Kya baat hai unn aankhon ki........ -
11th December 2009, 12:24 PM
kya baat hai unki aankhon ki,
jin aankhon pe main marti hoon,
Woh aankhein aaina hai dil ka,
jin mein surat main apni dhoondhti rehti hoon,
Kehti hai uski dastaan woh mujhse,
jis dil ke liye duayein main rab se kiya karti hoon,
Saare jahaan mein nahin aisi aankhein,
Jin aankhon mein mohabat dekha karti hoon,
Unki aankhon main koi aansoon na aaye,
bus rab se apne yeh hi har pal maanga karti hoon,
Sada muskurati raheein yeh unki aankhein,
Bus yeh hi tamanna main baar baar kiya karti hoon,
kya baat hai unki aankhon ki,
jin aankhon pe main marti hoon
|