khayalaat-e-khavar -
19th March 2014, 07:54 AM
takiye ko aansuon se bhigoya to kya hua ?
Mai bhi kisi ki yaad main roya to kya hua ??
dil ko sukoon hai ki woh khwabo main khoye hain,
main hi tamaam raat na soya to kya hua ?
woh phool hai, jo seh na sake oss(shabnam) ka wazan,
maine ghamon ke bojh ko dhhoya to kya hua ?
nikle the hum kisi ki vafa ki talaash main,
is justuju main khud ko hi khoya to kya hua ?
ilzaam shayri ka ise de diya gaya !!
Lafzon main haal dil ka piroya to kya hua?
'khavar' woh khat bhi jhoot tha, shayad isiliye,
har lafz maine ashkon se dhoya to kya hua ?
Ghulam Mohd 'khavar'
|