke zindagi bitaa rehe the...Begum Aamna jab ghar pe unki shareeqe-hayat banke aain to rahi sahi kasar bhi poori ho gai... Do saal ke baad ghar me Mukhtaar ki paidaaish hui, paidaaish kya thee ye lag raha tha ki maano kisi rajkumaar ki aamad hui ho.. gaaon bhar ko bulaa kar daawat dee gai.. sabne zameendaar ko dil khol ke duaaen deen aur dil hi dil me khush hue ja rahe the us daawat ke liye, jo ki shaayad unke naseeb me pahle na hui thi...

Peer baba ke paas lekar gaye bacche ko duaaon ke liye to baba ne uske chehre ka noor dekhte hi kah diya.." Obaid ,ye ladka aage chal ke tumhara khoob naam raushan karegaa, aur ghar pe isi ka huqm chalega ekdin, Mukhtar.. haan yahi naam rakho iska... Mukhtaar !!"
Ye keh kar baba ne uski peshaani choomi aur Haajra taai ko pakdaa diya, Haajra rahi hongi koi 40-45 saal ki zaeefaa, pichle 20 saal se haveli me hi tiki hui hain, kahte hain iske pahle unki amma bhi huaa karti theen lekin wafaat ke waqt unhone haajra ko bhi isi silsile me lagaa diyaa.. bacche ko lekar haajra aage badh gain aur Obaidullah khan aur Aamna baba ki kadambosi karne lage..

Abba ne Mukhtar ki shifarish Lucknow ke ek mash-hoor medical college ke dean, Dr. Kaleem Beg se kee thee, aur wo bhi unki baat ko na taal sake apne purane rishton ki wajah se aur unhone Mukhtaar ke admission ke liye haami bhar dee..Abba ka bahot mann tha ki Mukhtaar doctery padhe. Shuru se hi padhne me awwal thaa mukhtaar par ghar se door jane ke Dar me usne pre-medical test khud se hi bigaad liye, kyonki abba ke gusse ko wo bakhuubi janta tha, use pata tha kahin na kahin ki agar abba ne thaan liya to wo uski laakh chala le par kuch na kar sakegaa.. baharhaal admission ka bhi waqt aa chala tha dheere dheere aur abba fatwaa nikaal chuke the ki 1 hafte ke andar saahabzade ko lucknow rawana kiyaa jaae.

Isi mutalliq aaj subah se hi mukhtaar ka mann kisi kaam me na lag raha thaa, Imran aur Faheem bhi aaye the unhe bulaane, shaam ko rakshi ke janm din ki party thee aur silsile me unhe kuch shopping karni thi, par wo saaf mukar gaye, sardard ka bahana agar na banate to wo dono chachazaad bhaai use jabran utha kar apne sath le jate.. Dopahar ke 3 baj rahe the abhi tak abba Firoz chacha ke ghar se laute nahi the wapas. Amma ne aawaz lagaaai, " Zarro, aree o laado, beta uth jaa,Aadil bhaijan ke liye zara chaay to bana laa.." Zarina ko aisa laga maano kisi ne use patthar ki khadaan akele todne ka huqm de diya ho.. wo tunak kar uthi hi thee ke Aadil andar aa gaye.."aur wo bhi special".... itna sunna tha ke bas... zarro ho gai chalu " khud ko to cricket ke match se hi fursat nahi, aur jo padhai kare uski jaan ke sab dushman.." Aadil ne muskurakar uske sar pe dheeere se chapat dee aur andar daakhil ho gaye, aur zarro badbad karti hui kichen ki taraf badh gaee..

"Assalamoalaikum, Bhaijaan kaafi pareshan lag rahe hain?? " ispe Mukhtar bujhe hue man se kahne lage.."Waalekum Assalaam, yaar tumhe to sab pata hai ghar me kya chal raha hai, Abba ko bhi jaise bhoot sawar hota hai kisi cheez kaa, maine pahle hi unse kah rakha hai main koi lucknow nahi jana chahta, mujhe yahin computers me hi higher degree leni hai, par khudaara kisi ke bas me hai unhe samjhana..?"
Is par Aadil ne unke haanth pe apna haanth dhar diyaa, jaise kah rahe hon "mere bhai, main majboor hoon aur shayad tum bhi..." bas unki zabaan se sirf itna hi Phoot saka, " Allah pe bharosa rakkho... "

Aaj subah se hi ghar me kaafi chahal kadmi thee, sab yoon bhaag rahe the idhar se udhar jaise ki poori family hi ghar shift kar rahi ho, aaj hi hajra taai bhi apni rishte ki bhaanji ke ghar se louteen, unki beti parween ka Nikaah tha, ghar ake ye haalat dkhi to unse hila na gaya wo bas baithe baithe jaise muaayna kiye jaaa rahhi hon aur beech beech me huqum bhi ..... purani aur buzurg hone ki wajah se wo yahan ke members ki tarh hi ho gaeen Theen aur sab bacche unki wese hi izzat karte the jaise ki agar aaj unki dadijaan hotiiN to kartey.... koi is saaman ki yaad dila raha tha to koi kisi aur ki.. "ammi, bhai ka toothbrush to rakkhen hi mat, unhe kahan hosh rahta hai in cheezon ka, subha bed tea ke liye uth ke kulli kar liye to maano ho gaya din bhar ka qouta poora... " zarina ke itna bolne pe hi Mukhtaar ne aise ghoor ke dekha maano kaccha chabaa jaaenge.. aur Aadil ko bhi dil me hi hasee aa hi gai thee zarro ke is tanziya mazaaq me par wo bhai ke dar se waaqif they..aur chup-chap apni hasi ka gala ghont ke baithe rahe, newz paper me aankhen gadaae. Mukhtaar uthe aur sarsaraate hue baahar ki or lapke, bike start karii aur naa jaane kahan nikal gaye...???

to be continued...............
Attached Thumbnails
Click image for larger version

Name:	imredsages.jpeg
Views:	593
Size:	2.3 KB
ID:	2937  

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 26th January 2011 at 03:55 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th January 2011, 02:17 PM

Kaash ki mujhe tumse muhabbat na hotee,
Apne hi dil se ulajhne ki himaakat na hotee..
Attached Thumbnails
Click image for larger version

Name:	missing-you58.jpg
Views:	684
Size:	20.5 KB
ID:	2939  

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 26th January 2011 at 02:24 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
26th January 2011, 07:03 PM

sameer bhai, accha likha hai aapne, next episode ka intezaar rahega.....jaldi likhiye aage

es meiN shayad aap yeh kahna chah rahe thy ki Muktaar ne aadil se dosti badane ki koshish hi nahi kari...nahi miss ho gya typing meiN.

Aadil, jo ki umr me usse kareeeb 3 saal hi chota thaa, kabhi usse dosti badhane ki koshsih hi kari.

yehan yeh pata nahi chala ki zarina ne aisa kya kaha tha jo ki muktaar ne usko yeh jawaab diya....baaki sab badiya laga

"Tu chupchaap padh Zarina, dekh zyada mere muaamle me tu naa hi uljhe to behtar hogaa"..

aapne hamari rai maaNgi thi bhai, to jo hume mahsoos hua wo humne bata diya....ab jaldi se aage ka likhiye...ki kya hua ???

duaoN ke saath
baaji

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#4)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th January 2011, 11:04 PM

sabse pahli meri pyari baaji ko hamara aadab peshe khidmat...
badee meherbaani jo aapne yahan aane ki zahmat utthaai...aur aapne ise itni bareeki se padha shukriya ek bar fir... wese jawab to main de hi chuka hoon par uske baad jab nazar gai to dekha ki 1st pointe me line is like this...

"aur na hi Aadil, jo ki umr me usse kareeeb 3 saal hi chota thaa, kabhi usse dosti badhane ki koshsih hi kari."

shayad maine hi ise complecated bana diya hai.. hehehe

rahi dusri baat to jab pareshan hoke Mukhtar andar aaya to zarro ne muskura diya... bas isiliye ho gai unki classs.. ab zaahhir hai mere characters hain to mujhe hi dikhai denge, aaap sab ko nahi.... galti tasleem meri aapa.... aage se aur bhi baar padha karunga warna ap mere kaaan kheenchti rahogi.. aati rahiye, bas thoda aur intezaar agli kadi bas jald hi aapke saamne hogi...

Shaad...
   
Reply With Quote
part-2
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Love part-2 - 27th January 2011, 03:10 AM

"Rakshi, samajhne ki koshish karo,, abba kabhi naa manenge... hame kuch aur waqt Allah pe chhodkar khamosh baithna chhaiye.." na jane kyon, lekin ye kah kar Mukhtaar ke sarapa me ek ajeeb si laher daud gaee, jo uske man me chupe dar aur udaasi ko jhalkaa rahi thi.

Rakshi aur Mukhtaar bachpan se yoon ghule mile hue the jaise khuda ne unka rishta pahle se tay kar ke rakkha ho. Wo Sameena aunty ki iklauti ladki thi, aur Rakshi ke abba ka 2 saal pahle hi inteqaal hua thaa. Iske baad Qamar mamujan ke saath wo apne waalid ke business me hi masroof ho gai. Balaa ki khoobsurat to wo thee hi, lekin isi ke saath wo behad Nek aur Zaheen ladki thi, school ho ya college, sab hi uski waah-wahi karte nahi thakte the.. use baaki ladkiyon ki tarah naazo nakhre karna nahi aata tha, silaai bunaai to jaise uske liye bane hi na hon, lekin shayaad dil ke haanthon wo majboor thee aur is baar uski ek naa chalee.

"Nahi Mukhtar!! hum kuch nahi sunna chahte, tum kahin na jaaoge hame chhodkar, warna bakhuda hamaara jeena itna mushkil na ho jaae, ki hum kuch kar baithen.?" itna kahte hi kisi ke haanth ne uske labon pe jaise taala laga diya ho ki bas Rakshi iske aage ek harf bhi naa nikaalna. Iske baad wo uske kandhe pe sar rakh ke na jaane kitni der tak roti rahi aur wo taktaki lagaae bas aasmaan ko ghoorta baitha raha..

Ammi ka ro ro ke buraa haal tha aur Haajra tai unhe hauslaa bandhaae ja rahi theen... "bas kar Aamna, tere aansu kahin bacche ke pairon ki zanjeer na ban jaaen?, aur kaun sa use hamesha ke liye jana hai." lekin wo maa thi na, lakhte-jigar ko khud se judaa karna kya hota hai shayad wo hi samajh rahi theen is waqt. Zarro bhi bhai ke jane ke gham me thee apne aansuon ko chupaane ke liye wo khud ko jabran kisi na kisi kaam me masroof karne me lagee hui thee.

Lawn me Abba, Mukhtar aur Aadil ke saath baithe hue they, chacha Firoz aur unke gharwale bhi aaye hue the.."mukhi mere liye kyaa leke aaoge, wahan se?".. farha ne chahakte hue, Mukhtaar se poocha, to wo use yoon taal gaya ke suna hi naa ho, wo aise hi zyadatar uski baaton ka anjam deta thaa aur na kabhi uspe ya uski baaton pe hi gaur karta. Farha yoon to bachpan se hi uspe fidaa thee, lekin jaise jaise dono ne jawaani me kadam rakhe to farha ki muhabbat Mukhtar ke liye parwaan chadhne lagi magar mukhtar ke dil me to kisi aur shakhs ka raaj tha.. kiski muhabbat ki taakat zyada thee iski khabar to us paak parwardigaar ko hi thee bas..

"Mukhtaar Aalam, main tumhe kabhi na bhuul paaungi, ek pal ke liye bhi nahi.." na jane Rakshi kitni der tak khud se hi Baaten karti rahi aur andar hi andar ghuTti hui baDee der tak takiye ko bhigoti rahi.. udhar mukhtar ka dil bhi unhe khaae ja raha tha. "Main bhi tumhe apne tasawwur se ek pal ko bhi alag nahi hone de paa raha hoon meri jaan, bas mere khudaa hamare dil se muhabbat ka ek nuktaa bhi kam na hone dena, ye doori kabhi hamare beech naa aane paaae..." jaane kab sari raat isi khayal-o-kashmakash me guzar gai unhe pata bhi naa chalaa, aur aakhir us din ki subah bhi ho gai jiski na to mukhtaar ne aur na hi kabhi rakshi ne khwahish ki thee.

"Allah ka shukar hai ki saahabzade ka college me pahlaa din khushgawar guzra". Obaid saahab ke itna kahne par Aamna chouk gain aur zarro aur aadil ke bhi kaan khade ho gaye.. "mera laal, kaise jee raha hoga maa ke bina? kaun use khana pani ke liye poochta hoga? khudaya khair karna mere bacche pe." wo jaise ki bas ro dena chahti theen, aur obaid saahab bhi mayoos se ho gaye bete ki doori ka gham unhe bhi sataa raha tha, "hmmmm uski aawazz me bhi larzish thee, kaha to kuch nahi, par baap hoon na uska, saare jazbaat samajhtaa hoon uske" itna kah kar wo dil hi dil me duaa maangne lage "Allah mere bacche ko hauslaa denaa ki wo jeena seekh jaae, aur hum sabko himmat dena ki uski taraqqi ke raaste me hamaare aansu kabhi na aane paaen.. aameen."

subah subah Rakshi ne ammi ke muh se ye suna ki, Mukhtaar ki call aai hai to wo yoon bhagi jaise duniya me aakhri boond paani ki bachee ho aur koi muddaton ka pyaasa ho... usne dheere se poocha,"kaise ho??" iske baad dono taraf majeed khamoshhi chaa gai.. kuch der ke baad udhar se haule se ye aaawaz aai.."kaisa ho sakta hoon tumse door rah ke? mere dil ki haalat tumse ziyaadah aur kaun jaan sakega..?" apne aansuon ko rokne ki wo poori koshish kiye ja rahi thee par wo aansu hi kya jinpe hamaara qaabu ho.. " kaisi chal rahi hai aapki padhaai?? khana wana to khate hain na waqt pe?" aur na jane kitne hi sawaal jinke jawaab wo khud se aksar pooocha karti thee unse kar gai.. Wo bhi behad sanjeedgi se uske sare sawaalon ke jawaab dete rahe... aur kareeb 10 min ke baad "Allah hafiz.. apna khayaal rakhiyega" aur is aakhri baat ke saath call disconnect ho gai..." tum bhi rakhna, aur ho sake to khud ko kahin masroof rakha karo..Allah hafiz."
phone rakhne ke baad rakshi ne dil me hi usse bola.."tum nahi samjhoge Mukhi, zahno dil me tumhari soch se hi fursat nahi miltee..tumhe sochne se fursat mile to duniya ki sochun"

Idhar Farha ka bhi in dino aana jana kaafi badh gaya tha apne taya abba ke ghar pe..uske degree ke exams khatam hue the to uska sabse accha waqt yahin guzarta tha, wese bhi zarro me to uski jaan bastee thi. Dono bachpan se hi ek doosre se yoon mubtalaa rahti theen, jaise ki chachazad bahne na hon balki sabse pakki saheli hon.." haaye Zarro, dile beemar ki haalat aab tujhse na kahuun to kisse kahun??" itna kahkar farha ne zarro ka hanth pakad liya..Zarina ne bhi itraate hue uske haanth jhatke aur muskuraa kar boli.. "lagta hai Ruksana chachee se tere nikaah ki shifarish ab karni hi padegii.."
"isiliye kahti hoon na ki tu meri jaan hai Zarro, dil ki haalat kon samajh sakta hai ek tere siva, lekin jinke naam ke hum kaseede padhe jaa rahe hain unhe to khabar bhi nahi koi kitni aaheN bharta hai unka naam le lekar.."
" Wese kiske nam ke kaseede padhe jaa rahe hain??" Aadil bhai ki aawaz sunte hi jaise dono chouk padeen aur tapaak se sambhleeN. "Aapse matlab.. kuch logon ki to aadat si ho chali hai dusron ke maslon me apni bin maangi raay dene ki." intehaai Gusse aur chori pakde jane ki haalat me uske gaalon pe jo laali utar aai thee wo uske husn me aur Izaafa kar gayee. Jawaab me bas saamne wale bande ki shaqal me ek muskuraahat ki lakeer khich gai... "Farha, beti dekh Imraan kab se aawazen de rahaa hai tujhe..." Aamna begum ne kahaa to wo tamtamati gayee aur badbadaane lagee.. "Aa gaya ye maut ka farishta bhi.. ise bhi chain nahi ki koi do min kahin sukoon se baith jaae.." Imraan do saal chota tha farha se, magar uske dadajan banNe ka poora farz nibhata rahtaa thaa.

Itna kahkar usne Zarro se ijaazat lee aur Aadil ko salaam kar ke baahar nikal gayee... iske baad kuch der to Miyaan Aadil darwaaze ki taraf dekhte rahe, labon pe muskuraahat thee aur chehre pe aisa asar ki kisii ne hoor ke hi deedar kar liye hon aur uske jane ka afsos kar rahe hon... unhe ekdam se apni haalat ka khayaal aaya, turant sambhle aur badh gaye abba ke kamre me, jinhone unhe kuch der pahle aane ka huqm diya thaa...wese unki Is haalat ka jaayza ek shaksh aur badi der se muskurate hue kar raha tha...Zarina, aur us 20 sala ladki ke dil ne usse bas itna hi kaha.." haaye re ye muhabbat..Uffff. Accha hi hua ki tujhe is beemaari se ab tak Allah ne bachaae rakkha hai Zarina Anjum.."

still to come................

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 27th January 2011 at 03:21 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
27th January 2011, 07:45 PM

Shaad Bhai ... aapne PM meN kaha thaa bike chalaane walaa zaroori nahi car bhi acchi chalaa sake ... magar ab aapki kahaani ke do bhaagh padhne ke baad daave se keh saktaa hoon aap shayri ke saath kahaani bhi unti umdaa likh sakte hai .... aisa laga nahi ... aap pehli baar kahaani likh rahe hai ... bahut acchaa likh rahe hai ... aur iss kahaani ko zaroor pura ki jiye ... itnaa likh lene ke baad kahaani ke paatr khud-ba-khud kahaani ko aage baDhaate jaate hai ... !

khush rahen ...!
duaaon ke saath ... !

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th January 2011, 12:26 AM

bahot bahot shukriya Naresh bhai jo aap aaye, aur meri baaton ki izzat rakkhi.. aapko achi lagi yehi bahot hai mere liye... padhte rahen aage ki kahaaniyan jald hi peshe khidmat ki jaaegi..

Shaad...
   
Reply With Quote
part 3
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part 3 - 28th January 2011, 12:44 AM

Mukhtar ko ghar chhode 4 saal se upar beet chuke they, aur is darmiyaan unka sirf 4 ya 5 martabah hi ghar jaana ho paaya tha. Wo khud ko aur ziyaadah padhaai aur baaki kaamon me masroof rakhtey they, taaki unke maa baap ki khwahishen aur sapne, unki chaahat aur yaadon ke beech me fas kar dam na tod dein. Bamushkil Eid ke alawa ekaad baar hi aur wo aa paae the, Zarina ki Mangni ke waqt Amma ne itni zidd ki thi to unhone aane ka mood banaya tha. Doori ne unke dil me gham itna badha diya tha ki ab wo patthar ho chuke the, unke garm aansu barf ki maanind jam gaye the.

Zarina ki Mangni shahar ke janemane Wakeel Mohammed-Ibrahim ke bete Ashraf se tay hui thi. Wese zarina to ishq muhabbat se door rahne wali ladki thi lekin pahli baar uska dil college ke dino me dhadka tha jab usne pahli baar Ashraf-Gul ko dekha tha. Hatta katta shareer, kareeb 6 foot lamba kad aur gora bhura rang kuch aisa hi sarapa tha Ashraf ka, university me top kiye aur university ki taraf se hi unhe abroad bheja jana tay ho gaya aage ki research ke liye. kuch waqt ke baad unki Amsterdam me hi posting ho gai aur Sr. Engineer ke ohde me lag gaye.. Halaki unhe bhi shaq tha zarina ki muhabbat ka, lekin pahel dono taraf se hi naa ho paai thi.. aakir me ladkiyan talaash karte waqt unhone apni ammi Nikhat se kah diya apne dil ka haal, bas fir kya tha Nikhat agle hi roz Bibi Aamna ke ghar apne bete ka rishta lekar pahuch gain, aur itna accha rishta to naseeb walon ko hi milta hai iklaouta ladka, acchee khaasi naukri daulat ki koi kami nahi, Aamna begum ne bhi kuch din me khabar pahuchwaa dee ke "hame rishta manzoor hai."

"Chaand ka tukda lag rahi hai meri gudiya." farha ne is andaaz me tareef ki to wo sharmaa ke nazren jhukaa baithi.. "haaye, husn kaa ye aalam dekh kar to Ashraf bhai pe qayamat hi aa jaaeegi".. is par zarro ne ek zor kha haanth Farha ki peeth pe jama diya thaa... " Allah qayamat hi aa gai hai, kisi ki tareef karo aur maar bhi khao." itna kahkar wo has padee aur zarro ko gale laga liya.. khushi ke aansu dono ki aankhon me chamak uthe they..

Sham ko Mehndi ke function me ajeeb sa khumaar tha, idhar Aadil ke dil me us shakhs ke deedar ka intzaar tha jo ki Mukhtar ke aane ki khushi me maree ja rahi thi.. "Ammi jaldi taiyaaar ho jaaen naa, kahin function khatam hi na ho jaae.." Rukhsana kuch kah pateeN iske pahle hi uski choti bahen Samreen tapak padee "Ammi farha baji ko to Zarina ki mehndi se zyada kisi ke deedar ne tadpa rakha hai." itna kahkar Samreen aur Rukhsana bee to muskura padeeN lekin maare sharam ke Farha ke gaal laal ho gaye, wo itna tez jhep gai ki seedhe kamre ke baahar pair patakti hui nikal gai. farha ko khabar thee ke bachpan me uske bade abba Obaidullah khan, ne uske papa Firoz se uska nikaah apne Mukhtar se karne ki baat tay kar rakhi thi, aur isi soch ne farha ko bahot itminaan de rakkha tha...

"Salaam Aunty, kaisi hain aap?" ekdam se Sameena palteen to saamne mukhtar they... "walekum salam, acchee hoon, tum kaise ho bete? kaisi chal rahi hai tumhari padhaai?". "sab allah ka karam hai aunty, final year hai to mehnat kuch zyaaada hi karni pad rahee hai." itna kahkar Mukhtar ek pal ko ruke aur aage kuch poochne hi wale the ki Sameena aunty ne khud hi pahal kar dee "chalo masha-allah jaldi se padhai poori karo aur ek kaabil docter banke niklo, wese rakshi ka bhi bahot man tha aane ka lekin uski tabiyat thodi nasaaz thi." Mukhi ko to mano unke sawaal ka jawab mil gaya lekin wo thode se udaas ho gaye...
Mehndi ki raat saari bahno ne jam kar naach gaana kiya, Aamna begum bahot khush theen ki unki beti ka nikaah itne acche ghar me ho raha hai, wo dil hi dil me khuda ka shukriya adaa kiye ja rahi theeN.

Agle din to jaise kisi ko baat tak karne ki fursat nahi thee, sab yahan se wahan bhaag rahe the, koi khaane peene ke intezaam me laga hua tha to koi mehmano ke khidmat me..Aadil bhi poore josho khuloos se kaam me laga huaa tha,aakhir uski iklouti bahen ki shaadi jo thee, uske dil ki khushi chupaae nahi chup rahi thi Kyonki Farha apni family ke saath kal se yahin ruki hui thee, beech me kabhi takraae to farha ne to dhyan bhi na diya, lekin Aadil bas thandi aahen bhar ke rah jaate. Halaki Aadil jantey the bade bahi farro me qatai interested nahi hain aur farro ke jazbaat kya hain unke bhai ke liye ye bhi bakhubi jante the, lekin jane kya sochkar, kis ummeed ke saath apni muhabbat ki shamma jalaane ki koshish me they. Rakshi bhi dopahar se hi apni mummy Sameena ke sath aa pahuchi thee.

"khudaa ke liye meri baat sun lo rakshi." usne majeed gusse ki haalat me mukhtar ke hanth se apni baazu chudaani chahi thi aur boli "Mukhi hame majboor na karen ki zarro ki bidaai se pahle hi hum wapas laut jaaen". Unhone use aazad karte hue uski ankhon me jhaankte hue poocha "Lekin Mera kasoor kya hai? kyon tum mujhse bhaag rahi ho? kyon tumhe meri muhabbat nazar nahi aa rahi hai.??"

"kyon? huh iska jawaab tum apne dil se Pucho Mr. Mukhtar Aalam, kya in 4 saalon me tumne kabhi ye jataane ki koshish ki hai ki tumhare dil me mera pyar ab bhi zinda hai. Kya tumhe mere aansu, meri tadap us waqt nazar nahi aaye they jab main sara sara din tumhara naam le kar royaa karti thi. Agar tumhare career , tumhare sapno ke aage meri muhaabbat koi keemat nahi rakhti to behtar hai ki main hi tumhare raaste se alag ho jaaun."

" Meri jaan khuda gawaah hai jo maine ek pal ko bhi tumhe apne khayaalon se juda hone diya ho. Main majboor tha rakshi, mujhe tumhari tadap yakeenan nazar aa rahi thi lekin main kya karta? agar tumse talluq kam na karta to aaj jo tum jee rahi ho wo bhi na jee paati, mujhe khabar thi ke tum meri muhabbat ke bajaae mujhse nafrat karke zyaada asani se jee logi"............... "aur agar tumhare mazaaq, tumhari zyaati soch ki wajah se ye nafrat itni badh jaae ki khuloos ke sare rishte kamzor pad jaaen to kya karoge Mukhtar?" wo jaise apni aansuon se dubi aankhon se hi use ye kah dena chahti thi, kyonki is baat ko kubool karne me uski zabaan ab bhi uska saath nahi de paa rahi thee. Iske baad uski aankhon me aansu yoon bhar aaye ki fir na ruk sake.. is baar Mukhtar ne uska haanth pakad liya aur hausla bandhate hue kahne lage ke bas kuch waqt aur intzar kar lo, fir main tumhe hamesha ke liye apne saath le jaungaa. Rakshi bhi jaise kahna chah rahi ho "mera haanth qayamat tak yoonhi thame rahnaa mere mahboob, tumse judaa hoke main bhi jee na sakungi."

"khuda ka shukr chalo sab acche se nipat gaya." Imran ne Abba se kaha to firoz miyan ne bhi haami bhari, aur dil hi dil me sochne lage ki wo din bhi jald aa jaae jab hamaari beti is ghar ki bahu banke yahan aa jaae. Bidaai ke waqt Zarina Aadil se lipat ke khoob roi, akhir wahi to tha uska bada bhai, jo bhai hone ke sath uska dost bhi tha, ammi ka aur haajra taai ka bhi kaleje ke tukde ko judaa karne ke gham me ro ro ke bura haal thaa.. Farha ke aansu bhi rukne ka naam nahi le rahe the.. wo bhi ro ro ke use hausle diye ja rahi thee. magar in sab ke beech me ek shakhs aisa bhi tha jiski ankhon me na aansu the na chehre pe shikan.. wo to jaise patthar ka ho chukaa tha.. wajah shayad usko bhi nahi pata thi, lekin wo aisa hi ban gayaa thaa.. na use khushi ke aalam me khushi hoti na hi kabhi gham ka ehsaas... Kuch aisa hi ho gaya tha shayad Mukhtaar Aalaam...

jaari................

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 28th January 2011 at 12:46 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
28th January 2011, 09:39 AM

ahhhhhaaa.....ab ja ke poora pad aapye hoon, kal part 2 din meiN 3-4 padne ki koshish ki par har baar beech meiN hi chordna pada, ab ek saath part 2 aur 3 padaey haiN, bahut accha likh rhe ho aap, ab to excitment badh gye hai ki jaldi se baaki ki saari story padne ko mil jaaye

bahut khoob....lage raho bhai, poet ke saath saath kahanikaar bhi ban gye ho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#10)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th January 2011, 01:04 PM

Chaliye khuda ka shukr jo aapko waqt to mila.. aur aapne ispe nazar to daali... koi baat nahi jee aap chahe ruk ruk ke padheN ya chal chal ke padhen, bas padh liy akren.. excitement badhana hi to kaam hai writers kaa...hainaa

shukriya aapko ek baar fir se jo aap ise padhti ja rahi hain... keep reading..aur haan kamiyaan batana na bhuliyega... aapka bhai

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
part 4
Old
  (#11)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Love part 4 - 29th January 2011, 01:20 AM

Unki padhai poori ho chuki thee, Sarkaari naukri me lagne se pahle kuch dino ka waqt milaa tha, Mukhtar ghar wapas aa gaye. " taijaan hame apni god me sar rakh ke thodaa aaram kar lene dijiye" ispe Haajra unke baalon me haath ferte hue kahne lagi "mere bacche tu duniya se apna haal chupa sakta hai, par maine to tujhe paala hai. Mujhse teri haalat dekhi nahi jaati beta, tu ek baar apne abba se baat kyon nahi kar leta."

Mukhi muskura ke taai amma ki taraf ek nazar daale aur wapas usi tarah leT gaye jaise pahle the.. wo man hi man hairat se soch rahe they " abba se...kash ki abba kuch samajh paate to main kabhi apni muhabbat se door na gayaa hota.. aaj jo ye daraar khich gai hai rakshi ke dil me uske kahin na kahin abba khud bhi zimmedaar hain."

Pahle to unhe lagta tha ki bachpan se leke aajtak sab unhe chidhaane ke liye hi farha ka naam unke sath joda karte they.. lekin jab khusur-fusur kuch zyada hi badh gai to unhe bhi ye yakeen hona shuru ho gaya ki kuch na kuch baat zaroor hai. "Amma ye farha ka kyaa maajra hai?" apne hanth pochte hue Aamna bee boleen "ab use kya hona hai?"

"Nahi maine sunaa to hai kuch, kyaa ye baat sach hai?" Iske baad Aamna ne baat ko ansunaa kiya, aur wapas lag gain Rotiyaan banane me Mukhtaar ko der na lagee saara maajra samajhne me.

"Tumhe koi haq nahi Mukhi ki mere pyaar ki qurbaani do, tum aise kisi ki zindagi barbaad nahi kar sakte." Mukhtar pareshan pahle hi the aur uski baaton se unhe gussa bhi aane laga tha "tum kabhi nahi samajh sakee mujhe Rakshi, main yahan apne dil ki baaten tumse kahne aaya hoon, aur tum ilzaam mujhpe hi lagaae ja rahi ho"
" ilzam na lagaaun to aur kya karoon, kis haq se mujhse pooch rahe ho ki agar tumhari shadi mujhse na hui to main kya karoongi?" Ab Mukhtar ne baaton ko sambhaalna hi behtar samjha kyonki aane wale anjaane Toofan ke dar se kashti saahil pe pahle hi nahi lagaai jaati.

"Maine to bas ek mazaaq kiya tha, tum buraa maan baithiN."
"Mazaaq, aisa mazaaq qatai na kiya karen aap, lillah kisi din hamaari jaan hi na nikal jaae kahin".. aur Mukhtar ne ek nakli muskaan chehre pe sajate hue use gale laga liye. Lekin is muskuraahat ke peeche jo ek shaq thaa jo haqeeqat chupi hui thi, wo unko khaae jaa rahi thi.

Imraan bhagta hua andar aaya "Ammi.. ammi, tumhe pata hai kya? kal Zarina baaji wapas india aa rahi hain."
"kya?? zarro india aa rahi hai." farha aur Samreen chahak uthiiN. Rukhsana bee ne buraa sa muh bana kar kaha "to tujhe kyon maut aa rahi hai mue? apni bahno se zyada ise rishtedaaron ki padee hai" Imraan ka muh aise latak gaya ki ammi ki tanz sun ke bas ab ro dega.

" khud ki bahne kawaari baithi hain, wo log bhi koi jawaab nahi de rahe aur nawaabzade ko unki khushhiyon ki badi fikr hai. koi aaye ya jaae tujhe kya?" imran ulte pair waapas ho liya.
ammi ne farha ki taraf dekha, uska chehraa bhi utar gaya ammi ki baat pe par usne is masle me kuch kaha nahi kyonki ammi sach hi to kah rahi theen.

"Aadil, zara baazar se 2 kilo gosht to le aa, Ashraf ko biryaani bahot pasand hai." Ammi ke hukum pe Aadil ne sar hila diya aur bag uthaane ke liye kichen me chale gaye.
"Aapa tumhe pata hai na maa ki muhabbat, beti kitni hi door chali jaae, lekin pardes jake bhi maa ke dil se pyaar ek ratti bhi kam nahi hota." ispe Haajra boleen "sach kah rahi ho Aamna, maine to shaadi nahi kari, lekin tumhare bacchon ko hi ghanto kaandhe pe taang ke hi mamta ki bhukh mitaai hai. sach main bahot naseeb wali hoon jo tum logon ke sath hoon"
"Aapa agar tum na hoteen to shayad ye aulaadeN is laayaq na ban paatiN. jitni inki Maa main hoon utni hi shayad tum bhi ho." Haajra taai ki budhi aankhen aansuon se bhar gain aur wo apni saaRi ke pallu se use pochne lageeN.

"ammaa..." kahkar wo darwaze se bhaagti hui aai aur Aamna ke seene se lipat gai. Dono Maa beti dil khol ke roiN, kaisa ajeeb sa samaa tha wo uff.. aankhon me aansu aur dil me shadeed muhabbat aur khushi. "kaisi hai meri bachee, aaj ek baras ke baad tujhe dekh rahi hooN, kitni dubli ho gai.." peeche se Ashraf ne teer chodaa "kahan dubli hui hai ye ammi, dekhen naa pet phool ke gubbara ho gaya"..aur has diye.

tabhi amma ki nazar udhar gayee, beti se milne ki khushi me use to pata bhi na chal paya ki beti apne saath khushkhabri bhi leke aai hai... "Allah tera laakh laakh shukar hai mere parwar-digaar" wo Zarro ke maathe ko choom liiN aur dheron duaaen dene lagiiN, iske baad Haajra ne bhi apni bacchee ko seene se laga liya.. Ashraf bhai bhi behad mazaaqiya kism ke insaan the, jab se aaye the bas tab se kahkahe lagaae ja rahe the, aur sab unhe bade gaur se sun rahe the. Badi dilkash personality thee unki, jitne apne kaam ke liye sanjeeda utne hi rishton ke liye bhi fikrmand. Magar Ashraf ki nazron ne bhi bhaamp liya tha ki un ek joDee khamosh aankhon ke peeche koi to baat hai ?? par unhone filhaal ise nazar andaaz kar diya.. Shaam ko khaane ki mez pe Ashraf ne kaha "Ammi Biryaani to behad lazeez bani hai, jee chahta hai aapke haanth choom loon." ispe maare sharam ke Aamna keval muskura padeeN.
"Par Dulha-bhai iske liye aapko pahle hamare abba se permission leni hogee." Aadil ne bhi apni raay beech me thoons dee. Abba ne Ghoor ke dekha to nazren jhuka ke Aadil chupchap khane me lag gaye. Asal me aaj Obaidullah khan bhi bade itminaan me the , ghar pe beti aur daamad ke aane se.. lekin Ashraf ke dil ko bas ek hi baat khaae ja rahi thee ki aakhir wo kya wajah hai jisne is Insaan ko tapti hui bhatti bana ke rakh diya hai.. JO dil hi dil me jal to raha hai magar itna sanjeeda itna behis ki lafz aur apne jazbaat bahar nahi aane deta.

"Theek hai Mr. Mukhtar agar tum sochte ho ki ye zaher ka Ghoont yoon akele peete rah jaaoge to ye tumhari galat fahmee hai.." khud se itnaa kahte hue Ashraf-Gul muskura diye aur naa jane kya sochte hue aankhen band kar leeN aur Neend ki aagosh me jane ki koshish me lag gaye...

To be continued.............

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
29th January 2011, 11:04 AM

good work...................next episode jaldi pesh kiya jaaye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
superb
Old
  (#13)
Kavita Negi
Registered User
Kavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to all
 
Kavita Negi's Avatar
 
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 19
Thumbs up superb - 29th January 2011, 12:19 PM

Shaad Jee,

Pehle to aapko dher saari mubarakbaad aapki kahaani ke liyee.....!!! Aap Jitni achii gazal likhte hai, utni hi achi kahaani bhi likh sakte hai ye aaj maloom hua "Ankahe Rishte" Padhkar.......!!! Sach me khuda ne behtareen khayaal se nawaaja hai aapko.....!!! Mai aapki kahaani shuru se padh rahi hun......!!! Reply karne me der ho gai iske liye maafi chahti hun........!!! Kahaani me interest badhta ja raha hai.....!!! Shuru me mujhe laga bahut jayada post kar diya lekin ab lag raha hai... puri kahaani aaj hi post kar di jaaye kher is se ye maloom chal gya ki aap bahut ache writer hai.....!!! Kahaani me Rakhsi aur farah ka character kamaal ka hai....!!! aur jaise aap likh rahe hai us se aankhon ke saamne sabhi character jeevant lagne lagte hai......!!! Dher saari mubarakbaad ek baar fir .....!!! Likhte rahiyeeega.....!!! kahaani ke agle hisse ka besabri se intzaar rahega....!!!

KAVITA NEGI

Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
  Send a message via Yahoo to Kavita Negi  
Reply With Quote
Old
  (#14)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
29th January 2011, 01:40 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
good work...................next episode jaldi pesh kiya jaaye
shukriyaa janabe aali... huqum ki tameel ki jaaegi...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
29th January 2011, 06:30 PM

Quote:
Originally Posted by Kavita Negi View Post
Shaad Jee,

Pehle to aapko dher saari mubarakbaad aapki kahaani ke liyee.....!!! Aap Jitni achii gazal likhte hai, utni hi achi kahaani bhi likh sakte hai ye aaj maloom hua "Ankahe Rishte" Padhkar.......!!! Sach me khuda ne behtareen khayaal se nawaaja hai aapko.....!!! Mai aapki kahaani shuru se padh rahi hun......!!! Reply karne me der ho gai iske liye maafi chahti hun........!!! Kahaani me interest badhta ja raha hai.....!!! Shuru me mujhe laga bahut jayada post kar diya lekin ab lag raha hai... puri kahaani aaj hi post kar di jaaye kher is se ye maloom chal gya ki aap bahut ache writer hai.....!!! Kahaani me Rakhsi aur farah ka character kamaal ka hai....!!! aur jaise aap likh rahe hai us se aankhon ke saamne sabhi character jeevant lagne lagte hai......!!! Dher saari mubarakbaad ek baar fir .....!!! Likhte rahiyeeega.....!!! kahaani ke agle hisse ka besabri se intzaar rahega....!!!

aapne jis tarah se meri tareef kar dee hai mere paas kuch bacha hi nahi kahne ke liye.. ye sab aap doston ki nawazish hai bas.. aur kuch nahi.. filhaal bas itna hi kah sakta hoon... dhanyawaad, shukriya, badee meherbaani...
aati rahiyegaa....aur pareshan na hoen iske parts jald se jald post kiye jaaenge.. khush raho bacchaa..

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
part 5
Old
  (#16)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part 5 - 30th January 2011, 03:15 AM

" Ashraf ko bhi saath leti jaaogi kya?" to Zarina boli "Nahi ammi unhe aaj office ke kaam se kahin baahar jana hai, maine Farha ko bol rakkha hai wo aa jaegi thodi der me." to amma ne haami bhar dee. Aadil seeDhiyon se utar rahe the ke Zarina ne kaha "bhai, aap aaj kisi zaruri kaam me busy na hoN to hamare saath shopping ke liye chaleN naa." Aadil ne muskurate hue kaha, "Jo huqm mere Aaqa, lekin aaj achaanak se yoon shopping ka mood bana kaise?"
"wo kuch nahi bas darasal farro ko bhi kuch suits silaai ke liye dena tha to maine kaha hum sath hi chale jaaen, inke bhi office ka kuch kaam aa gaya hai warna hum teeno hi saath jate." Farha ka naam sunke wo khush to bahot ho gaye the magar zaahir na hone diye.

" Chachijaan, salaam arz ho, kaisi hain aap?" farha chahakti hui aai aur aamna bee ke peeche se gale me hanth daal ke boli to unhone haste hue kaha, "aaja meri rani, mujh se kya poochti hai, tu bata kaisi hain teri ammi?" ...
"wo bhi theek hain, ye zarro ki bacchi kahaan gai chachijaan, kahin nazar nahi aa rahi??" itne me zarina kitchen me se chaay ka tray leke aai, dono bahne behad muhabbat se miliN. chaay pitee hue Zarina ne aadil ko aawaz deke bulaya... Farha chaunk ke poochi "Ye bhi aaenge kya hamare saath?" zarina ne muskura ke mundi hila dee. Farha ne maathe pe haanth dhar ke sar jhuka liya, fir kahne lagi "Ohh , dulha bhai nahi chalenge kya hamare sath, hum to unhi se milne aaye the."
" Nahi ree, unhe kuch kaam aa gaya hai, isi silsile me bahar gaye hain, filhaal to Aadil bhai ke hi saath chalna hoga." Farha ko kuch sujha naa kahne ko to wo chupchap lawn ki taraf chalne lagi, jahaan Aadil Car baahar nikal rahe the.

Unka dil kah raha tha ki wo farha se aaj apni muhabbat ka izhaar kar hi dein, drive karte hue bole,"Aaj mausam kaafi Roomani lag raha hai na." Zarro ne muskura diya, aur farha sapaat chehra liye bahar ke nazare dekhne me lagi thi, "Zarro tumhe nahi lagtaa ki ab mere liye tumhe bhi achi si ladki talash karni chahiye." to Zarina ne kaha "haan lagta to zaroor hai, magar ye kaam me to aap hi hamari madad kar sakte hain, koi pasand ho to abba ko bata dein." Abba ka naam sunte hi wo sakpaka gaye aur bole "Tujhe naa karna ho to yoonhi kar diya kar, Abba ko kyon le aati hai beech me?" Farha ne dheere dheere badbadaya " par nikle nahi ki fadfadana shuru kar diye." Zarina ne uski ye baat sun lee aur zor se hasee, Aadil ne ab chup rahne me hi bhalaai samjhi. Un logon ne khoob shopping ki aur shaam ko farha ko ghar chhodte hue wo dono bhi ghar lout aaye. Sare din me Aadil ne bahot koshish ki usse apna dil ka haal kahne ki, magar usne unhe bilkul mauka na diya, bechare dil ki hasrat dil me hi dabaa kar rah gaye.

"Zarina tujhe kya lagta hai, kya bhai Farha ke saath apna rishta kubool kar lenge?" Aadil ke poochne pe Zarina boli, "Mujhe koi zyada to pata nahi, par jahan tak mujhe shaq hai wo kisi aur se muhabbat karte hain."
" kyaa?? tum sach kah rahi ho." Aadil ke andaaz me hairat aur khushi dono baraabar se mile hue the. "Hmmmm aur mujhe ye bhi shaq hai ki wo ladki koi aur nahi Rakshi hai."
"Apni rakshi..Sameena aunty wali?".......... " haan, wahi."
" To kya farha is baat ko janati hai? Uske dil pe kya Guzregi jab ye baat saamne aaegi." Aadil ke sawaal pe Zarina bolne lagi
"Mera to khud ka dil bahot ghabrata hai, ek to ye kambakht Farro, bhai ki muhabbat me yoon paagal hai ki kasam khaae baithi hai, ki shaadi karegi to unhi se, warna sari umar kawaari hi baithi rah jaegi." Itna sunkar aadil ke dil me kuch toota tha badi zor se.

" Ashraf, kaam kaisa chal raha hai wahan, India wapas lautne ke koi chances hain kya?" to unhone kaha " Allah ke shukar se accha hi chal raha hai Mukhtar bhai, dekhiye shayad kuch saalon ke baad Allah ne chaha to India hamesha ke liye wapas aa jaaenge.." "Hmmm...." dono chaay ki chuskiyan lete rahe thodi der tak, fir Ashraf ne poocha "Bhai agar bura naa mane to dil me kuch khatak raha hai kai dino se." Mukhtar ne gaur se unki taraf dekha to wo bole "Aapki khamoshi humse bahot kuch kah jaati hai, par hum aapki takleef se yoon anjaan hain ki aapki koi madad bhi nahi kar paa rahe hain. Aap huqm karen agar nacheez aapke kisi kaam aa sake, bakhuda aapki ye haalat humse dekhi nahi jaati"
Mukhtar ne muskurate hue unhe kaha "kuch baaten agar parde me rahen to dil ka dard khamosh rahta hai, wo zaahir ho jaaeN to aisa toofan aata hai ki kai darakhton ki gahree jaDen bhi hiL jaati hain. Aur wese bhi jin cheezon pe hamara bas nahi chalta to behtar hai ki khamoshi ikhtiyaar kar li jaae, kisi ko dil ka haal bataane se bhi kuch haasil nahi hota kabhi kabhi Ashraf." iske baad Ashraf ne aage kuch na poocha par unhe yakeen ho gaya tha ki ho naa ho ye Dil ka maamla hai, wo pareshan to hue thode, par khamoshi se chaay peene lag gaye.

"Aapaaa, aapa sunti ho..." Aamna bee bhaagti hui Hajra taai ke kamre ki taraf aain. " Khudaaya khair ho, kya hua Aamna ? itni pareshaan kyon ho rahi ho, sab khairiyat to hai na..?"

" Aapa Zarina ko dard shuru ho gaya hai, aap aaen naa jaldi mere saath andar.." Wo dono dauDti hui kamre me aain to wahan Ashraf uske bagal me baithe use himmat bandha rahe the, aur wo karaahe jaa rahi thi. "Accha hua Ammi aap Aa gain, main abhi Hospital phone karta hoon, unhe jaldi ambulance bhejne ka kahta hoon." Ashraf telephone karne bahar chale gaye.

Mukhtar bhi andar aaye aur Zarro ki haalat dekh kar pareshan se ho gaye, aur Ashraf ke paas baahar chale aaye. "Kya kaha Hospital waalon ne..?"
"Unhone Ambulence bhej di hai bas kuch hi der me aati hogi." Itna kahkar Ashraf mayusi se jhuk gaye to Mukhtar ne unke kandhon pe haanth rakh diya, wo bhi kaafi pareshan ho gaye the.

Maternity Ward ke bahar sab ikatthe the, Aamna ka to jaise dar ke mare bura haal tha, farha aur Rukhsana bee unhe himmat de rahe the, Aadil yahan se wahan chahalkadmi kar rahe the, Abba na aa sake the kyonki khud bahot kamzor ho gaye the, Ashraf baahar dawaaiyan lene gaye the.

" Are Mukhtar, kuch pata kar na sab thik to hai wahan,itna waqt kyon lag raha hai?"
"Amma pareshan kyon hoti ho, Allah pe bharosa rakho, sab thik hi hoga, wese bhi kabhi kabhi kuch cases me waqt zyada bhi lag jata hai." Wo amma ko himmat bandha rahe the.

Itne me doctor saahab baahar apne Gloves nikaalte hue aaye to sabki sawaaliya nazren unpe jam gain... " Mubaarak ho bhai, ghar me ek naya mehmaaN aaya hai, beta huaa hai." unhone muskurate hue kaha to sabke chehre khil gaye, Aadil ne Docter saahab ko gale lagate hue kaha "Shukriya Dr. saahab, aapko pataa nahi aapne kitni badi khush khabri di hai hame, behad ehsaanmand hoon aapka." Dr. Umar ne uske kaandhe thokte hue kaha "Mubarak ho Aadil tum mamu ban gaye." Mukhtar ne bhi Umar saahab ko thanks bola, aur itne me Ashraf bhi aa gaye unhone khush khabri suni to Dr. Umar ke gale laga liye, unki aankhon me shabnam chamak utthe, unhone staff ke ek peon ko 500 Rs diya aur bole " jaake mithaai le aao, aur sabme baant dena." wo bhi unhe salaam thokta huaa baahar chala gaya.

Ashraf ne bete ko dekha, wo kisi Rui ke narm faahe ki tarah lag raha tha, ekdam safed,naram, uski aankhen khuli nahi theen , achaanak se wo muskuraa diya to Ashraf ki aankhon me apne bete ke liye be-intehaan pyaar umaD aaya, unka dil hua ki abhi bacche ko God me uttha lein.

Ghar me Khushiyon ka mahaol tha, 1 hafte ke baad Zarina ghar wapas aai, wo apne kamre me aaram kar rahi thi, aur uske bagal me wo nanha farishta sapno ki duniya me pariyon ke sang khel raha tha. Sabke sab unhe gher ke baithe the, Zarina ke Saas susar bhi aaye the apne pote se milne, wo bhi bahot zyaada khush hue the ghar me pote ke aane se.. Farha aur Samreen to lag raha tha ki bacche ko Noch lengi, door door se hi use choone, pyaar karne ke liye tadap rahi theeN.. Mukhtar, Abba aur Ashraf charpaai pe baithe kisi siyaasi masle pe baat kar rahe the aur Aadil, wo to apni sapno ki duniya bunne me lage hue the sofe pe baithe, Imraan bhi unke bagal me baitha tha, unke iraadon se bekhabar.

" Aadil Bhai, badi hasrat hai ab aapke sahabzade ko dekhne ki." Imran ne maje liye to unhone gusse se use dekhte hue kaha "kambakht, pahle uski amma to final ho jaae, Allah jane kahan chupi baithi hai?" " hahahaha.... " dono zor se has pade Aadil ne dil me hi socha " Imraan ke bacche apne bete se tujhe Mamu na bulwaya to dekhna, Aadil-Nazar naam nahi hamara."

Shaam ko khane pe firoz chacha bhi aa gaye the, Rukhsana kahne lageeN "Aaj is khushi ke mauke pe aap Farha ki baat kar hi leiN."...
"Tum bhi kamaal karti ho Rukhsana, wo apne ghar ke kaamo me masroof haiN, aisa na ho jaldbazi ka sila hamari soch ke khilaaf nikle."
" Aap bhi na jab bolenge ulta hi bolenge, ek baar baat karke dekheN to, fir jo hoga dekhaa jaaega, agar aaapko kuch aisi waisi baat lage, to unhe apne vaade ki yaad dilaaiyega." Firoz saahab ne kuch sochte hue kaha,
" hmmmmm........"

"Bhaijaan to kya main baat pakki samjhun?"
" Firoz mere bhai, jaldbaazi thik nahi, mujhe thoda waqt do, ek baar mujhe Mukhtar se baat karni hogi is masle me."
" Theek hai bhai, jaisa aap behtar samjhen." Obaid saahab ke jawaab ke aage wo kuch bol na sake.

"Ammi aap meri baat kaan khol kar sun lein, maine Rakshi se vaada kiya hai, main uski muhabbat aur uske intzaar ka ye sila nahi de sakta.Aur wese bhi farha ko maine kabhi us nazar se dekha nahi hai. "
" Abhi tak nahi dekha to ab dekh le, tere jazbaaton ki main kadr karti hoon mere laal par main unhe kaise samjhaaun, unhone to Farha ke paida hote hi Firoz bhai ko zabaan de di thee."
"Main kuch sunna nahi chahta amma, aap dekh lein." Wo bechari kya kartin bas khamosh ho gain.

"suniye.." to Obaid bole " hmmm... kya kaha aapke nawabzade ne?"
" wo is rishte ke liye taiyar nahi hai, Use rakshi ki muhabbat ne rok rakkha hai."
" Dekho begum use saaf saaf lafzon me kah do ki agar apne Baap ki zabaan ki Izzat hai to wahi kare ko use kaha ja raha hai. Aakhir gharwalon ki Naak bhi koi cheez hoti hai."

Subah nashtaa karte waqt Obaid saahab pooch baithe " Mukhtar kya socha hai tumne fir?" wo khamosh raha, aur bread ka niwala khate khate ruk gaya.
" main tumse baat kar raha hoon. tum sun rahe ho ke nahi..?? "
" Haan sun raha hoon, lekin soch raha hoon kya jawaab doon."
"isme sochna kya hai, maine Faisla kar liya hai. Aur Firoz ko bhi maine bol diya hai ki nazdeek ki koi tareekh tay kar lein tum dono ki mangni ke liye."

Wo ekdam se uthkar khade ho gaye... "Abba kya aapke faisloN se hi meri zindagi chalti rahegi hamesha?" uske sabr ka baandh toot gaya thaa aaj. " Kya meri Zindagi ke faisloN pe mera Koi haq nahi? Maine amma se saaf saaf kah diya hai, main shaadi karunga to sirf aur sirf Rakshi se, warna kisi se nahi." Wo ekdam se utthe aur bahar chale gaye, Aamna bhi unki is hassas harkat se pareshan ho gain.. Obaid saahab use dekhte rah gaye, unhe aisa jhaTkaa laga bete ki himaqat se ke haanth se niwaala choot ke gir gaya...

Aadil ki muhabbat bhi is waqt kahin gaayab ho gai thee, aur unhe bhai ki is harkat pe behad hairat aur dukh ho raha tha...

continued.............

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 30th January 2011 at 04:07 AM..
   
Reply With Quote
BEhad khoob..........
Old
  (#17)
adee'khaak'
Registered User
adee'khaak' is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 0
BEhad khoob.......... - 30th January 2011, 01:49 PM

WAHHH SHAAD....AESA LAGTA HAI JAISE SARRE KIRDAR SAMNE AA GAYE HON>>>>BAHUT HI SADGI SE KAHANI KO LIKHA GAYA HAI>SABSE ACCHI BAT YE HAI KI KAHIN BHI AESA NAHI LAGTA KI ABHI AAGE KYA HOGA SAMJH AA JAYE>>>>KAHIN SE KAHIN TAK NAHI LAGTA KI YE AAPKI PEHLI PESHKASH HAI.....LAJAWAAB..WAITING FOR NEXT PART

ADEE'khaak'

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post

  (#18)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
30th January 2011, 02:35 PM

Quote:
Originally Posted by adee'khaak' View Post
WAHHH SHAAD....AESA LAGTA HAI JAISE SARRE KIRDAR SAMNE AA GAYE HON>>>>BAHUT HI SADGI SE KAHANI KO LIKHA GAYA HAI>SABSE ACCHI BAT YE HAI KI KAHIN BHI AESA NAHI LAGTA KI ABHI AAGE KYA HOGA SAMJH AA JAYE>>>>KAHIN SE KAHIN TAK NAHI LAGTA KI YE AAPKI PEHLI PESHKASH HAI.....LAJAWAAB..WAITING FOR NEXT PART

ADEE'khaak'

khaak saahab ko shaad ka aadaab,.. aapne jis khoobsurti ke saath meri is koshish ko saraaha hai, main tahe dil se mashkoor hoon aapka.. aapki zarranawazi hai jo aapko ye meri pahli koshsih bhi pasand aai.. bas yahi guzarish hai ki aage bhi padhte rahiyega... saath dete rahen yoonhi... khush rahiye...

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
30th January 2011, 06:34 PM

Main kaise kah doon ke muhabbat nahi hai tumse,
Khuda ki kasam le lo koi shiqayat nahi hai tumse.

Gar khaamosh hoon to meri bebasi samjho zaraa,
Barson guzar gaye par Muhabbat wahii hai tumse.

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
30th January 2011, 09:21 PM

hmmmm................next episode pls.......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
part 6
Old
  (#21)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part 6 - 31st January 2011, 12:32 AM

Siraaz khan ki waseeyat ke hisaab se unke baad is haveli ko Obaidullah saahab ke hisse me aani thi aur shahar ke paas jo unka farmhouse tha wo Firoz khan ko milna tha. Isi ke chalte dono bhaiyon ke beech kaafi tana tani ho gai thi, Obaid saahab ki shaadi hue 6 mahine ho chuke the aur Firoz apni graduation kar chuke the, lekin filhaal kaNwaare the. Siraaz khan ne socha ki Obaid abhi khud bhi mustaqbil pe nahi hue hain, aisi haalat me parivaar ko leke kahaan jaaenge isliye haveli ko unke hisse me likha gaya tha, lekin firoz ki ragon me abhi jawaani ka garm khoon daud raha tha unhe Abba ka ye faisla kubool nahi tha,unhone apne abba se bola bhi par wo na maane. Wo behad khafa hue aur ghar chhod diye, unki Amma ne unhe bahot roka par wo na maane, usi shahar me acchi khaasi pahchan se ek jagah naukri kar li aur kiraae ke makaan me rahne lage.

Rakshi ke ghar pe bhi ajab mahaul tha, behad khubsurat aur sanjeeda kism ki hone se uske ghar pe bhi rishton ka taanta laga rahta tha, Sameena bhi kisi ko kuch jawaab na de paati theeN wajah thi Rakshi ki Zidd, usne filhaal apne kaam ko zyaada tavajjoh dena tha, aur kahti thi ke jab tak apne Daddy ke chode hue sapne ko poora nahi kar leti tab tak wo khud shaadi nahi karegi. Sameena bhi beti ke is faisle ki bahot izzat karti theeN, lekin unhe is baat ki chinta thi ki jawaan beti ko kab tak ghar me Bitha ke rakhtiN, aur isi silsile me ek din Qamar mamujaan se guftguu me lagee hui theeN, "Bhaijaan dekhen na Rakshi ko, shaadi ki baat jab bhi karo kuch na kuch bahaane bana jati hai." Qamar bole " Kya iski wajah sirf apne baap ka business sambhaalna hai? " sameena ne unhe dekha pahle fir boleeeN, " Shayad ye ek wajah ho sakti hai, lekin jo iski asal wajah hai, wo to kuch aur hi lagti hai." Qamar unki taraf dekhte hue pooche.. " Mukhtar???"
To sameena ke muh se bas "hmmmm...... " niklaa.

Firoz khan jis daftar me kaam kartey the wahan ek Khatun Rukhsana Basheer bhi kaam kiya karti thiiN, Wo isi saal naukri me aaai theeN umr hogi kareeb 21,22 saal. Unhe Firoz ka lahza behad pasand tha, jitne bhole the utne hi sanjeeda. Office me sirf kaam se matlab hota, waqt se aate aur jaate, yahi sab baten na jane kab unhe bhaa gaiN. aur ek din unhone apne dil ka haal Firoz se kah diya. Firoz ne unhe apne maazi se milwaya aur unhe kah diya ki agar mere gurbat ki saathi ban sako to hi mujhe paane ki koshsih karnaa. Unhone bhi kah diya ki wo unke saath har haal me khush rah lengi.

Apne abba se Firoz itne naraaz the ki shaadi ki bhi ittelah na unhe kari na hi gharwalon ko, Masjid me nikaah padhwaa liya aur aa gaye begum ko leke apne kiraaye ke maakaan pe.
Udhar jab aas pados walon se Siraaz khan ko Firoz ke nikaah ki khabar hui to wo khud apni begum ke saath pahuch gaye unke ghar. "Assalamoalakum... jee aap log kaun?" Rukhsaar ko dekhte hue Firoz ki Maa muskura deeN aur balaaen lene laageeN, " Hum firoz ke baap hain, Siraaz khan." Rukhsar behad khush ho gain unhone dono ko andar bithaya aur khoob khatirdari ki. Unhone Firoz se shaadi ke baad naukri chhod dee thi.

" Masha-Allah Chaand si hai bilkul hamari bahu." Apni saas ke muh se aisa sunke Rukhsana sharmaa gain, aur unhone kaha "Aap log baithen Main abhi Chaay bana ke laati hoon." Siraaaz bole, " Pareshan mat ho bahu bas hum to tujhse milne aaye the, Firoz aaye to use kah dena ki hum aaye the. Aur agar uska dil chaahe hum logon se milne ka to bina kuch soche samjhe ghar wapas aa jaae.."

" Rakshi, ye kaisi zidd hai beta..?"
"Zidd kaisi mummy? kya meri kisi baaton se aapko takleef pahoch rahi hai, aap kya kahna chah rahi hain?"
" Beti ab teri umar ho gai hai aur sach kahun to baDee cinta hoti hai mujhe teri shaadi ko lekar." Rakshi khamosh ho jaati hai.
"kya teri is khamoshi me kahin na kahin Mukhtar shamil hai??"
" Mummy mukhi se main pyaar karti hoon, aur mere pyaar ka sila agar intzaar hai to main sab sah loongi, itne din faqat intzaar raha hai mere naseeb me aur agar aage bhi raha to mujhe manzoor hai, mujhe gawara nahi ki is dil me uski jagah koi aur le, aap meri shaadi ka khayal dil se nikaal dein."
Sameena ki pareshaani me aur bhi zyada izaafa ho gaya tha beti ke is rawaiyye se, wo sochne lagiiN "ab mujhe hi kuch karna hoga, main apni phool si bacchee ki zindgi yoon barbaad hote nahi dekh sakti. main 1,2 din me hi jaati hoon Aamna se is masle me baat karne, wo bahot acchee hai bacchon ke dil ki haalat zaroor samjhegi."

Firoz ki shaadi ko ek baras ke upar ho gaye the, aur ek pyari si bacchee ke baap ban gaye they. Ab tak lekin unhone apna iraada nahi badla tha, baat unki Anaa ki thi aur is darmiyaaN Rukhsana bhi kaafi badal gai theeN. Unke dil me bhi Firoz ki baaten unke saas sasur ke khilaaf zaher bhar rahi theeN unke dil me bhi jageer ki chahat sar uthane lagi thi. Ek din khabar aai ki Siraaz khan saahab bahot beemar hain, aur unhe yaad kar rahe hain.

" Firoz, dekh beta teri Naarazgi mujhse jaayaz hai par tere bade bhai ko kyon itni takleef de raha hai isme uska kya kasoor? maine us waqt jo bhi kiya tha sab waqt ki nazaaqat thi, lekin main nahi chahata ki aage bhi ye dushmani kaayam rahe, main chahta hoon mere baad tum dono bhai mil ke muhabbbat se raho." Firoz khamoshi se abba ki baaten sun rahe the, aur bade bhai ke dil me apne chote ke liye beintehaan muhabbat jhalak rahi thi.
" meri ek aakhri khwahish poori karoge Obaid??"
" Jee Abba aap hukum karen."
" Main Chahta hoon ke bade hone ke baad tum apne Mukhtar ki shaadi Firoz ki beti farha se karna." Obaid ne abba kaa haanth thaam liya aur rone lage unki is haalat pe. Wo ye chahte the ki dono gharon me muhabbat paida ho jaae.

Firoz ne bhi haami bhar di aur Abba ke paas aake baith gaye. Siraaz saahab ki kahne pe unhone kiraaye ka makan chhod diya aur aa gaye unke farmhouse wale ghar pe rahne.

Rukhsana pahle kuch din to khamosh raheeN fir ek din unhone kaha,
"Suniye, wese ek tarah se accha hi hua jo aapke Abba ne faislaa kiya tha."
" Haan Rukh main bhi yahi samajhta hoon, bhai bhi mujhse kitni muhabbat karte hain, main hi nadaan tha unhe itni takleef dii." Lekin Ruskhsana ka dil kuch aur hi soch me tha, " kuch bhi ho, hum na ja sake to kya, hamari beti us haveli me bahu banke raaj karegi aur intqaam legi un aansuon ka jo uske Abba ne bahaae hain." Aur rukhsana ne muskurate hue apne shauhar ki baat pe haami bhari...

Kareeb 4 baje jab Mukhtar ghar loute to ajeeb si khamoshi thi har taraf, jabki unhe ummeed thi ke ghar aake unhe fir se apni daleelen pesh karni padengi, wo Aadil ke kamre me gaye to wahaan bhi koi nahi tha. Ab unke dil me thodi ghabrahat honi shuru ho gai jaise koi toofan aane waala ho, wo seedhe Zarina ke kamre me pahuche, wahan Haajra taai roe ja rahi theeN aur Zarina kamzor hone ke baavjood, aankhon se aansuon ko bahne se naa rok paa rahi thee.
" Zarro kya hua, sab log kahan hain..? aur tum ro kyon rahi ho?" Haajra ne kaha, "Isse kya Poochta hai Mukhtaar, apne abba ki haalat ka zimmedar tu khud hai."
" Kya hua Abba ko?? plz aap bataaeN na kya hua unhe wo theek to hain naa?"
Ispe Zarina ne kaha " Abba ka dil itna dukhaya hai aapne bhai, ki kamzor to wo pahle hi the, heart atttack aaya tha unhe, hospital me admit hain, haalat bahot naazuk bataai hai Docters ne."
Mukhtaar behad afra tarfri me ulte paaoN bhaage aur raaste me sochte hue jaa rahe the ki wo kya karen?? ek taraf unke baap, jinki izzat aur zidgi ke zimmedaar Mukhtar khud they aur dusri taraf unki Muhabbat Rakshi.. is waqt faislaa kar pana unke liye behad mushkil hota jaa raha tha. Filhaal abba ki taraf unki soch kuch zyada jhuki hui thii... unhone apni Bike ki speed badha dee....

to be continued.....

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 31st January 2011 at 12:55 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
31st January 2011, 02:29 PM

Good to see you in the section sameer sahab...bohat jald aapki puuri kahani padhungi...

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#23)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
31st January 2011, 05:31 PM

bahut khoob likh rahe ho shaad bhai.....par ab ek darr lag raha hai kahani aage padne se....ki kahiN Mukhtiyaar ke abba usko farah se shaadi karne ke liye raazi na kar leiN

jaldi se post kijiye ki aapne kya likha hai aage ka.........

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#24)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
31st January 2011, 07:06 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Good to see you in the section sameer sahab...bohat jald aapki puuri kahani padhungi...

hame intzaar rahegaa Insha-Allaha....................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
31st January 2011, 07:11 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
bahut khoob likh rahe ho shaad bhai.....par ab ek darr lag raha hai kahani aage padne se....ki kahiN Mukhtiyaar ke abba usko farah se shaadi karne ke liye raazi na kar leiN

jaldi se post kijiye ki aapne kya likha hai aage ka.........

shukriya baaji, jo aap lagaataar iska haar part enjoy kar rahi hain.. Khair aaage kya hogaa wo to aapke agle part me hi maloom pad jaega.. aati rahen, padhti rahen... raaz parat dar parat khulte rahenge... take care

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
part-7
Old
  (#26)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part-7 - 1st February 2011, 01:06 AM

Mukhtaar ka chehra jo ki patthar hua karta tha aaj baap ki haalat dekhkar wo patthar bhi pighal gaya ki laava aansu banke aankhon ke raaste se baahar aane lage.
" Abba mujhe maaf kar dein, meri wajah se aapko itni takleef pahuch rahi hai." Mukhtar ne Operation theatre ke baahar se hi jhankte hue dil hi dil me kaha. Unhe Ashraf hauslaa bandha rahe the, wo ruk na sake aur Ashraf ke gale lag ke itni zor se Roye ki wahaan maujood sabhi logon ke dil sahem gaye.
" Chup ho jaao Mukhtar, isme galti tumhari nahi hai,ab Allah ko jo manzoor hai wahi ho raha hai tum khud ko kasoorwar mat samjho mere bhai."
" Nahi Ashraf ye sab jo bhi hua shayad kahin na kahin iska main hi Zimmedar hoon, Allah mere Abba ko shifa baksh de mujhe unki sab sharten Kubool hongi."
" To kya tum Rakshi ko yoonhi chhod doge, Kya kahoge uski Muhabbat ke jawaab me?"
" Main khud ko kabhi maaf nahi kar sakta Ashraf agar Abba ko meri wajah se kuch ho gaya, Amma ko dekh rahe ho na tum, unke aansuon ki badduaaen main kabhi nahi le sakoonga.... kabhi bhi nahi."
Aaj na jane kyon Mukhtar itne Matlabi ho gaye the, na jaane kyon unka khoon apno ke liye Ubaal maar raha tha? Kya ye wahi Mukhtar they jisne apni muhabbat ke liye Din raat Duaaen maangi theeN.??

Raat bhar Mukhtaar so na sake the, unhone khud se ye sawaal kiya, " Kyon tumne aaj sabke saamne ye faislaa kar liya Mukhtaar. Kyon sabki nazar me zaahir kar diya ki tum apni Muhabbat qurbaan karne ko taiyaar ho, Kya tum
sach me taiyaar ho??" To unke dil se ye Aawaz aai, " Mahboob ko haasil kar lena hi shaayad Muhabbat nahi hotee, Abba ne agar apne waalid se ye vaada kiya tha, to main poori koshsih karunga ki us Marhoom ( yaani ki unke dadajaan ) ki rooh ko chain mile. Main apni zyaati khushiyon ke liye itne logon ka dil nahee Tod sakta Mukhtar.."
Aaj wo Mukhtaar kaafi badal gaye the, jinhone bachpan se hi apni zidd ke aage kisi ki na chalne dee, aaj wo apni khud ki khushiyon se Maa baap ke aage jhuk gaye they. Kah sakte hain ki aaj wo Asal Maayne me Bade bete ke Kirdaar me Utar gaye.

Abba ki haalat me dheere dheere kuch sudhar aa gaya tha, " Lijiye Juice pee lijiye." Aamna ne unhe juice ka glass diya to wo Bole, " Aamna sach kah raha hoon Agar Abba se marte waqt vaada na kiya hota to aaj main Mukhtaar ke
khaabon ko kabhi na todta." Aamna ne kaha, "Lekin ab wo Farha ke liye Raazi ho gaya hai."
" Tumhe kya lagta hai wo yoonhi Raazi ho gayaa, wo hamara khoon hai, vadon ki keemat jaanta hai, uske dil ki kya haalat hai shaayad main andaza bhi nahi laga sakta, aaj mere bete ne mera sar Uuncha kar diya, sach kahun to pyaar Qurbaani maangta hai aur wo Kaamyaab ho gaya is Imtehaan me."

Shaam ko Rakshi ke saath Mukhtar ek Coffee shop me baithe the, "Rakshi, aaj main jo tumse kahne waala hoon shayad uske bad tum mujhe kabhi Muaaf nahi karogi." Rakshi bhi thodi hairaan hote hue unse kahne lagee, " Aap saaf
lafzon me bolen kya baat hai?? "
" Tumhe yaad hoga shayad kuch waqt pahle maine tumse ek sawaal kiya tha, Aaj fir wahi dohraa raha hoon. Agar hum dono ke raaste judaa ho jaaen to kya tum bardaasht kar sakogi?? "
" Kya kahna chahte hain aap Khuda ke liye hame yoon daraaen mat. Kya koi itni zyaada khaas baat hai. jo baar baar wahi sawaal dohra rahe hain?" To Mukhtaar ne kaha " Haan shayad, kuch zyada hi khas hai..."
Wo aage bole, " Abba ne mujhse shaadi ki baat ki thi.."
"Acha fir"... wo thodi harkat me aai. " Wo chahte hain mera Nikaah Farha ke saath hoe....." itna kahke Mukhtar khamosh ho gaye.. " Kyaa??? aur aapne kya kaha fir?"
" Maine sabse saaf saaf kaha tha apni muhabbat ke bare me, par meri talkhi ko Abba bardasht na kar sake.." Wo kitni hi der tak use saari kahaani sunaate rahe aur apne daleelen pesh karte rahe, aur wo muhabat ki pyaasi moorat
bas chupchaap uski baaten sunti rahi, aankhon se aansu nikal aae par zabaan se ek harf na nikla... use bhi nazar aa gaya tha Mukhtaar ka faislaa.
lekin kamaal ki ladki thi wo na hi usse wajah poochi, na taqraar kiya aur na hi koi shiqaayat, bas chuchaap sab sunti rahi aur apni muhabbat ka maatam manaati rahi.

Waqt dheere dheere guzar raha tha, aaj Abba ko ghar aaye hue 20 din poore ho gaye the, wo pahle se behtar they, aur khush ki Mukhtaar ab unke aur unki Izzat ke saath they, wo dil se duaaen de rahe the ki "yaa Khuda Mukhtar ko is Qurbaani ka sila zaroor dena." Mukhtar bhi din kaat rahe they, lekin itne dino me na hi unke dil se Rakshi ka pyaar ek ratti bhi kam huaa na hi Farha ke liye unke jazbaat me izaafa huaa.. Wo khud pe kaabu kiye hue they ki uski yaadon ko khud pe na haavi hone deiN is wajah se na hi use TelePhone kiya na hi Milne ki Himmat kari.. Wajah shayad ye bhi they ki unhe Rakshi ke saamne ane ka dar tha. Idhar Rakshi ne bhi khamoshi ikhteyaar kar lee thi, uski taraf se bhi na kabhi baatcheet ki pahel hui dobara, aur yahi
baat Mukhtaar ko bhi pareshan kiye ja rahi thi.

Obaid Saahab ne kaha, " Aamna, mere dil me ek khyaal aa raha hai.." to Aamna ne kaha, " Jee, farmaaiye..."
" Mujhe lagta hai ki Zarina ke bacche ki paidaaish me hum party to de hi rahe hain, isi khushi ke mauke pe agar hum Mukhtar aur Farha ki Mangni ki rasm bhi rakh lein to behtar hoga, Mera bhi koi thikana nahi, pata nahi kab
Maalik ka bulawa aa jaae."
" Khudaa ke liye aisi baaten na nikaala karen muh se aur rahi baat mangni ki to asal me main bhi wahi soch rahi thi..." Dono ek doosre ki taraf dekh kar Muskura diye.

Mukhtaar ke dil ne bhi aakhir Kubool kar liya ki unki shaadi to ab farha se honi hai, isliye wo is taraf apna man banaane ki nakaam koshish me lage they.. Lekin ghar me itni khushi hone ke baavjood ek insan aisa bhi tha jiska dil is rishte se qatai khush nahee thaa, aur uske rawaiyye se ye baat saaf jhalak rahi thee.
" Aadil bhai khana to khaa lein??"
" Mujhe bhook nahi hai Zarina , tum Abba aur Bhai ke liye bas khana laga do, aur haan shaam ko shaayad main aane me late ho jaaunga, Ammi ko khabar kar denaa." Aise hi aksar ajkal wo sabse alag alag rahte they, na unhe kisi
cheez me shareeq hone ki fursat thi aur na hi kisi se baat karne ka dil hota tha.. Bas khamosh se rahtey the..

" Aadil bhai aapki pareshani ka sabab mujhe bahot acche se pata hai lekin main aisi majboor ki aapki koi madad bhi nahi kar sakti." to bahot soch kar wo bole " Zarina jis tarah bhai ne apni barson puraani muhabbat, abba ki Izzat ki khaatir haste haste Qurbaan kar dee to kya meri koi Zimmedari nahi is faisle me."
Zarina ne Aadil ko hausla bandhaaya aur dono bhaiyon ke aage ki khushaal zindgi ki duaa mangne lageeN..

Abba ka faislaa sabko kubool tha sivaay kuch logoN ke, lekin wo waqt hi kya jo kisi ko majboor na kar de.. sabne is faisle ko bas Allah ki marzi maan ke kabool kar liyaa. 2 din ke baad Zarina ke bete Munsif ka aqeeqa tay hua aur isi mubarak mauke pe Mukhtaar Aalam aur Farha-Naaz ki mangni bhi ho gai..
Kuch log to beintehaan khush they aur kuch log dil ki hasrat maar ke is faisle ko manzoor kar chuke they..
Function me har koi maujood tha ,lekin Mukhtaar ki chor nigahen jise talash kar rahi theeN unke Namo-nishaaN se wo mahroom hi rah gaye..

still continued..............

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd February 2011, 12:28 AM

Farha ko to khud ki kismat pe yakeen hi nahi ho raha thaa. Jis baat ke hone ka uske dil ko bilkul bhi yakeen nahi tha aaj wahi sab uske saath ho raha hai, shayad farha ki muhabbat rakshi ki muhabbat pe haavi ho gai thee ya uski
duaaon me asar ziyaadah tha, lekin jo bhi rab ka faisla tha, uske liye bahot tha, bas wo dil hi dil me shukriya adaa kar rahi the apne rab kaa..

Aaj Mukhatar ko Waapas Lucknow jaa rahe they, kuch final settlement karne ke baad unhe 2 din ke baad Dubai rawaana hona tha, wahin se unhe offer aaya tha, kisi shaikh ke private Hospital me job thee aur acchi khaasi payment. " Bhai zara check kar lein, kuch rah to nahi gaya."
" Nahi Aadil, maine kai kai baar check kar liya hai, sab perfect, tum bhi mere perfect bhai ho." Aisa kah ke jis ajeeb tarah se Mukhi ne Aadil ko dekha to wo sab samajh gaye aur shadeed muhabbat se bhai ko gale laga liya, jo
bhi kuch huaa iske baad mukhtaar kaafi emotional ho gaye the. Unke dil me apne bhai bahen ke liye jo muhabbat thi, wo zahir hone lag gai thee..

" Ashraf aap yahan kab tak aa rahe hain?"
" shaam tak aa jaunga, kyon?? " Ashraf ne phone pe gaur na karte hue kaha.
" Nahee ji aisa kuch nahi bas aapse ek permission leni thee."
" Bolo na Zarro kya baat hai tum kuch pareshaan si lag rahi ho koi baat hai kya.??" Ab unhone thoda dhyaan dete hue kaha..
To Zarina ne thode rukhe hue man se kaha. "Ashraf, aapko to pata hai ghar me kya mahaul hai is waqt, abba bhi bahot kamzor hain,main soch rahee thi ke agar aap Buraa na maneN to main India me kuch aur din ruk jaaun...??"
Ashraf jis kam ke silsile me India me aaye the wo kaam ho chuka tha aur wo wapas Amsterdam jana chah rahe they.Yoon to unka bhi man yahi tha jab tak Ghar me sab Normal nahi ho jaata wo Zarina ko kuch dino ke liye India me hi chhod dein... aur aakhir usne ye baat khud hi kah di.. unhone uski darkhwast manzoor kar li.

Aaj subah subah hi haajra taai ke liye samachar aaya ki jis bhanji ka Nikaah karney wo gaeen Theen, wahi parveen ne na jane kahaan se unhe dhundhhte hue ek khat bheja tha jisme likha tha, " khala tum to jaanti hi ho, ammi ke inteqaal ke baad mera is duniya me koi rah hi nahi gaya, inke saath bhi na meri shuru se jamee aur naa hi inhone mujhe kabhi us nazar se dekhaa, na hi apni bivi ka darzaa diya.. Maine bahot mana kiya tha unhe, bahot samjhaya bhi par sharaab ki lat wo na chhod sakey, aur ab wo mujhe chhod ke jaa chukey hain. Aaj na jaane main kyon itni himmat karke aapko ye khat likh rahi hoon, main nahi chahti ki aap pe bojh banuuN par duniya ke zulm yoon tanha main nahi sah saktee khala, mujhe apne paas bula lo.."

Itna padhtey hi Zarina ka galaa rundh gaya, aur haajra ko to jaise hosh hi na raha..wo but banee baithee raheeN, Parween unki bhanji ki iklauti betee thi, aur wo bhi unhe khaala hi pukaarti thi, jaisa ki uski maa. Uski maa to shaadi ke 6 mahine baad hi guzar gai thee. Aaj hi hajra ko maloom hua ki uska marad bhi nahi raha.. sharaab ke nashe ne uski jan le li thee, bechari bahot akeli ho gai the.. Parween bahot Hassas ladki thee, kabhi apna dukh duniya ko zaahir na hone detee, lekin aaj usne ye khat likha to uski majbooriu haajra ko saaf dikhaai de rahi thee...

zarina ne Rafeeq ko bulaya, wahi ye khat leke aaya tha., " Beta tumhe pata hai kyaa ki ye Parween kahan hai aajkal??"
" jee baaji wo peeche waali bastee me hi rahtee theeN, lekin Gulzar bhai ke inteqaal ke baad unhone wo ghar chhod diya."
" Kyaa, to kahan hai wo aajkal, aur ghar kyon chhod diya??"
Zareena ghabraai..

" Kyonki un logon ne makaan ka kiraya nahi bhara tha to seth ne ghar khaali karwa liya, abhi wo hamare ghar pe hi rahti hain." Zareena ke dil me us ladkii ke liye behad khuloos aur rahem paida ho gaya tha na jane kahan se..
" dekho Rafeeq ek kaam karo, tum parween ko jaake kah do, ki unki khaala ne unhe yahan bulwaya hai, wo aa jaaen, aur ab wo hamare sath rahengi." Rafeeeq wapas laut gaya.

" Zareena meri bacchee, main kyaa kahun, main to khud tum logon pe mohtaaz bani baithi hoon,upar se us gareeb ko kahan jagah detee.." haajra rotee ja rahi theeN aur Zareena se lipat gain to wo bolee, "kaisi baat karti ho taai, kyaa aap hame apnaa nahi maaanti, aapka bhi utna hi haq hai is ghar me jitna hamaara, aur aapki potee agar pareshan hai to uske liye bhi is ghar ke darwaaze hamesha ke liye khule hain.."

Idhar Mukhtar aur Ashraf apne apne kaam ke silsile me wapas chaley gaye they, udhar parween bahot pashemaaN hoke is ghar me aa gai thee. Amma ne uske aane pe kuch kaha to nahi, par shaayad unhe ye baat pasand nahi aai thee...
Parween ghar ke andar aai, uska huliya aisa ke bas dekhne waale ko ronaa aa jaaye, rookhe baal, kapdon me daag to lagey hue they magar pahanne odhne ke dhang se lag raha thaa kisi izzatdaar gharane ki ho, usne sar pe bakaayda pallu daal rakkha tha.. chehre pe is kadar masumiyat ke bayan na kiya ja sake... wo chupchaap chal ke andar aati rahi, apni khala se salaam kiya aur kisi mujrim ki tarah khadi rahee, zarina uska haanth pakad ke andar le aai " Aao parween, ise apna hi ghar samjho. Ab tumhe kisi baat ka dar nahee hoga, jo huaa use bhool jaao.." Zarina ki baaten hajra aur parween dono sune ja rahee theeN, lekin unki kuch bolne ki na himmat hui aur na kuch sujh raha tha.. Aamna ne badi ajeeb naazron se use dekha par kuch kaha nahi..

Parween ko ek chota sa kamra diya gaya tha, wahin haajra bhi raha karteeN theeN, wo jaa hi rahee thi, ke na jane kya sochte hue Aadil badee tezi se aaye, unhone dhyan na diya aur jaa ke parween se aise bhide ke girte girte sambhle, wo kuch kahne hi waale they, ki us anjaan chehre ko dekh ke ekaaek thahar gaye, " Bhai ye parween hai, haajra taai ki rishtedaar hain, ab ye hamare ghar pe hi rahegi.." Zarina ne use girte hue dekh apni hasee ko badi mushkil se kaabu karte hue kaha...

Aadil to pahle se hi pareshan they, uske aate hi aisi takkar hui aur jo unka mazaaq bana isse unke dil me itni zyaada nafrat ho gai us ladki se , ke aisi nazron se dekha use ki bechaari ghabraa hi gayee. Wo to aage badh gaye lekin us dukhiyaari ke kadam aage badhne se thitharne lagey.....

to be continued....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
2nd February 2011, 10:12 PM

kahani dard-bhari hoti ja rahi hai shaad bhai
raksi aur mukhtiyaar ke saath jo ho rha hai wo dil ko udhas kar rha hai !

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#29)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd February 2011, 10:37 PM

Jee , aap sahi kah rahi hain Baaji ye shuru me haseen thee lekin thodi si dukh bhari bhi hai.. khair abhi aage ka kuch kah nahi saktey.. dekhti jaaen kya hota hai aage... ise padhne ka behad shukriya baaji.. mujhe yakeen hai mere saath aapki duaaen hamesha bani rahengi, aur hamesha ki tarah aapka sath milta rahegaa.

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
Kavita Negi
Registered User
Kavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to all
 
Kavita Negi's Avatar
 
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 19
3rd February 2011, 11:52 AM

Hmm, Bahut khoob Shaad jee,
Kahani aur bhi pechidaa hoti ja rahi hai.......!!! badi khoobi se naye-naye kirdaar daalte ja rahe hai aap kahaani me..........!!! Bahut khoob.........!!! Next episode ka intzaar hai...........!!! Likhte raiyeee.....!!! Khush rahiyeee.......!!!!

KAVITA NEGI

Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
  Send a message via Yahoo to Kavita Negi  
Reply With Quote
Old
  (#31)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
3rd February 2011, 05:26 PM

Shukriya Kavita jee.. aap nirantar meri kahani ke har hisse pe nazar rakhti ho, poori tarah waqt deti ho, main bahot shukrguzaar hoon aapka.. bas aati raha karen... padhti rahen.. filhaal pace thoda kam ho gay hai kahani ka.. kuch kaam badha gay ahai isliye.. baaki jald se jald routine me aane ki koshish karoonga... khush rahiyega..

shaad.

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
3rd February 2011, 07:30 PM

bhai....kahani ka baaki hissa padne ki excitment peak par hai, so pls ab busy mat raho aur jaldi se jaldi raksi aur mukhi ka nikaah padwa do

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#33)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
3rd February 2011, 09:18 PM

@ suneetaa dee........
aaye bade..... hehehe sabr kijiye baaji sabar... uska phal meetha hi hogaa...lol

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 3rd February 2011 at 09:22 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2011, 11:36 AM

Mukhtaar Dubai me set ho gaye they, unhone apni practice bhi shuru kar dee thee wahaan. Ghar me din bhar me 2, 3 baar phone pe baat ho jaati thee. Wese to sara din kaam me masroof rahte they lekin jab bhi kabhi akelapan unhe gherta to wo bas Rakshi ki muhabbat aur uski yaaadon me kho jaaya karte they..

Idhar Rakshi ne bhi chuppi saadh li thee, use bhi naa to kisi se koi matlab hotaa, office jana band kar diyaa tha usne, kisi kaam me man hi nahi lagta tha uska, naa hi khane peena ki parwaah.. uska gham use khaaae jaa raha tha, Sameena se uska gham dekha nahi jaa raha tha, wo to bas use samjhaae jaa rahi theeN, "Beta Rakshi , aise kab tak chalegaa, tum maan kyon nahi leti ke wo tumhari kismat me hi nahi tha."
" Mummy kya aap soch sakti hain ki koi rooh ke bina jism kaise rah sakta hai, meri rooh meri jaan thi meri muhabbat, mujhe to jaise yakeen hi nahi aa raha hai ki Mukhi aisa kar sakte hain mere saath."
" Dekh beta jo hona hai wo to ho gaya hai, lekin ye kaisi bevkoofi ki apne Maazi ke liye koi apna future barbaad kar le."
" Mummy wo mera maazi nahi, mera pyaar meri aane wali zindgi me bhi utna hi shumaar rahega jitna ki aaj hai, aur Mummy main uski judaai uski bewafaai to bardaasht kar ke jee loongi, lekin mujhe ye kabhi gawaara nahi hoga ki koi aur uski jagah aa jaae.. Aap please mujhe mere haal pe chhod dein, main filhaal tanhaai chahti hooon.."

Wo bahot der tak apni Mummy ki baaton se tarq naa kar sakee kyonki ab aur uske aansu ruke nahi ja rahe the, unke jaane ke baad hi jo Rakshi ne rona shuru kiya to na jane kitni der tak roti rahee aur kab uski aankh lag gai use pataa bhi nahi chalaa.
Sameena bhi sab samajhti theeN lekin wo bechari Bewaa karti bhi kya?, high society ki bhale hoN par apne shouhar ki kami aaj unhe bahot hi zyaada khatak rahi thee.

" Ae Ladki, dikhta nahi hai kyaa, bartan dho rahi hai ke unse jung laD rahi hai.. zara sambhal ke kaam kar, tere kisi rishtedaar ne yahan khajaana nahi gaaD rakkha hai..."
Parween ke hanth se ek steel ka glass chut ke kya giraa Aamna bee ne to sara ghar sar pe utha liya, wo bechari chupchaap sar jhukaae glass uthaai, aur andar rakhne chalee gai.
" haan haan maharaani ke to kaan me joo bhi nahi rengti, koi kuch bhi kahe inhe kyaa?"
Kya kahtee bhi wo ghamzadaa ladki, zindgi ne uske saath itne bade bade khel khele, bachpan se hi dukh dard sah sah ke, logon ke taane sun sun ke, uska dil bedard ho gayaa tha, ab uske dil ko kisi ki baaton se buraa hi nahi lagtaa thaa. Bas bechari sara din jee-toD mehnat kartee aur logon ke taane sunte ansuna karte hue, unke ghar me rahne ka karz chukaati rahtee...

" Khaala main aapke pair dabaa doon.??" raat me Haajra tai se jab Parween ne kaha to wo boleeN, "Bas kar meri bacchee, mujhse dekhi nahi jaati teri haalat beta, saara din kaam kar kar ke jaan deti hai, aur tujhe is budhiya ki itni parwaah kyon hai.." wo khamosh rahti hai.

" Tu kon si mitti ki banee hai parween, itni sab ki parwaah na kiya kar meri bacchee" usne bas itna hi kaha...
" Tumhare siva kaun hai mera khaala, bas tumhara saya hai sar pe, mujhe aur kisi cheez ki tamanna nahi, logon ke talkh mizaaj se ab is mujhe koi asar nahi hotaa."
wo dheere dheere apni khala ke pair dabaate hue kahne lagee,
" khala kya sach me Allah Insaan ka imtehaan leta hai. ??"
" haan beta Allah duniye me sabke sath imtehaan leta hai, kisi ke saath chote to kisi ke saath behad kathin, aur un sab ka sila isi duniya me hi milta hai.. tere sath uski zyaadti nahi, uske faisle ke peeche zaroor koi aur baat hai, main to bas yahi duaaen karti hoon ke tere naseeb se ab ye pareshaniyan khatam ho jaaen bas ab tu fir se hasna muskurana seekh jaae.."

Wo sochne lagi.. " khala mere liye ab bachaa hi kya is duniya me hasne ke liye? Ummeed unhe hoti hai jinke paas jeene ki wajah hoti hai.."

Us shaam ko Aamna ghar ke aangan me baithi Zarro ke bete Munsif ko khila rahi theeN ke darwaaze pe aahat hui, unhone Parween se kaha, "Aree O ladki zara dekh to kaun hai."

" jee ammi.." usne jhaadu rakh dee aur darwaze ki taraf baDhi.

Saamne ek nek khatun khaDi theeN, Parween ne unhe salaam kiya to wo bade pyaar se pahle us shareef si ladki ko dekhti raheen fir boleeN, " Walekum salaam, beta Aamna baaji hai kya ghar pe?? kehna Sameena aain hain.."
Sameena ke miyaaN Marhooom Naeem Ahmed, Obaid saahab ke dost hua karte they, isi silsile me dono gharoN me ana jaana tha, aur umr me choti hone ke naate Sameena, Aamna ko baaji hi kaha karti theeN.

"Aaiye na aap andar , wo yahin hain.."
" kaun hai Parween??" Aamna bee ne poocha to Parween ne andar aake unhe bataya..

Wo andar aain Aamna ko salaam kiya, Aamna ke dil me pahle to khatak hui ke wo kyon aai hain fir unhone khud ko sambhalte hue, muskurate hue kaha.. " Aao Sameena kaisi ho..??"
" Acchi hoon aap kaisi hain baaji..??"

" main bhi theek hi hoon, bade din baad chakkar lage is baar tumhare, sab khairiyat se to hai na..?" itna kah kar unhone Munsif ko parween ki god me thama diya, wo use lekar andar chalee gai..

"Badi hi pyaari bacchee hai, ise pahle to kabhi naa dekhaa.. kaun hai ye?"
" ye Haajra baaji ki Nawasi hai door ki, shauhar ka inteqaal ho gaya to ab hamaare saath hi rahti hai.."
" accha??? bechaari.. Allah rahem kare is nek jaan pe."

"Khair, tum sunaao Sameena kuch pareshaan si jaan padti ho, Rakshi nahi aai..??" unhone jaan bujh kar saamne ka rukh samajhne ke liye aisa sawaal kiya tha.. Sameena khamosh rahi to Aamna ke dil me bhi ghabraahat hui.. "Khuda ke liye kuch bolo Sameena , sab theek to hai, Rakshi kaisi hai.." Ab Aamna bhi pareshan ho gain.. Sameena se ab uske gham zabt na ho sake aur wo phoot phoot ke rone lageeN, unhone Rakshi ka haal bataya aur unhe un dono ki Muhabbat ki duhaai dene lageeN... " Rahem kijiye baaji, dono bacchoN ki Zindgi ka sawaal hai, mujhe pata hai Mukhtar bhi kisi haal me Farha ke hoke bhi use apnaa nahi sakenge, unki bhi khwaahish Rakshi hi hai, aur to aur Rakshi ne bhi kasam khaa li hai ki Wo ab kisi ke saath apne rishte ki shuruaat nahi kar saktee."

Aamna ko bhi pata thee Mukhi ki haalat, unhe bhi bete ki yaad aa gai, uske ghamon ki jhalak samne dikh gai aur palkon pe aansu aane to jaise lazmi they, wo sisakte hue kahne lageeN, "Sameena main sab janti hoon, sab samjhti hoon, tum Maa ho na Aulaad ka dard sabse pahle Maa hi samajh sakti hai.. lekin main bhi bebas hoon, Iske Abba kabhi na maanenge.."

Wo behad sanjeeda hoke boleeN, " Agar aaj Mukhtar ke Abba zinda hain to bas isi shart pe ki Mukhtar farha ke liye raazi ho gaya hai.." Wo aage boleeN
"Sameena ab jaake Mukhi baDee mushkil se jo raazi huaa hai to bas apne baap ko zindaa dekhne ke liye, tumse main bheekh maangti hoon Sameena, Rakshi ko leke itni door chali jaao ke jahan Mukhtaar ka tasavvur bhi na pahoch sake.. main tumse ek baDee bahen hone ke naate kuch maaang rahi hoon, mujhe mera suhaag baksh do .." Aamna bhi behad dukhi ho gai theeN aur unke aansu is baat ki gawaahi de rahe they..

Sameena ne bhi unka dukh dekha to dil paseej gaya wo uthi aur salaam karke baahar nikal gaeen.. Is poore waaqiye ko Parween bade gaur se dekh rahi thee, lekin bas ek but ki tarah khadee rahi na uski aankh me aansu they, na hi kuch mahsoos karne ke liye dil..

Mukhtar ki shaadi ko 2 mahine baaki rah gaye the, unka filhaal India aane ka koi mood nahi thaa.. bas din raat kaam me waqt bitaate the, unhe akele rahne ka bahaana mil gaya tha aur shayad isi me wo apni khushi taalsh kiyaa karte they.

" Hello... Hello, koi kuch bolta kyon nahi..??" Aaj subah se paachvi baar jab wahi call aai to sameena pareshan ho gain. khud se hi badbadate hue kahtee raheeN, "Allah jaane kon hai, kuch boltaa hi nahi.. subah se naak me dam kar diya mue ne."
Rakshi ne bhi muskate hue man hi man kaha , " Mummy wo muaa koi aur nahi, tumhari beti ki hi chahat hai.."
Na jane kaise magar use GumaaN tha ki wo shaksh koi aur nahi Mukhtaar hi hai.

Is baar bhi jab phone ki ghantee bajee to Sameena ka Gussa bardaasht ke baahar ho gayaa, unhone phone uthate hi chillana shuru kar diya us par, bahot der tak jab koi jawaab na aaya to wo ek pal ke liye rukeeN, tabhi us taraf se behad bujhi hui si aawaz aai, " Hello, Aunty... Mukhtaar bol raha hoon.."

to be continued.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
Kavita Negi
Registered User
Kavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to all
 
Kavita Negi's Avatar
 
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 19
4th February 2011, 12:14 PM

Superb......!!! story bahut interesting hoti ja rahi hai Shaad Jee....!!! aaj subah jab maine dekha aapne aaj ka koi episode post nahi kiyaa to bahut dukh hua.....!!! lekin abhi nazar padhi to dil khush ho gya.....!!! na jaane kitna ghumegi abhi ye story....!!! Emotional atyaachaar kar rahe hai aap padhne waalo ke saath hahaha.....!!! Jaisa Sunita di ne kaha jaldi se jaldi rakhsi aur mukhi ka nikah padhva do.....

KAVITA NEGI

Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
  Send a message via Yahoo to Kavita Negi  
Reply With Quote
Old
  (#36)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
4th February 2011, 03:38 PM

Shaad bhai, ab 2 din ki chutti aa rahi hai na, sat. aur sunday ki, poori kahani likho aur post kar do, aur intezaar nahi hota ab....baar baar story dekhti hoon ki naya kuch post hua ki nahi.....happy ending karna bhai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#37)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2011, 03:55 PM

Quote:
Originally Posted by Kavita Negi View Post
Superb......!!! story bahut interesting hoti ja rahi hai Shaad Jee....!!! aaj subah jab maine dekha aapne aaj ka koi episode post nahi kiyaa to bahut dukh hua.....!!! lekin abhi nazar padhi to dil khush ho gya.....!!! na jaane kitna ghumegi abhi ye story....!!! Emotional atyaachaar kar rahe hai aap padhne waalo ke saath hahaha.....!!! Jaisa Sunita di ne kaha jaldi se jaldi rakhsi aur mukhi ka nikah padhva do.....

Pyaari kavita negi saahiba.. meri ghazlon me wese to aapne bahot dino ke baad aana shuru kiya, lekin meri kahaani me shuru se saath de rahi hain.. ye baat mujhe bahot acchee lagi aapki.. aur rahi baat kahaani ki tareef ki, to aap sab logon ke saath ne hi ise ab tak silsilewaar rakkha hua hai, warna shayad ab tak main likhna band kar detaa...

rahi mukhtar aur rakshi ke nikaah ki bata to.. ssssshhhhhh
Picture abhi baaki hai mere dost.. padhti raho, sab pata chalta rahega..

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#38)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2011, 04:02 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Shaad bhai, ab 2 din ki chutti aa rahi hai na, sat. aur sunday ki, poori kahani likho aur post kar do, aur intezaar nahi hota ab....baar baar story dekhti hoon ki naya kuch post hua ki nahi.....happy ending karna bhai

Appi jaan ko chote se bhai ka aadaab... aapka reply padhke hasee a gai, itti besabriii uff.... humse aapki ye haalat dekhi nahi jaati khudara..

wese aap befikr rahen, kahani ki jahaan tak ummeed hai happy ending hi hogee... lekin sab ek din me hi post kar doon.. ye mumkin nahi, mera plan toi 15 din aur kheechne ka hai...

aapko to ana hi padega. wese aapki pareshani kam kiye deta hoon.. aapko baar baar chakkar lagaane ki takleef nahi karni padegi ab main din me bas ek paart hi post karunga.. repeat telecast aap jitni baar chahen dekh sakteen hain...
wese ek baat notice ki, meri kahaani all over india me sabse zyada chandigarh me hi mashoor ho rahi hai.. haina..??
chalo kahir abhi to shuruaat hai aage to saara india jetna hai.. aap ka saath bas bana rahe... duaaon ka talabgaar

shaad..

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#39)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
4th February 2011, 09:33 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Appi jaan ko chote se bhai ka aadaab... aapka reply padhke hasee a gai, itti besabriii uff.... humse aapki ye haalat dekhi nahi jaati khudara..

wese aap befikr rahen, kahani ki jahaan tak ummeed hai happy ending hi hogee... lekin sab ek din me hi post kar doon.. ye mumkin nahi, mera plan toi 15 din aur kheechne ka hai...

aapko to ana hi padega. wese aapki pareshani kam kiye deta hoon.. aapko baar baar chakkar lagaane ki takleef nahi karni padegi ab main din me bas ek paart hi post karunga.. repeat telecast aap jitni baar chahen dekh sakteen hain...wese ek baat notice ki, meri kahaani all over india me sabse zyada chandigarh me hi mashoor ho rahi hai.. haina..??
chalo kahir abhi to shuruaat hai aage to saara india jetna hai.. aap ka saath bas bana rahe... duaaon ka talabgaar

shaad..
Shaad bhai aapki yeh highlighted lines pad kar muje ek vaakya yaad aa gya...meri ek friend hai uski mumma ko serial dekhne ka bahut shonk hai, aur jo serial raat ko aate haiN wo din meiN repeat hote haiN phir, uski mumma raat ko bhi aur din ko bhi same serial dekhti thi, ek diN usne kaha mumma aap wahi serial raat ko aur phir diN meiN dekhtey ho...kyuN??? to aage se uski mumma ne jawaab diya kahani pakki ho jati hai dimaag meiN.....

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#40)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2011, 10:25 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Shaad bhai aapki yeh highlighted lines pad kar muje ek vaakya yaad aa gya...meri ek friend hai uski mumma ko serial dekhne ka bahut shonk hai, aur jo serial raat ko aate haiN wo din meiN repeat hote haiN phir, uski mumma raat ko bhi aur din ko bhi same serial dekhti thi, ek diN usne kaha mumma aap wahi serial raat ko aur phir diN meiN dekhtey ho...kyuN??? to aage se uski mumma ne jawaab diya kahani pakki ho jati hai dimaag meiN.....
Baaji.. maine bhi bas yoonhi likh diyaa tha, lekin jab aap ne dhyaan dilaaya to mujhe bhi wahi manzar nazar aa gaya aaNkhon ke saamne... darasal hamare ghar pe bhi yahi haal hain.. chahe mummy ho ya nani, ya mumaani.. sabka bas yahi haal hai sereal chaalu ho jaae to duniya yahan se wahaan ho jaae lekin majaal hai koi unhe hilaa sake apni jagah se.... mujhe bhi ek waaqya yaad aa raha hai, ek baar nani ke ghar pe tha, cricket match khel ke lauta to bhukh ke maare jaan nikli jaa rahi thee... maine itna kaha par nani ne to dhyaan hi nahi diya, mumaani ne alag Daant lagaa dee... maine kaha pataa nahi kya ho gaya, shayad binaa bataae subah se gaayab hoon isliye gussa ho rahi hain , kya karta bechara main, khud hi khaana nikala aur jab khane laga tab gaur kiya ki ye sab mohmaaya is sereal ki hai... haaye Raam maine apna sar peeT liya...

to be continued.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com