Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kisey maaluum hai manzil kahaaN hai
Old
  (#1)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
kisey maaluum hai manzil kahaaN hai - 11th July 2002, 09:55 AM

dosto

ek arsaa bejaan sii paDii rahney ke baad ek din qalam ne hauslaa kiyaa to ek ghazal kahii... aap kii nazr hai.. islaah, tanqeed se ghurez na kiijiyegaaa.


nashe meiN choor meer e kaarvaaN hai
kisey maaluum hai manzil kahaaN hai

uThaayaa tumney bhii jis zindagii ko
mere kandhey pe bhii us kaa nishaaN hai

ghaDii ke haath ik duujey se puuchcheiN
"jo lamhaa jaa chukaa hai wo kahaaN hai?"

tu shaakhoN kii taraf naa pheiNk pathar
phaloN ke paas hii ik aashiiyaaN hai.

jo bikney meiN madad kartii hai aksar
mere sheroN meiN wo khushboo kahaaN hai!!

zabaaN kaTney ke Dar se chup hai shaayad
mujhey lagtaa nahiiN wo bezabaaN hai.

samaa'at ko zaraa mahfuuz rakhnaa
har ik insaan ke muuNh meiN zabaaN hai.

feroz uskii jahaaN se kyaa nibhegii
khud apney aap se jo bad_gumaaN hai

aap kii aaraa kaa intezaar raheygaa.

Feroz

Last edited by Feroz; 12th July 2002 at 05:25 AM..
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
khuoob kahi janab ...!
Old
  (#2)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Thumbs up khuoob kahi janab ...! - 11th July 2002, 09:38 PM

aadab feroz ji ....

aapki nai ghazal padhi , kamal kae ashaar heN , khoob hae andaz-e bayaN aapka !

aate jata raha kijeye , oraainda aapki nai ghazal ka intizaar rahe ga ........acha ab ghazal par lete heN ......



nashe meiN dhutt meer e kaarvaaN hai
kisey maaluum hai manzil kahaaN hai

aaha !....khuoo

uThaayaa tumney bhii jis zindagii ko
mere kandhey pe bhii us kaa nishaaN hai

ha-e ferozji ! ... khoob kaha ..

ghaDii ke haath ik duujey se puuchcheiN
"jo lamhaa jaa chukaa hai wo kahaaN hai?"

nice1 ......

tu shaakhoN kii taraf naa pheiNk pathar
phaloN ke paas hii ik aashiiyaaN hai.

ha-e ha-e ..... zabardast ! ...

jo bikney meiN madad kartii hai aksar
mere sheroN meiN wo khushboo kahaaN hai!!

wah wah ! ...

zabaaN kaTney ke Dar se chup hai shaayad
mujhey lagtaa nahiiN wo bezabaaN hai.

khoob .....

samaa'at ko zaraa mahfuuz rakhnaa
har ik insaan ke muuNh meiN zabaaN hai.

aafreen feroz aafreen ....wah

feroz uskii jahaaN se kyaa nibhegii
khud apney aap se jo bad_gumaaN hai

zabardast hae ....... wah ...
plz feroz ji ...... aaindakoighazal jaldi post karna ....plz

ok,
bye
sagar


azal ke mast heN rakhte heN ham fitrat he mastana

hamiN khum heN hamiN saghar hamiN maikash hamiN saqi

( majzoob )
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
Thumbs up 11th July 2002, 09:40 PM

adaab feroz ji.....bahut khoob likha hain aapne....

nashe meiN dhutt meer e kaarvaaN hai
kisey maaluum hai manzil kahaaN hai

uThaayaa tumney bhii jis zindagii ko
mere kandhey pe bhii us kaa nishaaN hai

tu shaakhoN kii taraf naa pheiNk pathar
phaloN ke paas hii ik aashiiyaaN hai.

zabaaN kaTney ke Dar se chup hai shaayad
mujhey lagtaa nahiiN wo bezabaaN hai.

....wah wah....


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Bahut khoob..!
Old
  (#4)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up Bahut khoob..! - 15th July 2002, 06:55 PM

Adaab Feroz ji!!

Bahut arse baad aapka kalaam paRhna naseeb huya hai..aur hamesha ki tarah ye ghazal bhi aapka ek alag andaz liye huye hai... Poori ghazal qabeel-e-taareef hai.....bas Aise hi likhte rahiye aur hum sab ko apne umda kalamoN se navazte rahiye!!

nashe meiN choor meer e kaarvaaN hai
kisey maaluum hai manzil kahaaN hai

uThaayaa tumney bhii jis zindagii ko
mere kandhey pe bhii us kaa nishaaN hai

ghaDii ke haath ik duujey se puuchcheiN
"jo lamhaa jaa chukaa hai wo kahaaN hai?"

tu shaakhoN kii taraf naa pheiNk pathar
phaloN ke paas hii ik aashiiyaaN hai.

jo bikney meiN madad kartii hai aksar
mere sheroN meiN wo khushboo kahaaN hai!!

zabaaN kaTney ke Dar se chup hai shaayad
mujhey lagtaa nahiiN wo bezabaaN hai.

samaa'at ko zaraa mahfuuz rakhnaa
har ik insaan ke muuNh meiN zabaaN hai.

feroz uskii jahaaN se kyaa nibhegii
khud apney aap se jo bad_gumaaN hai

Wah Wah...bahut hi khoob!!!


DuaooN ke saath,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
15th July 2002, 08:40 PM

ustaad jee

SSA aur aadaab

ek arsey baad mehrbaan hue haiN aap.....ghazal paDhii aur khoob pasaNd aayi......


jo bikney meiN madad kartii hai aksar
mere sheroN meiN wo khushboo kahaaN hai!!


ye she'r khaaskar pasaNd aaya.....aapka ishaara kis taraf hai shayad maiN samajh gaya....isliye...dil se "aah" pehle aur "waah" baad meiN nikli.....!! aur mere khayaal se aap apne sheroN ko kam kar ke aaNk rahe haiN......apne chahne vaaloN se puucHiye ki unki nigaahoN meiN aapka kya muqaam hai....!!

aur aapke sheroN ke asar ki baabat aik misaal duuN to voh ye hai ke aapke aNdaaz-e-bayaaN aur aapki khayaaloN se mutaasir ho kar aapke is adney se shaagird ne bhi isii mauzoo par ek ghazal kahi hai jo ki mera aapse vaada hai ke manzir-e-aam par tab tak nahiiN aayegi jab tak aap na suneNgey


aapka mureed
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
shukria
Old
  (#6)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
shukria - 20th July 2002, 03:17 AM

kashmiri sahab
aadaab

aap ka mashkuur huuN... aap ne jis andaaz meiN daad dii hai us ke qaabil merii ghazal kahaaN... aap ne jo hausla afzaai ke liiye waqt nikaalaa hai us ke liyee maiN aap kaa ahsaan maNd huuN.
shukria sahab!!!!

Feroz
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
23rd July 2002, 06:40 AM

anamika ji
aap ke comments to paDh liye they lekin jawaab dene meiN zaraa der ho gayii. aap kaa shukria ke aap ne meri ghazal paDhii aur usey apni rai se nawaazaa. aaindaa bhii aap se isii tarah se hausla afzai kii tawaqo hai..

Feroz
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Old
  (#8)
dastak
Registered User
dastak will become famous soon enoughdastak will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 91
Join Date: Mar 2002
Rep Power: 24
23rd July 2002, 06:31 PM

Feroz sahab..apki gazal dil ko chuu gayee specially ..
feroz uskii jahaaN se kyaa nibhegii
khud apney aap se jo bad_gumaaN hai

.....aap jaise ustadoon..se hee to ham jaise sikhete hain......umeed kartee hain aur bhi bahut kuch sikhne ko milega
   
Reply With Quote
Shukria shumaila
Old
  (#9)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
Shukria shumaila - 25th July 2002, 04:24 AM

shumaila ji
aadaab

aap ne merii ghazal pasaNd kii us ke liiye shukria... pichchley kuchh arsey meIN sher kam kahey haiN, lkein jo kaheiN haiN wo aap dostoN kii nazr kar diiye haiN... aap isii tarah se izzat afzai kartii raheiNgii to maiN aur sher kahney kii himmat kartaa rahuNgaa.

Feroz
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
30th July 2002, 09:39 AM

Hello dastak

aap ko ghazal ke ashaar pasaNd aaye to mujhey lagaa ke merii mehnat ko phal lag gaye.. aap ne jo izzat afzaaii farmaayi hai us ke liiye maiN aap ka mamnuun huN.. shukria

Feroz
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Re: kisey maaluum hai manzil kahaaN hai
Old
  (#11)
sahir
Registered User
sahir is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Aug 2002
Location: Hyderabad
Rep Power: 0
Re: kisey maaluum hai manzil kahaaN hai - 4th August 2002, 12:48 AM

Feroz Saheb

adaab

badi himmat juata kar is bazm meiN qadam rakha hai. YahaN jo shayri padhta raha hooN usne mujhe kaafi mutasir kiya hai. Aaj socha ke chalen apni daad bhi aap ke saamne rakhen apni hi zubani.

Aapki ye ghazal khoobsoorat hai. Sach poochiye to sabhi ashaar bade pasand aaye isliye kisi ek ko khas pasand keh ke rakhna ghazal ke saath zyadti hogi.

jald hi himmat karke apna adna sa kaam bhi aap logoN ki pesh-e-khidmat karoonga. Umeed ahi ke aapke mazeed ashaar bhi padhne ko milte rahenge.

nacheez
sahir


'sahir' hindostani
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
5th August 2002, 08:53 PM

sahir sahab

aadaab

aaj pahlii dafaa aap se mukhaatib ho rahaa huN... aap se mil kar khushii huii... arey bhai, yahaaN aaney ke liiye himmat juTaaney waali kaun sii baat hai.. is mehfil kaa maahaul baDaa dostaanaa hai.. aap ko merii ghazal pasaNd aayiii to merii mehnat ko silaa mil gayaa.. shukria... aap ke kalaam kaa intezaar rahegaa.

Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
22nd August 2002, 11:50 PM

maikash sahab

sab se pahley to maazrat chaahtaa huuN, ki aap ne rai dii aur mujh se shukria adaa karney mein der ho gayii.. behad sharmindaa huuN>> behad sharmindaa.. ummiid hai aap buraa nahiiN maaneiNgey.. aap kaa mashkuur huuN. ki aap waqt nikaal kar merii izzat afzaii kartey rahtey haiN.... ek bar phir maazrat ke saath...

Feroz



Feroz
ye zindagi hai kya 'feroz' shayari hai kya
kuchh haulnaak haadsey asha'ar ho gaye
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kisey Pukarain Hum ....!!!! WASEEF- Unlucky Shayri-e-Dard 3 13th April 2006 02:38 AM
Haal-e-dil ab kisey sunaanaa hai Brijinder Aapki Shayri 2 11th February 2006 01:16 AM
Niklete thhe kahaan jaane ke lie, pahunche hai kahaan maalum nahin Priyamitra Shayri-e-Ishq 0 27th March 2004 08:03 PM
kisey msn ko taira......... aqeelahmed Humourous Shayri 0 6th February 2004 12:59 AM
sab ko maaluum hai mai.n sharaabii nahii.n musafir Chit-Chat & General Discussion Forum 0 17th May 2002 09:46 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com