Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Samina Raja,Aur Wisal [ghazals]
Old
  (#1)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja,Aur Wisal [ghazals] - 27th January 2009, 05:41 PM


Ilhaam, wahhi k shairi hai
Iss dil pay jo aaj utar rahi hai


Yeh wasl hai ya main khwab mein hoon
Hai khwab k wasl ki ghari hai?


Soya hai wajood aur dil mein
Ik cheez ajeeb jaagti hai


Khushboo say mehek raha hai aangan
Aur tan pay bahaar aa gaei hai


Aaghosh mein khill uthha hai gulshan
Hontoan pay gulon si taazgi hai


Aankhon mein charagh jall rahay hain
Maathay pay anokhi roshni hai


Kuch door pay hai khizaan ka dera
Basti yeh bahar mein basi hai


Main raah pay teri chal rahi hoon
Duniya meri samt dekhti hai


Kam hon gay aseer-e-yad-e-janan
Yeh bhi to ataey zindagi hai
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#2)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 05:44 PM

Tanha, sar-e-anjuman khari thi
Main, apnay wisaal say bari thi

Haan phool thi, aur hawa ki zad par
Phir meri har aik pankhari thi

Ik umr talak safar kya tha
Manzil pay pohanch kay gir pari thi

Talib koi meri naffi ka tha
Aur shart yeh mot say kari thi

Woh aik hawa-e-taaza mein tha
Main, khwab-e-qadeem mein gari thi

Woh, khud ko Khuda samajh raha tha
Main, apnay huzoor mein khari thi

Last edited by zainhasan; 27th January 2009 at 05:46 PM..
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#3)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:29 PM


Honay pay main apnay roa rahi hoon
Hasti ka yeh daagh dho rahi hoon


Shakhon pay meri khilaein gay sooraj
Mitti mein kiran jo bo rahi hoon


Uss shakhs ka dekhna qayamat
Khud apna suragh kho rahi hoon


Kis ranj say hath paaon shall hain
Aur zard tamam ho rahi hoon


Kis baat say dil dukha huwa hai
Aansoo kay bagher roa rahi hoon


Ab tark bhi kar chuka to kya gham
Main teri murad to rahi hoon


Banhon mein simat gaei hoon apni
Aaraam ki neend so rahi hoon
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#4)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:30 PM


Dekha nahin iss misal ka chand
Sehra mein laga kamal ka chand


Reh reh kay ufuq say jhankta hai
Sharmaya huwa, wisal ka chand


Mshriq say ajab hawa chali thi
Gul honay laga shimal ka chand


Lao day uthay pichhlay saal kay dukh
Nikla hai jo aglay saal ka chand


Bujhti hai teri nigah ya phir
Dhalta hai meray jamal ka chand


Chehra jo tera na dekh paei
Kya dekhti phir shewal ka chand
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#5)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:32 PM


Kuchh ranj na koei be qarari
Dil par hai ajab sakoot tari


Takseem to ho rahi hai rahat
Aati hi nahin hai meri baari


Ulfat mein tha sehl jaan dena
Ik cheez yehi thi ikhteyari


Dil dard mein doobta tha lekin
Aankhoin say huway na ashk jaari


Sab choom kay pichhay hat gaey thay
Pathar tha wafa ka sakht bhaari


Dushman ki sipaah bhi thi shashdar
Iss shaan say main nay jang haari


Afsos tha pichlay mosamon ka
Yeh rutt bhi mili to intazaari


Jab ban gaya aasman, samander
Saahil pay buss aik shab guzari


Iss baar na bach sakay gi shayad
Chahat ko laga hai zakham kaari
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#6)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:33 PM


Kanton mein gulab dekhti hoon
Main aaj bhi khwab dekhti hoon


Ik ranjish-e-be sabab kay ba'is
Khana hi kharab dekhti hoon


Aankhon mein dhuwan sa bhar raha hai
Manzil ko sarab dekhti hoon


Ik harf-e-ghalat huwi hoon jiss mein,
Hasti ki kitab dekhti hoon


Aankhein jo khulin,to khud pay khultay
Tanhaei ka baab dekhti hoon
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#7)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:35 PM


Ik hasrat-e-aab ho gaei hoon
Main khud hi saraab ho gaei hoon


Likhi hoon ik ajnabi zaban mein
Honay ko,kitaab ho gaei hoon


Ik khwab mein jii rahi thi ab tak
So khwab hi khwab ho gaei hoon


Tha kitna saja huwa yeh chehra
Aur kesi kharab ho gaei hoon


Ginta jo raha woh mujhh ko har pal
Be hadd-o-hisab ho gaei hoon


Gohar thi kabhi dil-e-sadaf mein
Ab naqsh br aab ho gaei hoon


Karti thi sawal zindgi say
Ab apna jawab ho gaei hoon


Too bethh kinar-e-ishq, main to
Sohni ka Chanab ho gaei hoon


Ab toar liya chaman say rishta,
Jangal ka gulaab ho gaei hoon
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#8)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:36 PM


Rastay mein diya jala rahi hai
Jangal ki hawa bula rahi hai


Ab raaz na reh sakay gi chahat
Yeh shoakh,jo gull khila rahi hai


Ik dard para hai palenay mein
Aur yaad usay hila rahi hai


Aankhon pay khulay hain pankh iss kay
Ik aas mujhay sula rahi hai


Chhatri pay sajay hain kuchh kabootar
Aur chandni jhhilmila rahi hai


Thhandak hai badan mein iss bala ki
Ab barf mujhay jala rahi hai


Kis shakl ko bhoolnay lagi main
Kya zeest mujhay bhula rahi hai


Peeni hai nabeez-e-ishq mujh ko
Woh aankh agar pila rahi hai


Phir zindgi jaisay dartay dartay
Ranngon say nazar mila rahi hai
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#9)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:37 PM


Ik pall ko,na raat so saki main
Uss khwab ki aas mein rahi main


Jab dheyan mein aa gaya woh chehra
Sonay kay bajaey, roa pari main


Bass aik hi yaad mein garifta
Dil thaam kar apna reh gaei main


Bass aik hi ranj say shikasta
Kion uss say bhala juda huwi main


Bass aik khayal dil pay taari
Woh jagta,sath jagti main


Hota woh agar qareeb meray
Phir chhoo kay bhi uss ko dekhti main


Khush baash rahay,sada jiey woh
Par uss say bichhar kay marr gaei main


Zahir mein to sans lay rahi thi
Zinda thi bagher-e-zindgi main


Chandi say badan pay tha andhera
Uss chand say kitni door thi main

   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#10)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:39 PM


Bann karr to rahi main uss ka saya
Woh mera libaas bann na paya


Kuchh waqt hi darmiyan aaya
Main nay to usay nahin bhulaya


Dunya to nahin ujar ga'ei hai
Ik shakhs agar huwa paraya


Jaisay thi main raet parr ko'ei naqsh
Yoon moj nay barh kay aa mitaya


Ik deep hawa kay haath parr tha
Aur main nay bhi ik diya jalaya


Ik raag tha raat kay labon parr
Aur main nay bhi aik geet gaya


Sehra ki tarah chamak utthi main
Woh chand kabhi jo jagmagaya


Manzil teri aur thi to mujh ko
Kis wastay hamsafar banaya?

   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#11)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:41 PM


Too saath hai,bass isi khushi mein
Dkha na kuchh aur zindgi mein


Rastay mein hazar dasht-o-darya
Guzri hoon main aik be khudi mein


Iss tarah ka ishq aur saliqa
Paya tha faqat ik aadmi mein


Iss khwab ko dhoop say bachana
Chatka hai jo shabb ki roshni mein


Mehman tha woh aaj doosron ka
Aaya to sahi,meri gali mein


Mosem na faza ka ranng dekha
Itna tha malaal meray ji mein


Maaloom tha mujh ko rannj day gi
Har channd maza tha aagahi mein


Khwahish bhi rahi ke kuchh kahay woh
Tha lutf bhi aik, ann kahi mein


Dekha nahin mujh ko,sabb ko dekha
Asbaat tha kaisa uss naffi mein !
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#12)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:43 PM


Ik paer ki oat mein chhupa tha
Woh door say mujh ko dekhta tha


Woh paas raha magar kuch aisay
Saya kisi sa'ey say mila tha


Pani mein ghula tha aks mera
Uss aks mein ko'ei doobta tha


Ik phool meray ujaar bann kay
Goshay mein kahin khila huwa tha


Ik chaand nikal kay baadlon say
Phir baam pe meray aa gaya tha


Woh shoq say do charagh aankhein
Lay karr meri raah mein khara tha


Woh haath ajeeb baankpann say
Ik baar meri taraf barha tha


Woh geet jo uss nay gungunaya
Jaisay kabhi neend mein suna tha


Be saakhta mein nay chhoo kay dekha
Bilkul hi woh meray khwab sa tha!
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#13)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:44 PM

Phir khwab ko'ei naya naya day
Ay raat! mera diya jala day

Ik baat adhoori reh ga'ei hai
Ko'ei meray doast ka pataa day

Abb chhor day kar-o-bar-e-dunya
Be sakhta abb mujhay sada day

Jo barf jami huwi hai mujh parr
Abb dast-e-bahar say hata day

Main saans to lay sakoon dobara
Seenay sar yeh sanng-e-gham hata day

Ik naqsh bana kay raet parr woh
Chahay to ko'ei hawa chala day

Hoanay ka yaqin dila'ay mujh ko
Woh ghamm jo mujhay mera khuda day
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#14)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 09:57 PM

Dill bujh sa gaya tha rahton mein
Phir zinda huwa teray ghamon mein

Uss lutf nay karr diya tha be zaar
Lutf aanay laga hai ranjishon mein

Ik baat ajeeb uss nay ki thi
Neend aanay ki pehli sa'aton mein

Chehra na mein uss ka dekh pa'ei
Aankhein jo chhupi thein aansoo'on mein

Shamil thi kisi ki narm aawaz
Iss dill ki udaas dharkanon mein

Tanha'ei bhi sath chall rahi thi
Rasta bhi nahin tha janngalon mein

Pathar sa gira tha aks-e-mahtaab
Ik jheel kay sabz pani'on mein

Kya cheekh thi jiss say goonj utha tha
Sannata, khamoash wadiyon mein

Kya hijr tha, jiss kay khwab dekhay
Aur sakht wisaal kay dinon mein!

Last edited by zainhasan; 27th January 2009 at 10:04 PM..
   
Reply With Quote
Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein]
Old
  (#15)
zainhasan
Registered User
zainhasan will become famous soon enough
 
zainhasan's Avatar
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Jan 2009
Rep Power: 0
Love Samina Raja, Aur Wisal [ghazlein] - 27th January 2009, 10:13 PM


Jabb dhoop na chandni huwi main
Kis ranng ki roshni huwi main


Kis taal pe dill dharak rahay thay
Too raag tha, raagni huwi main


Thi teray darash ki saari shoabha
Uss roaz say kaamni huwi main


Chhoonay say teray huwa chamatkaar
Ik raat mein, padmani huwi main


Jis ghamm mein liya hai joag too nay
Uss dard say, kaasni huwi main


Khud apnay hi dill mein garr ga'ei hoon
Naeza tha woh ishq, ani huwi main!


Kis tarah na toot karr bikharti?
Pathar say na thi bani huwi main!
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Prince Jain
Registered User
Prince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 417
Join Date: May 2008
Location: Gamoo Kay Saath
Rep Power: 18
28th January 2009, 02:44 PM

Pankaj Udas ji ki gajal jo aap sub ney suni hoghi Mujay bahut pasand hai, Usi Ki 4 Line Likh raha hu, sayad aap sub ko pasnd aay,

YEH AARZO THI KI HASKER HUMAY KOI MILA HOTHA
KAHI TO HUMSAY KISI KA DIL AASINA HOTA

Kisi n bhi to na dekha nigah bher key mujay2
Gaya fir aaj ka din bhi udas kerkey mujay,
Kis n bhi............................................... ........
Gaya.............................................. .............
Kisi n bhi............................................... ......
sawab bhi layo na koi payam aapno ka
suna rahi pasaney edhar udher key mujay
gaya fir............................................... ..
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Prince Jain
Registered User
Prince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 417
Join Date: May 2008
Location: Gamoo Kay Saath
Rep Power: 18
31st January 2009, 09:53 AM

yeh gajal daddy film ki hai jo vakai bhaut achi hai aap sub ko bhi pasand aayeghi

aaina mujse meri paheli si surat mange-3
mere apne meri hone ki nishani maange
aaina mujse mari paheli si surat mange

mein bhatakata hi raha dard ke viraane mein
wakt likhta raha chere pe har pal ka hishab
meri shorat meri diwangi ki nazar hui
pi gayi may ki bolte meri geeto ki kitab
aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
yeh sahar bhoola muje mein bhi ishe bhool gaya
mere apne meri hone ki nishani mange
aaina mujse meri paheli surat mange

mera fan phir muje bazaar mein le aaya hai
yeh vo jagah ke jahan mero vafa bikate hain
baap bikate hain aur lakhte jigar bikate hain
kookh bikati hain dil bikate hain sar bikate hain
is badalti hui duniya ka khuda koi nahin
saste daamo pe yahan roz khuda bikate hain

har kharidaar ko bazaar mein bikataa paya
hum kya paayenge kisi ne yahaan kya paayaa
mere aheshas mere phool kahin aur chale
bol pujaa meri bachi kahin (aur chale )-2.... aur chale

   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Samina Raja Ki Aik Bakamal Ghazal zainhasan Ghazal Section 1 26th January 2009 04:21 PM
Samina Raja,10 Love Poems From Shehr-e-Saba zainhasan Shayri-e-Mashahoor Shayar 9 23rd January 2009 05:16 AM
Samina Raja,15 love poems from Huweda zainhasan Shayri-e-Mashahoor Shayar 16 20th January 2009 01:25 PM
*koocha-e-ishq* By Samina Raja zainhasan Shayri-e-Ishq 1 12th January 2009 11:04 PM
Samina Raja Ki Khoobsoorar Ghazal~~ zainhasan Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 11th January 2009 02:08 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com