tera mera rishta -
2nd August 2014, 11:41 AM
tera mera rishta hai jo shabaab ki tarha
hamesha mahekta rahai gulaab ki tarha
muhabbat ka paimana bharlo chahe kitna bhi
muhabbat chalakti nahin sharaab ki tarha
bhatakta hai shamma ki justujoo men parwana
samajhta hai is kaam ko sawaab ki tarha
hamesha muhabbat men ilteja hi jamti hai
kabhi hukm mat kijiye nawaab ki tarha
liya hoga tujhko banane men bohut waqt
banaya tujhe rab ne mahtaab ki tarha
usi cheez ki aap humse kijiye maang
hamare liye jo nahin hai khwaab ki tarha
kaha jata hai bewafa usi ko parwaaz
bana de tera jeena jo azaab ki tarha
By
Mujeeb Parwaaz
Last edited by mujib66; 2nd August 2014 at 11:51 AM..
|