mohabbat ki keemat ada kya karenge... -
20th May 2006, 10:03 AM
mohabbat ki keemat ada kya karenge
jo hain bewafa woh wafa kya karenge....
phoolon ki ulfat main jab khaen hain dhoken
to katon se phir hum gila kya karenge...
jo khud kaat rahe hain musafiron si zindagi
woh chah kar bhi hamara bhala kya karenge...
jinhe dil lagane ki aadat ho har jagah'
woh apni kahani sare -aam bayan kya karenge...
karz maa ke doodh ka ada to karna hi padega"sanam"
varna jee ke unke siva kya karenge....
"sanam" chahe zindagi se bas itna
aik mutthi main kaid kar loon,
yeh aasman hai jitna!"
|