Dedicated to my love . -
6th August 2014, 04:25 PM
Ek raah k rahi hai ham tum bhi
bas halat juda hai thodi si
koi door hua hai tumse bhi
koi pass nahi hai mere bhi
koi door tadapta rahta hai
koi hamse kabhi nahi kahta hai
koi jeewan apna haar chala
sab saansin ham pe war chala
siski sunta hu uski mai
tha palke chunta jiski mai
ab vo bhi tanha hota hai
ye dil bhi har pal rota hai
e dil k nagar k waasi sun
palko se apne moti chun
mat yaad mujhe tu yun kar ab
mai basa chuka hu duniya ab
tujhko ab aage jana hai
mujhko bhi dil se bhulana hai
tere pyar ki hai ab jeet yahi
tu baandhe jo ab preet nayi
kya hansil ab is yaari se
ban beti farmadaari se
na yaad bewafa ko ab karna
khusiyo se bas aanchal bharna
teri sabse hai har baat alag
hai dono k jajbaat alag
tu pyar ka pathar hai shayad
tera ho ab farhaad alag
mai aam musafir raho ka
badhta he chalta jata hu
khud apna aap gawanta hu
teri baat wahi hai aaj talak
meri baat juda hai thodi si