Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Mujhko paata bhi to gaN.waa deta.....
Old
  (#1)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
Mujhko paata bhi to gaN.waa deta..... - 13th June 2006, 01:00 PM

adaab dostoN........

ek shakhs hai.....
jo mujhse bahut pyar karta hai.......bahut....magar uske pyar ko samajh ke bhi samajhna nahi chahti maiN.......kyuN........nahi jaanti......magar itna jaanti hooN ki aaj wo mujhse door reh kar kaafi khush hai.....shayad bahut khush......isliye kyuNki zindagi ko aur kareeb se jaana hai usne mujhse judaa hone ke baad.......

kisi ke likhe huye kalaam ki chand lines yaad aa gayi......

tujhe bhool kar bhi shaad hooN maiN,
ishq ki qaid se aazaad hooN maiN........


to lijiye......ek naya qalaam pesh-e-nazar kar rahi hooN.......
gaur farmaaieh'ga......

==========================

Muflis* tha wo mujhe kyaa deta,
mujhko paata bhi to gaN.waa deta,

Muflis---poor,gareeb

yuN sar-e-aam na sadaa deta,
kam se kam honth to hilaa deta,

hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

apne ghar me roz mar-mar ke,
wo meri umr ko badhaa deta,

uski taasiir*-e-gham ko kya kahooN,
jo bhi suntaa wo bad.dua deta,

taasiir---effect

use haasil na tha aag ka fun,
varna ek pal me sab jalaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

===========================

duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK......


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Re: Mujhko paata bhi to gaN.waa deta.....
Old
  (#2)
ashiq awara,
copy shayar
ashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the rough
 
ashiq awara,'s Avatar
 
Offline
Posts: 445
Join Date: Sep 2005
Location: MUMBAI---- ( mai-khana )
Rep Power: 22
Re: Mujhko paata bhi to gaN.waa deta..... - 13th June 2006, 01:36 PM

Quote:
Originally posted by kasak
adaab dostoN........

ek shakhs hai.....
jo mujhse bahut pyar karta hai.......bahut....magar uske pyar ko samajh ke bhi samajhna nahi chahti maiN.......kyuN........nahi jaanti......magar itna jaanti hooN ki aaj wo mujhse door reh kar kaafi khush hai.....shayad bahut khush......isliye kyuNki zindagi ko aur kareeb se jaana hai usne mujhse judaa hone ke baad.......

kisi ke likhe huye kalaam ki chand lines yaad aa gayi......

tujhe bhool kar bhi shaad hooN maiN,
ishq ki qaid se aazaad hooN maiN........


to lijiye......ek naya qalaam pesh-e-nazar kar rahi hooN.......
gaur farmaaieh'ga......

==========================

Muflis* tha wo mujhe kyaa deta,
mujhko paata bhi to gaN.waa deta,

Muflis---poor,gareeb

yuN sar-e-aam na sadaa deta,
kam se kam honth to hilaa deta,

hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

apne ghar me roz mar-mar ke,
wo meri umr ko badhaa deta,

uski taasiir*-e-gham ko kya kahooN,
jo bhi suntaa wo bad.dua deta,

taasiir---effect

use haasil na tha aag ka fun,
varna ek pal me sab jalaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

===========================

duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK......
hi kasak aapka yeh kalaam padhne ke baad aaj kaafi dino ke baad kisi ki yaad aayi hai. jise hum bhoolna chahte hain aaj phir woh yaad aagaya.
aapka kalaam padhte hi aisa laga jaise aap hamari aap beeti likh rahe ho aur use bade pyaar andaaz mein bayan kya hai aapne is nacheez ki daad kabool kijiye.


Not Mine.


mai kabhi kuch nahi likhta bas
dusron ka likha post karta hoon
kyonki mai shayar nahi hoon
lekin mujhe shayri bohat pasand hai
  Send a message via Yahoo to ashiq awara,  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
13th June 2006, 02:23 PM

Muflis tha wo mujhe kyaa deta,
mujhko paata bhi to gaN.waa deta,

yuN sar-e-aam na sadaa deta,
kam se kam honth to hilaa deta,

hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

apne ghar me roz mar-mar ke,
wo meri umr ko badhaa deta,

uski taasiir-e-gham ko kya kahooN,
jo bhi suntaa wo bad.dua deta,

taasiir---effect

use haasil na tha aag ka fun,
varna ek pal me sab jalaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......


Kasak,

Bahut hi khoobsurat aashaar hain... kam lafzon me ehsaas khoobsurati se piroye hain... accha laga padhkar... likhti raho yun hi....


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
13th June 2006, 03:01 PM

maafi chahunga mehfil ki raunak ghatane ke liye.par ek baar fir hum aapko khayalon se ittefaq nahi rakhte.ek sawaal karna chahunga main. R u sure of watever u have written??? if u think this than m sory to tell u,dat u r going very wrong.halat aisi hai ki chah ke v bayaan nahi kar sakte,ahcha laga waise aapko is khusfehmi me dekh kar ye jaan kar ki aap aisa v sochti hain kisi pyar karne wale ke bare me,well done.daad kubool farmaiye.,bas yahi kahunga.ki likhte rahiye.umeed karte hain ki yunhi likhti rahiyega.aur maafi chahta hun aapki khushfehmi todne ka.par kya karta paani sar ke upar se jane laga tha.par wada raha agli baar se aapki khusfehmiyon ko nahi todunga.jaanta hun wade nibhane ke kabil nahi hun fir v ek aur kosish. bahut lamba likh diya ab aur samay barbaad nahi karunga.

khuda hafeez.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Last edited by Taish; 13th June 2006 at 03:06 PM..
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Re: Mujhko paata bhi to gaN.waa deta.....
Old
  (#5)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Mujhko paata bhi to gaN.waa deta..... - 13th June 2006, 04:17 PM

tujhe bhool kar bhi shaad hooN maiN,
ishq ki qaid se aazaad hooN maiN........

kasak ji
namashkar
sabse pehle mein yeh kahunga ki jis sher ki jamin par aapne apni gazal ki imaarat taamir ki haiwo bahoot hi shaandar hai....!!!


hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

apne ghar me roz mar-mar ke,
wo meri umr ko badhaa deta,

use haasil na tha aag ka fun,
varna ek pal me sab jalaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

...aur iske baad mein aapki gazal par aana chaunga,,,,yeh wo gazal hai jiska intezaar mujhe aapki kalam se rehta hai...bahoot khoob...!!aap un chand logon mein se hai jinki tehreer ho aankhein dhoondhti rehti hai...meri daad kubool kijiye.
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#6)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
13th June 2006, 07:41 PM

its really very great kasak jee , aapne to kisi kee yaad dila dee, its very good



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
13th June 2006, 08:27 PM

Namaskar Kasak ji

Bahut khoobsurat likha hay aapne........aapka ek ke baad ek khoobsurat qalam dekh bahut acha laga.....yuun hi likhti rahiye

Keep smiling
Take care
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
13th June 2006, 09:57 PM

Once again superbbbbb sweeto sach kahu to lagta hi nai ki tumne likha hai... itni sharp n tez language... words ko jod tod ke amazing likhti ho
gud going... keep progressing like this
apna dhyaan rakhna


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
red_ruchika
Registered User
red_ruchika will become famous soon enoughred_ruchika will become famous soon enough
 
red_ruchika's Avatar
 
Offline
Posts: 381
Join Date: Feb 2003
Location: apni dillii
Rep Power: 23
14th June 2006, 10:26 AM

Gum-e-duniya se dil lagaa baithe .. issliye hum tujhe bhula baithe,tanhai bhi to aag jaisee hoti hai,khud ko iss aag me jalaa baithe,kho diya tujhko iss tarah humne,jaise hum zindgi gawaa baithe,hizr me khwaab lutaa kerte hain,hum to neendon ko bhi lutaa baithe,isse badi baat or kya hogi, dil se hum ishq ko mita baithe.. gum-e-duniya se dil lagaa baithe
Issliye hum tujhe bhula baithe…………


Tujhe bhool ker bhi shaad houn main
Ishq ki qaid se aazaad houn main

Shaad-- happy

Mujhe maangne ki bhool na karo
Ik namukammal muraad houn main

Namukammal—non-possible
Muraad-- wish

Bas main tere liye he jhootha houn
Or sabke liye saiyyaad houn main

Saiyyaad--honest

Bas teri duaa khuda se ki thee kabhi
Waise to janam se ilhaad houn main

Ilhaad — non-religious

Haan mere pyar me aabaad hai tu
Or tere ishq me barbaad houn main

Mujhko hansne ka hunar aata hai
Gum chupane me bhi ustaad houn main

.......
wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

--
jis sher se aapne ghazal ki shurat ki woh ghazal pesh kar rahi hun

aur ....accha likha hai aapne,sahi likha hai aapne...


"sanam" chahe zindagi se bas itna
aik mutthi main kaid kar loon,
yeh aasman hai jitna!"
  Send a message via Yahoo to red_ruchika  
Reply With Quote
Re: Re: Mujhko paata bhi to gaN.waa deta.....
Old
  (#10)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
Re: Re: Mujhko paata bhi to gaN.waa deta..... - 16th June 2006, 02:12 PM

Quote:
Originally posted by ashiq awara,
hi kasak aapka yeh kalaam padhne ke baad aaj kaafi dino ke baad kisi ki yaad aayi hai. jise hum bhoolna chahte hain aaj phir woh yaad aagaya.
aapka kalaam padhte hi aisa laga jaise aap hamari aap beeti likh rahe ho aur use bade pyaar andaaz mein bayan kya hai aapne is nacheez ki daad kabool kijiye.
aashiq awaara jee......
adaab......

muafi chahungi agar mere kalaam se aapke puraane zakhm taaza ho gaye ho to.......waise ye wo zakhm haiN jo kabhi bharte nahi.....hum kisi insaaN ko bhoolte nhi haiN......bas yaadeiN thodi dhundli pad jaati haiN....
khair.....bahut bahut shukriya.....

aate rahiyega,
KasaK.....


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#11)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
16th June 2006, 02:13 PM

Quote:
Originally posted by Pulkit_gupta
Muflis tha wo mujhe kyaa deta,
mujhko paata bhi to gaN.waa deta,

yuN sar-e-aam na sadaa deta,
kam se kam honth to hilaa deta,

hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

apne ghar me roz mar-mar ke,
wo meri umr ko badhaa deta,

uski taasiir-e-gham ko kya kahooN,
jo bhi suntaa wo bad.dua deta,

taasiir---effect

use haasil na tha aag ka fun,
varna ek pal me sab jalaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......


Kasak,

Bahut hi khoobsurat aashaar hain... kam lafzon me ehsaas khoobsurati se piroye hain... accha laga padhkar... likhti raho yun hi....
hi bhaiya.......
thanx 4 coming.......is baar thode simple words use kiye haiN.....zyada heavy nah kiya ise....taaki sabko samajh aa jaaye...

anywayz....

thanx 4 coming......,
KasaK......


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#12)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
16th June 2006, 02:17 PM

Quote:
Originally posted by ghayal_shayar
maafi chahunga mehfil ki raunak ghatane ke liye.par ek baar fir hum aapko khayalon se ittefaq nahi rakhte.ek sawaal karna chahunga main. R u sure of watever u have written??? if u think this than m sory to tell u,dat u r going very wrong.halat aisi hai ki chah ke v bayaan nahi kar sakte,ahcha laga waise aapko is khusfehmi me dekh kar ye jaan kar ki aap aisa v sochti hain kisi pyar karne wale ke bare me,well done.daad kubool farmaiye.,bas yahi kahunga.ki likhte rahiye.umeed karte hain ki yunhi likhti rahiyega.aur maafi chahta hun aapki khushfehmi todne ka.par kya karta paani sar ke upar se jane laga tha.par wada raha agli baar se aapki khusfehmiyon ko nahi todunga.jaanta hun wade nibhane ke kabil nahi hun fir v ek aur kosish. bahut lamba likh diya ab aur samay barbaad nahi karunga.

khuda hafeez.
aadab-o-salaam ghayal janaab.......
jee pehli baat to aap nahi samjhe ki maiNe kya kahaa.....maine ye farmaaya tha ki ye qalaam aapke liye lkha tha......AAPKE OOPAR NAHI....... ......dosri baat ye hai ki main bahut khoob tareeke se jaant hooN ki apko ye kalam kaisa laga hai.....waise iski raunak pe koi asar nahi padne waala....aap aayeiN ya na aayeiN....aur na hi mujhe fark padne walaa hai....
flhaal shukriya yahaaN shirkat dene ke liye....

duaaoN ke saath ijaazat...
KasaK....


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Re: Re: Mujhko paata bhi to gaN.waa deta.....
Old
  (#13)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
Re: Re: Mujhko paata bhi to gaN.waa deta..... - 16th June 2006, 02:22 PM

Quote:
Originally posted by manoj kureel
tujhe bhool kar bhi shaad hooN maiN,
ishq ki qaid se aazaad hooN maiN........

kasak ji
namashkar
sabse pehle mein yeh kahunga ki jis sher ki jamin par aapne apni gazal ki imaarat taamir ki haiwo bahoot hi shaandar hai....!!!


hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

apne ghar me roz mar-mar ke,
wo meri umr ko badhaa deta,

use haasil na tha aag ka fun,
varna ek pal me sab jalaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

...aur iske baad mein aapki gazal par aana chaunga,,,,yeh wo gazal hai jiska intezaar mujhe aapki kalam se rehta hai...bahoot khoob...!!aap un chand logon mein se hai jinki tehreer ho aankhein dhoondhti rehti hai...meri daad kubool kijiye.
-MANOJ

manoj jee........
bahut bahut shukriya....meri izzat-afzaai karne ka.....aapki raa'i ke liye meri ~ aankheiN Tarasti rehti haiN.....aapki vajah se mujhe humeshaa honslaa mila hai....aur kya kahooN......bas aate rahiyega.......
shukriya,
duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK........


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#14)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
16th June 2006, 02:24 PM

Quote:
Originally posted by aru
its really very great kasak jee , aapne to kisi kee yaad dila dee, its very good
aru jee.......
last line says.....
insaaN yunhi thodi kisi ko bhulaa deta hai.....jo aashiq awaara jee se kaha....apke liye bhi wahi farmaana chaahungi.....

bahut bahut shukriya yahaaN aane ka.........
duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK......


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#15)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
16th June 2006, 02:27 PM

Quote:
Originally posted by sukanya
Namaskar Kasak ji

Bahut khoobsurat likha hay aapne........aapka ek ke baad ek khoobsurat qalam dekh bahut acha laga.....yuun hi likhti rahiye

Keep smiling
Take care
sukanya jee.....
lagta hai aap humaare kalaamoN ko bahut hi gehraai se padhti haiN........waise dekhiye hota kya hai......is dunya me har kisi ka likha hua kalaam baut khoobsurat hai......us shakhs ke liye to bilkul jisne use likha hai.....magar what makes it beautiful in the sight of readers is the way in which it is presented.......
bas aap ki peshkash k oopar ye depend karta hai.....
aapko pasand aayi.....m obliged......
duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK.......


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#16)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
16th June 2006, 02:31 PM

Quote:
Originally posted by pallavi_here
Once again superbbbbb sweeto sach kahu to lagta hi nai ki tumne likha hai... itni sharp n tez language... words ko jod tod ke amazing likhti ho
gud going... keep progressing like this
apna dhyaan rakhna
hmmmmmm.........
di...sahi kahaa aapne....lagta nahi hai if its written by me or not......but yaar....ye mera hi likha hua hai.....
actually lambi beher(meter) me to likhna aasaaN hai......magar chhoti beher me likhna bahut mushkil hai......khaaskar isme aapko flow ka dhyaan rakhna padta hai....its a tough job...magar aap logo ne pasand ki.....matlab mera likhna succesful hua......

thanx 4 coming....
KasaK......


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#17)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
16th June 2006, 02:37 PM

Quote:
Originally posted by red_ruchika
Gum-e-duniya se dil lagaa baithe .. issliye hum tujhe bhula baithe,tanhai bhi to aag jaisee hoti hai,khud ko iss aag me jalaa baithe,kho diya tujhko iss tarah humne,jaise hum zindgi gawaa baithe,hizr me khwaab lutaa kerte hain,hum to neendon ko bhi lutaa baithe,isse badi baat or kya hogi, dil se hum ishq ko mita baithe.. gum-e-duniya se dil lagaa baithe
Issliye hum tujhe bhula baithe…………


Tujhe bhool ker bhi shaad houn main
Ishq ki qaid se aazaad houn main

Shaad-- happy

Mujhe maangne ki bhool na karo
Ik namukammal muraad houn main

Namukammal—non-possible
Muraad-- wish

Bas main tere liye he jhootha houn
Or sabke liye saiyyaad houn main

Saiyyaad--honest

Bas teri duaa khuda se ki thee kabhi
Waise to janam se ilhaad houn main

Ilhaad — non-religious

Haan mere pyar me aabaad hai tu
Or tere ishq me barbaad houn main

Mujhko hansne ka hunar aata hai
Gum chupane me bhi ustaad houn main

.......
wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

--
jis sher se aapne ghazal ki shurat ki woh ghazal pesh kar rahi hun

aur ....accha likha hai aapne,sahi likha hai aapne...

ruchika jee,
shukriya is pooore qalaam ko yahaaN post karne ke liye....actually ye sab ki padhi hui hai....maiN jaanti hooN ye kise likhi hai....magar poori nahi likhi isme maiNe....varna meri shayri kaun padhta.........
ye qalaam bahut hi umda tha.....
bas aise hi apna qalaam post karte samay ye chand lines zehen-o-dil me aa gayi......
isliye yahaaN likh diya......

bahut bahut shukriya yahaaN aane ke liye........
duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK.......


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
kisi ki yaad dila di.........?
Old
  (#18)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
kisi ki yaad dila di.........? - 16th June 2006, 02:52 PM

Hello Kasak

kaya kahu appki nazam ke ek ek shabad ne dil ke kisi kone mai padi yaddo ko hawa de di, aur dil us buley shakhas ko yaad karney lagga.

hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

sach mai appki nazam padney ke baad koi yaad aaya bahut.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Re: kisi ki yaad dila di.........?
Old
  (#19)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
Re: kisi ki yaad dila di.........? - 16th June 2006, 02:59 PM

Quote:
Originally posted by sunita virender
Hello Kasak

kaya kahu appki nazam ke ek ek shabad ne dil ke kisi kone mai padi yaddo ko hawa de di, aur dil us buley shakhas ko yaad karney lagga.

hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

sach mai appki nazam padney ke baad koi yaad aaya bahut.

sunita jee.......
ye kambakht shayri hoti hi aisi cheez hai.......hum kisi ko bhulaana bhi chaaheiN to bhi nahi bhulaa paate.......muafi chaahti hooN agar maine apka dil dukhaaya ho to....magar mujhe nahi pata tha ki is kalaam ka ita asa hoga aap logoN ke diloN par......ise agar aap qalaam ke taur par dekheN to hi theek hoga...

shukriya,
KasaK.....


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#20)
red_ruchika
Registered User
red_ruchika will become famous soon enoughred_ruchika will become famous soon enough
 
red_ruchika's Avatar
 
Offline
Posts: 381
Join Date: Feb 2003
Location: apni dillii
Rep Power: 23
16th June 2006, 03:19 PM

ruchika jee,
shukriya is pooore qalaam ko yahaaN post karne ke liye....actually ye sab ki padhi hui hai....maiN jaanti hooN ye kise likhi hai....magar poori nahi likhi isme maiNe....varna meri shayri kaun padhta.........
ye qalaam bahut hi umda tha.....
bas aise hi apna qalaam post karte samay ye chand lines zehen-o-dil me aa gayi......
isliye yahaaN likh diya......

bahut bahut shukriya yahaaN aane ke liye........
duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK.......
----------------------------------

maafi chahungi kasak ji aapka thoda aur waqt le rahi hun..
par aik baat nahi samajh aayi....jo aapne likha,varna meri shayri kaun padhta?shayar ke naam me aur uski rachna mai koi rishta nahi hota..yeh sahi hai,ki jin logon ne iski tareef apki rachna main ki hai agar woh naam se padhte to nahi karte,par kya ise aap shayri kehten hain???khair...apni apni soch...apni apni zindagi..take care.


"sanam" chahe zindagi se bas itna
aik mutthi main kaid kar loon,
yeh aasman hai jitna!"
  Send a message via Yahoo to red_ruchika  
Reply With Quote
Old
  (#21)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
16th June 2006, 03:26 PM

hmmm.....
ruchika jee.....aap aadhi baat samajh gayi aur aadhi nahi......
maine bas itna kahaa ki ye aap aur maiN bakhoobi jaante haiN ki jis shakhs ne wo qalaam likha hai wo kitne umda shayar haiN....mera bilkul aisa matlab nahi tha.....jaisa ki apne socha......

ye kuch alfaaz bas ekdum yaad aa gaye....us shakhs ke naam se ya usse mujhe koi matlab nahi......aur na hi kisi aur ko hona chaahiye.....
shukriya,
KasaK........


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#22)
red_ruchika
Registered User
red_ruchika will become famous soon enoughred_ruchika will become famous soon enough
 
red_ruchika's Avatar
 
Offline
Posts: 381
Join Date: Feb 2003
Location: apni dillii
Rep Power: 23
16th June 2006, 03:32 PM

shayad aapne sahi kahan hai,main aadhi hi baat samjhi thi...

bahot jaldi main hoti hun hamesha,isiliye koi na koi galti ho jati hai...chaliye chodhiye ise,bas itna kahoongi aakhir main,aap aik acchi shayar hone ke saath saath acchi insaan bhi hain,yeh mujhe aaj pata chala hai.


"sanam" chahe zindagi se bas itna
aik mutthi main kaid kar loon,
yeh aasman hai jitna!"
  Send a message via Yahoo to red_ruchika  
Reply With Quote
Re: Re: kisi ki yaad dila di.........?
Old
  (#23)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Re: Re: kisi ki yaad dila di.........? - 16th June 2006, 04:09 PM

Quote:
Originally posted by kasak
sunita jee.......
ye kambakht shayri hoti hi aisi cheez hai.......hum kisi ko bhulaana bhi chaaheiN to bhi nahi bhulaa paate.......muafi chaahti hooN agar maine apka dil dukhaaya ho to....magar mujhe nahi pata tha ki is kalaam ka ita asa hoga aap logoN ke diloN par......ise agar aap qalaam ke taur par dekheN to hi theek hoga...

shukriya,
KasaK.....
Kasak
maufi ki koi baat nahi, vaise kabhi kabhi bitey palo ko yaad karna dil ko sakun deta hai,
mai to appko shukriya kahna chahati hu, ki appki vajhe se maine phir un haseen palo ko mahsoos kar saki.

yu hi likhtey rahna, .........!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#24)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
30th July 2008, 09:45 PM

Quote:
Originally Posted by kasak View Post

Muflis* tha wo mujhe kyaa deta,
mujhko paata bhi to gaN.waa deta,

Muflis---poor,gareeb

yuN sar-e-aam na sadaa deta,
kam se kam honth to hilaa deta,

hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

apne ghar me roz mar-mar ke,
wo meri umr ko badhaa deta,

uski taasiir*-e-gham ko kya kahooN,
jo bhi suntaa wo bad.dua deta,

taasiir---effect

use haasil na tha aag ka fun,
varna ek pal me sab jalaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

One Of my Fav Ghazal ... aur mujhe is baat ka ilm hi nahi tha keh iski Orignal writer app haiN ... hairaan ho gya maiN ajj jaan ker

hats Of

reps ++++
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#25)
islam anu
Registered User
islam anu will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 40
Join Date: Jul 2008
Location: Farrukhabad (uttar pradesh) INDIA
Rep Power: 0
30th July 2008, 10:40 PM

plz reply..................
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
31st July 2008, 02:32 PM

Quote:
Originally Posted by kasak View Post
adaab dostoN........

ek shakhs hai.....
jo mujhse bahut pyar karta hai.......bahut....magar uske pyar ko samajh ke bhi samajhna nahi chahti maiN.......kyuN........nahi jaanti......magar itna jaanti hooN ki aaj wo mujhse door reh kar kaafi khush hai.....shayad bahut khush......isliye kyuNki zindagi ko aur kareeb se jaana hai usne mujhse judaa hone ke baad.......

kisi ke likhe huye kalaam ki chand lines yaad aa gayi......

tujhe bhool kar bhi shaad hooN maiN,
ishq ki qaid se aazaad hooN maiN........

to lijiye......ek naya qalaam pesh-e-nazar kar rahi hooN.......
gaur farmaaieh'ga......

==========================

Muflis* tha wo mujhe kyaa deta,
mujhko paata bhi to gaN.waa deta,

Muflis---poor,gareeb

yuN sar-e-aam na sadaa deta,
kam se kam honth to hilaa deta,

hanste-hanste judaa ho gaye,
mujhko thodaa sa to rulaa deta,

maiN bichhad ke bhi khush rahooN,
isse badh kar kya sazaa deta,

apne ghar me roz mar-mar ke,
wo meri umr ko badhaa deta,

uski taasiir*-e-gham ko kya kahooN,
jo bhi suntaa wo bad.dua deta,

taasiir---effect

use haasil na tha aag ka fun,
varna ek pal me sab jalaa deta,

wo ishq me bik gaya tha ‘KasaK’,
yuN hi thodi mujhe bhulaa deta.......

===========================

duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK......
khuub likha hai apne saare sher acche lage,likhte rahe,share karte rahe


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
woh dard mujhko maza deta hay, jo teri yadon ki saza deta hay. Mohammad Kashif Shayri-e-Ishq 41 11th May 2010 01:44 PM
koi deta hai dua koi davaa deta hai tiyagi Shayri-e-Dard 0 26th April 2005 04:07 PM
Dil Bhool Nahi Paata khushiii Shayri-e-Ishq 0 26th April 2005 01:06 PM
koi deta hai dua koi davaa deta hai ishq insaan ko mohtaaj ................ tiyagi Shayri-e-Dard 0 18th April 2005 11:38 AM
Deta Hai Har Baat Pe Tana Yeh Zamana Mujhko allahabadrptds Shayri-e-Ishq 0 22nd August 2003 06:36 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com