Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > English/Hindi/Other Languages Poetry > Hindi Kavitayen

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Aaj Ki Paanchali
Old
  (#1)
SANJAY SANJU
Registered User
SANJAY SANJU is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 29
Join Date: Apr 2006
Location: LUCKNOW
Rep Power: 0
Aaj Ki Paanchali - 25th April 2006, 08:48 PM

Main.....................
Cheekhti rahi/chillati rahi
Bilakhti rahi/Chatpatati rahi
Par meri aawaaz
Tum tak nahi pahuch saki
Meri botiyaan nochi ja rahi thi
Aur main tumhe pukaar rahi thi
Par tum na jane kahan thai
Kaun se lok mai virajmaan thai
Mera sab kuch lut gaya
Par tumhari nidra na tooti
Tumhari aakhon se
Maya ka parda nahi hata
Tum to taranhaar thai
Tumne to bachaayi thi
Draupdi ki laaj
Phir meri cheetkar
Tumne kyu na suni?
Kya laaj bachane ka adhikaar
Sirf hai draupdi ke paas
Kyu aaj ke dushashano ke beech
Avtaar nahi leta koi krishna!

Is kalyug me..................
Kanhaiya kans ke dar se
Chupa hai bandigrah me
Chaupad ke is khel me bhishm
Thothi maryada se badh chuke hai
Aur vidur pehle hi palayan kar chuke hai
Andhe dhritrashtra ki aankhon par
Putra moh ki patti hai!

Aaj..........................
Main phir akeli hu
Mere pandaav
Meri baaji haar chuke hai
Na bheem ki uthi gada
Na arjun ne uthaya gaandeev
Yudhistra ek bar phir
Adharm ke dharm se bandhe hai
Nakul-sehdev pehle se hi memne ban chuke hai
Kalyug ki is mahabharat me
Ramayan ka koi lakshman bhi nahi
Yahan to dush-charitra dhushashan hai
Draupdi ki laaj lootne ko
Duryidhan hai shaish
Apni jangha peetne ko
Draupdi ke kaish khule hai
Par koi bheem nahi
Jo pratigya le sake
Paanchali ke khule kaisho ko
Duryodhan ke raqt se dhone ka!.....................................


SANJAYSINGH
   
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com