Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Phir sahar ban ke naya saal ugaa hai yaaro
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Phir sahar ban ke naya saal ugaa hai yaaro - 31st December 2002, 05:02 PM

Ahl-e-mehfil adaab qubuul kareN

Aap sabko naye saal ki nek Khahishaat pesh karne ke liye qalam uthaya tha.
Aur pehle donoN misroN ke baad KhayaloN ka rukh badlata sa nazar aaya. Zehen mein aaya ke aaj toh insaaniyat aise maqam par hai ke jahaN hameiN uske wajood ke liye duaa karna zaroori hai. Bus yahaN se khayal is nazm ki shakl meiN tehreer hotey gaye. Aur ye maiN aapki Khidmat meiN pesh kar raha hooN. Mumkin hai ke nazm par abhi aur kaam ki zaroorat ho lekin mainey socha ke saal ke aaKhri din ye baat aapke saamne rakhuuN. Saath hi ye baat bhi tey hai ke aap sab bhi in Khayalaat se ittefaq toh zaroor rakhte honge. Toh naye saal par merii nek khahishaat ke saath pesh hai ye nazm
--------------------------------------------------------------

Phir sahar ban ke naya saal ugaa hai yaaro



Phir se ik saal hai guzra kisi shab ki maanind
Phir sahar ban ke naya saal ugaa hai yaaro

Silsiley hoNge masarrat ke hazaroN har suu
Phir se chehroN pe sabhi oRh ke nikleNge bahar
Dil ke koney meiN rahega kahiN ye bhi ik dar
Nazr-e-bad ka kahiiN waqt n ban jaye shikaar


Aao is saal ki Khaatir ye duayeN maangeN
Phir sahar ban ke naya saal ugaa hai yaaro

Kaash ke ab se kisi shahr meiN balwa n machey
Har siyaah raat meiN KhushiyoN ka ujala ho jaaye
Phir padosi na koi ban ke miley dushman jaisey
Aur sapnoN ki kahiN koi imaarat n giraaye

Ho ke befikr chaleN ziist kii rahoN pe sabhi
Ab koi shaKhs kabhi ghar meiN seham kar na rahe
Khauf-o-dahshat ka kahiN naam-o-nishaN hi na rahey
Kash ke kal se koii naam-e-sitamgar na rahey

Ghair mumkin si to hai phir bhi dua hai kyuunke
Phir sahar ban ke naya saal ugaa hai yaaro

Hum jo chaaheN ke hoN sab ye duayeN puurii
Soch ka dhang zamaane ko badalna hogaa
Khudparastii ki rivayaat se baRh kar aagey
Hum ko har tang Khayalii se nikalnaa hogaa

Gar huaa aisa to phir is duniyaa se
BaRh ke koi n mere dost Thikanaa hogaa
Honge roshan jahaN sirf mohabbat ke charagh
Us sey behtar na koi aur zamaana hogaa

Ghair mumkin hi lagey phir bhi dua hai kyuunke
Phir sahar ban ke naya saal ugaa hai yaaro

Ghair mumkin hi lagey phir bhi abhii is dil ko
Jaane kyuuN koii umeedoN ki sadaa aati hai
Ik ujaaley ki kiran dhund meiN poshiida kahiN
Mere ehsaas ke andhiyaaroN pe chaa jaati hai

Ghair mumkin hai magar karke dua to dekho
Phir sahar ban ke naya saal ugaa hai yaaro


AAP SAB KO NAYA SAAL MUBARAK

Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
31st December 2002, 05:35 PM

Naya saal mubaraq ho saxena sahab!
Ghazal bahot pasand aayi, aur likhne ka dhang bhi..

Favorite sher(s)
"Gar huaa aisa to phir is duniyaa se
BaRh ke koi n mere dost Thikanaa hogaa
Honge roshan jahaN sirf mohabbat ke charagh
Us sey behtar na koi aur zamaana hogaa"



Likhte rahiye,
Aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#3)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
7th January 2003, 08:10 PM

Janab-e-Sharabi Sahab

Nazm pasand karne ka shukria. Yeh jaan kar bhi achcha laga ke aap aur mein is baat mein hum khayal hain. Ummeed hai ke aagey bhi aapka yuN hii saath milta rahega.

Us din aap se chat kar ke bohut achcha laga.

shukria ke saath


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Naya Saal noor_noor Aapki Shayri 3 3rd January 2010 09:32 AM
naya saal.... rajinderseep Hindi Kavitayen 0 1st January 2010 09:41 AM
kal phir naya saal yahaaN aayeGaa Qasid Shayri-e-Ishq 1 31st December 2009 03:06 PM
naya saal only aks Shayri-e-Dard 0 20th January 2008 03:53 PM
naya saal minchy Aapki Shayri 0 2nd January 2005 11:40 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com