Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
Ghazal by Javed Akhtar
Old
  (#1)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
Ghazal by Javed Akhtar - 6th December 2006, 11:50 PM

(1)

Dukh ke jangal mein firte hai kab se maare maare log
Jo hota hai seh lete hai, kaise hai bechaare log

Jeevan jeevan humne jag mein khel yahi hote dekha
Dhiire-dhiire jeetii duniya, dhiire-dhiire haare log

Waqt sinhaasan par baitha hai apne raag sunaata hai
Sangat dene ko paate hai saanson ke iktaare log

Neki ik din kam aatii hai hum ko kya samjhaate ho
Humne bebas marte dekhe kaise pyaare pyaare log

Iss nagarii mein kyun milatii hai rotii sapano ke badle
Jin ki nagrii hai woh jaane hum thehre banjaare log


(2)

Kin lafzon mein itni kadavii, itni kaseeli baat likhu
Sher ki main tahjiib* nibhaau ya apne haalaat likhu

tahjiib= reevaaj

Gham nahi likhu main kya gham ko, jashn likhu kya maatam ko
Jo dekhe hai maine janaaze, kya unn ko baaraat likhu

Kaise likhu main chaand ke kissey, kaise likhu main phoul ki baat
Ret udaaye garm hawaa to kaise main barsaat likhu

Kis kis ki aankhon mein dekhe maine zeher bujhe khanjar
Khud se bhi jo maine chhupaaye, kaise woh sadmaat likhu

Takht ki khwaahish luut ki laalach kamzoron par zulm ka shouk
Lekin unn ka farmaana hai main unn ko jazbaat likhu

Qaatil bhi maqtuul* bhi dono naam khuda ka lete the
Koyii khuda hai to woh kaha tha, meri kya aukaat likhu

maqtuul= jiss ka qatl huya ho

Apni apni taariiki* ko log ujaala kehte hai
Taariiki ke naam likhu to koum-e-firaq-e-zaat likhu

taariiki= Andhkaar; firaq=varg

Jaane kaisa daur hai jiss mein yeh jurrat bhi mushkil hai
Din ho agar to uss ko likhu din, raat agar ho raat likhu


(3)

Dard ke phoul bhii khilate hai bikhar jaate hai
Zakhm kaise bhii ho kuchh roj me bhar jaate hai

Uss dariiche me bhii ab koyii nahii aur hum bhii
Sar jhukaaye huye chup-chaap guzar jaate hai

Raasta roke khadii hai yahii ulajhan kab se
Koyii puchhe to kahe kya ki kidhar jaate hai

Narm aawaaz bhalii baaten mohazzab lahaje
Pahalii baarish mein hii ye rang utar jaate hai


(4)

Sach yeh hai bekaar humhe gham hota hai
Jo chaaha tha duniyaa mein kam hota hai

Dhalta suraj, faila jungal, raasta gum
Hum se puuchho kaisa aalam hota hai

Gairon ko kab fursat hai dukh dene kii
Jab hota hai koi humdam hota hai

Zakhm to humne in aankhon se dekhe hai
Logon se sunte hai marham hota hai

Zehan ki shakhon par ashaar aa jate hai
Jab terii yadon ka mausam hota hai

.
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
hi - 7th December 2006, 11:29 AM

Nice sharing

keep it up
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
First GAZAL
Old
  (#3)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Post First GAZAL - 7th December 2006, 05:36 PM

[QUOTE=Parul;220530](1)

Dukh ke jangal mein firte hai kab se maare maare log
Jo hota hai seh lete hai, kaise hai bechaare log

Jeevan jeevan humne jag mein khel yahi hote dekha
Dhiire-dhiire jeetii duniya, dhiire-dhiire haare log

Waqt sinhaasan par baitha hai apne raag sunaata hai
Sangat dene ko paate hai saanson ke iktaare log

Neki ik din kam aatii hai hum ko kya samjhaate ho
Humne bebas marte dekhe kaise pyaare pyaare log

Iss nagarii mein kyun milatii hai rotii sapano ke badle
Jin ki nagrii hai woh jaane hum thehre banjaare log


HELLO PARUL JI,
Waise aapki saari gazal achee hai per mujhe aapke first gazal bahut achee lagi mano duniya kee sachaai ko hum sab ke samne rakh diya. bahut hi achaa lika hai jiske tareef likhne ko mere paas harf nahi hai.......... Aap yu hi likhte rahen mujhe intezaar rahega...

Aapka Dost
Tariq (SHAAN)


"Gamo ki kader karo or unke saath jiyo,
Gam kabhi fareeb na degee khushi ki tarah."
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Javed Akhtar..An Introduction gjgjgj Shayri-e-Mashahoor Shayar 7 24th September 2011 04:51 PM
Some~ Javed Akhtar ~collection Diya_Jale Shayri-e-Mashahoor Shayar 15 30th April 2010 02:47 PM
Duswari....by javed akhtar mausam Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 1st July 2007 01:43 PM
Khalish by Javed Akhtar anil_tantia Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 27th October 2006 02:21 PM
A Poems By Javed Akhtar.. vijen Shayri-e-Dard 6 10th January 2005 10:51 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com