Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Din Ka Chaand
Old
  (#1)
noor_noor
Registered User
noor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 545
Join Date: Feb 2009
Rep Power: 25
Din Ka Chaand - 10th October 2010, 03:29 AM

Ek azaad nazm munfarid khyaal ke saath aap logoN ki khidmat mai paish hai apni raaye se nawaaziyega


Din ka chaand

Kitni yaksaaniyat hai mujh mai
Aur tujhme
Ey din ke chaand
Ke mere saath
jo haiN wo haiN hi nahi
Jo din ki roshni mai
tere saathiyoN ki tarhaN
mujhko bhi
akela choD dia karte haiN
aur meiN bhi
teri tarhaaN
raat hone ke intezaar mai
suraj ki tapish ko
apne wajood mai
paiswast hota
mehsoos karta rehta huN
meiN jaanta huN tere dard ko
teri khaamoshi
tere chehre pe tanhaaii ke saaye
jiske ehsaas mai tu
til til
ghat_ta hua nazar aata hai
meiN sab jaanta huN “chaand”
ke teri tarhaN
meiN bhi tanha huN



aslam


you.n na samjhoge kinare pe khade rehkar tum
behta dariya hu.n mujhy haath se choo kar daikho
   
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com