Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
payaambar sabhi benishaa.n reh gaye hai.n
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
payaambar sabhi benishaa.n reh gaye hai.n - 25th August 2015, 12:25 PM

aaj kii dunya ke haalaat par fikr bayaan karte hue chand sukhan, Gazal ke tarz me pesh kar rahaa huu... irshad farmaaiye....

payaambar sabhii be-nishaa.n reh gaye hai.n
jihaadii1 hue chand yahaa.n reh gaye hai.n

jahaa.n aadmii jaanvar se bhii vahshii
to insaan ab vo kahaa.n reh gaye hai.n

kahi.n goliyaa.n to kahi.n bam ke maare
sabhii mulq ke darmiyaa.n reh gaye hai.n

hai viiraaniyaa.n har jagah har nagar me.n
yahaa.n naam ke gulsitaa.n reh gaye hai.n

the ahl-e-vatan vo fidaa-e-vatan vo
kaii Khaaksii2 nau-javaa.n reh gaye hai.n

jo besharm hai.n naamvar ban gaye hai.n
vahi.n nek-dil ab nihaa.n3 reh gaye hai.n

kahe daastaan-e-azal4 kya Safiir ab
ki zer-o-zabar5 har bayaa.n reh gaye hai.n


=x=x=x=x=x=x=x=x=x=x=x=x=

पयाम्बर सभी बेनिशाँ रह गये हैं
जिहादी1 हुए चंद यहां रह गये हैं

जहां आदमी जानवर से भी वहशी
तो इंसान अब वो कहां रह गये हैं

कहीं गोलियां तो कहीं बम के मारे
सभी मुल्क़ के दरमियाँ रह गये हैं

है वीरानियाँ हर जगह हर नगर में
यहां नाम के गुलसिताँ रह गये हैं

थे अहल-ए-वतन वो फ़िदा-ए-वतन वो
कई ख़ाकसी2 नौजवाँ रह गये हैं

जो बेशर्म हैं नामवर बन गये हैं
वहीँ नेकदिल अब निहाँ3 रह गये हैं

कहे दास्तान-ए-अज़ल4 क्या सफ़ीर अब
कि ज़ेर-ओ-ज़बर5 हर बयाँ रह गये हैं

-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-
1 समाजसुधारक / धर्मयोद्धा, crusader
2 ख़ाक में दफ़न; buried in dust or ash
3 अदृष्ट / गुम; hidden
4 अनादिकाल के किस्से; tales of eternity (beginning of life)
5 गड़बड़ / उलटा-पुल्टा; topsy-turvy



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif

Last edited by aadeil; 25th August 2015 at 12:41 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
25th August 2015, 01:11 PM

haqeeeqat ko rubaroo karata hua akalaam pesh kiyaa hai aapne aadil saahab...
sach kaha aapne aaj har jagah bas ladaai jhagddaa aur yahi sab hai har desh me.. har dil ki duaa hai ke ab har dil me muhabbat ke phool khilen aur sab mil jul ke rahen....

khush rahiye.... likhte rahiye...

shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
25th August 2015, 03:55 PM

waah...adeil ji...aapne dunya ke mauzuda halaat par jo fikra jatayi vo aaj shayad har zimmedaar insan ke dil ki fikra hai....bahut khoob ghazal huyi hai is umda khayaal par.....

Daad qubool kijiyega..
Likhte rahein...
Khush rahein....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
25th August 2015, 04:40 PM

Aadeil bhai.....maujooda halaat par aapke vichaar bahut sahi lge, apni baat ko lafzoN meiN bahut khoobsurti se bayaan kiya hai aapne, aapko padna hamesha se achha lagta hai hame, yu hi likhtey rhiye aur bazm meiN aate rhiye.

duaoN ke saath


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#5)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
26th August 2015, 10:11 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
haqeeeqat ko rubaroo karata hua akalaam pesh kiyaa hai aapne aadil saahab...
sach kaha aapne aaj har jagah bas ladaai jhagddaa aur yahi sab hai har desh me.. har dil ki duaa hai ke ab har dil me muhabbat ke phool khilen aur sab mil jul ke rahen....

khush rahiye.... likhte rahiye...

shaad.....
Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
waah...adeil ji...aapne dunya ke mauzuda halaat par jo fikra jatayi vo aaj shayad har zimmedaar insan ke dil ki fikra hai....bahut khoob ghazal huyi hai is umda khayaal par.....

Daad qubool kijiyega..
Likhte rahein...
Khush rahein....
Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Aadeil bhai.....maujooda halaat par aapke vichaar bahut sahi lge, apni baat ko lafzoN meiN bahut khoobsurti se bayaan kiya hai aapne, aapko padna hamesha se achha lagta hai hame, yu hi likhtey rhiye aur bazm meiN aate rhiye.

duaoN ke saath
aap sabhi ka shukr guzaar huu, iis adnaa si koshish ko iis qadr navaazish karne ke liye...

sahi kahaa aap sabhi ne ki pyar muhabbat ab rahi hi nahi hai dunya me, in dango aur fasaado se aam insaan ab pareshaan ho gayaa hai....



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com