Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
agar tum na mili...
Old
  (#1)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
agar tum na mili... - 17th August 2005, 03:04 AM

agar tum na mili...

to main din ka her pal tumhaari yaad main guzar doon ga
kyonkeh un yaadon kay siwa meray pass kuch hoga hi nahin
meri soch ka mehwar tumhaari hi zaat hogi
kyonkeh meray pass kuch aur sochnay ko hoga hi nahin
her raat main chand say batain kiya karon ga
tumhaari batain
main chaand ko bataon ga keh hum kaisay milay
kaisay hum aik dosray ko bay inteha chahnay lagay
aur phir kaisay hum juda howay
main chaand say pochoon ga
kia tum bhi mujhay aisay hi yaad kerti ho?
aisay hi din raat meri yaad main bitati ho?
chand kahay ga nahin
tum to apni choti si dunya main magan ho
tumhain to mera khayal hi nahin aata
tanhaayi to bus sirif meray liye hay
meray hi naseeb main likha hay
umar bhar ka rona
tum to buhut khush ho

agar tum na mili...

to main aksar samundar kay kinaray betha karon ga
haan wohi sumandar
jo tumhain buhut acha lagta hay
aur mujhay bhi
aur ghanton samundar ko dekha karon ga
lehron ka aana aur jaana
bachon ka rait kay gharonday banana
aur un gharondon ka lehron main beh jana
bus aisay hi din ko shaam karoon ga
phir jub raat ko samundar weeran hoga
to us ki weerani meri weerani kay agay
kuch nahin hogi
kyonkeh samundar ki weerani main to aik duniya basi hay
aur meri weerani...
meri weerani main to kuch nahin
kuch bhi nahin
sirif tum
aur tumhaaari batain
tumhaari yadain
tumhaari ankhain
tumhaari sansain
aur kuch nahin
samundar say main poochon ga
kia tum bhi ander say itni weeran ho
samundar kahay ga nahin
tum to aksar yahan aati ho
aur woh tumhain hansta muskarata dekhta hay
jaisay main kabhi tumhari zindagi main aaya hi nahin
tumhain to weerani chu ker bhi nahin guzri
weeran rehna to mera muqaddar hay

agar tum na mili...

to main apnay ghar ko pholon say saja doon ga
wohi phool
jo tumhain pasand hain
woh phool mujhay tumhaaray honay ka ehsaas dilayain gay
main samjhoon ga keh tum yaheen ho
abhi achanak say aao gi
aur mujhay chonkao gi
aur jab main khafa honga
to piyar say meri baanhon main aa jao gi
magar yeh banhain to khali hain
aur khali hi rahain gi
in main tumhaaray honay ka ehsaas to rahay ga
magar kabhi tum nahin hogi
aur main in khali baahon kay saath
aahain bherta rahon ga
keh zindagi main aahon kay siwa
ab kuch bhi nahin
tum jo nahin
to kuch bhi nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
17th August 2005, 03:36 AM

Romance saahab..
kaise haiN aap..?
taveel arsa hua aapko padhe hue.. aur aaj jaise hi aapka naam sar-e-fehrist dekha chalaa aaya...

padhna shuru kiya to lafz dar lafz ismeiN khota chala gaya...
tareef to nahi kar sakta..

bas itna hii mahsoos hua jaise lafzoN ne yaadoN ko zinda kar k saamne rakh diya ho...

apna khayaal rakhiye...


mai 'bedil'

Last edited by bedilMusafir; 17th August 2005 at 03:40 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
17th August 2005, 05:41 PM

Romance bhai!

Kaise hain janaab? Arse baad aapko dekha hai site pe.. Its a pleasure to have u back here.....Aapki ghazals mujhe humesha hi bahut pasand aayi hain... yeh rachna bhi behad khoobsurat lagi...

Ab aaye hain to jaaiyega nahi bhai... Apne chhane waalon ko nirash naa kijiyega...Apna khayal rakhiye.. Likhte rhaiye...!


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#4)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
17th August 2005, 06:06 PM

mitr,

ek aisa ahesaas bayaan kiya hai tumne .... jis ki taarif mai kya kahu... yunh laga jaise ... chaand, samamder, phoolo ki mahak... sab viraan ho gaye hai... tumhari virani k aage ... wo bhi choop ho gaye hai...


meena
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
anjaani awaaz
Registered User
anjaani awaaz is on a distinguished road
 
anjaani awaaz's Avatar
 
Offline
Posts: 417
Join Date: Jan 2005
Location: Office 24x7
Rep Power: 20
17th August 2005, 07:30 PM

Dear Friend,
Yeh ehsaas sach hai... yahi toh hota hai jab koi humaara humein tanha kar deta hai.
Sukriya apne khyaal humaare saath share karne ke liye. Par ek baat kehna chahoongi, ki is tanhai mein bhi kuch alag hi maza hai, shayad hum is duniya se alag hote hain... kahin toh alag hone ka ehsaas hai jise sirf hum samajh sakte hain..aur koi nahin..
Intezaar rahega aapki agli post ka!


^^^Shalini^^^
... jab se kisi ne
karli hai suraj ki chori
aao
chal ke suraj dhoondhein
aur na mile toh
kiran kiran phir jama karein hum
aur ik suraj naya banyein
-NM
  Send a message via Yahoo to anjaani awaaz  
Reply With Quote
Old
  (#6)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
22nd August 2005, 01:34 AM

buhut shukria aap sub ka... yeh shayri nahin... i really mean it
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
agar tum na mili... romance Shayri-e-Dard 4 23rd June 2023 09:37 PM
Na tum mili silent-tears Pyaar Bhari SMS Shayri 0 30th October 2010 02:41 PM
Kal fursat na mili to mansu123 Aapki Shayri 1 25th August 2009 12:26 PM
Thokre mili!!!!!!! nice_off_me Shayri-e-Dard 1 18th November 2005 03:00 PM
mujhe na mili mehul jain Ghazal Section 0 17th November 2005 07:25 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com