Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Dil ko uljhan mein daalne wale
Old
  (#1)
sahir
Registered User
sahir is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Aug 2002
Location: Hyderabad
Rep Power: 0
Sad Dil ko uljhan mein daalne wale - 4th September 2002, 05:01 PM

Ahl-e-Mehfil Mera salaam qubool kareiN

Bada hausla karke apni ye nayee koshish aapki nazar kar raha hoon. Ummeed karta hooN ke aap ise tanqeed o tabsire ke qabil samjhenge.
-------------------------------------------

Ghazal

Dil ko uljhan mein daalne wale
Ye masaaiel haiN taalne wale

Apne dil se mita sakega kya?
Mujhko dil se nikaalne wale

Kya darenge tire sitam se ab
Dil mein zakhmoN ko paalne wale

Dekh dil se nikaal ker nafrat
Dushmani yuuN nikaalne wale

Dil ki daulat bhi kuch jamaa kar le
Seem-o-zar ko sambhalne wale

Aik paigham de khushi ka bhi
Khat mujhe gham ke daalne wale

Har jagah dhoondta hai kyuuN 'Sahir'
Gham ko khushiyoN meiN dhaalne wale


Sahir


'sahir' hindostani
   
Reply With Quote
Bohut Khoob Sahir
Old
  (#2)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Thumbs up Bohut Khoob Sahir - 5th September 2002, 11:44 PM

Bhai Sahir

Sabse pehle to aapka bohut shukriya yeh ghazal yahan post karne ke liye. Jaisa ke maine aapse kaha tha ke ye dostoN ki bazm hai yahaaN aane ke liye aapko hosla jamaa karne ki koi zaroorat nahiN padti. Appki ghazal yahaN dekh kar bada achcha laga.

Aapki ghazal mayari aur umda hai. Achche khayal badi khoobsoorti se sheroN mein piroye hue. Chand ashaar ka khaas zikr karoonga jo mujhe mere khayalon ke qareeb lage.


Apne dil se mita sakega kya?
Mujhko dil se nikaalne wale
wah

Kya darenge tire sitam se ab
Dil mein zakhmoN ko paalne wale
bohut khoob kaha

Dekh dil se nikaal ker nafrat
Dushmani yuuN nikaalne wale
KOI DIL SE NAFRAT NIKAAL PHENKE TO DUSMANI KAHAN REH JAYEGI. UMDA.

Dil ki daulat bhi kuch jamaa kar le
Seem-o-zar ko sambhalne wale
aaj ke insaan ko is se kuch dil meiN utaarne ki zaroorat hai.

Aik paigham de khushi ka bhi
Khat mujhe gham ke daalne wale
wah wah


likhte rahiye aur yahaN aate rahiye.

Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
Thumbs up 6th September 2002, 01:00 AM

adaab sahir ji........ek bahut achchi ghazal likhne par aapko mubarakhbaad kehna chahte hain....praveen ji ne humse aapka zikr kiya tha...kaha k aapke kalaam bahut achche hain lekin bas aap unhe post karne se jijhakte hain......aapka pehle kalaam padhke to hum kahenge ki aap zaroor apni aur ghazlon se hum sab ka parichaiy karvayiyegaa.....achcha baaki baatein alag, baat karte hain aapki is ghazal ke barein mein.....

Dil ko uljhan mein daalne wale
Ye masaaiel haiN taalne wale
....wah matla bahut khoob hain....achchi salaah hain...don't worry be happy!...

Kya darenge tire sitam se ab
Dil mein zakhmoN ko paalne wale
....wah wah....kya baat hain!

Dekh dil se nikaal ker nafrat
Dushmani yuuN nikaalne wale
....khoob...

Dil ki daulat bhi kuch jamaa kar le
Seem-o-zar ko sambhalne wale
....sahi baat hain...wah....

Aik paigham de khushi ka bhi
Khat mujhe gham ke daalne wale
....nice...

Har jagah dhoondta hai kyuuN 'Sahir'
Gham ko khushiyoN meiN dhaalne wale
...very nice....

...aashaa hai ki aapki agli ghazal ka luft hume jald hi milega....tab tak ke liye aapko anamika ka salaam!...k'hafiz....


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Old
  (#4)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
6th September 2002, 02:53 AM

sahir sahab

tasleem

bhai sabse pehle to aapka yahaN khair makhdam hai.......duusre aapki ghazal se bohat lutf aNdoz hue......teesre aapse ye guzaarish hai ke aiiNdaa se apne kalaam is bazm meiN be'jhijhak pesh kareiN


ghazal waqa'ii meiN hi badi purasar hai .....mubarakbaad tasleem kijiye......ummiid hai aapke aur kalaam padhne ko mileNgey



maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Khushaamadeed!
Old
  (#5)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Khushaamadeed! - 6th September 2002, 05:53 PM

Salaam sahir sahab!!!

Aapki ghazal parhi..bahut acchi lagi!!Ye ashaar bahut pasand aaye..

Dil ko uljhan mein daalne wale
Ye masaaiel haiN taalne wale

Apne dil se mita sakega kya?
Mujhko dil se nikaalne wale

Kya darenge tire sitam se ab
Dil mein zakhmoN ko paalne wale

Dekh dil se nikaal ker nafrat
Dushmani yuuN nikaalne wale

Likhtey rahiye!!!

Dua go,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Re: Bohut Khoob Sahir
Old
  (#6)
sahir
Registered User
sahir is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Aug 2002
Location: Hyderabad
Rep Power: 0
Re: Bohut Khoob Sahir - 8th September 2002, 01:05 AM

Praveen Sahab

Aapki tareef aur hausla afzaii ka shukriya.
Agar aapne hausla badhya isiliye maiN apni ye kavish yahaN post kar saka.

Aapne ghazal ko pasand kiya aur itni tafseel se uspe apni rae di uska bhi bahut bahut shukriya. Ek baar phir shukriya ke saath.

sahir


'sahir' hindostani
   
Reply With Quote
Shukriya Anamika Sahiba
Old
  (#7)
sahir
Registered User
sahir is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Aug 2002
Location: Hyderabad
Rep Power: 0
Shukriya Anamika Sahiba - 8th September 2002, 01:11 AM

Anamika Sahiba

Aapne jo treef ki aur hausla badhaya uske liye aapka bahut bahut shukriya. Is baare meiN Praveen Sahab ne mujhe kaafi encourage kiya aur guide bhi kiya jiski wajah se apni ghazal maiN yahaN post kar paya. Ummeed karta hoon aage bhi aap aise hi hausla badhyengi.

sahir


'sahir' hindostani
   
Reply With Quote
Shukriya Janab
Old
  (#8)
sahir
Registered User
sahir is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Aug 2002
Location: Hyderabad
Rep Power: 0
Shukriya Janab - 8th September 2002, 01:16 AM

Janab Maikash sahab

Apni ghazal par aapke tassuraat paRh kar dil khush ho gaya. Socha nahiN tha maine ke aap is par likhenge. Aapki tareef ka tah-e-dil se shukriya ada karta hooN. Umeed karta hoon aap aage bhi mere liye waqt nikaalte rahenge.
Phir ek baar shukriya ke saath

sahir


'sahir' hindostani
   
Reply With Quote
Re: Khushaamadeed!
Old
  (#9)
sahir
Registered User
sahir is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Aug 2002
Location: Hyderabad
Rep Power: 0
Re: Khushaamadeed! - 8th September 2002, 01:22 AM

Shumaila Sahiba

Is bazm meiN aapne khushaamdeed kaha uske liye shukriya.

Aur ghazal ko pasand farmaya, us par tareef post ki uske liye bahut bahut shukriya.
Doston ki hosla afzaaii se hi meiN yahan apna kalaam pesh karne ki himmat jutaa paya. Uske baad jis tarah aap sabne hausla afzaii ki hai to chand aur nayee ghazlein pesh karne ki himmat bhi aa gayi hai. umeed hai aap aise hi hausla afzaii karenge.

sahir


'sahir' hindostani

Last edited by sahir; 8th September 2002 at 01:33 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
12th September 2002, 10:42 AM

sahir sahab
aadaab
aaj pahlii dafaa aap kii ghazal padhney ko milii aur bahut pasand aayii.. chotii bahr meiN aur saadaa zabaan meiN khoob sher kaheiN haiN aapney... aap kii uar ghazaloN kaa bhiii intezaar rahegaa ..

Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Old
  (#11)
himmi
Registered User
himmi is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 10
Join Date: Aug 2002
Location: toronto - Canada
Rep Power: 0
14th September 2002, 12:02 PM

dear sahir ji,
aapka sher padha..aur bohut achcha laga. bohut achcha likha hai aapne. inspiration mili. isis tarah likhte rahiye...achcha lagta hai.

take care,
true at heart


true at heart
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
ZaraSuniye
Umda Shayara
ZaraSuniye is on a distinguished road
 
ZaraSuniye's Avatar
 
Offline
Posts: 34
Join Date: Dec 2001
Location: AZ, USA
Rep Power: 0
9th October 2002, 05:40 AM

sahir ji:

kaise hai? yuun hi yaha se guzar rahe the to aapki ghazal par nazar paDii.

"Apne dil se mita sakega kya?
Mujhko dil se nikaalne wale"

Yeh sher hame behad pasand aaya aur dil ko choo geya is liye bataana zaroori samjha. Maloom hota hai ke likhne waale ne hamari hii kismat chand lafzon mein beyaan kar di.

Aapne pehli baar yaha post karke is mehfil ki raunaq badhaayii......behad khushi huii.

Likhte rahiyega...

-Zara Suniye


Khushk maidaan mein yeh kashtiyaan yuhi to nahi
Yakeenan yaha koi sailaab aaya hoga
  Send a message via Yahoo to ZaraSuniye Send a message via AIM to ZaraSuniye  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
uljhan majnu78 Shayri-e-Dard 0 21st September 2005 01:30 PM
uljhan aizamehmoodkhan Aapki Shayri 2 25th March 2005 05:13 PM
Ek Uljhan.................... Adil Aapki Shayri 3 25th December 2004 11:51 PM
Mere Zindagi Mein Na Aane Wale viral_madhani Aapki Shayri 0 28th January 2004 02:59 PM
Bahut uljhan mein hoon mastana Shayri-e-Dard 1 26th February 2002 12:33 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com