maikash sahab.
aadaab
maikash sahab , bahut achii koshish hai. naye naye Khyaalaat ke saath. mubaarak ho. kuchh ek takniikii gaDbaDations haiN. unkii nishaandehii karney kii koshish kar rahaa huN....
>Unko haal-e-dil sunaanaa thaa
ghazal kehnaa to ik bahaanaa thaa
..............is sher ka aur sher no 2 kaa doosraa misra bahr meiN haiN. pahley waaley nahiiN haiN. mere Khyaal se isey yuN durust kiyaa jaa saktaa hai...
haal e dil aap ko sunaanaa thaa
sher kahnaa to ik bahaanaa thaa.
haalaaNkey Ghazal lafz bhii fit hotaa hai lekin mujhey lag rahaa thaa ke rawaanii meiN kuchh kamii hai, is liye Ghazal ki bajaai sher likh diyaa.
>ek tamannaa le ke aayaa huuN
tere haaThoN se zahar khaanaa thaa
.....ek baat to ye ke zahar should be "zahr". (and similarly shahar should be written as shahr) bahut achaa sher hai lekiin pahlaa misraa bahr meiN nahiiN hai. is ko yuN kahaa jaa saktaa hai ke .
ik tamanaa sii le ke aayaa huuN.
lekin mere Khyaal meiN pahlaa misra behtarii chaahtaa hai.
Mujhe khaab kyuuN diikhaaye tune
agar dil toD ke hii jaanaa thaa
.........bahut saadaa aur pyaaraa sher hai, lekin pahla misraa is kaa bhii out of bahr hai,aur duusrey meiN halkii sii fine tuning darkaar hai,ek suurat ye ho saktii hai .......
Khaab mujh ko dikhaaye kyuuN tuuney
dil agar toD ke hii jaanaa thaa.
logoN ki aaNkh meiN chubhtaa raha
zaraa saa apnaa aashiiaana thaa
........yeh bhii ek achhaa sher hai, lekin ....... :-( wohi pahlaa misraa bahr meiN nahiiiN hai. aur agar lafz logoN hai to phir aaNkh nahiiN aaNkheiN honaa chaahiye...... hai ke nahiiN?

, ek saadaa saa alternative ye ho saktaa hai ke.
chubhtaa rahtaa thaa sab kii aaNkhoN meiN
apnaa ChoTaa saa aashiaanaa thaa
roo liiye tanhaaiioN meiN hum
MehfiiloN meiN muskuraanaa thaa
...........hmmmmmmm!!!!!!! is sher ko maiN kahtaa to yuN kahtaa.
is liye KhilwatoN meiN maiN royaa
kyuNkey mehfil meiN muskuraanaa thaa.
mere dushman agar na kaam aaye
mere dostoN ko aazmaanaa thaa
............wah , wah achhaa tanz hai. lekin duusrey misrey ko yuN kahnaa chaahiye.
dushmanoN ne diyaa naa gar dhokaa
jaa ke yaaroN ko aazmaanaa thaa!
tum karte rahe wafaayeN "maikasH"
bewafaaiioN ka jab zamaanaa thaa
achaa hai,,,,,,, Khoob , lekin pahlaa misraa kuchh laDkhaDaa gayaa hai. maqtaa kahnaa aasaan nahiiN hotaa, apney taKhallus ko fit karnaa mushkil hotaa hai, is misrey kii yeh suurat dekhiye......
ham ne tabh bhii wafaayeiN kii maikash
bewafaa_oN kaa jab zamaanaa thaa.
note="bewafaaoN"
halaaNkey mere Khyaal meiN lafz wafaayeiN kaa istemaal munaasib naa ho.
baharhaal, jo merii samajh meiN aayaa mainey bataa diyaa, ho saktaa hai aap ke kuchhh kaam aa jaaye. koshish jaarii rakhiyegaa.
Feroz