Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Thokar
Old
  (#1)
fakhri
Registered User
fakhri has a spectacular aura aboutfakhri has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 14
Thokar - 24th August 2015, 12:15 AM

Ek naii paishkash, shayed pasand aaey aap logo.N ko

Teri aankho.N ka ishara na mila mujhko tou kya
In andhero.N mei.N jalaya hai faqat tera diya
Teri baaho.N ka sahara jo mujhe milta kabhi
In samaajo.N ke ravajo.N ko bhi Thukra deta

Mai.N ne ik baar tere pyar ko jana tha khuda
Tu ne ik baar mere pyar ki puja ki thi
Tu you.N hi gar mujhe rakhti tere man mandir mei.N
In zamaano.N ke Usoolo.N ko bhi Thukra deta

Tu ne thaama tha gale apne laga ker aisey
Mai.N tou soya teri zulfo.N ki ghani chaao mei.N tha
Tu agar deti mera saath you.N hi shaam-o-sahar
Tou saharo.N ko mai.N dunya ke bhi Thukra deta

Mai.N ne ik baar tere dar pe kiye they sajdey
Apni ankho.N mei.N basaya tha kabhi tu ne mujhe
Tu agar you.N hi mujhe dil mei.N chupa ker rakhti
Tou mai.N dunya ke nazaaro.N ko bhi Thukra deta

Mai.N chaha tha mera saath you.N hi deti raho
Tum raho saamne her dum aur kuch bhi na kaho
Jo tu khwabo.N ko mere you.N hi sajaati rehti
Tou savero.N ke ujaalo.N ko bhi Thukra deta

Tu ne choDa hai sar-e-raah magar ab tou mujhe
Tu ne toDa hai mera dil kahu.N kya ab mai.N tujhe
Teri chahat ki haqeeqat ko samajh leta agar
Teri nazro.N ke ishaaro.N ko bhi Thukra deta

Fakhri
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
24th August 2015, 08:57 AM

Quote:
Originally Posted by fakhri View Post

Meri Jaanib se dheeron Daad aapko sahab pur zor kalam hua hai bazm mein ehsaas umdaa, alfaazon ki chadar mein lapet kar jo aapne dil par chot ki hai, saamne hote to kai bar har sher par muqarrar lafz sunaai deta....

Yunhi likhte rahiYe

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
24th August 2015, 11:22 AM

waah waah waah...fakhri ji....ehsaas bahut hee khoobsoorati se bayaan huye hain...
asar daar kalaam par dAad kubool karein....

likhte rahein.....
aate rahiye....

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
fakhri
Registered User
fakhri has a spectacular aura aboutfakhri has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 14
24th August 2015, 06:28 PM

Himmat afzaii ka bahut shukria Mastji aur Madhuji. Lekin meri ek iltijah hai woh yeh ke agar aap sahebo.N ko koii sher vazan se baaher lage ya kuch alfaaz tabdeel ker ke behtar banaya ja sake to please islah ker li jiyega. Is se likhne waley ko hi nahi.N bulke padhne walo.N ko bhi maza aaega aur himmat milegi. Shukria.
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
24th August 2015, 09:59 PM

bahut khoob fakhri jee aapke ehsaas pasnad aaye
likhte rahiye
duaon ke saath

Aapka Apna
Ishk

'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है

email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
25th August 2015, 07:02 AM

Bohut khoob....apke ehsaas bohut pasand aaye.

Aur apka presentation style bhi thoda hatkar raha, jo ki pasand aaya.

Yunhi likhte rahen aate rahen.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
25th August 2015, 08:35 AM

Kya baat hai waaaaaaaaah

Behad asardaar likhte hai aap

Bohot khoib kalam hua hai....bubarkbad

Dheroon daad

Aapka apna
Bhushan

Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
25th August 2015, 08:38 AM

Quote:
Originally Posted by fakhri View Post
Ek naii paishkash, shayed pasand aaey aap logo.N ko

Teri aankho.N ka ishara na mila mujhko tou kya
In andhero.N mei.N jalaya hai faqat tera diya
Teri baaho.N ka sahara jo mujhe milta kabhi
In samaajo.N ke ravajo.N ko bhi Thukra deta

Mai.N ne ik baar tere pyar ko jana tha khuda
Tu ne ik baar mere pyar ki puja ki thi
Tu you.N hi gar mujhe rakhti tere man mandir mei.N
In zamaano.N ke Usoolo.N ko bhi Thukra deta

Tu ne thaama tha gale apne laga ker aisey
Mai.N tou soya teri zulfo.N ki ghani chaao mei.N tha
Tu agar deti mera saath you.N hi shaam-o-sahar
Tou saharo.N ko mai.N dunya ke bhi Thukra deta

Mai.N ne ik baar tere dar pe kiye they sajdey
Apni ankho.N mei.N basaya tha kabhi tu ne mujhe
Tu agar you.N hi mujhe dil mei.N chupa ker rakhti
Tou mai.N dunya ke nazaaro.N ko bhi Thukra deta

Mai.N chaha tha mera saath you.N hi deti raho
Tum raho saamne her dum aur kuch bhi na kaho
Jo tu khwabo.N ko mere you.N hi sajaati rehti
Tou savero.N ke ujaalo.N ko bhi Thukra deta

Tu ne choDa hai sar-e-raah magar ab tou mujhe
Tu ne toDa hai mera dil kahu.N kya ab mai.N tujhe
Teri chahat ki haqeeqat ko samajh leta agar
Teri nazro.N ke ishaaro.N ko bhi Thukra deta

Fakhri
khoobsurat peshkash hai Fakhri saaahab......... hame behad pasand aayee.... likhte rahiye

Shaad....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
25th August 2015, 12:07 PM

bahot khub.... dheroN daad... hamari jaanibse... qbul kijiye...

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
25th August 2015, 06:40 PM

Quote:
Originally Posted by fakhri View Post
Himmat afzaii ka bahut shukria Mastji aur Madhuji. Lekin meri ek iltijah hai woh yeh ke agar aap sahebo.N ko koii sher vazan se baaher lage ya kuch alfaaz tabdeel ker ke behtar banaya ja sake to please islah ker li jiyega. Is se likhne waley ko hi nahi.N bulke padhne walo.N ko bhi maza aaega aur himmat milegi. Shukria.
Fakhri sahab - Bahut aacha laga aapki baat sun kar...bahut kam log hai jo sach mein khule dimaag se seekhne ka ilm rakhte hai aur aapki is soch ko mera salaam, fihaal is kalaam mein mujhe aisi koi dikkat nazar nahi aa rahi hai....yunhi likhte rahiYeGaa

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#11)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
25th August 2015, 09:13 PM

Quote:
Originally Posted by fakhri View Post
Ek naii paishkash, shayed pasand aaey aap logo.N ko

Teri aankho.N ka ishara na mila mujhko tou kya
In andhero.N mei.N jalaya hai faqat tera diya
Teri baaho.N ka sahara jo mujhe milta kabhi
In samaajo.N ke ravajo.N ko bhi Thukra deta

Mai.N ne ik baar tere pyar ko jana tha khuda
Tu ne ik baar mere pyar ki puja ki thi
Tu you.N hi gar mujhe rakhti tere man mandir mei.N
In zamaano.N ke Usoolo.N ko bhi Thukra deta

Tu ne thaama tha gale apne laga ker aisey
Mai.N tou soya teri zulfo.N ki ghani chaao mei.N tha
Tu agar deti mera saath you.N hi shaam-o-sahar
Tou saharo.N ko mai.N dunya ke bhi Thukra deta

Mai.N ne ik baar tere dar pe kiye they sajdey
Apni ankho.N mei.N basaya tha kabhi tu ne mujhe
Tu agar you.N hi mujhe dil mei.N chupa ker rakhti
Tou mai.N dunya ke nazaaro.N ko bhi Thukra deta

Mai.N chaha tha mera saath you.N hi deti raho
Tum raho saamne her dum aur kuch bhi na kaho
Jo tu khwabo.N ko mere you.N hi sajaati rehti
Tou savero.N ke ujaalo.N ko bhi Thukra deta

Tu ne choDa hai sar-e-raah magar ab tou mujhe
Tu ne toDa hai mera dil kahu.N kya ab mai.N tujhe
Teri chahat ki haqeeqat ko samajh leta agar
Teri nazro.N ke ishaaro.N ko bhi Thukra deta

Fakhri

Fakhri ji..........kya tareef karu aapke enehsaasoN ki, likha to bahut khoobsurat hai par dard par daad kya doon.

duaa karti hu ki dard kam ho aapka.

khush rhiye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#12)
fakhri
Registered User
fakhri has a spectacular aura aboutfakhri has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 14
26th August 2015, 08:05 AM

Sarikaji, Sunitaji, Aadeilji, Mastji, Bhushanji, Shaadsaheb - Himmat afzaii ke liye behad shukria. Khushi hui ke aap sahebo.N ne pasand ki meri tehreer ko.
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com