Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 6 votes, 5.00 average. Display Modes
SAAQI--a bargirl...!
Old
  (#1)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
Exclamation SAAQI--a bargirl...! - 29th December 2006, 08:36 PM

Doston ye ek aisi field hai writing ki jise maine aaj tak nahi aajmaya tha, aaj pehli baar ek koshish kar raha hun, aur ek kahaani ka pehla adhyaay likh raha hun, isi umeed ke saath ki aap logon ko jyada niraash nahi karunga...!




CHAPTER:1




Ek aur din, subah se shaam tak, khud me hazaaron poori aur saikdon adhuri kahaaniyon ko samete, kahin ateet ban.ne ke liye andhere me simat.ta sa jaa raha hai…!

Har shakhs kuch nayi hasraten, kuch udasiyan, kuch hansikuch umeedeN aur kuch zakhm samete, ghar ki oor laut raha hai…!

Par ek jodi khoobsurat par dabdabati aankhen, jinme kisi bhi ehsash ke na hone ka bhram kisi ko bhi ho sakta hai…! Do Bojhil aur thake hue kadmon par sawaar kisi chote dhabe ki oor badhti jaa rahi hai wo…!

Salaam, Salim chacha!,khana taiyaar hai..? ek pyari si aawaaz aayi, takreeban18-19 saal ki kisi ladki ki…! Haan CHAVI bitiya taiyaar hai…! leyi jaao…! Fir wahi pyari aawaaz aayi.. “maheene ke hisaab me jod lena chacha”, aur fir se wo kadam badh chal diye wo kadam apne ghar ki oor. Peeche Salim chacha logon se kehte reh gaye..”bechari kitna sehti hai, parivar ke liye, bhagwan iski jholiyan khushiyon se bhar de”, par uske paas ye duayen sunne ka bhi waqt na tha, wo to jaa chuki thi door,shayad itni door ki khushiyon ki duniya me kabhi waapas aa hi na sake…!

Ghar ke naam pe ek etoN ka ajeeb sa dhancha, kisi tarah jise ek kamra kaha jaa sake, aur usme ek boodhi aurat aur 2 kishor,13-15 saal ke baithe hain…! Sab dd ko dekh uchal padte hain, ye sochkar ki khaana aa gaya, aur wo baith kar dekhti bhar rehti hai sabko khaate hue…! Maa kal kaam par jaldi jaana hai, maalik ne kaha hai kuch baaten samjhani hain, to main sone jaati hun Chavi ne kaha…! Theek hai bitiya…! Wo gayi aur kalam le kar kuch likhne lagi,apni diary ke pennon me…! Aur na jane kab yunhi so gayi…!

Subah ke 9 baje hain, aur wo bhaag rahi hai apni office ki oor, aur uski manjil milti hai use sahar ke sabse bade bar me…! Wahaan jaa kar use pataa chala ki 30 Dec ko ek bahut badi party hone waali thi aur, uske liye sabko pehle se preparation kar leni hai…! aur sabhi lag agye us party ki taiyaari me…!


Doston ki ek mnandali jami hui thi ek college ke baahar, 19 saal ke kareeb 5 ladke hansi aur masti me lage hue the…! Tabhi kisi ne baat chedi, yaar ANSH tera janamdin hai yaar do dino me, aur tu hai kin a kuch bolta hai, na party ka koi jikra, bhai hum to nahi chodne wale…! Sahi kaha AAKASH, ye Ansh to shaayad goonga hi ho gaya hai, are mere baap, muh kholne ka kasht to kar de bhai…!

Kisi hanste ko kabhi rulana nahi,
Koi dil kabhi tum dukhana nai,
Humse hi hai roshan tumhari mehfil,
ANSH ke bina poora ye zamanaa nahi…!


Yaar plz apni sher-o-shayri fir se shuru mat kar, manta hunt u ahcha likhta hai, par humari kyun watt lagwata hai, kisi ladki ko sunaana, pakki pat jaayegi…!
Abe aakash kise keh raha hai, abhi hi saari iske peeche jaati hain, ab agar unhe pata chal jaaye ki janaab shayar v hain, tab to ho gayi samjho, hum sab kunwaareN hi marr jayenge…! 30 tareekh ko sab The Beach me milna shaam ke 7 baje, ab khush, b main chala, seedhe wahin mulaqaat hogi doston…! Bye guyz…! Aakash yaar shaam me ghar pe miliyo…! Theek hai, bye…!.


Yaar ye Ansh v ajeeb hai yaar, party de di hai itni badi, aur khud janab pahunche hi nahi hain…! Aa gaye dono langotiya yaar, kabhi time pe nahi pahunche dono…! Bhai ek baat sab pehle sun lo, jitna peena kahna ho karo, bas main peeta nahi, so mujhse jabardasti nahi…! chal mere bhai koi baat nahi, hum tere hisse ki v pee lenge…!

Yaar Ansh party to sakht badi di hai, par tu kuch khaa v to le mere bhai…! Hello ji ho aap yahaan pe, abe ye to gaya kaam se, beta us ladki ko kya tab se ghoore jaa raha hai…!
Yaar aakash us ladki ki hansi me v mujhe na jaane kyun kashish dikh rahi hai…! Are mere baap bar me baith kar to shayri ko aaraam de…!

Chavi ye sab fati aankhon se dekh rahi thi, usne kabhi itni badi party nahi dekhi thi, aur use wo lakdka v bahut ajeeb lag raha tha, jo sabse alag ek chair pe baitha use na jaane kab se ghoor raha tha, aur kuch tak nahi tha, use to ye v pata nahi tha ki party kiski hai.

Mere doston aaj aaksh yani ki main aap sabko batana chahunga ki aaj mere sabse pyare aur ajeej dost Ansh ka b’day hai, aur ek khaas baat ye ek bahut hi umda shayar hai…! Aaj jab ki ye party khatm hone ko hai, main chahunga ki aaj wo kuch aisa suna de ki dil jhoom uthe…!

Yaar Akash kabhi kabhi kam bola kar yaar, doston ye mera dost mera bhai hai, aur main to shayad saamne aata v nahi par iske kaaran aaj kuch to kehna hi padega…!


Koi hansi me aansu kuchalta raha,
Dil us saaqi ko dekh machlta raha.


Sabhi wah! wah! karne lage, ki tabhi ek aawaaz si aayi,


Saaqi se dil lagaane yahaan hazaaroN aate hain,
Fir aap hi khud ko kyun khaas batate hain….


Aaye haaye, Ansh bhaiya aaj mili takkar, ye kya hua bhaiye, kya baat kahi hai isne v yaar,


Sau chaman tik nahi paate, dil ke ek gulaab ke saamne,
Lakh nasha ho husn me, par feeki hai sharaab ke saamne.


Aur fir sab jaane lage apni ghar ki oor wah wahi me, par shayad do nazaren ek dooje pe hi tiki reh gayin thi, koi kuch chod kar laut raha tha wahaan se shayad…!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Last edited by Taish; 29th December 2006 at 08:38 PM..
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Chapter-2
Old
  (#2)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
Chapter-2 - 2nd March 2007, 05:08 AM

bazm ko ek baar fir mera salaam,

to hazir hun is kahaani ka doosra hissa le kar, bura mat maaniyega, par kahaani lambi jaayegi, umeed hai ki mere saath aap v dhairya ka daaman thaame rakhenge, umeed karta huN aapko ye hissa v pasand aayega.....!





CHAPTER-2



Agli subah jab Ansh college pahuncha, use kuch v ahcha nahi lag raha tha, har cheez rookhi si nazar aa rahi thi. Har pal uski aankhoN me usi ladki ka wo masoom sa chehra thirakne laga tha. College khatm honw kw baad wo seedha us baar me pahuNcha aur us ladki ka pataa poochne ki kosish karne lagaa, par wahaan logon ne saaf inkaar kar diya,ki hum kisi v shakhs ki private details nahi dete. Ansh kuch soch hi raha tha ki, usne us raat fir se wahaaN rukne ka mann bana liya. Us raat jab us ladki se uska saamna hua to use aisa laga jaise na jane kitne arson se uski aaNkhon ko usi chehre ka intezaar tha. Badi mushkil se wo usse baat v kar paaya aur milne ko ek jagah tai ki, do din baad milne ki bat hui…!

Agle do din Ansh ne kaise kaate shayad wo khud v nahi jaanta tha, saari baateN wo sirf apne dost Aaksh ko batayiN thi, aur Aakash ne use manaa v kiya ki tudoor hi reh usse nahi to shayad tujhe aage pachtaana padega. Par Ansh shayad in sab bahut pehle hi age nikal chukka tha. Mukkamal waqt par wo usse mila aur bas dono ek khamoshi me hi ghanton baithe rahe, ek doosre ko samajhne aur padhne ki ek ajeeb si kosish kar rahe the dono. Aakhir wo meethi si aawaaz aayi, kuch bolna v hai aapko ya fir yuNhi waqt barbaad karne ke liye bulaya hai hume. Ansh ke muh se bas itna hi nikal paaya, kya hum dost ban sakte haiN..? Fir se wahi meethi aawaaz aayi, ek saaqi se dosti karoge aap….? YahaaN sab kuch na kuch maangte haiN kuch dene ko, aapko kya chahiye…? Is dosti ke badle me, us aawaaz me ek aisi kasish thi, ek chiddh si thi is jahaaN se. Ansh ne kaha, mujhe to bas tumhari dosti hi chahiye thi, ek sachhi dosti, agar tum bura na maano to. Wo use dekhti hi reh gayi, shayad ye soch rahi thi, ki aaj kal v aise seedhe chand log maujood haiN jahaaN me aur ek rishta jod kar dono apne raashtoN ki oor badh chale…!

BaateN badhiN, milna julna badha, aur shayad wo dosti v badhti chali gayi, Aakash ne ek din kaha ki yaar Ansh tu bahut badal gaya hai, kahin bhul se v usse pyar mat kar baithna. Us baat ko mazaak me udaa diya Ansh ne. Par shayad wo khud v jaanta tha ki pyar to wo kar chukka tha. Kitna ye pata nahi par haaN uske beej jaroor pad chuke the kahiN uske dil me…!

Ek din bahut der chup baithe rehne ke baad, achanak se Chavi ne kaha, Ansh ek baat kahuN, Ansh ne v bejhijhak haami bhar di. Main tumhe chaahne lagi huN jaanti huN shayad ye keh kar main tumhe gaNwaa duNgi par ab aur nahi chipa sakti main tumse is dil ki baat. Aur uske bache hue shabd un honthon se baahar v na aa paaye, Ansh ne unhe apne haathon se dhank kar, use apni baahoN me bhar liya…! Na jaane kab tak dono ek dooje ko seene se lagaaye rahe. Jab choda, to dono ek dooje ki aankhoN me jhaank rahe the, shayad humesha ke liye unme samaa jane ki chaahat, shayad ek dooje ki aaNkhon me apne liye pyar naap rahe the, ya fir humesha ke liye us pal ko qaid kar rahe the ek dooje ki palkoN me.

Aaj fir ek baar do nozaren ek dooje me gum ho gayiN thi, par shayad is baar wo sawaaliya nishaan nahi tha, na kisi ko hi koi bhram tha, bas dono shayad ek dooje ko bahut ahchi tarah samajh gaye the, aur chahte the, ki koi aur unhe na rok paaye na samajh paaye, shayad ek dooje ki aankhon me hi apna gharaunda dekh rahe the dono, shayad yahi hoti hai mohabbat shayad isi ka naam pyar hai, jab hum kya karte haiN, kyuN karte haiN, kab karte haiN, hume kuch v pata nahi hota. Bas dil ki sunte jaate haiN………..!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#3)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
15th May 2007, 04:57 PM

CHAPTER:-3


Phir kuch dino baad Ansh ko padhaai ke sinsile me baahar jaana tha, karib ek mahine ke liye par uska dil shayad is baat se betaab tha ki wo kaise reh paayega apni rooh, apne pyar se door itne dino tak. Par wo jaanta tha ki ye v taali jaane wali baat nahi aur wo mann maar kar apne pyar aur apne dost se vida le, chal diya ek naye safar ki oor, Aakash ne use tab v samjhaya ki tu padhaai ki soch wo ladki kahiN se v tere kabil nahi hai, uski soch kar apna bhavishya na gaNva, wo sirf sunta raha aur itna hi kaha, ab shayad ye sab baateN kehna bekaar hai kyuNki tu v jaanta hai aur main v ki ab main usse kitna pyar karne laga hooN, ki tabhi train ne seeti maar di, aur baateN adhuri hi reh gayi, aur wo chala gaya……….

Wo lagatar fone par Aakash aur Chavi se baateN karta raha, par achanak use Chavi ke baat karne ke lahje me kuch farq nazar aaya, aur use laga ki kuch chupaaya jaa raha hai, usne bahut kosish ki poochne ki par wo taal gayi. KahiN dil ki gehraaiyoN se bechain sa ho gaya tha Ansh, wahi Ansh jise sab uske dhairya aur saumyata ke liye jaante the. Aaj adheer aur bechain ho gaya tha…….!

Is baat ko abhi 4 roz hi hue the ki ek din der raat Aakash ka fone aaya aur usne kaha maine kaha than a ki vo ladki tere kabil nahi, ab wo mere saath vahi baateN karti hai jo kabhi tere saath kiya karti thi, sirf yahi sunne ki der thi ki maano vo ek zinda laash ban gaya, kaato khoon nahi, laboN ki jumbish par aawaaz nahi, paavN kaaNpne se lage aur aaNkhoN ke saamne andhera sa chaane laga, Par tabhi usne khud ko sambhala aur poori baat suni, ya sach kaheN to shayad hi kuch sun v paaya wo………

Agle din usi samay pe usne Chavi se baat ki, aur use apna pehla vada yaad dilaaya ki agar koi mujhse ahcha mile to beshaq chale jaana bas bata kar jaan aur yakeen maano mera main kuch v nahi kahuNgaa, par kabhi v peeth peeche se dhokha mat dena, Chavi ne use fir kaha ki aisa kabhi sochna v mat main tumhe kabhi chod kar nahi jaauNgi. Ye sun kar shayad kahiN Ansh ki jaan me jaan aayi, aur fir idhar-udhar ki baateN hone lagiN ki tabhi Chavi ne kaha ki uski tabiyat kuch theek nahi aur vo baad me baat kareNge, Ansh ne v bas itna hi kaha, apna khayal rakho, aur ek baat yaad rakhna………..

Na khauf khud ka na uski khudaai ka,
Mujhe darr hai to sanam bas teri judaai ka.


Wo apni padhaai khatm kar utha hi tha ki achanak se der raat Aakash ka fone aaya, to Ansh ko bada ajeeb sa laga. Fir Aakash ne kaha ki ruk aaj main tujhe sunaata huN teri mehbooba se apni baateN, dimaag ne lakh kaha ki ye kya kar raha hai tu Ansh…?? Tu to sabko path padhata tha vishvas ka aur aaj tu apni hi rooh par shaq kar raha hai…??? Ye kya ho gaya hai tujhe aaj…?? Par dil tha ki kuch sun.ne ko taiyaar hi na tha…………!

Usne conference pe rakh call lagaaya aur jo aawaaz aayi use sun maano dil baith sa gaya, Ansh ne socha isse bura aur kya hoga, par kehte haiN na sach sa kathor aur kuch nahi..! Aur jo baateN hone lagi wo itni antrang thin ki Ansh ko to laga jaise koi uske dil ko seene se cheer kar uspe tejaab ki baaris kar raha ho, par wo chaah kar v fone rakh nahi sakta tha use har baat sunni thi, aur jab baateN khatm huiN tab tak shayad wo apni jubaan kho chukka tha, par kisi tarah usne baateN khatm kiN aur bistar pe let gaya. Sochne pe majboor ho gaya vo ki kya “saccha pyar” naam ki v koi cheez hoti hai jahaaN me…..??? Achanak use badi jor ki pyas lagi, kanth to avruddh ho hi chuke the, jaise hi vo bistar se utha ki ek atyant peedadayak dard ka aabhaash hua use aur usne khud ko girta hua mehsoosh kiya………….

Jab hosh aaya to aspataal ke bistar pe pada tha vo, doctor ne kaha ki use dil ka daura pada tha, ye sun use haNsi si aa gayi, sochne laga ki kambakht jab tak dil tha tab tak koi daura na pada, aaj jab dil hi na raha to daure v padne lage. Tabhi usne apni jeb se apni diary nikaal aur bas itna hi likh paaya………


Dard, dard, dard, dard, dard, dard………….....Aur dard...!
Shayad in sab ko hi ek lafz me mohabbat kehte haiN…….!

Ki tabhi usk nazar usme rakhi chavi ki tasveer pe padi aur wo use dekhne laga, pata nahi kyuN use laga ki jaise vo tasveer v aaj usse nazreN chura rahi hai………………



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#4)
musafir ek pal
a broken shadow...
musafir ek pal has a spectacular aura aboutmusafir ek pal has a spectacular aura aboutmusafir ek pal has a spectacular aura about
 
musafir ek pal's Avatar
 
Offline
Posts: 1,164
Join Date: Mar 2007
Location: london
Rep Power: 21
16th May 2007, 05:44 AM

bahut khub gayal g, bahut acha likha hai apne. u have expressed ur feelings in an excellent manner. i enjoyed reading this story of urs. there is lot of pain and depth in this story. i m finding it hard to write down wha i m feeling right nw. bahut khub janab, bahut khub. keep on writng like this. very good. daad kabul kijiye,

apka dost

manish


Life is filled with goodbyes, a million goodbyes, and it hurts every time....and every time my heart dies a little...



Darkness falls on me like rain...
just
one drop at a time....

  Send a message via Yahoo to musafir ek pal  
Reply With Quote
hiiiiiiiii
Old
  (#5)
ashima
Registered User
ashima is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 3
Join Date: Aug 2007
Location: Karnal
Rep Power: 0
hiiiiiiiii - 9th August 2007, 11:54 AM

Bahut badiya hai.....
keep on writing...
really a true ending


Ashima Verma
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
10th August 2007, 08:21 AM

Quote:
Originally Posted by ashima View Post
Bahut badiya hai.....
keep on writing...
really a true ending
ashima ji, it waz mah pleasure dat u really lykd it n appreciated it....!! but i wud lyk 2 corect u on 1 part n datz d story has may b nw started only, it hasnt ended as yet do still have 2 parts remaining for dis story.........!!!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#7)
jasdeephere
Registered User
jasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nicejasdeephere is just really nice
 
jasdeephere's Avatar
 
Offline
Posts: 657
Join Date: Mar 2007
Location: Chandigarh/Jalandhar
Rep Power: 22
18th August 2007, 09:11 AM

Hello Ghayal G

i m waiting for the remaining chapters from so many days...
plz post soon...........



Badnaseeb bhi nahi par mera naseeb bhi nahi
Maana ke main ameer nahi par gareeb bhi nahi
Dil ki gehraaiyon mein chhipaya hai jise
Woh door bhi nahi mujhse par kareeb bhi nahi
Chahta to hoon dena usko khushiyan saare jahan ki
par mil jaayein unke gham "Jasdeep" itna khushnaseeb bhi nahi
  Send a message via Yahoo to jasdeephere  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
11th April 2008, 09:45 AM

bhai maaf karna darasal maiN bhul hin gaya tha ki maine ye kahaani adhuri chod rakhi hai, aaj hiN dikhi hai, to ab ise jald hin poora kar duNgaa, maafi chaahuNgaa aapko itna wait karaane ke liye...!! umeed hai aap samjheNge humari majburiyoN ko...!![:P]



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#9)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
17th April 2008, 12:36 AM

Quote:
Originally Posted by musafir ek pal View Post
bahut khub gayal g, bahut acha likha hai apne. u have expressed ur feelings in an excellent manner. i enjoyed reading this story of urs. there is lot of pain and depth in this story. i m finding it hard to write down wha i m feeling right nw. bahut khub janab, bahut khub. keep on writng like this. very good. daad kabul kijiye,

apka dost

manish


janaab daad ka shukriya par, kahaani to ab shuru hogi, abhi to thoda aur intezaar hai....!!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#10)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 26th April 2008, 11:57 AM

wow...........lucky, aaj hi aapki es kahani par nazar padi, socha thodi si padke dekhuN kaise likhi hai, to thodi si padkar aisa interest banna ki bas poori hi pad dalli, bahut accha likha hai.....ab jaldi se next part post kijiye.....


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
hi
Old
  (#11)
SAHIL LOVE
Registered User
SAHIL LOVE is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 4
Join Date: May 2008
Rep Power: 0
Love hi - 5th May 2008, 01:27 AM

hi sunita ji
tension mat lo maine app ki kahani padi bahot ageeb si hai wo kahete hai na
Bheegi aankho se muskurane me maza aur hai,
Haste haste palke bhigane me maza aur hai,
Baat khehke toh koi bhi samjhe,
Khamoshi ko koi samjhe toh maza aur hai

ek din aayenga jab koi tum appna samjhe ga

wait for a right time


hi dear all,
Is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye
kyu ho humse khafa ye bayan to kijiye
kar dijiye maaf agar ho gayi humse koi khata
yu khamosh rehkar hameh sazaa na dijiye ..........
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
SAHIL LOVE
Registered User
SAHIL LOVE is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 4
Join Date: May 2008
Rep Power: 0
5th May 2008, 01:34 AM

. @};- kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha
Maine lakh chaha lekin usne mujhe mud kar nahi dekha.
Phattar samaj raha tha mera pyar mujhe.
Mai moom yha usne mujhe chukar nahi dekha @};-



hi dear all,
Is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye
kyu ho humse khafa ye bayan to kijiye
kar dijiye maaf agar ho gayi humse koi khata
yu khamosh rehkar hameh sazaa na dijiye ..........
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
yaaden_kamal
Jagpal (yaaden_kamal)
yaaden_kamal has a spectacular aura aboutyaaden_kamal has a spectacular aura aboutyaaden_kamal has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 132
Join Date: Jun 2008
Location: Moved to California US in 2013
Rep Power: 18
13th June 2008, 01:37 PM

Hello G,

Bahut Achhi Kahani Likhi Hai aapne.

agle parts bhi post karo jaldi yaar.

jagpal
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
heart break
chand lamho ki zindagi
heart break is on a distinguished road
 
heart break's Avatar
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Apr 2008
Location: Delhi
Rep Power: 0
7th July 2008, 12:14 AM

hello dear
bahut acha likha hai aapne
aur ye
"dil ko seene se cheer kar uspe tejaab ki baaris kar raha ho, par wo chaah kar v fone rakh nahi sakta tha use har baat sunni thi"
ye aur kuch lines hai jo padne wale ki rooh tal ko hila deti hai
per ek baat
insaan ka vishwas itna kamjor kyon hota hai ji itni jaldi toot jata hai

pls reply and submit the next part


♠♠♠♠♠HEART BREAK♠♠♠♠♠
  Send a message via Yahoo to heart break  
Reply With Quote
Old
  (#15)
irfantak
Registered User
irfantak will become famous soon enough
 
irfantak's Avatar
 
Offline
Posts: 200
Join Date: Jul 2008
Location: balotra(rajasthan)
Rep Power: 16
7th July 2008, 12:49 PM

khubsoorat hain woh lub
jo pyari batein kartey hain

khubsoorat hai woh muskurahat
jo doosron ke chehron per bhi muskan saja de

khubsoorat hai woh dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tadpey

khubsoorat hain woh jazbat
jo kisi ka ehsaas karein

khubsoorat hai woh ehsaas
jo kisi ke dard ke me dawa baney

khubsoorat hain woh batein
jo kisi ka dil na dukhaein

khubsoorat hain woh ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho

khubsoorat hain woh ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jae

khubsoorat hain woh Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein

khubsoorat hain woh kadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey badhein !!!!!
khubsoorat hai woh soch
jo kisi ke liye acha sochey


khubsoorat hai woh insan
jis ko KHUDA ne ye
khubsoorati ada ki.
  Send a message via Yahoo to irfantak  
Reply With Quote
Old
  (#16)
parvi_jay
Registered User
parvi_jay is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Jul 2008
Rep Power: 0
16th July 2008, 01:38 PM


bahot khub,,bahot achhi kahani likhi hai,,sab wait kar rahe hai..
what next,,plz post soon,,wese,,kisiko bewafa kehna aasan hai..
kisika haal jan kar samajna utna hi mushkil,,!!!but jindgi ek esi
paheli jiska shayad koi jawab hai hi nahi,,hai na?

all the best,,thanks for giving good story,,keep it up.

parvi.


tumse
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
heart break
chand lamho ki zindagi
heart break is on a distinguished road
 
heart break's Avatar
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Apr 2008
Location: Delhi
Rep Power: 0
Sad 15th September 2008, 01:12 PM

hello sir
kya aap krapya karke hame bta sakte hai kya ki kitna wait aur karna padega agle part k liye yaar itne din ho gaye ab to plssssssssssssssss new part post kar do

bahut logo bahut besabri se wait kar rahe hai

have a nice day


♠♠♠♠♠HEART BREAK♠♠♠♠♠
  Send a message via Yahoo to heart break  
Reply With Quote
Old
  (#18)
heart break
chand lamho ki zindagi
heart break is on a distinguished road
 
heart break's Avatar
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Apr 2008
Location: Delhi
Rep Power: 0
8th October 2009, 04:51 PM

hello sir aap shayad bhool gaye likh kar per ye kahani sirf ek kahani nahi bahut logo ki zindagi ki sacchai hai jo dil se sochte hai aur ek baat 1 saal ho gaya per aage padne ki kashish utni ki utni hai ab intezaar tha aur rahega .....


♠♠♠♠♠HEART BREAK♠♠♠♠♠
  Send a message via Yahoo to heart break  
Reply With Quote
Old
  (#19)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
10th October 2009, 11:19 PM

Bohat saccha accha likha hai chote.. still ppl waiting 4 dis

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#20)
Purvi
~ Ek Ghazal ~
Purvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant futurePurvi has a brilliant future
 
Purvi's Avatar
 
Offline
Posts: 1,454
Join Date: Dec 2008
Location: London
Rep Power: 32
25th October 2009, 03:14 PM

Lucky Jee,

Chapter -4 /5......... kab release hoga??


~*~Kaash Dil ki aawaz mein aisa asar ho jaaye
Jise Hum Yaad karte hai use Khabar ho jaaye ~*~
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
27th December 2009, 12:13 PM

dog... donkey.... monkey...
cow... buffallo.... fool....!!!!

"rona nahin... rona nahin...." ki ratt lagaaata rehta hai...
to ise pad ke thahaake lagaake hansu kya???


mohabbat k maare se poocha ek din...
"bata... dard ki intehaan kya hai????"
muskurati hui nam aankhon ne bataya.....
"soorat hai unki, yaadein hai unki...
siwa unke aur rakha kya hai???"


dying to read, what next u have in ur mind, ur heart, ur soul......
pllllzzzzzzz write soon....

urs
nisha


Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...

Last edited by NISHA_VIRGO16; 27th December 2009 at 12:15 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
15th June 2010, 04:09 AM

sory 2 keep evry1 waiting within 2 days m making d next 2 parts relesed....!! hope evry1 will forgive me,its a story vry close 2 mah heart bt juz still used 2 forget 2 write it evrytym...!!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Pls Complete remaining 2 parts.
Old
  (#23)
JindaTasveer
Registered User
JindaTasveer is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 1
Join Date: Feb 2014
Rep Power: 0
Pls Complete remaining 2 parts. - 16th February 2014, 05:14 PM

Quote:
Originally Posted by Taish View Post
sory 2 keep evry1 waiting within 2 days m making d next 2 parts relesed....!! hope evry1 will forgive me,its a story vry close 2 mah heart bt juz still used 2 forget 2 write it evrytym...!!

Dear Taish,

Please keep ur promise & complete this story. It is now more than 8 years.

Thanks!

Regards/- JindaTasveer
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
salamat rahe saaqi mera...Maham ki adna kavish! MahamAzmi Shayri-e-Sharaab 29 26th December 2009 09:55 AM
yeh alag baat ha saaqi subha Shayri-e-Sharaab 2 26th November 2008 01:45 PM
Mujhko maikhana pila de saaqi karan q Shayri-e-Sharaab 3 19th October 2006 05:17 PM
ab tanha nahin hum o saaqi night_walker13 Shayri-e-Dard 0 5th September 2006 02:57 PM
Mujhko maikhana pila de saaqi karan q Shayri-e-Sharaab 0 10th June 2005 02:43 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com