Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ye zindagi bhi meri ek khuli hui kitaab hai
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Ye zindagi bhi meri ek khuli hui kitaab hai - 25th December 2016, 09:44 AM

Ye zindagi bhi meri ek khuli hui kitaab hai
Yaha gham-o-khushi bhi eik saath dastiyaab hai

Hawa ke saath guzra ajnabi qareeb se merey
Voh ghair hi sahi magar voh fard la-jawaab hai

Mai mutmaein na ho saka ye zindagi se aye khuda
Na jaaney zindagi mai merey kitne aur azaab hai

Naseeb har kisi ka khush-gawaar hota bhi nahi
Chamakta hai jo raat ko voh sirf maahtaab hai

Ye aarzuu- e -baada- e -tuhoor kaisey puri ho
Jo dastiyaab hai voh toh be-zaaiqa sharaab hai

Naqaab-e-surat-e-kashish utha ke roshni ho ab
Ke tera deed aye sanam merey liye savaab hai

Ye zindagi meri sawarney bhi lagi hai hum-nawa
Mujhe fakhar hai mere zeest ka tu intakhaab hai

Taveel ho ye zindagi ya ho hayaat-e-mukhtasar
Jo baad-e-maut zinda ho voh fard kamyaab hai

Khuda sabhi ko ek sa sifat nawaazta nahi
Na kar ghuroor tu agar falak ka ek shihaab hai

Kabhi na socha tha ye zeest yu sawar bhi jaye gi
Khuda khushi se ab toh meri zeest faizyaab hai



FEW MEANINGS


• Dastiyaab= available
• Fard= individual
• Mutmaein= satisfied
• Azaab= pain/trouble
• Maahtaab= moon
• Aarzuu-e-baada-e-tuhoor= desire for nectar of paradise
• Be-zaaiqa= tasteless
• Naqaab-e-surat-e-kashish= beautiful face covered by veil
• Deed= sight/view
• Savaab= reward for good work
• Zeest= life
• Intakhaab= selection
• Taveel= long
• Hayaat-e-mukhtasar= short life
• Baad-e-maut= after death
• Sifat= virtue/quality
• Shihaab= a bright shinning star
• Faizyaab= blessed


Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
26th December 2016, 02:00 PM

waah..bahot hee khoob ghazal mujahid ji...tamaam ashaar khoob rahe.....
Taveel ho ye zindagi ya ho hayaat-e-mukhtasar
Jo baad-e-maut zinda ho voh fard kamyaab hai


Waah waah bahot khoob kaha...daad kubool karein likhte rahein...

Khush rahein.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com