Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Phir se chandan ki tarah
Old
  (#1)
Pankaj Mishra
Registered User
Pankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of light
 
Pankaj Mishra's Avatar
 
Offline
Posts: 244
Join Date: Sep 2014
Location: New Delhi
Rep Power: 14
Phir se chandan ki tarah - 4th August 2015, 02:16 PM

Phir se chandan ki tarah baad-e-sabaa ho jaaye !
Koi mausam ho tu aaye to jawaa ho jaaye !!

Meri khuddar nigahon ka takaza dekho !
Tujhko dekhen to sukoon warna khafa ho jaaye !!

Ishq to apna zanaza bhi utha lega khud !
Muntazir hoon ke tu is baar juda ho jaaye !!

Phike padne lage alfaaz mere sheron ke !
Tum nawaazo to ghazal meri jawaaN ho jaaye !!

Bahut gumraah karna chahta hai aaina mujhko !
Magar wo apni hi fitrat se hardam haar jaata hai !!
(Pankaj Mishra 'Nawaab')
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
4th August 2015, 02:54 PM

Quote:
Originally Posted by Pankaj Mishra View Post
Phir se chandan ki tarah baad-e-sabaa ho jaaye !
Koi mausam ho tu aaye to jawaa ho jaaye !!

Meri khuddar nigahon ka takaza dekho !
Tujhko dekhen to sukoon warna khafa ho jaaye !!

Ishq to apna zanaza bhi utha lega khud !
Muntazir hoon ke tu is baar juda ho jaaye !!

Phike padne lage alfaaz mere sheron ke !
Tum nawaazo to ghazal meri jawaaN ho jaaye !!

wahhhh Nawaab sahiib...kya khoobsurat gazal kahi hai aapne, sabhi sher aik se badkar aik hai....khoobsurat gazal ke liye mubarakbaad kabool kijiye.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
4th August 2015, 05:51 PM

Phike padne lage alfaaz mere sheron ke !
Tum nawaazo to ghazal meri jawaaN ho jaaye !!

Waah!
Bahut achcha likha hai pankaj jii....
Likhte rahein....
Aate rahein......

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th August 2015, 07:32 PM

Quote:
Originally Posted by Pankaj Mishra View Post
Phir se chandan ki tarah baad-e-sabaa ho jaaye !
Koi mausam ho tu aaye to jawaa ho jaaye !!

Meri khuddar nigahon ka takaza dekho !
Tujhko dekhen to sukoon warna khafa ho jaaye !!

Ishq to apna zanaza bhi utha lega khud !
Muntazir hoon ke tu is baar juda ho jaaye !!

Phike padne lage alfaaz mere sheron ke !
Tum nawaazo to ghazal meri jawaaN ho jaaye !!

Nawab saahab ko khaadim ka aadaab pahuche.....

bahut dino baad aap tashreef laaye aur bazm ko apne kalaamon se raushan kar gaye.... aapne waaqai kaabile tareef likhaa hai magar kuch baaten main ye soch kar kahnaa chahungaa ke aapko isme koi buraa mahsoos na hogaa..... aur mahaz chand galtiyan jo nazar aatee hain sarsaree taur pe , unhe door kiyaa jae....

pahle sher me aapne likha.....

Phir se chandan ki tarah baad-e-sabaa ho jaaye !
Koi mausam ho tu aaye to jawaa ho jaaye !

isme lafz jawaa kyaa hai wo meri samajh ke baahar hai kya aap is par roshnee daalenege ek baar.... jaisa ke mujhe lagta hai shayad aap lafz "jawaa.n" likhnaaa chah rahe hain.... magar jawaa.n lafz yahaan qaafiya pe nahi baithegaa...

zanaza koi lafz nahi hotaa bhai... its janaaza.... ise durust karwaa len...

aakhri sher me aapne

jawaaN lafz bhi aapke qaafiye se mel nahi khaata.. ise bhii durust kar len ek baar dekh lijiyegaa....

janab main aapke kalaam ki bareekii na dekhte hue mahaz uuparee taur se jo baaten nazar aatee hain wahi bataane ki koshish ki hai, is ummeed ke sath ke aap naraaz na honge aur shayari ko durust karenge....

shukriya......

shaad....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Pankaj Mishra
Registered User
Pankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of light
 
Pankaj Mishra's Avatar
 
Offline
Posts: 244
Join Date: Sep 2014
Location: New Delhi
Rep Power: 14
5th August 2015, 11:32 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

wahhhh Nawaab sahiib...kya khoobsurat gazal kahi hai aapne, sabhi sher aik se badkar aik hai....khoobsurat gazal ke liye mubarakbaad kabool kijiye.

Bahut shukriya sunita ji !!!!!!!!

Bahut gumraah karna chahta hai aaina mujhko !
Magar wo apni hi fitrat se hardam haar jaata hai !!
(Pankaj Mishra 'Nawaab')
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Pankaj Mishra
Registered User
Pankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of light
 
Pankaj Mishra's Avatar
 
Offline
Posts: 244
Join Date: Sep 2014
Location: New Delhi
Rep Power: 14
5th August 2015, 11:33 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Phike padne lage alfaaz mere sheron ke !
Tum nawaazo to ghazal meri jawaaN ho jaaye !!

Waah!
Bahut achcha likha hai pankaj jii....
Likhte rahein....
Aate rahein......

bahot shukriya madhu ji !!!!!!!!!thank u

Bahut gumraah karna chahta hai aaina mujhko !
Magar wo apni hi fitrat se hardam haar jaata hai !!
(Pankaj Mishra 'Nawaab')
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Pankaj Mishra
Registered User
Pankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of lightPankaj Mishra is a glorious beacon of light
 
Pankaj Mishra's Avatar
 
Offline
Posts: 244
Join Date: Sep 2014
Location: New Delhi
Rep Power: 14
5th August 2015, 11:56 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Nawab saahab ko khaadim ka aadaab pahuche.....

bahut dino baad aap tashreef laaye aur bazm ko apne kalaamon se raushan kar gaye.... aapne waaqai kaabile tareef likhaa hai magar kuch baaten main ye soch kar kahnaa chahungaa ke aapko isme koi buraa mahsoos na hogaa..... aur mahaz chand galtiyan jo nazar aatee hain sarsaree taur pe , unhe door kiyaa jae....

pahle sher me aapne likha.....

Phir se chandan ki tarah baad-e-sabaa ho jaaye !
Koi mausam ho tu aaye to jawaa ho jaaye !

isme lafz jawaa kyaa hai wo meri samajh ke baahar hai kya aap is par roshnee daalenege ek baar.... jaisa ke mujhe lagta hai shayad aap lafz "jawaa.n" likhnaaa chah rahe hain.... magar jawaa.n lafz yahaan qaafiya pe nahi baithegaa...

Ishq to apna zanaza bhi utha lega khud !
Muntazir hoon ke tu is baar juda ho jaaye !!

zanaza koi lafz nahi hotaa bhai... its janaaza.... ise durust karwaa len...

aakhri sher me aapne

Phike padne lage alfaaz mere sheron ke !
Tum nawaazo to ghazal meri jawaaN ho jaaye !!

jawaaN lafz bhi aapke qaafiye se mel nahi khaata.. ise bhii durust kar len ek baar dekh lijiyegaa....

janab main aapke kalaam ki bareekii na dekhte hue mahaz uuparee taur se jo baaten nazar aatee hain wahi bataane ki koshish ki hai, is ummeed ke sath ke aap naraaz na honge aur shayari ko durust karenge....

shukriya......

shaad....

Sameer sahab ko mera salaam !!!!!!!!!!!!!
janaab aapki tawajjo mili....shukragujaar hoon....narazagi ki baat jehen se nikaal den aap....agar aapne kuch notice kiya hai to hamaare liye to important ho jaata hai ki uspar gaur kiya jaaye ........bas aapse ek shikayat hai...jab bhi aap kuch corrections karne ko kehte hain to phir correct hone ke baad use dobara aapki tawajjo nahi mil paati(aur hame intzaar hota hai ki aap ke taqaze par khare utre ya nahi )......maine do teen kalaam me corrections kiye because u noticed them.....aur mistakes ke to bahut se reasons ho jaate hain janaab .....is kalaam me kuch changes kare hain ......Dekhen jara.....ek sher replace kar diya hai hamne.....

Phir se chandan ki tarah baad-e-sabaa ho jaaye !
Koi mausam ho tu aaye to nayaa ho jaaye !!

Ab to betaab panaahon ki guzarish hai ye !
Teri khushboo meri saanson ki ridaa ho jaaye !!

Ishq to apna janaaza bhi utha lega khud !
Muntazir hoon ke tu is baar judaa ho jaaye !!

Phike padne lage alfaaz mere sheron ke !
Tum nawaazo to ghazal meri dua ho jaaye !!

aapki salamati ki duaon ke saath.........

Bahut gumraah karna chahta hai aaina mujhko !
Magar wo apni hi fitrat se hardam haar jaata hai !!
(Pankaj Mishra 'Nawaab')
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th August 2015, 12:46 PM

Quote:
Originally Posted by Pankaj Mishra View Post

Phir se chandan ki tarah baad-e-sabaa ho jaaye !
Koi mausam ho tu aaye to nayaa ho jaaye !!

Ab to betaab panaahon ki guzarish hai ye !
Teri khushboo meri saanson ki ridaa ho jaaye !!

Ishq to apna janaaza bhi utha lega khud !
Muntazir hoon ke tu is baar judaa ho jaaye !!

Phike padne lage alfaaz mere sheron ke !
Tum nawaazo to ghazal meri dua ho jaaye !!

aapki salamati ki duaon ke saath.........

bahut khoob bhai..... ek se badh kar ek sher nazar kiye hain aapne bazm ko... bahut si daad aur mubaaraken......

khamoshi ka matlab sahmatee bhi hotaa hai nawaab saahab.....

khush rahiye...

Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com