us ehesaas ko apne pas mat ane de aye dost,
jo zakhmo ko teri hawa de,
mat phela haath us bewafa ke samne,
ke woh zakhmo ko tere koi dawa de!
yeh aapne bahoot hi aacha likha hai hum bhi likh rahe hai gaur kariyega dost
"Ae dost ,usse bewafa kehke ,mere "pyar" ko jalil na karo
yahi mera nasib hai,usko kuch na kaho
wo hi mera dil hai,usse zakham na kaho
hasi gayi zindagi se meri to Kya,usse koi dhokebaaz na kaho"
apna dhyan rakhiyega
apki dost
pallavi
teri nazar ki palak hun main ...
teri asar ki jhalak hun main...
aaoun nazar chehre se "palu"...
teri seerat ki khanak hun mai...
Re: mar jayenge hum tanha:( -
22nd January 2005, 02:30 PM
Jo chodh ke jaoge raho main tanha
Kehte hai kasam khakar mar jayenge hum tanha
tumse umeed hai ki tum yuN na alfazoN se sataogi...
janogi humari bebasi jab ashq aankhoN se bahaogi...
Jin raho se gujrethe tum sath humain lekar
Un raho pe rakhenge kadam kaise tanha
harr pal beete haseeN yadoN ka dariya bahega..
kaise tum tanha khudko un rahoN pe paogi....
Jana hai jaruri to bas itna bata jao
Hum kaise uthayenge duniya ke sitam tanha
uri na hota to kaise torte khudki sansoN se rishta...
sitam-e-jamana barpa humpe,jo na mehsoos kar paogi...
Hum ek hi dariya ke mazbur kinare hai
Us aur hai tum tanha,,is aur hai hum tanha
ye to shayad dastoor hai duniya ka bhichar ke roye...
do kinaroN kabhi milte hi nahi, sochte ki kya mila paogi...
Dhundho to ujale ki ab koi kiran humdum
Ganghor andhero mai ghut jaye na dam tanha
ujala tau maut ka faila hai gham-e-sehra maiN door tak
mar chuke tumhe nisani bana apni, kaise tum mar paogi...
pallavi ...
hath ruk hi nahi paye ... tumhare kalaam ko padh ke ... aur likhta chala gaya ... galat way maiN mat lena ,... bohat khub likhne lagi ho tum ... well thodi takniki barikiyoN pe gaur karo to aur accha likh paogi .. halaNki mere reply maiN takniki bohat galtiyaN hai .. jo ki tumhare kalaam ko dekhte likha tha ...
apna khayal rakhna
aur likhti rehna
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
hath ruk hi nahi paye ... tumhare kalaam ko padh ke
kisne kaha hai ki aap apne hath ko roko
han bariki se matlab samjhaoge janab
well thodi takniki barikiyoN pe gaur karo to aur accha likh paogi .. halaNki mere reply maiN takniki bohat galtiyaN hai .. jo ki tumha
han par aapne jo kalaam likha hai uske word kuch kuch mujhe samajh nahin aaye jayad hi typical word use kiye hai matlab prob. ho rahi hai mujhe samajh main nahin abhi paki shayar nahin bani na aacha waise likha aacha hai aur han taknii kya hai abh????/ wo bhi bata dena ho sake to aaj hi bata dena plzzz
aur hamesha apna dhyan rakhna ,take care
bye
pallavi
teri nazar ki palak hun main ...
teri asar ki jhalak hun main...
aaoun nazar chehre se "palu"...
teri seerat ki khanak hun mai...