Phir raat ho gayi, Ab kahaan jaoon mein !!! -
16th October 2002, 07:03 AM
Doston,
Ek aur nazm pesh kar rahaa hoon. Aap ki rai ka muntazir hoon. Mulaiza farmaiye...
Yeh Jaan-e-zaar kaise bitaoon mein
Phir raat ho gayi, Ab kahaan Jaoon mein
Ek Lamha nahin kat taa, Kaise kaatun Zamano ko
Aag ki lapton mein jalte dekhaa hai parvaano ko
Apni chaukhat ke diye ko kyon naa bujhaoon mein
Phir raat ho gayi, Ab kahaan jaoon mein
Woh mera dost, mera raazdaar thaa
Ek mera saaya hee to mera yaar thaa
Din bhar saath rahaa, Jahaan jaoon mein
Phir raath ho gayi, Ab kahaan jaoon mein
Galiyon, Koochon, Kinaaron mein rehtaa aaya hoon
Firaaq-e-muhobbat mein sehtaa aaya hoon
Aawargi fitrat mein hai, Kaise ruk jaoon mein
Phir raat ho gayi, Ab kahaan jaoon mein
Yeh Jaan-e-zaar kaise bitaoon mein
Phir raat ho gayi, Ab kahaan Jaoon mein
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
20th May 2003, 05:34 PM
WAH!!..
Woh mera dost, mera raazdaar thaa
Ek mera saaya hee to mera yaar thaa
Din bhar saath rahaa, Jahaan jaoon mein
Phir raath ho gayi, Ab kahaan jaoon mein
Bohat hi gehra hai ye kalaam!! Aur bohat sachcha bhi... Apka hunar ki daad dete hue lafz nahi milte.. bas, yahi kahenge ki aap bohat achha likhte hain!
Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...