Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Hosh walon ko khabar kya
Old
  (#1)
Aijaz Ahmed
Registered User
Aijaz Ahmed will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 41
Join Date: Oct 2007
Location: Gurgaon
Rep Power: 0
Hosh walon ko khabar kya - 21st October 2007, 11:25 AM

Sare dost aur sathiyon ko mera salam !! ek chhoti si gazal pesh-e-khidmat kar raha hoon!!! Apni kimti rai se zaroor nawazen!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
================================================== ===


Hosh walon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai
Pyar kije phir samajhiye zindgi kya cheez hai

Unse nazren kya mili roshan fiza ye ho gayi
Aaj jana pyar ki jadoogri kya cheez hai

Khulti zulfon ne sikhayi mausamon ko shayri
Zhukti aankhon ne bataya maikashi kya cheez hai

ISHQ kije phir samajhiye zindgi kya cheez hai

Labon se keh na paaye haal-e-dil kabhi
Aur wo samjhe khamoshi kya cheez hai

ISHQ kije phir samajhiye zindgi kya cheez hai
Hosh walon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai



Aijaz
   
Reply With Quote
Hosh walon ko khabar kya
Old
  (#2)
Aijaz Ahmed
Registered User
Aijaz Ahmed will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 41
Join Date: Oct 2007
Location: Gurgaon
Rep Power: 0
Hosh walon ko khabar kya - 21st October 2007, 08:23 PM

Sare dost aur sathiyon ko mera salam !! ek chhoti si gazal pesh-e-khidmat kar raha hoon!!! Apni kimti rai se zaroor nawazen!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
================================================== ===


Hosh walon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai
Pyar kije phir samajhiye zindgi kya cheez hai

Unse nazren kya mili roshan fiza ye ho gayi
Aaj jana pyar ki jadoogri kya cheez hai

Khulti zulfon ne sikhayi mausamon ko shayri
Zhukti aankhon ne bataya maikashi kya cheez hai

ISHQ kije phir samajhiye zindgi kya cheez hai

Labon se keh na paaye haal-e-dil kabhi
Aur wo samjhe khamoshi kya cheez hai

ISHQ kije phir samajhiye zindgi kya cheez hai
Hosh walon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai



Aijaz
   
Reply With Quote
aijaz saheb
Old
  (#3)
rahnuma
Rahnuma istiyaq
rahnuma has a spectacular aura aboutrahnuma has a spectacular aura aboutrahnuma has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 102
Join Date: Sep 2007
Location: mumbai
Rep Power: 19
aijaz saheb - 21st October 2007, 09:18 PM

ba khuda hamko saleeka e tarif nahi warna.
aaj mai likhta aapki shayeri kya cheez hai.

ek behtaree alfazon se sajai hui umda gazal mubarak bad aijaz saheb........khuda hafiz aapka dost rahnuma ishtiyaq
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
21st October 2007, 09:45 PM

Rehnuma sahab ,

Ye ghazal AJAZ sahab ki nai balke mashur o maruf shayer NIDA FAZIL sahab ki hie , jisko Jagjit sahab ne baree khubsortee se gaya aur haq ada kiya hai hur misre ka

Lijiye aap bhi dekhiye ....

http://www.youtube.com/watch?v=AhHOmTlZuOo

No doubt Ajaz sahab ki pasand lajavaab hei jo unhon ne is moti ko chuna magar mala mein sahee nahi piroya

This should have been in the ANJUMAN E SHAYERI section , wahan isko move kar diya gaya tha magar Ajaz sahab ne phir isko yahan SHAYERI E ISHQ mein post kar diya jaane kiyun :-)

Ye section to hum jaise tifl e maktab ki tukbandiyon ke liye hei sahab ...


Beharkaif , jo bhi hei Ajaz sahab ka behud shukriya ke unhon ne isko ata kya aur kiya lutf aaya iska to hur sher kamal hei sahab ,

Thanx hazaroun gulistan Ajaz sahab for sending this our way and hope u ll enjoy the video Rahnuma sahab

:-)

Due respects to both the gentlemen here ,

MahamAzmi
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
21st October 2007, 09:51 PM

Ajaz sahab , Bakamal ghazal NIDA FAZILI sahab ki ap ne khub ata ki hazrat , daad detee hon apke zouq ke liye ,

Lijiye isko dekhiye Jagjit sahab ne kiss khubsoorti se gaya hei ,


http://www.youtube.com/watch?v=AhHOmTlZuOo

Hope u ll be adding more pearls to such sections , sir ,

Do make a point to post the poems from renowned poets in the SHAYERI E MASHUR SHAYER section , so that we don t get to miss out on them



:-)

due respects ,

MahamAzmi
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Aijaz Ahmed
Registered User
Aijaz Ahmed will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 41
Join Date: Oct 2007
Location: Gurgaon
Rep Power: 0
21st October 2007, 09:59 PM

Quote:
Originally Posted by MahamAzmi View Post
Ajaz sahab , Bakamal ghazal NIDA FAZILI sahab ki ap ne khub ata ki hazrat , daad detee hon apke zouq ke liye ,

Lijiye isko dekhiye Jagjit sahab ne kiss khubsoorti se gaya hei ,


http://www.youtube.com/watch?v=AhHOmTlZuOo

Hope u ll be adding more pearls to such sections , sir ,

Do make a point to post the poems from renowned poets in the SHAYERI E MASHUR SHAYER section , so that we don t get to miss out on them



:-)

due respects ,

MahamAzmi


sahi pata dene ke liye shukariya
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
22nd October 2007, 11:04 AM

aijaz saahab,

yeh khuub-suurat Ghazal ham se baa.nTane ke liye shukriyah! jaise kii aap koo bhiipata haikiiyeh Ghazal Nida faazli saahab kii hai.. aur aap ne isay is se pahle bhii post kiya thaa, aur ham ne usay m,ashoor shayaar sec me.n move kar diya... chun kii woh ek mashoor shaayar hai.n to un kii poetry mashoor shaayar sec. me.n hii post honii chaahiye..... par aap ne dubaara bhii post kar diya....

meri aap se darkhwaast hai kii agar aap kisii aur kii poetry share kar rahe hai.n to yeh khushii kii baat hai.. lkein shaayar sahaab/saahiba ka naam mention karna na bhuliyegaa... aur agar aap shayar/shayara ka naam nahii.n pata to aap yeh mentiuon keejiyegaa kii yeh poetry aap ki likhi huii nahii.n hai. ummeed hai aap ko koii baat na-gawaar nahii.n guzrii hogii.. aur aage aap in baato.n ka khayaal rakhe.nge...

shukriyah!

Mayank

PS. Ghazal kuchh yuu.n hai..

hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagii kyaa chiiz hai

un se nazare.n kyaa milii raushan fizaaye.n ho ga_ii.n
aaj jaanaa pyaar kii jaaduugarii kyaa chiiz hai

Khulatii zulfo.n ne sikhaa_ii mausamo.n ko shaayarii
jhukatii aa.Nkho.n ne bataayaa maikashii kyaa chiiz hai

ham labo.n se kah na paaye un se haal-e-dil kabhii
aur vo samajhe nahii.n ye Khaamoshii kyaa chiiz hai

poetry moved & merged with the previous one.



Last edited by Mayank; 22nd October 2007 at 11:08 AM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
5th October 2008, 09:28 AM

wakai main bahut hi khoob surat gazal hai ye......
bus yoon samajh lo ki doob jane ko jee karta hai.....

bahut bahut shukriyaa share karne ke liye


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*Duniya Walon Ko Nahi Kuchh Bhi Khabar** Shimul Hindi/Urdu Lyrics 0 4th March 2006 06:28 PM
Hosh Valon Ko Khabar Kya snowy Hindi/Urdu Lyrics 2 10th May 2005 10:19 AM
hosh vaalo.n ko khabar.... pappu Shayri-e-Ishq 1 21st September 2004 12:57 PM
O Roshni walon... Amanush... Hindi/Urdu Lyrics 2 24th July 2004 11:09 AM
hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai Neha Haroon Shayri-e-Dard 0 30th April 2003 01:37 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com