Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
khaaksaar ki ek aur ghazal
Old
  (#1)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
khaaksaar ki ek aur ghazal - 5th January 2006, 09:06 AM

is ghazal ko hamare yahaN ka roznama, "Munsif"(published from Hyd., India) ne qabil-e-isha'th samjha aur chunaN che Oct 2, 2005 ke shumare ke adabi safhe meiN aap ise payenge. Will be happy to learn of your responses:
ghazal

ik nuqta-e-orooj ka naqsh-e-zawaal huN
maazi jo apna bhool gaya maiN woh haal huN

ghaafil huN apni zaat se, duniya se bekhabar
ik vahm huN, gumaaN huN, khwaab-o-khayal huN

taskeen-e-rooh-o-qalb ki haajat nahiN mujhe
maiN beniyaaz-e-shewa-e-ehl-e-jamaal huN

awaaz-e-khalq huN, jaras-e-haq ki huN sada
maiN waqt ke zameer meiN chhubta sawaal huN

tere karam se aarzoo-e-seem-o-zar nahiN
maiN beniyaaz-e-hasrath-e-maal-o-manaal huN


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#2)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
9th January 2006, 12:25 AM

Bahut behtreen...

Urdu adab ki itni jaankaari nahin hai abhi ke aapki ghazal ki deserved tareef karr saku, bas itna hi kahoonga ke ik ik lafz ko gaur se para aur kai baar para aur har baar har misra kaano par sakoon se gira..

Likhte rahiye


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#3)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 9th January 2006, 07:51 PM

daad-o-tahseen ke liye shukrguzaar huN...shayad mujhe kuchh mushkil alfaaz ke mataleeb sahal urdu meiN ya English meiN likhdena chahiye tha...khair, us waqt yeh sha'ur nahiN tha...pehla ya doosra post tha....soch raha tha ke tarjum dena users ke shayrfahami ki tauheen hogi...
thanks a lot
khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Re: khaaksaar ki ek aur ghazal
Old
  (#4)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Re: khaaksaar ki ek aur ghazal - 9th January 2006, 08:09 PM

Janab-e-daanish sahab

Mehfil mein aapko pehli baar paRha hai aur aapko der se sahiH Khushaamdeed kehta huuN. Aap jaise shora ki is bazm ko bohat zaruurat hai. Umeed hai aap yahaN hameN aise hi apni Khuubsuurat tKhleqat se nawazte raheNge.

Aapki Ghazal bohat pasand aayee. Khaaskar ye do sher.

awaaz-e-khalq huN, jaras-e-haq ki huN sada
maiN waqt ke zameer meiN chhubta sawaal huN

tere karam se aarzoo-e-seem-o-zar nahiN
maiN beniyaaz-e-hasrath-e-maal-o-manaal huN

Dili daad qubuul farmaayeN. Aur aise hi hameN litf-andoz karte raheN.

Khaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#5)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 10th January 2006, 08:05 AM

tasleem janab
aapne paRhne ki zehmat farmaayi...nawaazish...is ghazal ke do aur shayr the jin ko maine yeh sochte hue post nahiN kiya, ke zabaaN is bazm ke aitabaar se shaayad saqeel ho. pesh-e-khidmat haiN yeh 2 shayr:

tera wajood mehr-e-munnawar hai aur maiN
tere hi aks-e-noor se maah-e-kamaal huN

a'ada bhi mu'atarif meri mehr-o-wafa ke hain
karta hai rashk jis pe falak woh misaal huN

(a'ada=adu yani dushman ki jamah hai)

daad-o-tahseen ke liye shukrguzaar huN...khaaksaar ki doosri ghazloN par bhi nazar-e-karam daleN aur azaadana izhaar-e-khayaal farmayeN...


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post 11th January 2006, 04:50 PM

Daanish Ji,

Itni gehri Urdu se saji aapki ghazal ko poora tow nahin samajh paaya magar isse gunguna jaroor sakta hoon. Aapka dhanyavaad karna chahunga Sir,

maiN waqt ke zameer meiN chhubta sawaal huN


विपिन


   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#7)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 11th January 2006, 06:43 PM

tasleem janab
hosla afzai ke liye shukrguzaar huN...ghazal meiN jo alfaaz kuchh saqeel haiN un ke mataleeb likh diya huN...yeh kaam pehle karna chahiye tha...magar us waqt is baat ka ehsaas nahiN tha...khair, ek baar aur paRHne ki zehmat farmaiye:

ik nuqta-e-orooj ka naqsh-e-zawaal huN
maazi jo apna bhool gaya maiN woh haal huN
(nuqta-e-orooj=point of climax, zenith, zawaal=opposite of orooj, maazi=past, haal=present)
ghaafil huN apni zaat se, duniya se bekhabar
ik vahm huN, gumaaN huN, khwaab-o-khayal huN

taskeen-e-rooh-o-qalb ki haajat nahiN mujhe
maiN beniyaaz-e-shewa-e-ehl-e-jamaal huN
taskeen=comfort, qalb=heart, haajat=need, shewa-e-ehl-e-jamal=ways of the Beautiful)

awaaz-e-khalq huN, jaras-e-haq ki huN sada
maiN waqt ke zameer meiN chhubta sawaal huN
(awaaz-e-khalq=voice of the people, jaras=bell, haq=truth)

tere karam se aarzoo-e-seem-o-zar nahiN
maiN beniyaaz-e-hasrath-e-maal-o-manaal huN
seem=silver, zar=gold, hasrat-e-maal-o-manaal=desire for wealth and riches)


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
11th January 2006, 08:53 PM

janab aadaab,

kaafi umda kalaam likha hai aapne,urdu aadaab ki jaankari na hone ke karan aapke kalaam ko sahi tareef na de paya main.iske liye maafi ka talabdar hoon.par aapko padh kar behad khushi hui.umeed hai aapko padh kar hum jaise nausakhiyon ko bahut kuch seekhne ko milega.bas yunhi likhte rahiye aap.

GHAYAL



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#9)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
12th January 2006, 06:07 PM

Bahut khoob Daanish saahab....achchha laga parhkar ...

Mughal Samrat Bahadur Shah Zafar ki amar rachna yaad aa gayi..


Na kisi ki aaNkh ka noor hooN..
Na kisi ke dil ka karaar hooN...
Jo kisi ke kaam na aa saka..
Mai wo ek must-e-gubaar hooN


shukriya

YooNhi likhte rahiyega.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#10)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 12th January 2006, 08:12 PM

tasleem janab
aap ne teenoN ghazleN paRHne ki zehmat farmayi aur bade hosla-afza kalmaat se nawaaza...inayat...yahi guzarish hai aap se ke parHne ki zehmat gavara kijiye aur izhaar-e-khayal kijiye khwa woh tanqeed hi kyoN na ho...
basad khuloos
khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#11)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
12th January 2006, 09:25 PM

Daanish
bahut khub.... ab is se aage kuch nahi kah pa rahi kyunki taarif k liye koi bhi shabd likhungi to kam hai...
daad kabul karna

Last edited by meena chheda; 12th January 2006 at 09:31 PM..
   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#12)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
shukriya - 13th January 2006, 09:01 AM

Meenaji
tasleem

daad-o-tahseen ke liye ehsaanmand huN...
many thanks
khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
SUPER GHAZAL OF THE YEAR - Winner Ghazal Dhaval Ghazal Section 36 11th October 2010 02:59 PM
Ghazal: Tum aao to sahii (ek Rumaani Ghazal) Mayank Shayri-e-Ishq 30 29th March 2009 08:32 PM
AshruO Khaali Ne Ghazal Lakhato Gayo-- Gujju Ghazal acharya_mj Shayri-e-Dard 3 16th September 2006 10:19 AM
khaaksaar ki ek ghazal Daanish_ Hyd Aapki Shayri 0 4th January 2006 07:16 PM
Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN... Ameen Asim Aapki Shayri 1 16th November 2005 02:46 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com