 |
|
|
|
|
 |
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
"zaroorat"......nazm -
26th October 2006, 08:20 AM
aadaab yaaraan-e-mehfil
maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai
is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi
nazm ka unvaan hai "zaroorat"
mula'iizaa farmaayeN :
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi

maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................
apni aaraa se zaruur nawaazeiN
shukriya
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
Last edited by maikasH; 26th October 2006 at 08:43 AM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 28
|
26th October 2006, 08:40 AM
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
maikashjii
my fav lines
Priya
Quote:
Originally Posted by maikasH
aadaab yaaraan-e-mehfil
maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai
is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi
nazm ka unvaan hai "zaroorat"
mula'iizaa farmaayeN :
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke sivaa ab koi chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................
apni aaraa se zaruur nawaazeiN
shukriya
maikash
|
Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
26th October 2006, 09:16 AM
Quote:
Originally Posted by maikasH
aadaab yaaraan-e-mehfil
maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai
is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi
nazm ka unvaan hai "zaroorat"
mula'iizaa farmaayeN :
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................
apni aaraa se zaruur nawaazeiN
shukriya
maikash
|
maikash ji namaskar..........!
dil ko chu gaye aapki yeh nazam, har ek share mukamal lagga. bahut badiya bani hai nazam, dua hai app yu hi likhtey rahey.
aapki dost
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Shayri.com Moderator
Offline
Posts: 10,554
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 60
|
26th October 2006, 10:58 AM
maikasH ji kaise ho mere dost
aaj subha subha itni achhi nazam padhne ko mili baht achha laga ye nazam padhke iske asaar dil ko chhu gaye mere dost
aur ek sher to mujhe behaad pasand aaya wo saqi wala kya kamaal ka sher banaya hai aapne
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
bahot hi khub kaha hai aapne is sher me ,maikash ji is nazam ke liye dil se nikali daad kubul kijiyenga
apna khayal rakhiye , khus rahiye
jai shree karishna
aapka dost
dhaval
*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
|
|
|
|
|
raj
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 35
|
wa -
26th October 2006, 12:55 PM
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
**apke alfaaz padke mujhe apni ek purani post yaad aa gai aur who halt to aaj bhi mere saath hai jo apki gazal mein har tarah dekhne ko mil rahe hai.***
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
****dil ka totana maikesh ji kya kya nahi dikhata hai hamein. Kuch samjh pana bahut mushkil ho jata hai bas ek baat samjh aati hai ki kash ek pal yaisa aaye jo sab tarah se shanty de jaye.***
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
***maut ki chahat dard ka had se gujarana…….Sahi kaha na???***
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
****jab koi hamein yun akela chod de aur hamne use pane ke liye koi kasar na rakhi ho to us shakhs ko bhulana us jeevan mein to namumkin hai. Uski yaad hamein pal pal marti hai aur hamari majboori dekho ham phir bhi jeete hai.***
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
****par kya kare ye haalat bhi dekhne padte hai aur is tarah bhi jeena padta hai. Majbor hai ham…***
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
***jaan dena itna aasaan nahi hai janaw. Bahut mushkil hai kyun ki ye jaan sirf hamari nahi hai ye ehsas tab hota hai jab ham ise dena chahte hai tamaam haalat hamein yaisa karne se rok lete hai****
maikash ji
kya kahun ab ye gazal kahan tak asar kar gai. Kuch nahi kah sakti iski tariff mein.
Kyun ki mere saare shabad ek hi shabd mein simat gaye…. ‘maut’. Is par likhne par jab ham majborr hote hai tab kuch nahi hota hai hamare pas bas ek khawahish hoti hai ise pane ki.
Apne jaisa ki bataya ki kaphi time hua ise likhe huye.to bas yahi dua hai ki who sab haalat bhi badal gaye ho apke liye jab apne ye chaha tha ki apko sukun is tarah mile.
Aapko bahut bahut khushi mile yahi dua hai meri.
sakhi
कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
|
|
|
|
|
shayri is my life
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 34
|
wah ji wah -
26th October 2006, 01:12 PM
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
janaan maikash sabhib appko raj ki sat sri akaal ji....kaya baat hai janaab appki kalam ki sanjeedgi ki....har lafaz bhut pyara lagga....kitni sacchai hai is nazam me...ki bass kush lamho par pari waqt ki dhool hat gai...meri daad kabool kijiyega....yu hee karam farmate rahiyega hum pyaso par....take care......raj.....
un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
|
|
|
|
|
Kureel
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 29
|
26th October 2006, 08:46 PM
"teri dunia mein dil lagta nahin wapas bula le..
mein sazde mein gira hoon mujhko e maalik utha le..."
maikash bhai saheb
namashkar
aapki dilkash nazm padh kar barbas jehan mein is purane geet ke bol gooj uthe...aapki kalam jab bhi uth_ti hai...dil par apne dastkhat kar jati hai...aapki nazm padh kar kuch yun laga jaise koi "baagi"... "maikhane roopi mandir" mein "saaqi roopi devi" se "maut ka vardaan" maang raaha hai..
aapki yeh "aarzoo" kabhi kubool na ki jaye....isi dua ke saath aapse izzazat chaunga...ek dilfareb nazm par naacheez ki dheron daad kubool kijiye...
-MANOJ KUREEL
apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 34
|
26th October 2006, 09:43 PM
pranaam maikash ji,
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
apki in chaar lino ne hume kuch kahane layak nahi chhoda. kya kahen dil ko chhu gai ye line. bahot sundar gazal likhi hai apne. meri dili daad kabuuul ffarmaiye janaab. ok ji ijaajat chahenge ab.inshah allah fir aisa khuuubsurat kalaam milega parhne ko.
khuda haffiiiz
grazie
aapki dost
pooja
===========Deepika=========== Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
|
|
|
|
|
MaiN Our Meri Tanhaayii
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 32
|
26th October 2006, 11:06 PM
Quote:
Originally Posted by maikasH
aadaab yaaraan-e-mehfil
maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai
is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi
nazm ka unvaan hai "zaroorat"
mula'iizaa farmaayeN :
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................
apni aaraa se zaruur nawaazeiN
shukriya
maikash
|
maikash ji adaab!!
aapki tehreer ka jawaab nahi...
aap jo bhi likhte hain...aisa steek likhte hain..padne mein saroor aa jatahai....
maine pehle ye subah padi..toh achhi lagi..soch shaam ko aaker itminaan se padenge.....Ek oomda kism ki chhez padne ko mili...

ismein ahsaas ki aisi h=jhalak hai...ki dil,ko chhoo si jaati hai....

waah...bahoot hi oomda dear....
kya kahein kya na kahein......bahoot khoob janaab
harash
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
|
27th October 2006, 07:20 PM
Mohtaram Maikash saaheb, Aadab
Aaj kaafi waqt tha tau iDhar se guzra ur aap ko paRha ... par ab yeH afsoos ho raha hai kii maine pahle kyoN nahiiN paRha.. Aap kii yeH nazm is qadar dil ko bhai hai kii samajh meiN nahiiN aa raha hai ki kaise taarif ka haq ada karuuN.. tau saaheb maiN ghalti kar jaauN to peShgi meiN hi ma'azrat ka khwaaishmand huuN...
aap ke nazm ko paRh kar dil meiN yeh Khayaal aaya...
ai maut tuu mere qareeb aa aur gale se lagaale,
kee jee raha huuN meiN teri khwaaish meiN har aik lamha,
[mayank]
Quote:
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
|
waah! Kya aagaaz hai, Bebasi ko khuuB lafzoN meiN sajaaya hai huzoor,
Quote:
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi....
|
waah! waah! waah! huzoor.. behad khuub..... ess se khuub-suurat bayaaN-e-bebasi kya ho sakti hai.. aap kii yeH nazm bohat achchhi lagii... Bohat khuub ravaani hai daad-0-mubaarak baad qubool kareN..
-Mayank
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 04:31 AM
Quote:
Originally Posted by LuvPriya
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
maikashjii
my fav lines
Priya
|
bohat shukriya mohtarma
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 05:24 AM
Quote:
Originally Posted by sunita virender
maikash ji namaskar..........!
dil ko chu gaye aapki yeh nazam, har ek share mukamal lagga. bahut badiya bani hai nazam, dua hai app yu hi likhtey rahey.
aapki dost
|
sunita jee aapki duaa'oN ka aur daad ka tah-e-dil se mashkoor-o-mamnoon huuN, bohat shukriya
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 05:27 AM
Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you
maikasH ji kaise ho mere dost
aaj subha subha itni achhi nazam padhne ko mili baht achha laga ye nazam padhke iske asaar dil ko chhu gaye mere dost
aur ek sher to mujhe behaad pasand aaya wo saqi wala kya kamaal ka sher banaya hai aapne
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
bahot hi khub kaha hai aapne is sher me ,maikash ji is nazam ke liye dil se nikali daad kubul kijiyenga
apna khayal rakhiye , khus rahiye
jai shree karishna
aapka dost
dhaval
|
dhaval saahab aapne har baar ki tarah is dafaa bhi mujh na'ehl ki hausla afza'ii ki jiske liye behadd shukurguzaar huuN aapka, jo baNdh aapne khusuusan pasaNd farmaaya uske liye alag se shukriya qabuul kijiye
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 05:36 AM
Quote:
Originally Posted by manoj kureel
"teri dunia mein dil lagta nahin wapas bula le..
mein sazde mein gira hoon mujhko e maalik utha le..."
maikash bhai saheb
namashkar
aapki dilkash nazm padh kar barbas jehan mein is purane geet ke bol gooj uthe...aapki kalam jab bhi uth_ti hai...dil par apne dastkhat kar jati hai...aapki nazm padh kar kuch yun laga jaise koi "baagi"... "maikhane roopi mandir" mein "saaqi roopi devi" se "maut ka vardaan" maang raaha hai..
aapki yeh "aarzoo" kabhi kubool na ki jaye....isi dua ke saath aapse izzazat chaunga...ek dilfareb nazm par naacheez ki dheron daad kubool kijiye...
-MANOJ KUREEL
|
Manoj bhai, namaste
miyaaN aap jis aNdaaz se daad ataa farmaate haiN uska jawaab haazir karne meiN jo diqqat pesh aati hai uska puuchiye mat, khair mera farz bantaa hai ke aapki muravvat ka shukurguzaar ho ke dikhaauN to kam se kam mera shukriya to tasleem kar hi lijiye
aur saahab ye jaate jaate aap jo "bad'duaa" de gaye haiN voh dil pe zaraa nagawaar guzrii hai
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 06:21 AM
Quote:
Originally Posted by sakhi1909
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
**apke alfaaz padke mujhe apni ek purani post yaad aa gai aur who halt to aaj bhi mere saath hai jo apki gazal mein har tarah dekhne ko mil rahe hai.***
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
****dil ka totana maikesh ji kya kya nahi dikhata hai hamein. Kuch samjh pana bahut mushkil ho jata hai bas ek baat samjh aati hai ki kash ek pal yaisa aaye jo sab tarah se shanty de jaye.***
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
***maut ki chahat dard ka had se gujarana…….Sahi kaha na???***
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
****jab koi hamein yun akela chod de aur hamne use pane ke liye koi kasar na rakhi ho to us shakhs ko bhulana us jeevan mein to namumkin hai. Uski yaad hamein pal pal marti hai aur hamari majboori dekho ham phir bhi jeete hai.***
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
****par kya kare ye haalat bhi dekhne padte hai aur is tarah bhi jeena padta hai. Majbor hai ham…***
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
***jaan dena itna aasaan nahi hai janaw. Bahut mushkil hai kyun ki ye jaan sirf hamari nahi hai ye ehsas tab hota hai jab ham ise dena chahte hai tamaam haalat hamein yaisa karne se rok lete hai****
maikash ji
kya kahun ab ye gazal kahan tak asar kar gai. Kuch nahi kah sakti iski tariff mein.
Kyun ki mere saare shabad ek hi shabd mein simat gaye…. ‘maut’. Is par likhne par jab ham majborr hote hai tab kuch nahi hota hai hamare pas bas ek khawahish hoti hai ise pane ki.
Apne jaisa ki bataya ki kaphi time hua ise likhe huye.to bas yahi dua hai ki who sab haalat bhi badal gaye ho apke liye jab apne ye chaha tha ki apko sukun is tarah mile.
Aapko bahut bahut khushi mile yahi dua hai meri.
sakhi
|
sakhi sb
aadaab
aapne apna nihayat qeemati waqt kharch karke jo apne ta'suraat se nawaaza hai uske liye shukriya jaisa lafz bohat kam pad raha hai, farz ka taqaaza hai to shukriya qabuul farmaaiye
amooman maiN internet ki adabii mehfiloN meiN shayri ke ilaawa kam hi koi baat kehta huuN lekin aapka hat padhne ke baad kuch baateiN arz karne ki zaroorat mehsuus huii to kar raha huuN
aapne sahi farmaaya ke jaan dena aasaan nahiiN lekin mohtarma ye baat har kisi pe laaguu nahiiN hoti, go mere khayaal meiN khudkushi karna buzdilii hai lekin maut ki khwaahish rakha alag baat hai...!!
shayri meiN aksar muhaavirey aur kahaavatoN ka istemaal kiya jaata hai aur mujhe un meiN se kayi jumloN se saKht shikayat hai jaise ke "ummiid pe hi duniya qaayam hai", mere ye maan'na hai ke insaan ki sabsi badi dushman uski apni ummiideiN hoti haiN, mere khayaal meiN kisi se bhi kisi tarah ki koi bhi ummiid rakha sabse badii bewakoofi hai aur ye baat maiN tajurbey se keh raha huuN, phir bhi ummiidoN ke pher meiN har koi aa jaata hai, maut waahid ek aisi shay hai jo na-ummiid nahiiN karti
bohat shukriya
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 06:25 AM
Quote:
Originally Posted by rajveeer
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
janaan maikash sabhib appko raj ki sat sri akaal ji....kaya baat hai janaab appki kalam ki sanjeedgi ki....har lafaz bhut pyara lagga....kitni sacchai hai is nazam me...ki bass kush lamho par pari waqt ki dhool hat gai...meri daad kabool kijiyega....yu hee karam farmate rahiyega hum pyaso par....take care......raj.....
|
Rajveer saahab Sat Sri Akaal
bhai aap jaise dostoN ki mehrbaani hai jo chaar log duaa salaam karne laayaq samajhte haiN varna mujh jaise kahaana-kharaab ko kaun puuchta hai
aapko nazm pasaNd aayi mujhe khushi hai is baat ki , daad ke liye shukriya saahab
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 06:28 AM
Quote:
Originally Posted by pooja4588
pranaam maikash ji,
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
apki in chaar lino ne hume kuch kahane layak nahi chhoda. kya kahen dil ko chhu gai ye line. bahot sundar gazal likhi hai apne. meri dili daad kabuuul ffarmaiye janaab. ok ji ijaajat chahenge ab.inshah allah fir aisa khuuubsurat kalaam milega parhne ko.
khuda haffiiiz
grazie
aapki dost
pooja
|
aapne jo chaar misre pasaNd farmaaye uske liye shukriya bhi qabuul farmaaiye, koshish karuNga ke aapko mere kalaam se aayiNda bhi mayousii na ho
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 06:32 AM
Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan
maikash ji adaab!!
aapki tehreer ka jawaab nahi...
aap jo bhi likhte hain...aisa steek likhte hain..padne mein saroor aa jatahai....
maine pehle ye subah padi..toh achhi lagi..soch shaam ko aaker itminaan se padenge.....Ek oomda kism ki chhez padne ko mili...
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
ismein ahsaas ki aisi h=jhalak hai...ki dil,ko chhoo si jaati hai....
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
waah...bahoot hi oomda dear....
kya kahein kya na kahein......bahoot khoob janaab
harash
|
Harash saahab
aadaab aur namaste
aapko nazm pasaNd aayi ye jaan kar yaqeen kijiye mujhe behadd khushi hui hai, aur aapne is haqeer si kavish ko is laayiq samjha ke khusuun waqt nikaal kar padha to miyaaN yuuN lag raha hai ke kam se kam mehnat zaaya na gayi, aapki muhabbat aur inayat ka shukurguzaar huuN bhai
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th November 2006, 06:37 AM
Quote:
Originally Posted by Anjana Rahi
Mohtaram Maikash saaheb, Aadab
Aaj kaafi waqt tha tau iDhar se guzra ur aap ko paRha ... par ab yeH afsoos ho raha hai kii maine pahle kyoN nahiiN paRha.. Aap kii yeH nazm is qadar dil ko bhai hai kii samajh meiN nahiiN aa raha hai ki kaise taarif ka haq ada karuuN.. tau saaheb maiN ghalti kar jaauN to peShgi meiN hi ma'azrat ka khwaaishmand huuN...
aap ke nazm ko paRh kar dil meiN yeh Khayaal aaya...
ai maut tuu mere qareeb aa aur gale se lagaale,
kee jee raha huuN meiN teri khwaaish meiN har aik lamha,
[mayank]
waah! Kya aagaaz hai, Bebasi ko khuuB lafzoN meiN sajaaya hai huzoor,
waah! waah! waah! huzoor.. behad khuub..... ess se khuub-suurat bayaaN-e-bebasi kya ho sakti hai.. aap kii yeH nazm bohat achchhi lagii... Bohat khuub ravaani hai daad-0-mubaarak baad qubool kareN..
-Mayank
|
to miyaaN aap aa hi gaye chuTTiyaaN manaa kar, badii khushi ki baat hai, aapki kamii khal rahi thi bazm meiN aur ye baat meiN dil se keh rahaa huuN yaqeen kijiyega
aapko nazm achchi lagi ye baat mere liye baa'is-e-massarrat hai kyoNke aap khud ek umdaa aur suljhe hue shaayir haiN aur isliye aapki daad-o-mubarakbaad aur bhi maayine rakhti hai, aapki daad sar aaNkhoN par
bohat shukriya
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
raj
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 35
|
9th November 2006, 01:26 PM
Quote:
Originally Posted by maikasH
sakhi sb
aadaab
aapne apna nihayat qeemati waqt kharch karke jo apne ta'suraat se nawaaza hai uske liye shukriya jaisa lafz bohat kam pad raha hai, farz ka taqaaza hai to shukriya qabuul farmaaiye
amooman maiN internet ki adabii mehfiloN meiN shayri ke ilaawa kam hi koi baat kehta huuN lekin aapka hat padhne ke baad kuch baateiN arz karne ki zaroorat mehsuus huii to kar raha huuN
aapne sahi farmaaya ke jaan dena aasaan nahiiN lekin mohtarma ye baat har kisi pe laaguu nahiiN hoti, go mere khayaal meiN khudkushi karna buzdilii hai lekin maut ki khwaahish rakha alag baat hai...!!
shayri meiN aksar muhaavirey aur kahaavatoN ka istemaal kiya jaata hai aur mujhe un meiN se kayi jumloN se saKht shikayat hai jaise ke "ummiid pe hi duniya qaayam hai", mere ye maan'na hai ke insaan ki sabsi badi dushman uski apni ummiideiN hoti haiN, mere khayaal meiN kisi se bhi kisi tarah ki koi bhi ummiid rakha sabse badii bewakoofi hai aur ye baat maiN tajurbey se keh raha huuN, phir bhi ummiidoN ke pher meiN har koi aa jaata hai, maut waahid ek aisi shay hai jo na-ummiid nahiiN karti
bohat shukriya
maikash
|
mein apki last mein likhi kuch batoin se puri tarah sahmat hun.
haan sahi hai bujdil hi khudkhushi karte hai.
maut ki tamnaa rakhna alag baat hai. lekin maut ki tamnaa karna bhi tab hota hai jab koi dard apne saari hadeoin se gajr jaye phir bhi kahin koi kami na ho dard ki.
dard ka had se gujrna hai dawa ho jana, aur ye dawa hai ..mere khyaal se maut...
apne ye bhi sahi kaha ki umeedein karna bevkoofi hai.kyun ki jab ham umeed karte hai to woh hi totati hai.
umeedein karna insaan chod n ahi sakta hai kyun ki kahin na kahin koi umeed woh hamesha lagaye rakhta hai.
haan maut kabhi nirash nahi karti.
ye bhi sach hai.
sakhi with shukriya and smile.
कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 25
|
22nd April 2007, 05:09 PM
Mian Nahin jaanta ye nazm maine kitni baar pad daali... Aur kuchh is tarah isme doob gaya ke daad dena hi bhool gaya!!
Kya kahoon Maikash!! Nazm pad ke shahir ji ki nazmein yaad aa gayi... Har lafz jaise taraash ke likha gaya hai, dard ke saath saath khoob mehnat bhi kee gayi lagti hai isko likhne mein. Isse padne ka nahin gungunnane ka mann hua har baar, tarran ban gayi aapki ye nazm padte padte..
Shukriya isse share karne ka..
Varinder
kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
23rd April 2007, 01:35 PM
maikash ji aapki yeh nazam aaj baar baar padney ka man hua...aur maine esko padda bhi...jab phele baar padi thi tab shayad es nazam ko mahaz shayri hi samja tha maine....par aaj padney par yeh mujhe aapke dil ki sadha laggi...har lafaz dard mein dooba hua mahsoos hua...!
dua karti hoon kudha aapko dard se koso door rakhey......!
god bless u
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
23rd April 2007, 10:17 PM
Quote:
Originally Posted by sakhi1909
mein apki last mein likhi kuch batoin se puri tarah sahmat hun.
haan sahi hai bujdil hi khudkhushi karte hai.
maut ki tamnaa rakhna alag baat hai. lekin maut ki tamnaa karna bhi tab hota hai jab koi dard apne saari hadeoin se gajr jaye phir bhi kahin koi kami na ho dard ki.
dard ka had se gujrna hai dawa ho jana, aur ye dawa hai ..mere khyaal se maut...
apne ye bhi sahi kaha ki umeedein karna bevkoofi hai.kyun ki jab ham umeed karte hai to woh hi totati hai.
umeedein karna insaan chod n ahi sakta hai kyun ki kahin na kahin koi umeed woh hamesha lagaye rakhta hai.
haan maut kabhi nirash nahi karti.
ye bhi sach hai.
sakhi with shukriya and smile.
|
aapne mera bayaan lagta hai dil se padha hai, aapko meri baatoN se ittefaaq hai iske jawaab meiN ye no nahiiN kahuuNga ke "khush huuN" go ehsaas ko jab zabaaN milti hai to kuch tassalli to zaruur hoti hai
aapke tabsire ke liye shukurguzaar huuN
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
23rd April 2007, 10:20 PM
Quote:
Originally Posted by ghayalparwana
Mian Nahin jaanta ye nazm maine kitni baar pad daali... Aur kuchh is tarah isme doob gaya ke daad dena hi bhool gaya!!
Kya kahoon Maikash!! Nazm pad ke shahir ji ki nazmein yaad aa gayi... Har lafz jaise taraash ke likha gaya hai, dard ke saath saath khoob mehnat bhi kee gayi lagti hai isko likhne mein. Isse padne ka nahin gungunnane ka mann hua har baar, tarran ban gayi aapki ye nazm padte padte..
Shukriya isse share karne ka..
Varinder
|
SSA bai ji
janaab aap ko gaayab hi ho gaye the saahab, ba-har-haal aapke darshan to hue!
aapko nazm pasaNd aayi aur aapne hamesha ki tarah hausla bhi badhaaya hai, ummiid karta huuN ke aayiNda bhi aapki ummiidoN par kharaa utar ke dikha sakuN
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
23rd April 2007, 10:30 PM
Quote:
Originally Posted by sunita virender
maikash ji aapki yeh nazam aaj baar baar padney ka man hua...aur maine esko padda bhi...jab phele baar padi thi tab shayad es nazam ko mahaz shayri hi samja tha maine....par aaj padney par yeh mujhe aapke dil ki sadha laggi...har lafaz dard mein dooba hua mahsoos hua...!
dua karti hoon kudha aapko dard se koso door rakhey......!
god bless u
|
Sunita Jee
namaste aur SSA
khumar Barabankvi se farmaaya hai :
sau baar ye dil dard ki bhaTTi meiN jaley hai
tab ek Ghazal husn ke saaNche meiN dhaley hai
ab mujhe samajh nahiiN aa raha ke maiN aapke khat ka jawaab kaise duuN ?
kuch sawaaloN ka jawaab hota bhi nahiiN
ziNdagi rahi to phir mileNge
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
24th April 2007, 10:04 AM
Quote:
Originally Posted by maikasH
Sunita Jee
namaste aur SSA
khumar Barabankvi se farmaaya hai :
sau baar ye dil dard ki bhaTTi meiN jaley hai
tab ek Ghazal husn ke saaNche meiN dhaley hai
ab mujhe samajh nahiiN aa raha ke maiN aapke khat ka jawaab kaise duuN ?
kuch sawaaloN ka jawaab hota bhi nahiiN
ziNdagi rahi to phir mileNge
rab raakha
maikash
|
maikash ji
....................? mujhe jawaab mil gaya hai.....!
kudha aapko lambi aur kushiyo se bhari zindgi de...yehi dua hai aapki dost ki....!
god bless u
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 138
Join Date: Mar 2007
Location: mumbai
Rep Power: 19
|
24th April 2007, 04:47 PM
Quote:
Originally Posted by maikasH
aadaab yaaraan-e-mehfil
maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai
is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi
nazm ka unvaan hai "zaroorat"
mula'iizaa farmaayeN :
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................
apni aaraa se zaruur nawaazeiN
shukriya
maikash
|
Assalam maikash bahot acha likha hai apne such hai yeh nazam kabhi mukammal ho hi nahi sakti jab tak app ke dil me dard hai aisa hi dard app bikharte rahenge..... yeh silsila to sansoo ke tootjane ke baad hi khatm hoga......
app jis daur se guzar rahe hai iska andaz main laga sakta hun kun ki is daur se main bahi guzar raha hoon....... jo dard apne apne sine mein daba rakha hai use bahot hi khubsurti se kagaz pe utara hai apne.......
yeh dua hai meri rab se apko apki khushiya zaroor mile
Allah Hafiz
koi pyaar chahe to koi jahan chahe,
koi doulat chahe to koi shaan chahe,
hum to jindagi ke sataye huwe hai,
‘Eliyas’ to khudase do gaaz zameen aur kafan chahe
- ELIYAS SHAIKH
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 36
|
25th April 2007, 12:05 PM
Aadaab Maikash Saheb!!! kaise hai aap!!
dino baad aaye, aap bhi !! mein bhii!!
ab tak aapki gazalo ki kashish se wakif thaa ...!! aaj Nazm se bhii do chaar huii!! bhai kyaa baat hai !! aapkaa kalaam hamesha ki tarah ek lau sa raushan hai!!!
dad kabool kijiyegaa!!
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th May 2007, 06:52 AM
Quote:
Originally Posted by sunita virender
maikash ji
....................? mujhe jawaab mil gaya hai.....!
kudha aapko lambi aur kushiyo se bhari zindgi de...yehi dua hai aapki dost ki....!
god bless u
|
sunita jee
aapka PM bhi mila hai lekin afsos ke mere paas jawaab meiN kehne ke liye kuch bhi nahiiN hai, sharmiNdaa huuN
aapki mohabbat aur duaaoN ka karzdaar rahuNga
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th May 2007, 06:58 AM
Quote:
Originally Posted by eliyas
Assalam maikash bahot acha likha hai apne such hai yeh nazam kabhi mukammal ho hi nahi sakti jab tak app ke dil me dard hai aisa hi dard app bikharte rahenge..... yeh silsila to sansoo ke tootjane ke baad hi khatm hoga......
app jis daur se guzar rahe hai iska andaz main laga sakta hun kun ki is daur se main bahi guzar raha hoon....... jo dard apne apne sine mein daba rakha hai use bahot hi khubsurti se kagaz pe utara hai apne.......
yeh dua hai meri rab se apko apki khushiya zaroor mile
Allah Hafiz
|
aadaab bhai
aapne bilkul durust farmaaya hai ke yeh silsila to ab saaNsoN ke TooTne ke baad hi khatm hoga
kya sha'y hai ziNdagi aur iNsaan bhi, dekheN.... na koii apni marzi se duniya meiN aata hai aur na koii jaata hi hai apni marzi se hai phir bhi dil ko yeh ummiid rehti hai ke sab kuch apni marzii se hi ho....ajeeb baat hai
ba-har-haal aapki duaa'oN ka shukurguzaar huuN bhai aur dua'go huuN ke aapko bhi aapki maNzil ataa ho
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
7th May 2007, 07:01 AM
Quote:
Originally Posted by dheer
Aadaab Maikash Saheb!!! kaise hai aap!!
dino baad aaye, aap bhi !! mein bhii!!
ab tak aapki gazalo ki kashish se wakif thaa ...!! aaj Nazm se bhii do chaar huii!! bhai kyaa baat hai !! aapkaa kalaam hamesha ki tarah ek lau sa raushan hai!!!
dad kabool kijiyegaa!!
|
miyaaN shukr karo ke aa gaye
bhai huuN to maiN chacha Ghalib ki tarah GHazal ka hi aashiq lekin kabhi kabhi do misre'y dil ki ghuTan bayaan karne meiN kam paDte'y ma'loom hote haiN to nazm keh leta huuN
aapki hausla-afza'ii ke liye shukurguzaar huuN
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 39
|
7th January 2016, 01:05 PM
maikash bhaiyya.................jaane kahaan se iss nageene par nazar pad gayi..........
ye dil jab tootataa hai to uski awaaz hoti hai.............aksar aapko padkar iss baat ka ehsaas hota hai..................
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 5,213
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 29
|
7th January 2016, 01:26 PM
Quote:
Originally Posted by maikasH
aadaab yaaraan-e-mehfil
maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai
is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi
nazm ka unvaan hai "zaroorat"
mula'iizaa farmaayeN :
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................
apni aaraa se zaruur nawaazeiN
shukriya
maikash
|
waah maikash ji kya rawaan nazm hai..bas padhte hee banti hai....
daad qubool karein...
shukriya sarika jo aap ise samne layiin...
rab raakha
madhu
अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
|
|
|
|
|
Birha Tu Sultan
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
|
9th January 2016, 05:28 AM
Quote:
Originally Posted by masti
maikash bhaiyya.................jaane kahaan se iss nageene par nazar pad gayi..........
ye dil jab tootataa hai to uski awaaz hoti hai.............aksar aapko padkar iss baat ka ehsaas hota hai..................
|
Sarika behen,
itti puraani nazm kahaaN se dhooNdi?
maiN to bhool bhi gaya tha, iske baad is nazm ko bilkul naye sirey se likha bhi hai, kahiiN likh rakkhi hai mil gayi to post karuuNga
mujhe phir se khud ko khud se milvaane ke liye aabhaari hooN
khush rahiye
rab raakha
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 62
|
9th January 2016, 08:37 AM
Quote:
Originally Posted by maikasH
aadaab yaaraan-e-mehfil
maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai
is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi
nazm ka unvaan hai "zaroorat"
mula'iizaa farmaayeN :
nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai
mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta
maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN
tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................
apni aaraa se zaruur nawaazeiN
shukriya
maikash
|
maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati
ab in aashaar ki koi taref kare bhi to kaise.... kitnaa dard samet laaye hain hain ke waah nikle ke aah..... mere dil ki daad qubool kijiye....
Shaad.......
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
15th January 2016, 10:59 AM
Maikash bhai..
Na jaane kaise ye peshkash nazar ke saamne aane se reh gayii.. aisa lagta hai ba-khuda gunaah ho gaya..
Nazm ke baare mai bohat badi baat kehne jaa raha huN meri nazar maiN.. aapki nazm padh ke yuN laga jaise majaaz khud likh ke padh rahe hai ise..
Aur khas taur pe matla jo aapne bandha hai.. wo poori nazm pe haavii tha bhaarii tha.. meri alag se mubaarakbaad uske liye ..
Khyaal rakhiye apna
Kunaal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |